chah

کب بولتی ھے ہمیں وہ انکھیں
وہ انکھیں نہیں گہرا سمندر ھیں

................................................................

Phehli baar nai tha ka wo Khan mansion aya ho or koi jaag raha ho q ka aj kal wo late ghar atha q ka us ka summer break chal raha tha or us ka rules ka motabiq wo ya vacations baki sub ke tarha office ja kar nai guzarna wala tha q ka agaa ja ka wasa be us na yahe karna tha magar aj be wo pagal us ka intezar ma beti thi hamesha ke tarha

Or wo anjaan nhi tha is baat sa q ka ab us no be adaat ho gaye thi har raat us ko dakha ke .

Wo Abhi Khan mansion enter he hwa tha ka phehli nazar us dushman-e-jaan par pari jo dining table par sar rak kar so rahe thi q ka aj us ko zayad dar ho gaye thi or wo bechari us ka intezar ma so gaye thi

Wasa acha lagtha ha jab ap ko pata hotha ha ka koi ha jis ko ap ka intezar rehtha ha koi ha jis ka liya ap ahmiyat raktha ha ya ehsas he kuch alag sa hotha ha chaha jana ka ehsas rooh ko taza kar dathi ha magar yaha dono parekan apna jazba chupa raha tha kuch samaj ka dar tha kuch apno ka dar tha magar jab kismat ma milna likha ho toh Phir zamana kuch nhi kar saktha ha

عشق تھا ہوس نہیں جو

پانے کی چاہ کرتے ھم

ھم تو ایک جھلک  کے انتظار میں تھے

ہمیں کیا پتہ تھا وہ ہمارے ہی تھے

********************************

Us ka dill o demagh ma wahe bathain chal rahe Thi or wo soch soch kar pagal ho rahe thi ka Kya badal gaya tha unka darmeya magar wo bhol gaye thi nikah ma bari takat hothi ha ya 2 dilo ko eik kar dathi ha ya to humari ana hothi ha is baat ko mana nhi chah thi ha wo dono jaal raha tha apna andar dill jaal raha tha dono ka magar sukon to us zalim ka baho ma tha jo us ka ghar tha magar kabhi kabhi hum apna ghar chor datha ha wo be yahe kar rahe thi lekin kabhi kabhi hum majbor hotha ha dill ka hatho nhi ana ka hatho or Nikah jesa pak ristha ma ana ke jaga nhi hothi ha magar afsos wo bhol gaye thi

***********************************
Wo aj phir office jana sa phehla uni ka samna roka tha us ke eik jalak dakhna ka liya q ka kambakh dill ko sukon jo nhi mil tha ha us ko bina dakha

Is khani ma sub he apna apna dill ka hatho majbor tha lekin eik waqt he tha jo guzar raha tha apni he dun ma pata nhi kis ke kismat ma Kya tha magar sub na sabar he Karna tha

************************************

Wo kitchen ma breakfast bana rahe thi jab usko apna pecha kisi ka hona ka ehsaas hwa bina dikha be wo batha sakthi thi ka wo kon tha

Adam: tum yaha Kya kar rahe ho?

Maheen: kitchen ma log Kya kartha Ha?

Adam: haye Meri pyari begum kabhi toh kisi baat ka pyaar sa jawab Diya karo inthi zalim na bana karo

Maheen: ha humari toh jese love marriage hwe ha na jo ma yaha ap sa izhaar-e-mohabaat karon ge

Adam: lo love marriage zarori toh nhi ha mohabaat hona ka liya kintha log arrange marriage ma khush ha

Maheen: acha koi kam tha ap ko?

Adam: bari be-zoq ho baat badal he dathi ho tum zalim aurat

Maheen: jo be hon jese be hon ab yahe zalim aurat ap ka Nikah ma ha sabar Kara ap ab toh

Adam: haye kabhi humari ankho ma toh dakho tumha pata lag jaya ga mera sabar ka be or mohabaat ka be

Aj waqi uske ankho ma kuch ajeeb sa ehsas tha or Mahe chah kar be un gehri hari ankho ma nhi dakh pa rahe Thi aj us ka dill bewafai par uthar aya tha

Wasa be ya dill kehna ko humara hotha ha q ka ya humara sena ma daraktha ha magar asal ma is ka haqdar koi or hotha ha

Maheen: office nhi jana ha apko aj Kya?

Adam: nhi tabiyat nhi theek ha Meri or ap ke pyari se saas na muja ghar par rehna ka order Diya ha aj

Maheen: Abhi kal tak toh tabiyat bikul theek Thi tumhari aj Kya ho Gaya

Wo be maheen Thu ap sa tum tak ka safar eik ke min ma da Karthi Thi or wo be Adam tha wo be uska tum kehna par khush hotha kuch ajeeb sa ristha tha dono ka

Adam: haye Mahe ma kisi din mar Gaya hon ga or tumha pata be nhi laga ga kuch to qadar karo humari mana intha acha nhi hon magar intha bura be nhi  hon

Akhari baat us na Mahe ka bikul qareeb a ka boli thi or maheen ko laga tha wo saan nhi la paya ge wo Kya bol raha tha usko kuch ho saktha ha Kya

Maheen: Kya bakwas kar raha ha ap pee ka aya ha Kya subha subha?

Adam: Astaghfirullah larki Allah ko mano tumha ma asa lagtha hon

Maheen: muja toh ap asa or wasa har tarah ka lagtha ha

Adam: acha zara batao toh muja be wasa kese lagtha hon ma tumha

Wo mazaq ka mood ma lag raha tha aj

Maheen: dhor ho kar baat Karo tum mera sath or zayad free na hona mera sath

Adam: Hahahah lo ab apni biwi ka sath free nhi hon ga toh Kya salma ka sath hon ga

Maheen: salma kon Ha?

Adam: aray yaar ya sath Wala ghar ma nhi rehthi ha salma aunty

Or Mahe ka chehra gussa sa laal hwa tha yaha uske jaan par aye thi or wo mazaq kar raha tha

Maheen: Adam

Adam: jee jaan-e-adam

Maheen: eik min ma yaha sa dafa ho jao warna mera he hatho qatal ho ga tum

Adam: acha nastha to da do

Maheen: apni salma aunty ka yaha sa kar ka he a jaya Abhi nikala yaha sa

Adam: wasa kuch jal raha ha Mahe zara dakho toh sahe

Maheen: Kya jaal raha ha kuch be toh nhi jaal raha ha

Adam: pata nhi muja laga koi Meri salma sa jaal raha ha

Adammmmmmmmm

Ya bol ka wo ruka nhi tha lekin uske hassi ke awaz Abhi be Mahe ko suna da rahe thi

Wo aj apni halat par khud kheran thi Kya ho raha tha uska sath dill q beqabo ho raha tha q uska pass ana bura nhi lag raha tha

Dill q begar raha ha
Q
Us ka hona par tola ha
Q

Apni socho ko eik taraf kar ka wo us dushman-e-jaan ka liya breakfast bana lagi Thi

************************************

Wo apna room ma thi jab noori na usko Hammad or uska ghar walo ka ana ka bathaya

Hammad ka ghar Wala sub living room ma beta tha shahbaz khan be unka sath tha

Adam or azaan dono be wahe tha

Bhai hum aj yaha par ap sa kuch manga aya ha inkar mat kijiya ga ap

Aray ap haq sa manga

Hum Hammad ka liya alina ka haath manga aya ha

Kya?

Ha humara Hammad usko bohat khush raka ga

Behan is ma humay koi shaq nhi ha magar humay socha ka waqt da or khan baba be kisi kam sa bahir Gaya ha wo a jaya tab he hum koi jawab Dan ga

Jee jesa ap ko acha laga or wasa be eik he ghar ke baat ha

Ya Kya ho raha tha Kya wo usko milna Wala tha us na toh kabhi dua ma be nhi manga tha ka kahe gunnah na ho jaya kahe Allah naraz na ho jaya ka wo eik na-Mehram ko mang rahe ha magar yaha toh wo usko apna Mehram bana ke chah kar raha tha

Ufff ya chah be Kya cheez ha insan ko kahe ka nhi chorthi ha dill ko kisi be pal sukoon lana nhi dathi ha

Ise chah na insan ko insan nhi rehna Diya ha

***********************************

Raat ka 8 baj raha tha wo pani lana aye Thi jab usko kisi ka rona ke awaz aye bahir garden ma wo duniya sa bekharab apna rona ka shoq pura kar rahe thi

Usko gussa be aya us par  magar taras be aya tha

Maheen: wasa ya rona ka shoq tum apna room ma be pura kar sakthi thi

Palwasha: tum yaha Kya kar rahe ho

Us na uske kahe hwe baat no nazar-andaz kiya tha

Mahe na uske ankho ma dakha tha choti masoom se neli  (blue) gehri ankha rona ke waja sa laal ho gaye thi un ankho ma kon sa dukh nhi tha wo bus usko dakhthi reh gaye 

Q ka ya usko wo phehla wali Palwasha nhi lagi Thi ya toh dill laga beti thi or uska rona batha raha tha ka galat insan sa laga liya tha Us na dill

Maheen: jab tumha pata tha ka wo tumhara nhi ho saktha toh q chaha usko

Palwasha: tum log mujh sa ya sawal q kartha ho janthi hon ma wo mera nhi ha magar Mahe ya dill humari kab suntha ha ya toh bewafa ha jis ka senna ma daraktha ha ya toh uska be nhi ha ya apna haq-dar khud chon tha ya duniya ke parwa nhi kartha ha

Maheen: ha magar Allah na dill ka sath demagh be toh Diya ha

Palwasha: pyaar ma demagh kaha kam kartha ha ya jintha khoobsurat ehsas ha untha he insan ko dard datha ha ya eik nazar ma insan ko arsh par pochan datha ha toh dosari nazar insan ko zameen par be rehna ka kabil nhi chortha ha

Maheen: pata ha muja pyaar sa dar lagtha ha ya insan ko rona ka sewa kuch nhi datha ha

Palwasha: tum toh khush kismat ho

Kya wo khush kismat thi Kya Adam ka sath uska liya khush kismati thi Kya wo Adam ka bina n-mukamal thi

Kintha sawal tha magar jawab koi nhi tha kuch sawal bina jawab ka atha ha

Maheen: khair rona band karo chalo andar chaltha ha

Palwasha: ha chalo

Wo dono andar jana laga tha jab gate sa koi gari andar aye or Us sa uthar kar ana Wala insan na dono ko kuch paal ka liya shock zaror kiya tha

***********************************
Ramadan Mubarak to everyone remember me and my family and all muslim ummah in your prayer stay in home take care of yourself love you all

I know chapter short ha but plxzz forgive me for that and enjoy it show some love also

Make sure to comment ,share,press the 🌟and follow

Stay blessd

And

Keep calm

Love you all💖

As promised i update

Ignore spilling mistakes 🤗😍❤

Favourite scene ( )

Favourite line ( )

This chap is for you rabyah18 KashafWrites AreeshaKhan6 HibaTariq3 fathimalaiba Rumaysa_15 Mmuntaha1234 zaraulhayat LaibaNoor6 Aynoorchudhary MaryamHabiba Vamloveforever1245 AmmarahAslam3 Lovely_Poison271 rockroyal22 SaberaMaharaj AimeykhanaHaniyawritesAfrin_AnwarPakeezah_motimano_writesss75laibamarriSaniyakaziiGirl_in_AbayaZainiAdanhijabirapunzelAlynamalick
SarahFatima916l22908ArshadAlvi3sidrasheikh123
_Arfa_Arfa_tehreem0125SamiaAzeemhijabirapunzellaibamarrimaham_95

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top