Parivaar
In evening Sameer reached home with Rohan, seeing Nanu sitting in hall on sofa keeping his eyes closed. Both reached next to him in a moment..
Sameer worriedly : Nanu, kya hua.. aapki tabiyat toh theek hai... kahen toh doctor ko bula le....
Rohan gets worried too: bhai hospital hi chalte hai... agar jarurat hogi toh saare test bhi karwa lenge...
Nanu : arey baba mein theek hun bas tum donon ka hi intzaar kar raha tha... tumse kuchh baat karni hai... baitho mere paas...
Nanu move towards Sameer, "tu subah aise achaanak kahaan chala gaya tha ... factory bhi der se aaya tha, kisi ko kuchh pata nahin tha tere baare mein"
Sameer avoid the topic as it can hurt Nanu and Rohan both... but Nanu was adamant to know this... "Nanu bas aise hi, kuchh kaam tha... aap bhi kya baat lekar baith gaye, chhodo na... chalo khaana khaate hai, bahut bhookh lagi hai" saying this he gets up to go...
Rohan sensing something serious, hold his hand "Sameer ruk... kya baat hai... kuchh chhupa raha hai kya... Munna pandit bhi tujhe puchh rahe the, matlab tu unke saath bhi nahin tha... bata kahaan gaya tha akele aur kyun"
Nanu : mein batata hun... he looked towards Sameer, "mujhe Ramdhari ne sab bata diya ki subah kiska phone aaya tha, aur kahaan se, jo tu itna upset hokar ghar se nikal gaya... mujhe yeh bata ki kya kaha unhone jiski wajah se tu itna pareshan tha subah"
Rohan looked them surprisingly... "aisa kiska phone tha jisne isse itna upset kar diya.. kahin Naina se toh nahin ladai ho gayi teri kisi baat par... pakka tune hi kuchh kaha hoga... bol na batata kyun nahin hai"
Sameer headed down and said in a low voice "nahin Naina nahin, voh... Delhi se Dadi ka phone tha... voh thodi naraaj thi bas aur kuchh nahin"... Rohan understood what does he meant for Dadi's narazagi? He gets angry why she scolds Sameer for his faults, "tujhe daanta na unhone... voh hamesha aisa hi karti hai... agar mujhpe gusaa hai toh Sameer ko sunane ka kya matlab... mujh par toh unka bas chalta nahin aur yeh hai ki unki har baat sun leta hai"
Sameer tried to calm him : Rohan ab chhod na.. dekh voh badi hai aur ab sab theek hai... aur phir ab mera mood bhi theek hai... mein vaise bhi sab bhool gaya hun tu bhi bhool ja...
Rohan hugged him back and cried "Sameer please mujhe maaf kar de, meri wajah se tujhe yeh sab sunana pada"... Sameer also cried "bhai hoke maafi maang raha hai... tu koi paraaya hai kya... chal ab chup hoja varna daant khayega mujhse... he chuckled, "vaise bhi tujhse bada hun... samjha"
Nanu lovingly hug both of them, caressing their head "tum donon hamesha aise hi khush rehna, saath rehna... mera aashirwaad tumhare saath hai... aaj mujhe garv hai ki mere parivaar ki dor tumhare majbooh haathon mein hai... mere bachche rishton ko sirf samajhate hi nahin unhein nibhana bhi jaante hai... aaj mujhe koi chinta nahin, mera parivaar jo poora ho gaya hai"
While having dinner, Nanu noticed Sameer's glowing face and thinking, "Subah itna pareshaan tha, dukhi tha, par ab dekho kaise muskura raha hai, lagta hai isse sambhalne wali aa hi gayi... ab mera beta kabhi akela nahin hoga... chalo achchha hai kisi se toh dil khol kar baat karta hai yeh"
They all went out after dinner to enjoy ice-cream and had good family time together forgetting all harsh and bitter words...
Rohan asked casually : Vaise aaj tu gaayab kahaan tha ... factory bhi itna late aaya tha, munna pandit bhi puchh rahe the....
Nanu smiled : aur kahaan .. vahin gaya hoga apne sukoon ke paas... ek voh hi hai jo isse sambhal sakti hai... kyun sahi kah raha hun na... tere chehre ki chamak bata rahi hai ki yeh kamaal meri beti ka hi hai...
Sameer mumbled shyly "aur uske aloo ke paranthe ka" ... they all laughed whole heartedly...
In night, sleep was far away from two souls...
Sameer POV
Kitna sab badal gaya iss ek saal mein... mein vaapas Ahmadabad aa gaya, Nanu ke paas, apne dosto ke paas, apne pyaar ke paas.. aaj Rohan bhi mere saath hai... Naina se dosti bhi ho gayi.. na jaane kaise voh bina kahe mere dil ki har baat jaan leti hai.. kaise aaj usse ehsaas hua ki mein pareshaan hun... mein dukhi tha aur na jaane har voh baat jo shayad mein khud se bhi nahin kah paaya maine usse kah di, voh bhi itni aasani se.... jaise vishwas tha ki voh mujhe samjhegi.. mere dard ko samjhegi... aur voh samjah bhi gayi.. meri saari uljhan jaise chutki bajaate hi dur kar di... sach jaadu hai usmein... hamesha sabki khushiyon ka dhyan rakhti hai... usse dekhte hi, usse baat karke ek sukoon sa milta hai dil ko.....
par kya mein usse yeh ehsaas, yeh vishwas, yeh sukoon de paya .. shayad abhi tak nahin... aaj bhi voh apne dil ki baat kisiko bhi batane se darti hai, ghabrati hai... nahin jaan paya ki kya hai jo voh saari duniya se chhupa rahi hai... kyun voh mujhe apne dil ki baat nahin batati... bahut man hota hai usse puchhu par lagta hai abhi bhi shaayad voh isake liye taiyar nahin hai... naa hi mein usse apne dil ka haal kah pa raha hun... pata nahin kab usse bata paunga ki voh kya maayne rakhti hai mere liye... meri zindagi usake bina kitni adhuri hai.. ab aur nahin hota intzaar.....
Naina POV
Aaj Sameer ki baatein sunkar laga ki voh andar se kitna dukhi hai, kitna akela hai.. hamesha usse hansate muskurate dekha hai par uski aankhon mein kai baar vahi dard dekha hai jo mere dil mein hai, par kabhi himmat hi nahin hui puchhne ki... aaj kaise ek vishwas ke saath usane apne dil ki har baat mujhe bata di jaise mein uske dil ke bahut kareeb hun, us ke liye bahut maayne rakhti hun... pata nahin kaise aaj mujhe yeh ehsaas hua ki voh udaas hai, pareshaan hai, usse meri jarurat hai... par kya yeh sirf dosti hai... kya Sameer bhi mujhse... nahin yeh nahin ho sakta.. mein aisa hone hi nahin dungi... mein itni swarthi nahin ho sakti ki apni khushiyon ke liye usko zindagi bhar ka dard de dun.. voh pareshaan tha aur maine uska dard baanta, bas itna hi .. isake aage mujhe khud ko rokna hoga... nahin ja sakti mein usake kareeb... mein pyar karti hun usse yeh baat usse kabhi pata nahin lagne de sakti.. nahin dekh sakti ki voh apni puri zindagi ek bojh ke saath jiye.. kal usse ehsaas ho ki usane kya galti kar di hai isse pehle mujhe usse aur khud ko rokna hoga... yeh najdeekiyaan galat hai.. yeh usse dukh ke siwa kuchh nahin dengi...... hum sirf dost ho sakte hai aur kuchh nahin.....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top