"Nahi hum ko shikayat ab kisi sy..."

LAST PART
COMPELETED✅✅✅

ایک معصوم سی.....
فرشتہ صفت لڑکی
جب وہ کہتی تھی.....
بھول جائیں گے مجھے
میں بھی مسکرا کر
فاتحانہ انداز میں کہتا.....
تم مجھے یاد ہی کب ہو.....
روتی سسکتی
پھر سے امیدیں باندھتی.....
یہی لفظ دہراتی..

نا جانے کیوں کتنے دنوں سے....
کوشش کر رہا ہوں
اُسے بھولنے کی
مگر نا کام ہوں اب تک..........

*************
Jis raat Ebaad ny Meena per ghar k darwazey band kiye they..... Wo kitni hee deer mari mari ankhon sy allishaan عالیشانgate ko dekhti rehi...... Jis ki dehleezدہلیز ko usney Ebaad k hum qadam ho ker par kia tha aj wo us sy bahir khari thi...... Ku khari thi abhi uski samjh sy bala tur بالاترtha...... Ussey apney aas paas mout موتk saayeساۓ mandalatey منڈلاتےdekhai dey rehy thy dharakan دھڑکنruk gai thi saans halak حلقmein atak rehi thi........ Uski zindagi under thi tou wo khud ku bahir thi...... Wo zinda ku thi..... Ye tamam sawalaat usky gird gheera tang kerny lagey the.......

Usky dil mein na qabil bardasht ناقابل برداشتtees ٹیسuthi..... Or khushkخشک ankhon k kinarey geely hone lagey.......

Nahi mein kesy reh sakti hun bhala apky begair.....ap aisa kesy ker saktey hyn mery sath...... Ap ny wada kia tha humesha mery sath rehy gein.........

Uskey be jaan jism mein thori himmat paida hui wo khud ko puri jaan laga ker smaiteyسمیٹتے huey khari hui..... Or gate ki taraf barhi....... Bahir do watchmen kharey they wo us ky barey mein kia soch rehy they kia nahi usey kisi ki parwah nahi thi........

Wo گھسیٹی گھسیٹیgate tak ayi..... Or dastuk deny k liye hath uthaya......

"Kuch bhhii ker sakti ho na mery liye to aj k bad mujhe apni ye manhoos shakal mat dekhana...... "

Uskey kanon mein ebaad ki awaaz khanjerخنجر ki manid chubhi...... Or uska hawa mein mualaq معلق hath neechy ghir gaya....

"mery liye apki kehi baat sy zaida koi cheez ehmiyat nahi rekhti...... Mein khud sy waada kerti hun kabhi apko apni shakal nahi dekhaun gee...... "

Usny palatny sy pehly barberaty huey khud sy kaha...... Or wahan sy chali gai......

waqt us ke ehadعہد ka gawah bana tha......

نبھا لیں گے ہم تنہائیوں سے
تجھے رونقیں زندگی کی مبارک
**************

~ Haal~

Book Ceremony K Ik Haftey Baad........

Ebaad Sikander shahb sy raat ko hone wali meeting k hawaley sy kuch eham discussion kerty huey parking area ki taraf barh reha tha..... baat khatum ker k usney call kati or ghari(car) mein a ker beth gaya...... Thori deer bad uski ghari main road per a chuki thi or hasb e mamool wo driving k sath sath idhar udhar khojhti hui nazeron sy bhi dekh reha tha..... isharey per kharey youn hi Dekhty dekhty uski nazer agli sarak per gai or palatna bhool gai...... Usny phurti sy garhi ka darwaza khola or taizi sy bhagna shuroo ker diya..........

*************
Meena ko apny samney andherey hi andherey nazer aney lagey they..... Wo apne qismat ke ujaley peechy chor ayi thi.... Uska dil kerta wo apna sir pathak pathak k khud ko khutum ker ly...... Aisy konsy gunah they jo usky peechy hath dhoo ker parh gaye they.......

Ebaad uski taraf na bhara hota..... wesy hi uski zaat sy be gana rehta to shyd wo dil ko samjha leti sambhal leti...... Mager Ebaad ny ussey kaha tha wo kabhi saath nahi chorey ga...... Humesha usky pass rehy ga....... inhi bhelawon بہلاوؤں mein uski jaan atki hui thi.....

Ebaad k ghar sy jaatey huey uska dil ker reha tha k wo khud ko khutum ker ly, waqt k hawaley ker dy....uska yahan tha hee koun ........

Bht mushkilon sy wo nimmi k ghar pohnchaney mein kamyab hui..... or darwaza khulney per sirf haath jor diye....... Uski khamoshi bhi nimmi ko bht kuch samjha gai thi..... Usney bhi koi sawal kiye bagair khuley dil sy usko apny ghar mein jagga dee........ Char din meena behosh bukhar mein tapti rehi......khuda ko uski zindagi manzoor thi so wo bach gai..... Hania ko ba hiffazat usky ghar pohancha ker jab wo ghar ayi tou ussey maloom hua k ghar bik chuka hai...... Or do ya teen dino mein shifting start ho jai gee...... Is k illawa nimmi k hath usky liye karum deen ki taraf sy ik khat خطbhi aya tha jis mein usey dheron dher duaein dee gai thi or bataya gaya tha k ab jab k karum deen meena k hawaly sy mutamaeenمطمئن hy or ussey itmenan hy k meena apny shohar k sath khush hy tou wo ye ghar bech ker sara paisa meena k account mein jamma kerwa reha hy.... Jis ki tafseelaat khat mein likhi gai thi.........

Khagaz ka tukra usky hath mein laraz k reh gaya tha......

ussey wo din yaad aya jab wo apny baap ko mili thi kitni khush thi wo us din........ Kitna yaqeen dilaya tha usney baap ko k wo kis qader khush hy........

Jhoot bol rehi hoti tou shayad wo yaqeen na kerta mager un dino uska por por khushi me dooba hua lagta tha........

usny khamoshi sy safhy صفحےko tehطے kia or under chal di jahan nimmi saman bandaney باندھنےmein masroof thi kyun ab wo bhu yahan nahi reh sakti..... Or apney gaoun wapis ja rehi thi.... Usny meena sy bhi beteehra kaha k ajaye magar uski naa haan mein na badli...... or ik raat wo chupkey wahan sy nikal ayi......
کبھی عرش پر
کبھی فرش پر
کبھی ان کے در
کبھی دربدر
غم عاشقی تیرا شکریہ
میں کہاں کہاں سے گزر گیا

****************
Ebaad ko aisa laga jesy sarak k us paar meena khari ho...... Usny isy apna weham samjhaney mein time zaiya nahi kia or andha dhundاندھا دھند bhagney laga...... Wo ye Billy bhool chuka tha k wo isharey(signal) per khara hy or abhi kuch deer mei ruki hui gariyan chal parey gien........ Wo bhagta bhagta sarak cross kerny he laga tha jab aas pass sy horns ki awazein aney lagi thien mager usey kahan hosh tha...... Wo mast haal chalta jaa reha tha jab samney sy bht tezi sy ik gari ayi...... Wo dhaka kha ker green belt per ghira or uska sir phat gaya..... Wo sir pakerta hua khara hua or kia dekha keh samney hajoomہجوم sa barpaبرپا ho chuka tha wo chakeratey huey sir k sath chalta hua jaga banata bheerبھیڑ mein ghusaa tou dekha ik larki behosh ghiri peri hy uski chader ny usky chehrey ko dhanp rekha tha or Uski right tang sy kafi khoon nikal reha tha..... Is k illwa bazooun py bhi kafi gehri kharasheinخراشیں ayi thien bazooun sy hoti hui Ebaad ki nazeren usky hathon per gaein tou wo kharey kharey hee fanaa ho gaya.... Wo bheer ko taqreebun cheerty چیرتےhuey agey barha or us ki chader hata dee.......

***************
Nimmi ka ghar meena k liye is barey sy sheher mein wahid tikhana tha ussey bhi wo chor ayi thi...... گاؤں wo ja nahi sakti thi...... Wo usi sheher mein saans lena chahti thi jidher Ebaad rehta tha ........ Dusara wo nahi chahti thi ky apny burhey baap ko ik baar phir ghum sy dochaar دوچار ker dy ager wo uski taraf sy mutmaeen مطمئن ho hi gaya hy...... Wo bus ghar sy nikal ayi thi usey maloom nahi tha k usney kahan jana hy........ Wo itna chali itna chali k assaman per halki halki roshni phelney lagi thi..... Or fiza mein fajer ki azaan rehmatien bhikher rehi thi..... Usey samney ik mezar مزار nazer aya wo under gai or ik satoon ستونsy taik ٹیک laga ker beth gai or ankhen band ker k azaan sunney lagi thi..uska dard sukoon mein badalney laga tha....... Usey laga k jesy wo ik mehfooz panah mein a gai ho....... Usky zakhmi dil mein ik dum ye ehsas utra k wo akeli nahi hy koi hy jo sab sy barh ker uska apna hy jo hur haal mein saath deta hy......

meena ko wo mil gaya tha jissey hum insaan bhool jatey hyn mager wo humein nahi bhoolta kabhi nahi......haan Meena ko Allah mil gaya tha......ab wo mehfooz thi........

Usney wahin sy wazu kia or namaz ada ki...... Or Allah ny usko rehny k liye thikana farahum فراہمker diya tha.......uski zindagi ka to koi maqsad bacha nahi tha soo usney dusaron ki madud kerna shuroo ker di thi ........wo in char saalon mein khuda k bht nazdeek a chuki thi....... Mager wo Ebaad ko nahi bhool payi thi....... Silsila wohi tha uska naam ly ker soti thi jaag ker bhi usi ka naam leti thi...... Khana mil jata to kha leti mager hur namaz mein usky liye dua kerna na bhoolti thi........ Wo apni zaat mein bhi Ebaad hi ban chuki thi......

وہ جو تقدیر میں لکھے نہیں ھوتے
انہی کی آرزو کو عشق کہتے ہیں

****************
Usny ik he lamhey mein ik lakh duaein mangi thi k wo jo soch reha hy wesa na ho...... Mager hur baar aisa thori ho ga k jesa wo chahey ga..... Usney chader hatai tou usky sarey weham, shak, waswasy yaqeen mein badal gaye....... wo meena hee thi dunia o mafia sy be khaber khoon mein lat pat meena...... Usney ik pal bhi zaya kiye bagair usey kisi maata ki tarah apny bazouoon mein samiata..... Isi douraan ambulance bhi a chuki thi wo forun us mei betha meena ka sir uski goud mein tha.....

Moveeee!!!!!! usny cheekh ker kaha ambulance chal peri........ Wo dewaano ki tarah meena ki nabaz tetol ٹٹولreha tha...... Jo madham hoti ja rehi thi.....

Kitni duaein mangi thi usney in guzarey salon mein meena ki salamti k liye lekin ye kia ho gaya tha...... Wo buri tarah sy roo para tha......

ابھی تو ہجر کے تاوان میں
رہن رکھنا ہے آنکھوں کو
ابھی فرقت کی آتش میں سلگتی ریت کی
اک لمبی مسافت ھے
ابھی اس خار وادی میں لہو ہونا ہے
خوابوں کو
ابھی تم ہاتھ مت چھوڑو

**************
Meena kisi kam sy bahir ayi hui thi jab usney Ebaad ko dekha wo nahi janti thi k Ebaad ny usey dekh liya hy or usi ki taraf areha hy itny arsy baad apny mehboob ko dekh ker wo baraf ho gayi thi..... Lekin wo zaida deer wahan khari nahi reh saki thi
Kyun ke ab wo khud ko itna mazboot nahi samjhti thi k itney arsey bad honey waley amney samney mei wo Ebaad ki ankhon mein apney liye nafrat bardasht ker sakti..... Or jb teh hi tha k wo haath ki lakeer mein shamil hee nahi to kia zarurat hy yahan rukney ki........ Mager wo palatney hi wali thi k samney sy atti tez raftaar ghari ko dekh ker bhaghti hui Ebbad k peechy ayi or apni pori takut laga ker usey dhaka dia or khud qurbaan ho gayi........

ریزہ ریزہ ہونا بنتا ھے میرا
اترا ہے میرے دل پر تیرا عشق مکمل
***************
Ebaad ka ik naam tha usi k reference sy meena ki treatment bht jldi start ker di gai...... Mager doctors na umeed thay or unho ny Ebaad sy keh diya tha k blood deficiency ki weja sy aney waly 10 ghantey bht khaternaak hyn....... kuch hee deer mein ye sab breaking news ban chuka tha tarah tarah ki batein ho rehi thi mager ebaad ko kisi cheez sy farq nahi perh reha tha wo bus sheeshey sy sir tikaye bheeghi anhkon sy petiyon mein lipti us larki ko dekh reha tha...... Jo us per qurbaan ho gai thi....... Ebaad ka rawan rawan uski zindagi k liye dawa go tha........ Kuch deer baad tarah tarah k log us sy milney k liye aney lgey thy..... Wo sab sirf meena ko jantey they mager news sun ker aney waley abhi abhi is baat sy waqif huey they k wo ik mashoor Industrialist ki biwi bhi hy....... Mager koi bhi uski shaksiyat sy maroob nahi hua tha...... Ye sab wo log they jin key liye meena ny na din dekha na raat or hur tarah sy unki bharpoor madud ki thi....... Or phir ye silsila paanch din tak jarri reha....... گاؤں sy bhi jo jo a sakta tha wo aya tha...... Uska kamra under bahir phoolon sy bhar chuka tha......

Ebaad bht heraan tha..... Wo usi k sheher mein thi tou usey nazer ku na ayi...... Wo yehi samjhta reha tha k wo apny گاؤں wapis chali gai ho gi......

Kitny log they jo us ki biwi k liye dua go they...... Aliya or waqas bhi aye they..... Or meero bhi ayi thi us larki k ansoo rukney mein nahi arehy they........ Ebaad ko karum deen k na aney per bht afsos bhi tha or gusaa bhi.....

Aisi bhi kia narazgi k beti mout k moo py pari hy........ Mager baap ka naam o nishaan nahi.......

Meena ki saansein to humwaar ho chuki thi mager usey hosh nahi a reha tha........ Din ya raat mein kisi bhi waqt uski tabiyat aachanak hi bigar jati thi.... Ebaad or meero k illawa koi bhi usky kamrey mein nahi ja sakta tha...... Meero ka bus chalta to wo Ebaad ko bhi na janey deti.......

Ebaad ny meena ke ilaaj per pani ki tarah paisa bahaya tha..........

*****************
doctors ny kaha tha k wo sun sakti hey or mehsus bhi ker sakti hy mager wo zeheni tor per zindagi ki taraf wapis nahi ana chahti........ Jis ki weja sy wo qoma mein bhi ja sakti hy....... Or aisi situation mein operation kerna bht barey risk ki baat ho gi........ Ebaad aihista aihista chalta hua meena k pass ayaa or beth gaya....... uski nazeren meena k be dag chehra per ruk gayi thein.........

Usey yaad ayaa kesy uski ankhen rang badla kerti thi.......

Jab wo usey dekhta tha to Hur waqt usko takney wali ankhein us waqt jhuk jaya kerti thi.....

Khushi mein bhi wo uska bazoo paker leti thi or daar k bhi...... Us ky peechy chup jati thi...... Wo kesy buri tarah sy uska bazoo jhatak diya kerta tha.....

Wo begair kehy usky dil ki baat jaan jaya kerti thi .. ....... Usey chehrey k utar charhav sy usky under ka haal samjh leti thi...... Or wo heeran ho ker ussey dekha kerta tha or wo husrat sy ussey dekha kerti thi K shyd wo kuch boley........

Mushrooms or olives ko hur khaney mein adjust ker leti thi........

Meena!!!

Usny narmi sy uska bad numa jhulsa hua hath tham liya.....

Meena ankhen kholo na.....plz mujhe wo rang dekhny hyn...... Mujhe tumharey saath hasna hy rona hy
Tum mujhe maaf ker do gi na......
Tum bhaley mujhe maaf na kerna..... Mager merey saath rehna...... Plzz meena wapis lout ao..... Zindagi tumharey liye udaas hy......

Tum jldi sy theek ho jao na...... Phir hum ik nai zindagi shuroo keren gy.....
...................... Wo najaney kitni deer us sey batein kerta reha phir uski ankh lag gai......

***************"
گونجے گی تیرے ذھن کے گنبد میں،دن رات
جس کو تو بھلا نہ سکے وہ گفتگو ہوں میں

Raat k akheri pher Meena ka buri tarah sy saans ukherny laga tha.......
Usky hilny sy pass bethy ebaad ki ankh khuli or ik dum chokus hua...... E.C.G per chalti thehri mehriٹیھرھی میڑھی lakeeren seedhi hone lagi this........

"Nooooooo"
"Meena tum aisa nahi nahi ker sakti..... "

"Doctorrrr"

"Meena tum mujhe aisey chor ker nahi ja sakti........ Mein tumharey begair mar jaoun ga......... "

"Tum na mujhe kal zaruri thi na hee aj ho......"usky kanon mein uski apni awaaz goongi.....

"Doctorrrrrr."...... Ebaad ki himmat nahi thi k wo usko chor k bahir chala jata.......

"Meena plzzz mujhe ik moka to do........ Mujhe aisey tarapta hua chor ker tum nahi ja sakti........ "

"biwi hun mein apki....... Kahan jaon gee is waqt......... plz reham kerein........ Ap bht bari galat fehmi ka sikhar ho rehy hyn......Mujhe ik moka dein khuda k liye...... " usko phir ik awaaz sunai dii.........

Doctors a chukey they........wo apni taraf sy poori koshish ker rehy they..... Operation ka koi faida nahi tha ab mamla Allah k hath mein tha....... Wo ik tarah sy Ebaad ko jawab dy chukey they..........

Ebaad ko aj pata chala tha k apni mout sy itna darr nahi lagta jitna kisi apny ko hathon sy jata dekh ker khauf ataa hy...... Wo bilkul seham gaya tha.......

"Nahi nahi nahi..... Meena tum kesy ja sakti ho........ Tumhein zinda rehna hy merey liye......... "
"Mohabbat kerny waley aisa thori kerty hyn"

"Mohabbat kia hoti hy tumhein pata bhi hy...... "

Ufff khudaya........ Uska zameer uski ajj jaan ly ga.......

Mein jhoot nahi bol reha meena....... Khuda k liye aisa mat kero mujh sy naraz ho ker janey wala zulm mat kero........ Wo uncha lamba mard zar o zar roo reha tha......

Mein jhoot nai bol rehi ap sab mere yaqeen keren..... Khuda RA... Mujh per ye zulm na keren..... "

subha tak phir sab jamaa ho chukey they hania or warda bhi ayi hui thein....... Sab ky lab dua go they or ankhein ashkbaar اشکبار........ Chaar soo aisi weraani thi jesy koi mar gaya ho

Doctors ebaad k force kerny per ik akhiri koshish ker rehy they........ Meena electric shocks ki zad mein thi.......

"Meena tumhein meri qasam mat jao...... "
Ebaad ny ankhein band ker lein.....

Or usi waqt kharey under doctors haqa buqqaہکا بکا reh gaye they....... Meena ny mundi mundi ankhein kholein thein or poora sir hila ker dusari taraf ly gai thi.......

Doctors ny ik bar phir uska mukammal muainaمعا ئنہ shuroo ker diya tha or dhai ghantey mei mukammal tor per tesali ker leiny k baad unhon ny ebaad ko zindagi sy bhurpoor khaber sunai........... Wo ghutnon k bal sajdy mein ghira tha....... Sab ka rona hansi mein tabdeel ho chuka tha or bari bari sab usey milney gaye they........ Meena ki ankhein darwazey per tikki thi albuta wo sab aney walon ko muskura ker dekhti thi.......

مجھے چھوڑ دے میر ے حال پر
تیرا کیا بھروسہ اے چارہ گر
تیری مختصر سی نوازشیں
میرا درد اور بڑھا نہ دیں

**************
راہ تکتے تکتے جب تھک گئ آنکھیں
پھر تجھے ڈھونڈنے میری آنکھ سے آنسو نکلے

Aney walo ko jana perta hy is liye ik ik ker sab chaley gaye they meero jab tak rehi ik phirki bani meena ka khiyaal rekhti rehi mager uska bhi apna ghar baar or bachy thy is liye wO bhi apny ghar ko murh gai...... Aliya or waqas bhi aye they usko khuda hafiz kehny..... Meena ny Aliya ko khuley dil sy maaf ker diya tha..... Waqas ny meena k sir per haath rekha...... Or illan اعلانkia k aj sy uska ghar meena ka maika میکہ hy....... hania or warda abhi tak us ky pass thein....... Or gee jaan sy apni bhabhi ki khidmat ker rehi thein...... Meena ko hosh aney k bad sy Ebaad ik dafa bhi us sey milney nahi gaya tha na hee meena ny kisi sy usky barey mein pucha tha....... Ebaad us waqt atta jb wo dawai k zeir asar so rehi hoti....... Wo apni zaat k liye uski ankhon mein begangi dekhny sy darta tha.......wo darta tha kahin uski rang badalti ankhon mein sirf shikway ka rang na theher gaya ho Or meena usko pukaarney sy darti thi

ager ab bhi na aya tooo

Lekin kab tak...... Ik din jb hania or warda aram ki garz sy ghar gai hui thi wo bina ahat k usky kamrey mein dakhil hua...... Or ahistagi sy usky pass a ker beth gaya......

Wo ankhen moonden laiti hui thi....

"Meena......!!!! "

Khamoshi chai rehi....

"Meenaa..... "

"Please kuch bolo "

Hanoz khamoshi chahi rehi.....

"Meena Ebaad kamal.... "

"Kia tum mujhe sun rehi ho..... "

"Gee sun rehi hun...... "

Ebaad thora sa muskuraya

"Jo moka nahi detay kia unhey moka mil sakta hy....... "

"pata nahi..... "Usny halki see awaaz mein kaha

Ebaad ny uskey dono hath paker liye.....

"Mein maafi ka talabgaar nahi hun meena...... Kyun k tumhara dil dukha ker mujh per saza wajib ho chuki hy...... Meiny ye janeny mein sath saal laga diye k tum Rab ki marzi k tehat meri zindagi mei shamil ki gai thi...... Mager mein bhi ik aam sa insaan nikla jo rab ki raza mein Razi ni ho saka...... Ye jantey huey bhi k tum mujh sy ishq kerti ho..... Mery sath mukhalis ho mein pe dar pe tumharey imtehaan leta reha...... Tumhari hifazat mujh per farz ki gai mager meiny tumhein raat k andherey mein ghar sy nikal diya........mein shyd itna ba ikhteyaar ho gaya tha k khuda ko bhi bhula betha tha......"

Meena ny ansoo zabt kerny k liye apna hont buri tarh sy kuchla........

"Mujhe maaf na kero mager plz mery saath reho....... Mujh sy baat kero.... In ankhon ko ab khol do........ "

Meena ny ankhon ko or sakhti sy band ker liya......

Ebaad phir sy muskaya....

"Mein bht bura hoon na? "

"Han bht zaida...... "

"Sakht naraz ho......? "

"Han hoon" (kia mein apsy naraz ho sakti hun

"Kabhi maafi nahi miley gy? "

"Nahi kabhi nahi "(kia aisa ho sakta hy meena ny apny dil ko tatola..... Nahi kabhi nahi)

"Mujhe yaad kerti ho"

"Nahii"(yaad tou khud ko kerna parta hy)

Theek hy mein ja reha ho

Nahi usny jhat sy ankhein kholien.....

Wo samney betha muskura reha tha......

عجیب شخص ہے مجھ سے گریز پا بھی ہے
نظر نہ آوں تو مجھے ڈھونڈتا بھی ہے

Aj kitny arsy bad usny uska chehra dekha tha.......or ebaad ny kitny arsy baad wo ankhein dekhi thein jinhon ny chaar saal tak usey tarpaya tha...... Jin ankhon uski ankhon ki neend chura lee thi Wo ik lamhey ki zad mein aye or ik dusary ko dekhty rehy........

Uss ik pal mein hur cheez dhul ker nikher gai sab shikwey giley hawa huey........ or sari mehroomiyan khatum ho gaien..........

Ebaad ny agey barh ker usko apny saath laga liya......

Affan jo roz chupke sy usey dekhny atta tha under ka manzer dekh ker khamoshi sy wahan sy chala gaya.......

****************

Meena ko hosh zarur aya tha mager accident ki weja sy uski rerh ki hadi mutasir hui thi is liye usey roz therapy kerwani perti thi jis mein ebaad uski madad kerta....... Usny apney or meena k liye wohi ghar khareed liya tha jo karum deen ny bech diya tha........wo us manhoos ghar mein wapis nahi jana chahta........ Jis ny meena ko humesha dukh hi dukh diye they.....
.

wo usey roz wheel chair per betha ker walk per ly jata........ Ussey umeed thi k ik din meena zarur chalna shuroo ker dy gi is liye wo puri dil jammi sy uska khiyaal rekhta....... Dono dher sari batein kerty ebaad usky liye cooking bhi kerta..........usky baal bhi saanwarta......kai kai lamhey uski ankhon mein khoya rehta......
Unho ny apni ik khubsurat si dunia basa lee thi.... Jahan na ko jhoot ka saaya tha na galat fehmi ki hawa wahan sirf ik mousam tha khushi ka mousam.....

Meero aksar meena sy milni ajaya kerti thi........ Hania or warda bhi apny bachon k sath a ker khoob ronak laga k jati thien........

Ebaad bht shuker guzaar tha k Allah ny uski duaein rad nahi ki mager wo ye nahi jaanta tha k jis larki ny saat saal khud ko bhula ker Allah sy sirf uski salamti ki duaein mangi thi......Allah ny un duaoon k badley mein uski ik dua qabool ki thi.....

***************
Or aj meena or ebaad morning walk per nikley they...... Dono hee ik sath chaltey huey sab ki tawaja ka markaz ban rehy thy...... Ebaad ny bht ihteyaat sy meena ko thaam rekha tha...... Ye ebaad ka pasandeeda park tha...... Wo thori deer chehal qadmi ker ik pursakoon khithey خطےmein a ker baith gaye........ Ebaad ny dono ki ik selfie lee or Facebook per daal dee....... Or neechy caption dala

#what will I do without you.......

ye caption darasal us kitab ka title tha jo usny meena per likhi thi........

Ebaad ko Meena Mil gayi thi or Meena ko Allah......... Dono apny apny hissey ki takleef utha chukey they...... Ab zindagi jeeni thi........

JO JHEEL GAYE HANS K KARRI DHOOP K TEVAR
TARON KI چھاؤں MEIN WO LOG JALEY HEIN

***************

So this is the last part of the story....
#Jo Jheel Gaye Hans Ke Karri Dhoop K Tevar#

Do vote and comment also
Waiting for your feedback

Sorry for late update

Happy reading

Thankyou for reading...... ❤❤❤❤

Soon come with new lenghthy novel

Follow me on Instagram
@_dia.bookshelf_

Bye bye
Allah hafiz
Stay blessed........

Ghazal
HudaibyaHaris
goeunbyul25
Shezzy_sh_19
shabiraimen123
mariaanwaar
Kinza

Thankyou all for ur support

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top