MAA

Socha tujh par kuch likhon

MAGAR jab qalam hath m pakara

Lafz sub khatam ho gaya

Phir dera sa kuch lafz aya mera pass

Mera pehlo ma beth gaya

Bola mujh sa ka mehroban likh lo

Samandar likh do

Maa likh do bus

Ma na pocha ya sara lafz chup q gaya ha mujh sa

Bola mujh sa ya 2 lafz ka maa ka liya ya sara lafz bemol ha

Maa ko anmol likh do

Maa ko sardi ma garam hawa / sham likh do

Maa ko chawo likh do

Maa ko Allah ke rehmat likh do

Maa ko jannat likh do

Balka nai jannat be to maa ka qadmo tala ha

Maa ko jannat sa be afzal likh do

Phir dera sa mera pass maa lafz aya

Bola mujh sa ka shanzay

Muja apna bacho ka liya qurban likh do

Muja apna bacho ka liya pasban likh do

Muja duniya ka liya mesal  likh do

Muja Kainat ke sub sa pyari shaa likh do

Muja bus maa likh do

Apna Armaan marna wala likh do

Apna dard chupa kar hasna wali likh do

Ha muja asa likho ka koi meri taraf dakha to us ko sukon mila

Muja aj duniya ka samna sur horor likh do

Muja ishq likh do

Muja phehli nazar ka pyaar likh do

Ma lafzo ko dakhna lagi jo phehla chup raha tha

Ab khud a kar qahaz par apna Jalwa dikhnana laga

Kahe dhoor sa awaz aye ka maa ko

Noor likh do

Maa ko

Rosheni likh do

Maa ko

Diya likh do

Maa ko

Maaf karna wala likh do

MAGAR phir ma na maa ko maa likh diya

Duniya ka sub sa pyara lafz likh diya

Aj ma na maa likha

Har soo khushi bekar gaye

Har soo sukon sa paly gaya

Aj  ma na apna qalam ke qadar bara de

Aj mera qalam na hass ka dakha muja

Or pyaar sa izaat sa duniya ka anmol sa lafz likh diya

Aj mera qalam na ehsas likh diya

Aj mera qalam na samandar sa gehra lafz likh diya

Aj mera qalam na maa likh diya ha❤❤❤❤❤

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top