Chapter 3
"Aare Beta Maham, yeh biscuit tu lu! Yeh lu khaou." Fariha Aunty Maham ko biscuit dete howe kehti hai.
"Aunty mera pait bhar gaya buhut. Ab aur nahi khaya jaye ga." Maham chai ki sip lete howe kehti hai.
"Ali tumne Maham ko raste mai kuch khilaya kyu nahi! Itna dur ka safar meri beti ne suke mu hi par kiya!" Fariha Aunty gusse se kehti hai. Tu Ali jawab mai muskura kr Maham ki taraf dekh kr Kehta hai.
"Ab mai kya batao aap ko. Khatir tu karna mai buhut chata tha pr madam pure raste soti hi rahi awaaz ke sath. Aur mai inki gehri neend ko kharab nahi karna chata tha."
Yeh sun kr Maham Sharam se laal ho jati hai aur neche dekhne lagti hai. Aur phir Fariha Aunty ko apni safai mai kuch kehti hai " woh-mai- yeh -woh" sharam ke mare usku kuch sujh bhi nahi raha tha. Ki tabhi Fariha Aunty uski sharam ko samajh jati hai aur Ali ko gussa ti hai. "Ali! Gandi baat! Ab tum isko pareshaan na karo!" Aur Ali kehta hai "ji ju hukum aapka!"
Yeh baat chal hi rahi hoti hai ki tabhi Kamre mai ek aur shaks dakhil hota hai.
"Assalam-u-Alaikum Ammi aur yeh koun?" Woh shaks kehta hai Maham ko dekh kr.
"Walaikum Assalam! Aare tum agae! Maham, isse milo yeh hai mera chota beta Ayaan, aur Ayaan yeh hai Maham. Maine jiska zikr tumse kiya tha." Yeh sun kar Ayaan khub dilchaspi se Maham ko dekh ta hai aur kehta hai. "Welcome to our House Maha! Mai aapko bata du ki bhale hi mai is ghar mai sabse chota hu pr dimaag mai, mai sab se hushiyaar aur khaas kr ke aapne bare bhai se zyada!" Ayaan Maham ko khushi aur Juosh se bata ta hai.
Yeh sun kr Ali ke gussa ata hai aur woh uske pas Jakr khara hojata hai aur phir usku dekh kr tanz kasta hai "ji Hoshiyaar aur yeh! Subha deer se uthna inka kaam, school mai km grades lana inka kaam. Kam chor yeh buhut aur-" isse pehle ki Ali aur kuch kehta dono bhai larna shuru karde te hai aur yeh dekh kr Maham hasne lagti hai. Maham ki hasne ki wajah se dono aapni jungli duniya se bhar aate hai aur sharam se ek dusre ke khub dur alag sofu mai ja baith te hai.
Yeh dekh kr fariha Aunty bhi buhut hasti hai aur phir Ayaan se kehti hai "beta jao aur Maham ko iska room dekha do!"
Ali yeh sun kr bhar chala jata hai na Jane kyu aur Ayaan Maham ko upar wale floor pr le jata hai. Zene charte waqt Maham ku yaad aata hai ki woh apna bags neche hi bhul gai. Maham Ayaan se rukne ko kehti hai aur bags ke bare mai batati hai.
Ayaan kehta hai, "Aare Maha! Aap uski fikr na kare. Woh pehle hi aapke room mai pohcha diye gaye hai." Maham yeh sunkr usko muskura kr aapni thankyou ka izhaar karti hai. Aur phir sochti hai yeh kitna accha insaan hai aur ek woh 'Zalim'...
Room mai pohach kr Ayaan Maham se kehta hai, "Yeh lu agai hum aapke room mai!" Maham charo taraf dekhti hai.
Room buhut accha decorate kiya gaya tha. Girly pink color paint howi deware aur princess wala Gul bed. Ek table aur chair side mai padhne ke liye, ek bookshelf jismai novels ke sath comic books bhi rakhi howi thi. Ek wardrobe jismai pehle se hi dresses tangi howi aur dresser jis mai make up ka kafi saman tha. Ek alag shoe rack, aur ek bada teddy bear jo bed pr rakha howa tha. Yeh sab dekh kr Maham ka muh kula ka kula hi reh jata hai. Uska aapna room bhi itna accha nahi tha jitna accha aur khubsurat yeh room tha.
Phir usku yaad aata hai ki Ayaan abhi bhi wahi khara hai. Woh usku dekhti hai aur kehti hai. "Mujhe apna room buhut pasand aya pr-" uski beej se baat Fariha aunty cut deti hai kehte howe "Pr kya beta, Maine kuch galat kiya, kuch kami reh gai kya? Tum ku color nahi pasand aya? Aur sawalat ke barsat kardi hai. Maham muskura kr unse kehti hai.
"Mujhku room buhut pasand aya aur buhut khubsurat hai pr Aunty aap ne itna sab kuch kyu kiya. Kyu itni pareshaani uthai mere khatir. Aur itne designer dresses. Kitni paise karch hogai ho ge aapke. Mai aapke liye burden nahi banna chati!" Yeh sun kr Aunty usko danth lagati hai aur kehti hai.
"Aapne bacche ke liye kiya gaya koi kaam Maa Baab ke liye burden ya pareshaani ka Sabab nahi banta. Maa Baab ko khushi milti hai, yeh sab kar ke. Aur dekho meri hamesha se khuwaish thi ki meri bhi koi beti jo, jiske liye mai tarah tarah ke dresses kharidu, shoes kharidu, uske sath dheer sari 'girly talk' wali bate karo. Aur meri yeh khuwaish puri hogai tumhare aane se. Tu ab mai yeh bate tumhare muh se na sunu. Smajhi tum!!" Yeh sab sun kr Maham ki Aankh bhar aati hai aur woh fariha Aunty go gale laga let hai.
"Ahem, Ahem!" Ayaan kr rata hai, yeh dikhane ki leye ki woh bhi yaha muojud hai. Aur yeh sun kr Fariha Aunty aur Maham hasne lagti hai. Phir Fariha Aunty Maham se fresh hojane ko kehti hai aur Ayaan ko lekr waha se chali jati hai.
*********
*********
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top