Chapter 10
Class mai buhut halchal machi howi thi pechle kuch din se, pr jab bhi Maham class mai hoti ya class ke andar kadm rakhti Sara shor aur halchal tham sa jata. Sab jo kuch der pehle na Jane koun si bato mai magan the achanak se khamosh hojate Maham ko dekh kr.
Maham is baat se buhut pareshaan thi. Alina wale kisse ko bitae kuch din hogai the pr ab yeh kya naya shuru ho gaya hai. Jismai pura class hi shamil hai. Maham janna chati thi pr jab bhi woh is bare mai koi zikr krti sab waha se chale jate ya tu koi aur baat chair dete.
Maham ne bhi ab soch liya tha ki woh jaan kr rahe gi ki class mai chal kya raha hai. Lunch period mai jab sab launch kar rahe the tu Aisha aur zoya Maham ke pass ati hai Maham ki bulane ki wajah se.
"Hmm...batao Mahan kya baat hai? Tum kuch pareshaan lag rahi ho?" Aisha Maham ki fikr karte usse pochti hai. "Pareshaan tu mai ho. Aaj kal ke is ajeeb class ke rawaiye pr. Maine kuch galat kiya hai ya mujhse koi bhul hogai hai jo sab mere sath is tarah ka bartaw kiya jaraha hai?" Maham udas ho kr yeh sari batae kehti hai.
Aisha yeh sun kr Maham se pochti hai, "koun tum ko pareshaan kr raha hai aur tumne koi aisa kaam nahi kiya jis ke liye tum fikr mand ho!"
"Mujhe koun nahi pareshaan kr raha. Class mai sabhi kisi baat ko lekr aapas mai guftugo kar rahe hai pr jab bhi mai class mai hoti ya class ke andar kadm bhi rakhti tu sab khamosh se hojate. Aur tum dono bhi kuch na kuch mujhse chupa rahi ho!" Maham ab puri baat khul kr bayan krti hai aur uski awaaz mai tuhri shikwa bhi hoti hai. Aisha yeh sun kr mano ghabra si gai ho. Pr isse pehle Aisha kuch kehti Zoya bol parti hai.
"Are yeh ring kitni khubsurat hai!! Kya yeh diamond ring hai!? Aur yeh tum is taraf haath mai kyoun pehni ho. Yaha pr tu Engagement ring pehni jati hai. Ek minute kahi aisa tu nahi ki tumhari..." Zoya Maham ki ring ko dekh ek dum se buhut zyada Rumanch mai ajati hai aur usko masti sujne lagti hai. Usko janne ki dil chaspi bhi thi. Aur woh yeh sari batae tuhri uchi awaaz mai kehti hai.
Tuhri dur baithe Ali jis ka Sara dihaan un dosto ki bato pr tha, Engagement wali baat sun kr khana uske halak mai pas jata hai aur woh khaasna shuru kar deta hai. Yeh dekh Aisha kehti hai, " Waise ek baat tu kuch atpati si hai. Maine zyada tar yeh dekha hai ki jo launch Ali lata hai woh Maham bhi lati hai. Ek din aisa ho tu man liya jai ki etifaak ho sakta hai pr har din!?"
Yeh sun kr pura class ab Ali aur Maham ko hi dekh raha tha. Maham jis ke chehre pr halki sibhi shikan na thi woh apna haath ucha kr ti hai jis mai woh ring pehni howi thi aur kehti hai, "Sahi keh rahi ho tum dono. Yeh Engagement ring hai. Meri Engagement tuhre waqt pehle hi howi hai."
Yeh sun kr pure class mai sab ki ankhe hairat se bari ho jati hai aur sab ke muh khule ke khule hi reh jate hai. Aur Ali uska tu yeh haal tha ki mano usku koi saap sung gaya ho. Rang Sara udh gaya tha aur uske dimaag ne kaam hi karna band kar diya tha. Woh nahi janta tha ki ab woh agai kya safai mai kahe aur kya kare. Pr Tabhi Maham hasne lagti hai. Aur haste haste kehti hai,
"Mujhe nahi malum tha ki tum sab hi log itni jaldi baiwakuf ban jaoge. Aur rahi baat meri Engagement ki tu tum log yeh kaise soch bhi sakte ho ki sach ho sakti hai. Abhi meri umar hi kya hai jo mai yeh sab karo." Maham yeh baat kehti phir hasne lagti hai. Aur iske baat sabhi log Maham ke saath hasne lagte hai.
Chutti ke baad jab Maham car mai ja kr baith ti hai tu Ali gusse se kehta hai, "Tumhe kya zarurat thi ki tum school mai ring pehan kr aao. Agar aaj baat nahi sambhal ti tu kya hota!?"
"Yeh ring mujhe buhut pyari hai aur mai nahi utaru gi! Aap ko kis baat ka gussa hai? Kisi ne yeh tu nahi kaha tha ki hamari Engagement ring hai yeh. Aur aap tu ring bhi nahi pehan te hai tu shak kisi ko kyu hoga aap pr. Mujhe tu yeh bhi nahi pata aap ke paas ring sahi salamat hai bhi ya gum kr di aapne!" Maham Ali se utne hi gusse mai aur Shikayati andaaz se sari baat kehti hai jisse sun Ali tuhra khamosh sa ho jata hai.
Aur isse pehle Ali kuch kehta peche baitha Ayaan kehta hai, "Excuse me, Meri yeh bilkul khuwaish nahi ki mai aap dono ki is Couple-Fight ko disturb karo pr mujhe buhut garm lagrahi. Tu bhai please car ko start kr AC khul dijiye phir aap dono Continue kr sakte hai. "
Yeh sunkr Ali aur Maham sharam se laal ho jate hai aur Ali ko ehsas hota hai ki Woh dono larne mai itna magan the ki unko pata hi nahi chala kab Ayaan Car mai aakar baitha.
Ali car start krta hai aur kuch hi waqt mai woh log ghar ko ajate hai. Pura waqt Maham car mai bhar ki taraf hi dekhti rahi aur ghar ane pr jaldi se car se utar kr upar apne kamre mai chali jati hai.
Ali is baat pr tuhra pareshaan hota hai pr phir is baat ko jald hi bhul bhi jata hai.
Dusre din Mahma Ali se kehti hai, "Agar aap chate hai ki mai aapko maaf kardo tu bataye class mai chal kya raha hai. Ali jo kal ke howe waikiye ko bhul chuka ta woh pochta hai kis baat ki maafi? Aur Maham jalabala jati hai. Aur phir Maham Ali ko yaad dilati hai. "Ab aap bataiye kya naya masla hai class ke sath?" Maham ke pochna ke Andaaz se Ali has parta hai aur kuch nahi kehta jis se Maham ki aur aag lag jati hai.
"Chalo jaldi car mai baitho ab tumko der nahi ho rahi?" Ali kehta hai. Maham baithne is inkaar kar deti hai aur zid karti hai ki pehle usku puri baat batayi jaye phir woh baithe gi. Maham acchi tarah se janti thi Ali ko is bare mai kuch pata hai pr usne pehle sirf apni ana ki wajah ne nahi Pocha tha.
"Aare Maha aap abhi tak car mai nahi baithi aye baitheye warna hum log late ho jaye ge." Ayaan ghar se nikal kr car mai baithe howe Maham se kehta hai. Aur Ali yeh sun kr ek baar aur Muskura deta hai
Maham Car mai gusse se baith jati hai, aur Ayaan se Shikayati Andaaz mai kehti hai, "Mujhe lag raha tumhare bhai koi screw dhela pr chuka hai tabhi ajeeb tarah se muskurai jarahe hai. Aur meri koi baat ka jawab bhi nahi de rahe hai."
Maham ke itna Sab kehne ke bawajud Ali ki taraf se koi jawab nahi ata siwaye Muskurahat ke. Tuhri der hi biti thi ki Maham kas ke kehti hai, "Yeh kis raste se le jarahe hai. Yeh tu school ka rasta nahi!" Pr Ali khamosh hi rehta hai aur muskura raha hota hai.
Ali ki taraf se Ayaan kehta hai, "Fikr na kare Maha yeh rasta bhi school ki hi taraf jata hai. Kuch dair mai hum log school mai hoge." Yeh sun Ali ke hasi chut jati hai aur Maham baichain ho jati hai. Gussa bhi Maham ko buhut araha tha Ali aise hi bina maksad tu has nahi sakta tu kya woh us pr has raha hai. Maham haath se apni dress aur baal thik karti hai yeh soch kr shayad Ali usi pr has raha hai aur yeh sab dekh Ali ko bara maza araha hota hai.
Kafi dear baad jab yeh log school pohach te hai. Tu Ayaan aur Ali Car se pehle utar jate hai. Aur Maham se yeh kehte hai ki Maham kuch deer baat class mai pohche warna kahi kisi ko shak na hojai.
Zyada tar class mai woh pehle jati aur baad mai Ali pohach ta tu ek din agar Ali jaldi jana chahta hai tu ismai woh zid na kare tu behtar hoga yeh soch Maham jald razi ho jati hai.
Thik 10 minute baad Maham Car se utar kr School ke andar dakhil hoti hai aur dekhti hai class ki ek ladki jo shayad waha hall mai kisi ka intezar kar rahi thi, woh Maham ko dekh turant upar class mai chali jati hai. Maham ko yeh dekh kr bara ajeeb lagta hai pr woh zyada kuch na soche bina upar class ti taraf jati hai. Jaise hi Maham class mai kadm rakhti hai.
"🎉Welcome to the Crocus High Maham!!🎉"
Pura Class ek sath tez awaaz mai Maham ka suwadat karta hai. Sabke chehre pr khushi thi aur Maham hairat se bhari thi. Tabhi peche se Ali ata hai aur Maham ke sar pr Party Cap pehna kr usse kehta hai, "Welcome to our School Stupid." Aur yeh keh kr chala jata hai. Maham yeh sun kr tamatar ki tarah laal hojati hai.
Ayisha Maham ke paas jati hai aur usse kehti hai, "Sorry Maham tumhari Welcoming Party mai tuhri dair hogai. Hamare School ka tradition hai ki jab bhi koi new student dakhil hota hai tu uske liye uske classmates Welcoming party karte hai. Yeh pura period free hai aur yeh sab decorations aur cake sirf tumhare liye."
Yeh sun kr aur itna pyaar dekh kr Maham buhut khush hoti hai, itna ki uski Ankhe nam si hojati hai.
"Umm...Maham Mujhe maaf kardo. Mujhe pata hai mai galat thi aur pechle din Maine tumhe buhut ajis bhi kiya. Pr kya tum mujhe maaf kr, mere dost banogi?" Alina sharminda nazru se neche dekh Maham se mafi mangti hai.
Maham yeh dekh muskurati hai aur kehti hai, "Tumne kuch kiya bhi tha kya? Mujhe nahi yaad. Aur kyu nahi mujhe buhut khushi hogi tumhari dost ban kr." Yeh sun kr Alina ko ehsas hota hai ki usne itni acchi ladki ke sath hasad mai yeh sab kiya.
Woh aapne aap main buhut sharminda bhi thi. Aur is baat se usko rahat mili ke Maham ne isko maaf kardiya hai. Alina ne yeh faisla kr liya tha ki ab woh Maham ki har tarah se madad kare gi aur uska pura sath degi.
Maham aur Alina haath milati aur baki sab yeh dekh buhut khush hote hai. Phir tabhi Class mai najane kaha se Isa ajata hai. Aur Maham ke paas Jakar kehta hai, "Welcome Maham! Kaisa laga apko hamare school ka yeh tradition?" Isa apni football Maham ke haath mai thamate howe kehta hai.
Maham Isa ko Josh aur khushi ke sath batati hai, "Mujhe buhut accha laga. Itna pyaar aur itna sab kuch...mere paas Alfaaz hi nahi ki mai bayaan kar saku ki mai kitna khush ho!" Yeh sun kr Isa usko muskura kr dekhta hai aur usse pehle aur kuch kehta Ali dono ke beej aa khara hota hai.
Maham se Ali Isa ki football cheen kr Isa ko thama ta hai tuhra gusse mai, aur Isa se apna gussa dabate howe jhoot mout ki hasi chehre pr saja kr kehta hai, "Tum shayad apne Class ka rasta bhul chuke ho tu mai yaad dilado yeh tumhara class nahi. Aur yaha tumhara koi kaam bhi nahi tu please yaha se chale jao wahi behtar hai!!"
Yeh kehte howe Ali Isa ko Class se bhar le jata hai. Pr Isa phir wapis Class mai ate howe kehta hai, "Mera kaam kyu nahi hai. Mere ane ka ek hi maksad hai. Mai apni dost ki Welcoming party mai shamil ho kar uski khushi dugni kar na chata ho."
"Maham buhut khush hai aur tumse mil bhi li ab yaha se chale jao!" Ali kehta hai.
Ab Ali zyada Isa ko nahi bardash kar sakta tha. Dono ko is tarah larte dekh, Maham ko bari hairat hoti hai. Peche se Zoya yeh dekh muskurati hai aur kehti hai, "Fikr na karo Maham yeh dono buhut acche dost hai."
"Dost hai ya Dost the!" Ayisha Zoya ki baat ko sahi karte howe kehti hai. Maham jisko nahi samajh araha tha ki inka yeh kehne ka kya matlab hai, Woh pochti hai, "Matlab?"
Ayisha phir usku itna batati hai, "Ali aur Isa ek waqt mai buhut acche dost howa karte the pr najane 2 Saal pehle aisa kya howa ke iske baad se yeh dono aise hi larte rehte hai. Dono tu ek dusre ki shakal kya ek dusre ke class mai bhi ana nahi pasand karte the. Pr ab jabse tum ayi ho halat kuch badalte howe nazar arahe hai."
Maham jisko Ayisha ka yeh kehne ka matlab samajh nahi ata hai woh kehti hai, "Agar aisi baat hai tu mai puri koshish karo gi dono dost ko phir ek karne mai." Yeh sun Ayisha has parti hai aur kehti, "All the best!" Phir sab party mai magan ho jate hai. Cake cut ta aur hasi mazak hota hai.
Maham ko apni Welcoming party buhut pasand ati hai. Usku itna pyaar kabhi kisi class mai nahi mila tha. Ha uske kuch dost the jo Maham ko buhut pasand karte the pr pura class, aisa pyaar, izzat aur dost pa kr Maham buhut khush thi. Maham ne sabke sath buhut maza kiya. Yeh din Maham ke yaadgaar dino maise ek bangaya tha.
************
************
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top