raaz-e-dill
Asalam O Alikum
I'm back yayyyyyy 😂
Do you guys miss me?
Let's start again okay?
************************************
نم آنکھیں برسی تھی
جب ملی تھی نیلی آنکھوں سے
****
S
oraj pura aab-o-tab ka sath Islamabad shehar ko roshan kar raha tha lag he nhi raha tha ka kal raat barish khoob baras kar gaye thi yaha
magar barish ke eik baat achi hothi ha ya neshan chor jatha ha jab ka use barish ka sath mill kar jab koi insan apna ansso baha raha hotha ha wo be-neshan reh jatha ha un ka kisi ko be pata nhi lagtha ha
Barish yon toh sub kuch baha kar la jathi ha apna sath magar ya kam bakht dill ka zakham ya dukh nhi la ja sakthi ha apna sath
khirki sa athi soraj ke roshi uske ankho sa takrayi thi or uske needh ma jesa kisi na koi halaal dala ho sath ma side table par para phone jo ka be-jaan para tha eik daam sa roshin ho kar bajna laga jesa apna hona ke gawahi da raha ho
Na chahtha hwa be usko ankha kholni pari or samna gari par nazar parhtha he uske kholi ankha or khol gaye q ka gari par 09:00 bajh raha tha matalb us na aj zindagi ma phehli baar fajar qaza ke thi
Magar jald he wo us sadma sa nikal aye q ka phone baar baar bajh raha tha
Uske gehri hari ankho ma gussa na jesa apna rang sama liya tha chehra gussa sa lal ho gaya eik toh fajar na parhna ka gham or upar sa ya phone
Eik lamha ko dill chaha ka phone samna dewar par mar da magar wo srif ya soch sakthi thi
Phone par ahzaar calling dakh kar uska gussa tora sa kam hwa warna toh wo kya kya karna ka soch rahe thi
ASALAM O Alikum
SALAM ma aj be phehla us na ke thi
WALIKUM ASALAM kidar thi larki kab sa phone kar raha hon ab ya mat bolna ka so rahe thi q ka noor bibi is time tak tum sona sa rahe
eik he saan ma us na hazar sawal be kar diya jis ke waja sa noor ka mata par shekan ban gaye
Tumha kis na kaha tha muja phone karna ka liya or wasa be aj sunday ka din ha is liya maybe sothi reh gaye ma or bolo phone kis liya kiya ha?
Acha ya batao collage kab sa aoa ge madam eik week sa off ho ap ab toh teacher's be a ka mujh sa pochna lag gaya ha jesa ma tunhara PA hon
Toba ahzaar eik kam sahe sa nhi kar saktha ho tum or wasa be In Sha Allah kal aon ge ma dont worry
Sukar ha warna ma toh akala bore ho kar he mar jatha
Bakwas he kara lo tum sa bus ab phone rako kal baat ho ge
OK Allah hafiz
Phone ko wapis table par rak ka wo washroon chali gaye fresh hona wash room sa nikal kar uske nazar jayanemaz par pari or qaza nemaz parhna lagi wo
Nemaz parh kar uska roh ab necha ke taraf tha
Necha kicthen sa kisi ka bolna ke awaz a rahe thi or eik awaz par uska dill rokna laga tha matalb wo jo eik week sa ankh majoli khel raha tha aj usko khatam kar raha tha yaha usko lag raha tha ka aj be wo uska jagna sa phehla ghar sa kahe gaib ho jaya ga
Kicthen ma ayema aunty or wajdan dono usko nazar a gaya tha
ASALAM O ALIKUM Ayema aunty toh ap ko humari yaad a he gaye warna muja toh laga tha ap toh bhol gaye ha hum sub ko
Ayema aunty jo ka apni beti ka yaha gaye hwe thi aj 2 week baad wapis aye thi or waqi noor-ul-huda na unko miss bohat kiya tha
Uske bathain sun kar ayema aunty ka chahera par eik muskan zaror aye thi jab ka unke nazar wajdan par zaraor pari thi jo khud ko be-gana zahir kar raha tha
Unho na aga bar kar noor ko gala lagaya tha q ka unko be wo bohat yaad aye thi
Aray pagal larki tumha lagtha ha ma tumha bhol sakthi hon wo toh wajdan na phone kiya tha ka kuch din or guzar lain waha tab he ma reh gaye
Unke baat sun kar noor na eik nazar wajdan par dali zaror thi
Acha khair ab ma ap ko kahe jana nhi don ge theek ha
Theek ha magar ruko toh ya tumhara sar par neshan kesa ha
Unke nazar uska zakham par pari thi jo ka bar toh gaya tha magar neshan chor gaya tha
Ayema aunty ke baat sun kar jaha wo nervous hwe thi waha wajdan na usko dakha tha wo be shayid uska Jawab suna chah raha tha
Ohoo ya, ya toh us din chot lagi thi pata nhi kesa magar table sa lag gaya tha sar maybe bp low tha is liya kuch nazar nhi aya magar ab toh theek ha ap tension na lain
Or ya akhari baat usna wajdan ke ankho ma dakh kar ke thi or wo toh nazar be na chura saka
kya thi ya larki jo uska liya jhoot bol dathi thi jo uska raaz rakna janthi thi
Uske ankho ka samna koi chehra aya tha or wo wahe ka wahe rah gaya tha
Khair ap bathaya breakfasts kar le apna ya nhi
Kar le ha tum batao kya kao ge ma bana dathi hon
NHI ma khud bana lathi hon apna liya
NOOR chup kar ka beth jao ma abhi lathi hon breakfast tumhara liya
Ayema aunty ke baat par wo muskreye thi magar uske muskrhat dosara he lahma gaib hwe thi q ka wajdan usko he dakh raha tha
Asa q dakh raha ha ap muja?
TUM na
WAJDAN na jaan kar baat beach ma adori chor de thi q ka wo uska jawab jana chah raha tha
YAHE soch raha ha na ap ka ma na sach q chupaya
Us na jaan kar jhoot laafz nhi bolo tha
Q ka wajdan sahib Allah na miya biwi ko eik dosara ka libas banaya hwa ha or libas ka kam chupana hotha ha na ka zahir karna
Tum agar sach bol be dathi toh be noor-ul-huda madam muja kuch farak nhi parhna wala tha
Janthi hon ma ya sub magar ap nhi jantha ha ka nikah ka waqt ma na Allah ko hazir or nazir jaan kar ya qasam kaye thi ka ap ka sath martha dam tak don ge
Matalb tumha kuch farak nhi paththa ha kinthi deat ho na
Ap jo be kaha or wasa be ap ke zuban or ap ka amal dono ap ka sath nhi datha ha
Or wo acha sa jantha tha ka wo uske kis amal ke baat kar rahe ha
Or usko aj phir sa khud par gussa aya tha ka wo q nasha ke halat ma wo sub kar gaya tha eik lamha ko uska dill ma aya zaror tha ka usko marna ka liya chor da magar wo lahma jinthi jaldi aya tha unthi jaldi gaya be tha q ka wo jo be tha jesa be tha inth zalim toh nhi tha
UFF tum larkiya be na mard eik nazar kya dakh lain ya hass ka kya baat kar lain tum larkiya toh pagal he ho jathi ho
Or us ko laga tha ka us na teer sahe jaga par mara tha
Magar usko ajeeb laga tha q ka samna wala uske baat sun kar hasna laga tha
Ufff wajdan ap ko kya lagtha ha hum larkiya inthi gaye guzari ha or wasa be muja kisi or ka nhi pata ha magar ma intha janthi hon ka samna mera mehram tha jis na kamzor lamha ma muja akala nhi chora tha or haq ha mera ap par
Kon sa haq ha? Ma tumha kisi be haq ka kabil nhi samjh tha hon
Wahe haq jo nikah ka 2 bol bolna ka baad mera hisa ma aya tha or ap ka mana ya na mana sa kya hotha ha mera deen na muja ya haq diya ha
Ahhh tumha jaan kar afsos ho ga ka ma na tumhara deen ko mantha hon na he is ristha ko
Koi nhi waqt ana par ap sub kuch man jaya gain
WAJDAN ke baat mou ma he reh gaye q ka ayema aunty usko athi hwe nazar aye
Or wo khamosih sa wahe sa nikal gaya
******
Wo apna room ma thi jab usko necha sa kisi ke bolna ke awaz aye or wo awaz jani pechni thi
Us na apna hijab sahe kiya or necha ko chal de
Samna he usko drawing room ma ahzaar or ayema aunty nazar a gaya thi
Jo ka kisi baat par hass raha tha
Tum yaha kya kar raha ho?
Salam karna nhi sekaya ha tumha kisi na
Wo kesa bhol gaye thi ka wo kis sa mohatib thi
Tumha apna ghar sukon nhi hothi ha jo yaha a jatha ho or wasa be atha toh muja bohat kuch ha tum wo choro
Toh ap be sun lain ma aoni marzi sa nhi aya hon ya toh ap ka husband ka phone a gaya tha ka ghar a jana aj
Q kya ha aj or wasa be wo ghar par nhi ha
Toh kya hwa tum toh ho na ghar par or wasa banda ghar aya hwa mehman ko chai he poch latha ha
Bin bulaya mehman ko kab sa log chai pochna laga hain?
Bohat he be-zoq ho tum wasa
Acha lag jan kar
Sharam karo noori koi apna dost ka sath asa saloq kartha ha kya?
Tum mera dost sa kab sa ho gaya?
Wah sar par lagna sa tumhara demgh be kharab ho gaya ha kya?
Nhi q tumha kya ma pagal nazar a rahe hon?
Nazar toh tum muja pagal nhi balka joker a rahe ho magar ab koi kya bol saktha ha
Dafa ho jao abhi ise waqt mera ghar sa
HAHAHAha ya mera bhai ka ghar ha
Or ma tumhara bhai ke biwi hon so chaltha bano yaha sa
Or wo jo kab sa drawing room ka bahir kab sa dono ke bathain kara ho kar sun raha tha akhari baat par uske ankha lal hwe thi
Is liya usna andar jana ka socha
ABhI wo dono lar he raha tha jab unko kisi or ka hona ka ehsas hwa
Or dono na eik sath samna dakha tha jaha wajdan kara tha aur usko dakh kar dono ko break laga tha
Chup q ho gaya laro na kya hwa muja sa dar gaya kya abhi eik min phehla toh kisi mohala ke aurato ke tarah lar raha tha dono
wo dono usko dakh raha tha jo had sa zayad gussa ma lag raha tha
Usko khud be samjh nhi a raha tha ka wo q gussa ha
Aray wajdan bhai hum lar tori raha tha
Acha toh ya tum dono lar nhi raha tha agar lartha toh pata nhi kay kartha tum dono
Wo bazahir baat dono sa kar raha tha magar nazar uske noor par he thi or usko reh reh kar gussa a raha tha us par q ka kabhi intha acha sa noor na us sa baat toh nhi ke thi
Aur ya sochtha hwa wo bhol gaya tha ka wo ab tak kya kartha aya tha uska sath
Dosari taraf noor uske ankho sa puzzle ho rahe thi q ka aj usko wo phehla wala wajdan nhi lag raha tha aj q uske nazar baar baar a kar us par he rok rahe thi kya hwa tha aj usko
Dono apni apni jaga bechain tha q ka un ka beach toh eik sard jang ka or kuch na tha
Magar wo dono bhol gaya tha ka Allah jo chaha kar saktha ha wo raab kab kis ka dill kis ke taraf per dain ya kon jan saktha ha
Or phir wo toh wasa be apna mehbob logo ko azmatha ha kisi sa la kar kisi ko da kar
EiK taraf agar wajdan sa kuch liya tha toh dosari taraf Noor ko kuch mila be toh tha
Ha ab ya un par tha ka kon sabar kartha or kon sukar q ka yahe 2 cheza he insan ko har medan ma jetha sakthi ha
wo Khud par mazeed uske nazarin bardash na kar sakthi
Ummm ma chai lathi hon ap dono ka liya
YA khe kar wo kicthen ke taraf chal de is baat sa anjaan ka eik dilchup muskan wajdan ka labon par aye thi
*********
TO be continue
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top