Mohan Discovers Anubhav's secret
Same evening... After dinner Anubhav and Mohan were in Anubhav's room.
Mohan was constantly stairing at him
Anubhav: iss tahara kyu taak rahe ho?
Mohan: ek baat bato...bhabhi ke dream birthday celebration ke baremien kaise pata chala?
Anubhav: humne galti se unki gupt pustak padh li thi
Mohan: ek min matalab tum Bhabhi ke ghar gaye the?
Anubhav: Nahi...vo bas ek baar yun he haath lag gaie so humne padh li
Mohan: bhabhi ko pata hai iss baremien?
Anubhav: nahi
Mohan remained silent for a while then again spoke
Mohan: sach mein yehi baat hai yaa...
Anubhav: ya?
Mohan: kuch chupa rahe ho humse?
Anubhav got irritated and stood up
Anubhav: kripya CID na bane...na toh hum mujrim hai aur na he ap ACP Pradyumn
Mohan: lekin phir bhi (ACP style) kuch toh Gadbad hai Daya
Anubhav glared at him horribly
And Mohan got scared
Anubhav quietly layed on his bed and Mohan occupied the other side
Both were silently looking at the sealing
Anubhav: bohot vichitra hai n hum Mohan
Mohan: Nahi yaar...tum sabse alag ho...haa tum mein ek buraiee zarur hai ...jante ho kya?
Anubhav looked at Mohan
Mohan: tum apne dil ki baat apne Bestfriend se bhi share karna zaruri nahi samjhte...Ajeeb nahi ho par jiske samne tumhe ek khuli kitab hona chahiye tum uske liye bhi ek bohot bada Raaz ho
Anubhav again looked at the sealing and became quite
Mohan: Anubhav...hume lagata hai ki kuch toh aisa hai jo saalon se tumhare dil mein hai par tum keh nahi paa re
Anubhav smiled
Mohan: calendar kaha hai yaar ? Note karte hai ki "AJ ANUBHAV SMILE KIYA "
Anubhav glared at him
Mohan: aur uske baad Mohan ko buri tarah ghura
Anubhav trew a pillow at him
Mohan: (catching the pillow) bato n Anubhav...baat kya hai?
Anubhav became silent
Mohan: tumhari yehi khamoshi na kisi din hume curiousity se maar degi
Anubhav remained still on his place for a time being
Then got up from his place and moved towards his cupboard and took out the same thread clothes
Mohan: ye pattiyan
Anubhav: bachapan se lekar Aaj tak hume jite bhi Ghav lage hai ye uski pattiya hai
Mohan became confused
Mohan: ajeeb insaan ho yaar...itne saalon ka infection lekar ghum rahe ho
Anubhav: (in a serious tone) ye koi mamuli pattiya nahi hai ... Ye Sari vo pattiya hai jise Haseena ne humari choto pe bandha tha
Mohan looked at the collection of Bandages
Mohan: Bhabhi ne ek do baar he toh Tumhara first aid kiya hoga toh phir itni saari pattiyan
Anubhav gulped
Anubhav: vo ... Balpan se lekar Aaj tak hum Jan bujh kar Haseena ke samkash khud ko kisi bahane se chot pohochate the...kyu ki...
Mohan: kyu ki kya?
Anubhav: kyu ki uss bahane he sahi ... Haseena humari Chinta kar leti thi
Mohan: toh matlab Aaj tak tumne jitni bhi chote khaiee hai jis par hum dher sara chinta karte hai vo tum Jan bujh kar khud ko laga te the?
Anubhav: haa
Mohan glared at Anubhav
Mohan: kaise ajeeb psyco ho yaar ... Aise Jan bujh kar chot kon lagta hai khud ko?
Anubhav remained silent and quietly kept those bandages back to their place
Mohan: Matalab tum ye sab sirf Haseena ka attention pane keliye karte ho
Anubhav: hmm..
Mohan: kyu?
Anubhav remained silent
Mohan: Anu kuch puch rahe hai hum tumse
Anubhav: Hume Haseena acchi lagti hai
Mohan: sirf acchi lagti hai?
Anubhav: nahi...prem hai hum unn se
Mohan smiled
Mohan: (loudly) kya baat hai Anu yaar...dil khush kar diya... Matalab kasam se....
Anubhav: shant raho...aur khabar dar shot kiya toh
Mohan: Are kyu na karu shor? Mera bhai pyaar mein hai lekin ek min...
He jumped towards Anubhav
Mohan: ye pyaar kab hua aur kaise hua?
Anubhav: hum jab satvi kaksha mein the tab yaad hai hum vidyalay ki tarf se Agara gaye the
Mohan: haa aur tumne Agar ke Mashur Pethe bhabhi ke liye la ke diye the kyu ki vo unhe bohot pasand hai
Anubhav: haa...vo bhi hum ek khel mein haare the us hetu humne unhe la kar diya tha parantu vo pethe unhone khaye nhi
Mohan: ka baat kar rahe ho Agra ka petha ho aur Bhabhi na khaye ye next to Impossible hai
Anubhav: par uss samay unhone vo petha nahi khaya tha
Mohan: toh uss pethe ka kiya kya tha ?
Anubhav: vo vaha kuch bhuke bacche the jinhone 3 diwas se kuch nahi khaya tha iss hetu unhone apne priya pethe un bhuke balkon ko de diye aur ye baat humare hriday ko chu gaiee
Mohan: hayee...toh 7th STD se bhaisahab bhabhi se pyaar karte hai
Anubhav: hmm...hume humesha se lagta tha ki Haseena bohot ziddi hai aur apni Priya vastu toh vo kisi ke saath nHi baat ti parantu jab Haseena ne apni priya mithai unn bachon ko de di tab hume ye gyaat hua ki ve kitne komal hriday ki hai
Mohan: haa par ye kya tareeka hua ...Jan bujh kar khud ko chot pohocha kar bhabhi se marham lagwana
Anubhav: Haseena iss vivah se prasann nahi hai Mohan
Mohan: kya ?
Anubhav: haa...humne ek baar Anuradha se khud ye baat kehte huee suni...ki iss vivah se unhe kahi na kahi aisi Anubhuti hoti hai jaise kisi ne unhe bandh rakha ho aur Dusri Mukhya baat ye hai ki humara krodh Haseena ko bilkul nahi bhata ...humne apne iss swabhav ko badlne ka prayatn kaiee baar Kiya parantu nahi badal paa rahe hai hum apne swabhav ko... Isiliye itna toh samjh gayee the ki Haseena kabhi hume humare krodh ke saath nahi apnaye gi...duriya toh hum mein pehele se thi toh socha unke samaksh swayam ko chot pohocha kar he shayad ... Kuch pal keliye unka dhyan apni oor khich payege
Mohan: par Ye sab kab tak chalega Anu?
Anubhav: jab tak ishwar chahe
Mohan: ek kadam toh badao iss rishte ki oor
Anubhav: badayege n par shart ye hai ki marzi Haseena ki bhi honi chahiye
Mohan huffed...he always thought that Anuseena's relationship was just about "giving a chance to eachother" but never ever wondered that it can be so complicated
__________________________________
Precap: Mohan wants Anuseena closer
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top