Family wants Anuseena closer
Next Day Anubhav as usal got ready for the collage and went downstairs and sat on the dinning table for the breakfast
Maa served him and he and Mohan quietly started eating the meal
Maa: Suniye ji maine Noor jahan behen bata rahi thi ki Haseena koi Pareeksha de rahi hai uss keliye usse Agara ka exam centre mila hai
Anubhav's ear became attentive
Pita ji : Haa Afsan bata rahe the iss vishay mein...vo keh rahe the agar unke Daftar ka karya bhar zyada na hota toh voh swayam Haseena ke saath chale jate...ab samasya ye hai ki Haseena ke saath jaye kon?
Mohan : kon jayega matlab? Anu jayega
Anubhav coughed
Anubhav: hum?
Maa : haa koi dikkat hai ?
Anubhav: Maa hum kaise jaa sakte hai?
Maa : kyu nahi jaa sakta ? Aakhir Pati hai uska...ab apni Biwi keliye itna toh kar he sakta hai
Anubhav : parantu Maa ... Ek baar Haseena se toh puch lijiye ki vo humare saath ana chahati hai ya nahi
Maa : lo bhai ,usse kya takleef hogi?
Anubhav: phir bhi Maa unko puchna ek baar toh bhi Anivary lagta hai hume...hum aaj Haseena se puchenge aur ve haa bolegi toh he ye vivah hoga
All : kya?
Anubhav: h..humara aarth hai toh he hum Haseena ke saath jayege ...chalte hai
Anubhav got up and moved taking Mohan also who was still eating his meal...Poor he
On the way...
Anubhav was riding the bike and Mohan was sitting behind him
Mohan: vaise Anu tumhe bhabhi se baat karne keliye koi Bahana dhundhne ki zarurat nahi hai
Anubhav: humne kab Bahana Khoja?
Mohan : are ajj he toh khoja... hum aaj Haseena se puchenge, toh he hum Haseena ke saath jayege
Anubhav remained quiet
Mohan: Ama yaar Anu likh kar dete hai yun hichkichat rakhonge nahi rishte mein toh ban chuki baat
Anubhav: Mohan hum iss vishay mein koi baat nahi karna chahte
Both remained quiet
Mohan: (pov) Tum chahe kuch bhi keh lo Anu par hum tumhe Aur bhabhi ko kareeb toh laa kar rahenge
Soon they reached college
Both entered the collage premises...
They moved towards the canteen to search Haseena as she usually be in the Canteen in the morning time
But today she was not their...then they found Anuradha
Anubhav: Anuradha ji
Anuradha turned...she smiled and moved towards him
Anuradha: Ha jiju kahiye
Anubhav: vo...Haseena
Anuradha: are waah ! Aaj Suraj kaha se nikla hai Humare Pyaare jiju Haseena ke baremien puch rahe hai...kya Baat hai
Anubhav : Dekhiye aisi koi Baat nahi vo....vo Bas Hume Haseena se ek kary tha
Anuradha: Haa...haa samjh gaye par Jiju for your Disappointment Haseena Ki scooty ka tyer Puncture ho gaya hai isiliye vo Bus se aane wali thi but Sone par suhaga ye ki uss se bus bhi miss ho gaiee...I guess Aaj vo nahi aayegi... lagta hai apka kaam Dhara ka Dhara he reh jayega
Anubhav thought for a while
Anubhav: are koi baat nahi , hum unhe durbhash kar dete hai ...
Anubhav was about to make a call to her when his phone Buzzed with another caller ID labelled By the Name "Abbu"
Anubhav picked the call
Anubhav: ji Abbu
Abbu: Bete vo aaj na Haseena ki gaadi...
Anubhav: haa Vo bataya Anuradha ji ne
Abbu: Bete uski na bus bhi miss ho gaiee hai aur vo keh rahi hai ki aaj uska jana zaruri hai toh kya tum usse lene aajoge ?
Anubhav: A..Abbu mai...
Abbu: agar tumhe koi Dikkat ...
Anubhav: are nahi nahi...Abbu isme kyu pareshani hogi hume...hum...hum aate hai Haseena ko lene
Abbu: theekh hai bete
The call ended
Anubhav : Mohan vo...
Mohan: haa samjh gaye tum Bhabhi ko lene Jaa rahe ho
Anubhav became suspicious
Anubhav: Tumhe kaise pata ki hum Haseena ko lene hetu jaa rahe hai...humne toh iss baremien tumhe batya bhi nahi
Mohan and Anuradha's eyes went wide...
Mohan: k..kaise pata...vo ...
Anuradha: vo...Jiju...ye...ye koi behera thodi hai
Anubhav: behera?
Anuradha: haa...dekhiye abhi aap he uncle se b..baat kar rahe the n...toh H..hum dono ne suna
Anubhav: aacha...parantu... (Suspiciously) aap iski oor se safaiee kyu de rahi hai ?
Anuradha : k..kyu de rahi hai (looking towards Mohan) kyu de rahi hai
Mohan: (shouting) Anu...k..k..kya chal raha hai tumhara...kya de rahi hai ? Kyu de rahi hai ? Are uski marzi usse jo karna hai kare...t..tum jao na ...bechari (softly) bhabhi (shouting) ko late karana hai kya ?
Anubhav: haa...toh jaa rahe hai...tum itna uttejit kyu ho rahe ho?
Mohan: (shouting) Satya Nash!!! Phir sawal
Anubhav: jaa rahe hai, jaa rahe hai
Saying this Anubhav left
And AnuMohan took a relief breath...
Anuradha: are ye itne sawal kyu puchte hai?
Mohan: pata nahi yaar...hum bhi pareshan hai
Anuradha: anyways lagta hai ye plan kaam kar jayega...
Mohan: lagta toh hume bhi yehi hai
Both looked at eachother and passed a Mysterious smile
Flashback:
The family except Anuseena were on a conference call when both slept
Abbu: Mohan bete itni raat ko kya emergency aa gaiee thi ? Jo tumne ye urgent meeting bulaiee
Karishma: vo bhi bhaiya bhabhi ke bina
Mohan: Are Karu...Unhe bula lete to plan ka pachka nahi ho jata?
Maa : kaisa plan ?
Pita ji: haa bete kaisi yojna
Mohan: dekhiye jaisa ki hum sab jante hai ki Humare Anu aur bhabhi ki shadi ko itna samay ho gaya
Anuradha: lekin kya fayda? Vo dono toh apne rishte ki taraf dhyaan he nahi dete
Mohan: aree toh hum unhe dhyaan dilwate hai na
All: kaise?
Mohan: dekho sab se pehele toh inn dono ke rishte mein haad se zyada hichkichat hai toh hume ye hichkichat dur karni hogi
Karishma: aur uske liye dono ko ek dusre ko waqt dena hoga jo ki ye dono bilkul nahi dete
Mohan: toh hum unhe ek dusre ko waqt Dene par majboor karenge na
Ammi : vo kaise?
Mohan: dekhiye humne na Jaan bujh kar aisi situation create karni hogi ki Anubhav aur Haseena ko kaise bhi karke ek dusre ke saath hona he hoga ya ek dusre se baat karni he hogi
Anuradha: hmm..aur uski shurvat app kal se kar dijiye uncle
Abbu: vo kaise beta?
Anuradha: aap na Haseena ki scooty ka tyre Puncher kar dijiye
All: kya ?
Karishma: arr nahi nahi hum samjh gaye...dekho agar Abbu Bhabhi ke scooty ka tyre Puncher karenge toh Abbu keh sakte hai ki vo bhaiya ko Bhabhi ko pick karne keliye bula le
Ammi: are nhi...vo ye kahengi ki vo bus se chali jayegi
Pita ji: Bhabhi shree... Ap Haseena beti ko kisi tarha uss bus keliye vilam hone tak rok lijiye ga
Ammi : haa ye theek hai
Abbu: accha suno...vaise na Haseena ek exam dene wali hai uske liye usse Agra Jana hoga toh kyu na Hum Anubhav aur Haseena ko saath bheje
Mohan: fantastic idea uncle...abb toh dekhte hai Ye dono kab tak ek dusre se bhagte hai
Flashback ends
Mohan : Bas ab itna hai ki ye dono raaste Bhar chup na rahe
Anuradha: vo toh unke aane ke baad he pata chalega
__________________________________
Precap: Anuseena being comfortable together?!
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top