monami's support
Hai ..
Hello ..
Happy reading..
******************
Karan got a call from an unknown number and said about his father , from them onwards karan is very disturbed..
He took out his phone and calls Monami ..
Mo : ( in call ) accha toh ab aap miss karnne lage hai mujhe ..
Karan : monu tumse baat karni hai abhi right now ..
Mo : kya hua karan kuch pareshan lag rahe ho ..
Karan : tum plz jaldi beach ke pass ajao Monami .
Mo : haan mein abhi aayi ..
She disconnects the call, gets ready and goes to beach ...
*****"**""""""
Ajeeth : rawat bhai , aap karan ko call kyu ki ??
Rawat : ab sooraj se aur Malini se toh maal milgaya hai , ab wakth hai ki h karan se bhi lene ka
Ajeeth : lekin unke pass kya hai ?? Woh toh khud ek company mein noukari karta hai ..
Rawat : carodon rupay ka warris , kal sach pata chal r ke baad humara hi faida hogi na ..
Ajeeth : kya baat hai raawat saab ..
TheyΒ two smiles to each other ..
************
Suhana comes to Mumbai and goes to karan house ..
Watchman: ji koun ho aap??
Su : ji karan Sherghil yehi rehte hai ??
Watchman: haan madam aap koun hai ??
Su : mein karan ka maa hunn
Watchman : haan haan yaad aaya tasveer mein dekha maine , par sir toh office chale gayeΒ , aap ne bathaya nahi sir ko ??
Su : nahi woh achanak dekhega tohhudh hojayega na ..
Watchman: yeh bhi teek hai madam , mera pass spare key hai , emergency keliye sir ne diya hai ,, aap ander jake fresh hojayiye madam ..
Suhana haan kehte huye ander chali gayi aur ghar ka sajawat aur Pooja room mein diya ko dekh kar sochne lagthi hai ..
Su : yeh sab Mera karan karne se raha , pakka monu ne hi ki hogi , Monami tum se milne keliye bekaraar hunn mein , photo mein dekhi thi lekin saamney dekhne keliye inthazaar kar rahi hunn mein...
***************"
Mo : Kya hua karan tum ithna upset kyu ho ??
Karan : monu , fhir se mere athith mere saamney aarahi hai , isiliye dar lagraha hai ki kayi fhir se uss kaali anderon mein na jao ..
Mo : ( by hugging ) karan aapki ayisa kyu lagra hai ki athith ke saamney aathe hi aap fhirse unn andera mein chali jayengey ?? Agar chale bhi Gaye toh mein aapke saath chalne keliye ready hunn karan , bus ithna waada karlijiye ki aap mujhe uss andere mein saath chalne dengey , mujhe khud se kabhi dhoor math kariye ..
Karan : par Monami ..
Mo : ek baat kahi aap se , jaruri nahi ki aathith ka saamna karne se purana jakam taza hojaye , kya pata athith ke saamna karne ke baad Naya subha ho kuch accha hojaye ..
Karan : ( by hugging her more tightly ) woh subha toh pehle hi aachuki hai Monami , ( placing a kiss on her cheek ) jab tum mere zindagi mein aaye ho tabhi woh subha mere zindagi mein aayi hai ..
Mo : karan ??
Karan : i love you Monami ..
Mo : ( by hugging back ) i love you too ..
They both stood like that for sometime..
Mo : ab Bathav ayisa kya hua jo tum ithne pareshan hogaye ..
Karan explains everything to monu ..
Mo : toh ab tum milne jare ho tumhare papa se ??
Karan : milna toh padega monu , doulat ya property keliye nahi balki jayas hone ka haq keliye ..
Mo : karan ??
Karan : haan Monami , maine apne ankhon se dekha hai meri maa ko gali dethe huye , iss society ne maa ko kabhi aaram se jeene nahi Diya , in sab ka hisaab maanga hai unse , aur puchna hai ki aakhir woh ayise kyu kiya mere saath aur mere mom ke saath ....
Mo : karan ek vaada karoge ??
Karan : kounsi vaada ??
Mo : jab bhi tum tumhare papa ke saamney javogi , ek mouka tumhare papa ko bhi dogi , unke baath bolne ki mouka doge , aur humesha ki tarah gusse mein aakar kuch ulta seedha karke nahi bhaitoge ..
Karan : tum mujhe mujhse zyada jaanti ho monu ( by taking herΒ hand into his hand ) i promise , mein unke saath acchese baath karunga aur jagda nahi karunga but agar baat bigad gayi toh kuch ko rokh nahi pavunga ..
Mo : woh toh mujhe pata hai ,, tumhara naam karan nahi rudra dev hona chahiye , kyu ki agar gussa agaya toh thaandav karengey na ..
Karan : ( by pulling her towards him ) haan lekin rudra dev bhi parvathi ke saamney kuch nahi kar payengey ..
Mo : kya kar rahe ho koi dekh lega ..
Karan : haan toh dekhne do , mujhe kya ??
******************
Suhana after freshen up comes outside of house ..
Su : ( to watchman) yaha koi mandir hai ??
Watchman: ji yaha se thodi dhoori mein ek khana ji ka mandir hai maaji ..
Suhana nods and left to mandir in an auto , here monu also sees the temple and thinks to herself..
Mo : ( to herself) karan bahut disturbed tha , ek baar khana ji ko pray karthi hunn , sab sahi hojaye ..
She kept her scooty a side and about to go inside the temple but she sees a auto wala scolding someone..
Auto wala : ( to a lady ) aap Bina paise auto kyu chada madam ? Hum jaante tum jaise aaurathon ko , mujhe abhi ke abhi mere paise chahiye ..
Lady : nahi Bhai saab mein apni purse ghar mein bhul aayi hunn ..
Everyone just seeing them but no one said nothing ..
Auto wala : dekho madam yeh sab mujhe nahi pata , abhi ke abhi mere paise dijiye varna ..
Mo : yeh tum kya bolre ho ?? Kum se kum Umar ka lihaaz toh Karo , bathav kithne paise hogaye hai ..
Auto wala: 100 rupay ..
Mo : ( by giving money ) hunn yeh lo aurmaafhi maango aunty se .
That lady sees Monami .
Lady : ( to herself) monami ?? Yeh toh monu hai ,karan ne jo photo bheja hai isse bhi zyada sunder hai , kithni pyaari hai aur dil bhi kithna saaf hai ..
Yes you are right woh lady koi aur nahi balki suhana hi hai ..
Mo : aunty aap teek hai na ??
Su : ji beta , thank you ,, thanks a lot
Mo : ithni choti si baath keliye ithini thank you ??
They both goes into temple ..
Pandit ji : kis ke naam pein Pooja karni hai ??
Su / mo : ( unison ) karan ..
Pandit ji nods and goes inside ..
Su : karan tumhara pati hai ??
Mo : ji nahi aunty abhi tak shadhi nahi huyi meri ,, aap ka karan koun hai ?? Aapka beta ??
Su : haan , mera beta hai , aur unse milne hi Mumbai aayi hunn mein .
They two becomes very close in few minutes and aadat se monu ko dekh kar suhana ko bahut acchi lagi ..
Su : lagtha hai tumhara karan bahut accha wala hai ..
Mo : nahi pura ka pura dust hai , baathon mein uljana toh maa ke pet se seekh kar aaya hai , aur kisi baath ke peechapad gaya na ?? Chodta hi nahi ..
Su : hahaha yeh toh tumne teek kaha ..
Mo : aapko kaise pata aunty ??
Su : umm kuch nahi just guess kardi , aur bathav tumhara karan ke baremein..
Mo : aur kya bathav aunty ?? Woh jaisa bhi ho dil ka saaf hai , aur mujhse bahut pyaar karte hai ..
Su : accha laga Monami tumse milkarΒ b mein wapas ghar chaliΒ jathi hunn ..
Mo : mein aapko drop kardethi hunn aunty ..
Su : arey nahi beta , mein khud chali javungi ,
Mo : lekin paise nahi na aunty ..
Su : ghar mein hai na beta. Ghar Jane ke baad waha se dedungi ..
Monu just smiles and suhana caresses her hair and left in an auto , monu goes to her home ..
**********"******
At late night karan comes to home , shocked + surprised +happy to see suhana in home ..
Karan : maa aap yaha ..
Su : haan subha hi aayi thiΒ ,, tumhe surprise Dene aayi thi ..
Karan : maa mein super happy , mein abhi monu ko phone kartha hunn woh bahut kush hojayegi. .
Su : nahi karan mein usse directly milungi ..
Karan : as your wish maa , but i am so happy ab se aap mere saath hi reh wale hai ..
They two are very happy on that day
****"""****
Next day ..
Raawat: ( in call ) sooraj sir paisa ready hai ??
Sooraj : haan ready hai , bus kaha aana hai yeh bathav aur meri patni aur mera beta unlogon se milwatha ho na Aaj ??
Raawat : vaada kartha hunn , aaj aapke beta se aapko milwa dunga ,, aap city outskirts mein old cotton mill mein ajayiye ..
Sooraj phone kaat ke old cotton mil ke taraf Jane lagta hai , peeche faizi bhi apne bike mein sooraj ko follow kartha hai ..
Faizi : ( to himself) i Know sir aap mujhe peecha karne se mana kiya but these intuitions , mujhe ayisa lagra hai aap kuch problem mein hai , aur kuch bura hone wala hai isiliye aapka peecha kar rahi hunn , plz maaf kariyega mujhe ..
He follows sooraj ..
Otherside ..
Karan is also going to that address which was given by raawat ..
Just then he gets a call from monu ..
Karan : haan monu bolo .
Mo : tumΒ jare ho ?? Tumhare papa se milne ??
Karan : haan monu ..
Mo : dyaan rakhiyega karan , mujhe kuch accha nahi lagra hai , aap plz apna dyaan rakhiyega plz ..
Karan : Monami , trust me mein khud ke saath galat nahi hone dunga ,apna dyaan rakhunga ..
They both cuts the call ..
And monu prays for khanah ji ..
So kya lagtha hai ?? Karan sooraj se mil payega , apna nafrat ko chod payega ??
Yeh sab jaane keliye aur kuch din inthazaar karna padega..
After coming back from my trip i will continue all my stories again ..
So till then bye bye ..
And mein kisi ko replay nahi de paaungi bcoz of my network issue..
Thank you β€οΈ
Take care of yourself everyone...
Bye ...
BαΊ‘n Δang Δα»c truyα»n trΓͺn: AzTruyen.Top