Part 10

After having dinner all students were playing some random games.

Teacher: Ok students..ab sab so jao.

All : Yes sir.

Om : Sir may I go to washroom.

Teacher: Haan jao na...ye class nhi hai jo aise puch rahe ho.

Om left from there.

Gauri was going to upper berth.

Anika: Gauri tu middle berth pe so ja mujhe upar maza aati hai.. please na exchange kar lete hain.

Gauri shrugged her shoulders: Hame kya ham kahin bhi so jayenge.

She put the middle berth.

Just then Anika saw shivaay who was laying on middle berth.

Anika: Accha tumko upar sona hai baccha..tum so jao..apni choti behan ke liye mai yahin so jaungi.

Gauri: Haan i know itna pyaar kahan se aaya gaya.

Anika grinned.

She shook her head and climbed on upper Berth. She saw Rudy was opposite her.

Rudra: Hii Gauri didi.

Gauri smiled: Hii.

Just then Om came there and found his bag on lower berth. He looked around for searching Gauri and found her on upper berth. He saw Rudra was opposite her Berth.  He looked that Priyanka was on his opposite berth. She showed her teeth.

Om: Hatt.

Priyanka: 😶

Om : Rudy hat wahan se.. mujhe sona hai.

Rudra: Mai kyun hatun..ye Berth mujhe mili hai.  Aapko neeche vali mili hai.

Om: To kya hua ..ham bhai kis kaam ke hain.. Exchange kar lete hain.

Shivaay: Om kya hai..so jaa na jahan mil raha hai.

Om in low voice: Accha khud to apni vali ke bagal vale berth pe sone ko mil gaya.

Shivaay pinched him: Maine kuch nhi kiya...wo Berth usko mili hai. Sab apane Berth pe hain tu bhi jaa.

Om : Rudy tu aata hai ya nhi .

Rudra: Nhi aata 😛.

Om : Ok as you wish.. phir mujhe Saumya ko batana hi padega ki uski History ki copy tumne phaad dali jo tumne work complete karne ke liye ki thi. Phir wo tumhara jo haal karegi tu janta hai.

Rudra quickly get down with his bag.

Om smrinked and climbed on upper berth . He saw Gauri who was so much engrossed in her book. She didn't noticed him.

Om whispers: Radha meri Radha 😍.

Gauri was still busy in her book.

Om: O chutki apne bheem ko ignore kar rhi ho 😗.

But he noticed she is still busy.

Om: 😶😶.

He whistled making Gauri come out from her book land.

Teacher: Who is whistling at this time?

Om quickly covered himself with blanket.

Gauri looked at him: Ye Rudra seeti kise maar rha.

Just then om came out from blanket: 😍Radhe.

Gauri whispering: Aap? Aap kab aaye yahan? Yahan to Rudra tha na?

Om: Jahan  chutki wahan uska chota bheem 😘.

Gauri rolled her eyes and kept the book beside her. She switched off her phone's flashlight and covered herself with blanket.

Om: 😶😶.

He take his phone and messaged Gauri. Her phone vibrated she opens it. She opened WhatsApp and saw Omkara's message.

"😘Beshak tum meri mohhabat ho😘"

she shook her head smiling and replied.

"So jaiye"

Om: "Kate nhi kat te ye din ye raat kehni thi  tumse jo dil ki baat lo aaj mai kehta hun 🙈 i love you"

She can't stopped herself from blushing.

Gauri: "Good night"

Om: " Dillagi ne di hawa thoda sa dhuan utha aur aag jal gyi... teri Meri dosti pyar me badal gayi 😍😍😘😘😍😍😘😘😍😍😍😍😍😍😍😍😍"

Gauri giggles: "Aap poore pagal hain"

Om: "Wo Ashiqui hi kya jisme aashiq ko pagal na kaha jaye 😉"

Gauri hits her forehead.

Gauri: "Vaise congratulations"

Om: "Thank you 😍😍. Par kyun 🤔?"

Gauri: "Arre aapka selection ho gya hai na London ke Art school and collage me"

Omkara's smile fades: "Ok Good night see you in tomorrow"

Gauri frowns: Inhe kya hua?

Om keeps his phone and slept. Gauri shrugged her shoulders and closed her eyes.

Next day.

Train reaches to destination.

All students came out from train one by one. Just then a bus came there.

Teacher: Students sab hotel chalenge wahan se sab 9 baje ready ho jayega breakfast ke liye.

All nodded and entered inside the bus. After sometime they arrived in hotel.

Teacher: There is one room for 4 students. This is list I am telling you the names and room number come here and take your room keys.

She told them their room number.

After breakfast all were watching other places at the hotel.

Anika: Chalo na hotel ghumte hain.

Gauri: Di ham terrace pe jaa rahe hain ..hame thoda shanti me rehne ka man hai ..aap sab ghoomo.

Anika shrugged her shoulders.

Gauri went to terrace and found Om who was sitting  alone writing something in a diary.

Gauri: Ye yahan akele kya kar rahe hain.. puchte hain..

She went to him and sat beside him: Kya kar rahe hain aap akele ?

Om looked at her : Tum kab ayi?

Gauri: Bas Abhi..aap akele kyun baithe hain ?

Om closed his diary: Kuch nhi aise hi..man kiya.

Gauri: Aap aaj subah se upset dikh rahe hain..Sab thik hai na?

Om: Aisa nhi hai..bas ..kuch nhi.

Gauri: Kal raat aapne achanak se byy keh diya aaj subah se chup chap hain..Kuch to hua hai..Ab itne der se dhundh rahe the aapko neeche to idhar baithe hain.

Om: Nhi vo...

Just then he realised something: Ek minute..(Grinning) Tum mujhe dhund rahi thi? Kyun?😏

She bites her tounge.

Gauri: Haan..mtlb ham nhi dhundh rahe the..vo..vo.. suhani..wahi aapko dhund rahi thi to wahi .

Om: Accha ? Mujhe sab pata hai..(smrinking) To mujhe miss kiya jaa raha tha..

Gauri: Ji nhi...wo Chodiye aur ye bataiye ki aapko kya hua hai?

Om: Tumse Pyar 😍...tumko to pata hai na meri Radha.

Gauri to herself: Ye bade ajeeb hain ..kab kya sochate hain smjh nhi aata..abhi tak upset se dikh rahe aur abhi ..

To Om: Arre uske alawa.. dekhiye aapko seedha answer nhi dena hai to ham jaa rahe hain.

Om : Uske alawa .... Wo mai dairy likh rha hun. Tum yahan kya kar rhi ho?

Gauri: Mujhe na pani puri bahot pasand hai.

Om frowns: Hein? Ye kya bol rhi ho ?

Gauri: Ab aap mere sawal ka dusra jawab de rhe hain to mai bhi teesra jawab dena janti hun.

Om:. Ahh..mai kahan upset hun....

Gauri: Ok.. Aapko nhi man hai to mat bataiye..i will not force you.

She stands to go. Just then om speaks.

Om: Mai exams ke baad london shift ho raha hun... mera selection ho gya wahan ke art school me.

Gauri again sat down: Haan hame prinku ne bataya..par ye itni Khushi ki baat hai..aap itne upset kyun hain?

Om: Tum khush ho ? Mtlb tumhe..bura nhi lag raha?

Gauri: Haan..ham to khush hain aur hame kyun bura lagega?

Om sadly chuckled: Haan tum to khush hi hogi.

He left from there.

Gauri with confused face: Inko kya hua ?

In evening.

All came outside of the hotel

Teacher: Ham pehle jaipur ke sabse khubsoorat jagah par chlenge... City palace.

All nodded. Bus arrived there. All students entered inside the bus.

Gauri was sitting alone. She saw that Om was searching seat for himself. He looked at her and she shifted and offered him the seat beside her but he went to Ajay and sat beside him.

Gauri frowns: Ye aise kyun behave kar rahe hain? Iska hamko kuch samjh hi nhi aata abhi thode der pahle kaise baat kar rahe the phir na jane kya hua..Hufff.. Ladkiyon se jada mood swings hote hain inke.

Ajay looked at Om : Tujhe kya hua? Aaj pahli baar Gauri ne tujhe apne bagal vali seat offer ki aur tu idhar aa gaya..Vaise to mara jata hai uske sath baithne ko.

Om irritated: Kya hai yaar? Ab kya mai apne friends ke sath bhi nhi baith sakta?

Ajay: 😶Arre..aisa maine kab kaha? Par kuch to hua hai tujhe..aisa kyun baat kar raha hai?

Om: Kuch nhi hua.

Ajay: Gauri ne kuch kaha kya ?

Om: Wo kuch kehti hi to nhi.

Ajay: Matlab?

Om: Yaar usko mere jaane na jaane se koi fark nahi padta...I mean mujhe laga tha ki wo bhi mere liye feel karti hogi par..

Ajay: Haan to mai pehle hi bol raha tha.. tune hi jhoothi umeeden rakhi hui thi.

Om: 😒Kaisa friend hai tu? Mujhe dilasa dene ki jagah Bejati kar raha hai.

Ajay: 😒Mai to bas sach keh raha hun. Tu ab uska khayal chhod aur apane career pe focus kar..Ek baar tu artist ban jaye phir Gauri se bhi acchi bahot si ladkiyan aayengi.

Om: Usse acchi aayengi na? Par Uski jaisi to koi  nhi aayegi.

Ajay: Tu pagal hai kya? Abhi thode der pahle mara jaa raha tha Gauri se gussa ho kar...aur abhi...Huh! Teri baatein tu hi jaane.. Mujhe mat pareshan kar.

Om: 😶Yaar tujhe sach me nhi lgta ki Gauri ke man me mere liye feelings hain?

Ajay irritated: Nhi lagta..bilkul bhi nhi lagta..ab chup chap sadme me baitha reh.

Om looks down.

Ajay sighed: Om yaar ab mai uske man me to ghus ke dekha nhi ki uske man me kya hai...bas mujhe aaj tak laga ki wo tujhe bas ek friend ke rishte se dekhti hai..Aur tujhe doubt hai to tu puch le usse.

Om: Maine bahot baar pucha hai par usne mana kar diya hai😶.

Ajay: Haan to mana kiya hai na..ab please uska peecha chhod aur apne career pe focus kar.

Om : Par..

Ajay: Tera sar..Mujhe mat paka yaar please.

Om: 🤧Mai baat nhi karunga tere se.

Ajay: Haan please.

Om: 😶😶.

After sometime they reached to  city palace .

Ajay: Om tera mobile de na.. selfie lete hain.. Meri phone ki battery dead hai.

Om gave him mobile: Le kha jaa.

Ajay: 😶Chal selfie len.

Om: Mujhe nhi leni..Tu jaa kar Richa ke sath le..mai ghoomne jaa raha hun.

Ajay: Arre sir se puche bina kahan jaa raha hai?

Om: Puchne ki kya baat hai..sab idhar udhar ghoom rahe hain na.

Ajay: Par sab teachers ke aas paas hain..Agar gum ho gaya to..

Om: City palace chhod ke bhaga nhi jaa raha hun..Yahin pe hun...Hatt tu jaa selfie le.

He went to other side for watching the palace.

After sometime.

Teacher: Students ab hotel vapas chalna hai hame so everyone come back to bus.

All went near bus .

Teacher start counting the number of students.

Teacher: Iss bus me thirty students the..but there are only twenty nine students..Koi ek student nhi hai...par kon?

Shivaay: Sir Om.

Teacher: Ohh yes... Omkara kahan hai? Usko call karta hun..

Ajay: But sir uska mobile mere paas hai...Wo mujhse keh raha tha ki palace ghoomne jaa raha hai..mujhe laga ki aas paas hi hoga.

Gauri: Sir ham unhen dhundhne chalen?

Teacher: No..aap sab rukiye mai aur Rajat sir jaate hain.... Chaliye sir.

Shivaay: Sir Mai bhi aa sakta hun kya ? Please sir..

Teacher: Ok let's go.. and aap sab yahin rahiyega .

Rudra: Bhaiya please mujhe bhi le chaliye..Mujhe bahot tension ho rahi hai.

Priyanka: Mujhe bhi.

Shivaay: Don't worry bas yahin kahin hoga ham dhundh ke jaldi aa jayenge..Tum log yahin raho.

They left from there.

After few minutes.

Gauri: Sir log abhi tak nhi aaye..ham log bhi jaate hain...Pata nhi kahan honge..

Richa: Gauri don't worry ... wo baccha nhi hai jo kho jayega.. idhar udhar gaya hoga aa jayega.

Rudra: To phir sir log kyu nhi dhund paa rahe hain?

Priyanka: Haan mujhe  bahot tension ho rahi.. chalo dekhte hain.

Anika: Haann.. chalo ham bhi dekhte hain..

Bhavya: Jana to hai par sir datenge.

Gauri: Jo hoga dekha jayega..abhi dhundhna jada important hai.

Rudra: Haan.











Precape: Omkara went to London.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top