Truth Behind Mission Beherupiya
Anubhav was in the basement facing the LED screen placed on it when the Team entered
He turned and folded his arms
Anubhav: Team...Sab se pehele hum apko mission ki samast jankari denge
Santu: vo toh apko deni he padegi sir...varna hum sab kamm kya karenge ...apke pass koi option nahi hai
All looked at her and Cheeta Smiled closing his eyes
Anubhav: jee Santosh Sharma hume gyaat hai ki humare samaksh aur koi vikalp nahi hai
Nayab moved forward
Nayab: Anubhav ye rahi vo list
She passed him the list and all others exchanged glance in confusion
Anubhav checked the list and kept it aside
Anubhav: toh team...ye mission hai Atankwadi sangathan ke virudh aur ye koi aur Mission nahi hai Balki ...
Nayab: Balki Mission Beherupiya he hai
Everyone's eyes went wide and all exchanged glance
Anubhav turned facing the screen as his eyes became moist and he didn't wanted to show his tears
Anubhav: Mission aramb hota hai uss kshan se jab hum aapni sagaiee chood kisi aur mission hetu gaye the ...vaha bhi mamala uss drive ka tha jisme humare desh ke guptcharon ki sari jankari nihit thi...uss samay humne aur humari team ne desh ko toh bacha liya parantu uss pendrive ki raksha nahi kar paaye...vo pendrive unke haath lag gaiee... uss pendrive mein ek yantra laga tha jis se hum uske kisi stan par hone ki jankari prapt hoti reheti thi
Santu: you mean tracker?
Anubhav: ji Santosh Sharma Tracker
Anubhav: aur ussi Tracker ke karan hume ye pata chala ki Vo pendrive Haseena Mallik ke pass hai...humne unhe taths kshan durbhash kiya aur unhe ane wale sankat hetu sachet kiya parantu uske baad... Haseena Mallik Gayab hogaiee aur sampurna ek mahine baad lauti toh vo bhi Urmila Mahadev Mahtre bankar
Nayab : Anubhav ka dil ye man ne ko tayar he nahi tha ki ap Haseena nahi Balki Urmila hai. Isiliye vo Koshish karte rahe ki app unhe ye bata de ki ap he Haseena hai...
Haseena remembered his attempts for her confession made by him
Nayab: aur jis din apne unhen ye bataya ki ap Haseena ho ... Jaise vo satve aasaman par the ... Vo Jald se Jald uss pendrive ko uski sahi jagah poochha kar apke saath ek naiee zindgi ki shuruaat karna chahate the lekin...
Anubhav closed his eyes
Anubhav: parantu...uske agle he din Maa Ka apaharan ho gaya aur hume vivash ho kar ye sab karna pada
All: kya ?
Nayab : haa...aur maze ki baat ye ki aunty kidnap bhi ho gaiee par unhen pata bhi nahi chala
Karishma : ka? Chachi ka apaharan bhi hua par unhe pata nahi chala?
Anubhav: haa kyu ki unka apaharan karne wala koi aur nahi apitu unka apana putra tha
Santu : ek min ek min sir... Apne apni he maa ka apaharan kiya phir apne khud ko he majboor kiya Haseena Madam ko dhoka dene ke liye...Sir...Aisa Kon karta hai ? Dhoka Dene keliye bhi ye ekdam bakwas idea hai
Anubhav turned and looked at her and all others too gave her a look
Cheeta : ufff...ye masumiyat
Anubhav glared at Cheeta
Karishma: ama bhak... Ka kuch bhi bol rahi ho tum santu... Bhaiya kahe khudi ko majboor karenge?
Haseena: ek min ... Hume ye Nahi samjha...kya... exactly iss baat ka Matalab kya tha?
Nayab looked at Anubhav...
Nayab: matalab... Anubhav ka judwa Bhai Abhinav...
All became shocked ... Karishma looked at Anubhav
Karishma: Abhinav bhaiya?
Anubhav: haa Abhinav...jise aaj tak ye gyat nahi hai ki hum uske koi humshakl nahi apitu uske apne sagge bhai hai...
Karishma: jaha tak hume yaad hai Bhaiya...Abhinav Bhaiya toh...
Anubhav: Haspatal se chori kiye gaye the...aur uske baad kabhi mila he nahi
Anubhav: jis raat hume urmila ke baremien pata chala ussi ke agle din maa ka apharn hua...usne hume durbhash ke dwara ye jankari di...aur humse kaha gaya ki vo pendrive unhe saup di jaye ... Hum phir bhi vo pendrive sarkar ko dena chahte the ... Jis din hume maa ke apharan karta ne milne keliye bulaya hum vaha gaye aur usse dekh kar ashcharya chakit ho gaye...vo dikhne mein bilkul humare jaisa tha
Anubhav: kuch kshan keliye hume kuch samjh nahi aya ... Parantu agle he pal usne kuch aisa hume dikhaya ki hume vo karna pada Jo usne humse karne keliye kaha tha...
Pushpa ji: kya? Kya dekha apne?
Anubhav: visphotak ... Lucknow sheher ke alag alag vidyalayon mein visphotak rakhe gaye the aur humse kaha gaya ki agar hum chahte hai ki vo visphotak vaha se hat Jaye toh hume Haseena Mallik se vo pendrive Leni hogi
Cheeta: par sir usne apse Haseena madam ko marne keliye kahe kaha?
Anubhav: Haseena Mallik ko marne keliye nahi kaha gaya tha hume...hume toh keval unse pendrive chahiye thi...vo toh humne Jaan bujh kar Haseena Mallik par humala kiya taki vo hum par Goli Chala sake aur Nayab ko aur samay mil sake Maa tak pohochne ka aur visphotak nishkriya karne ka
Nayab: aunty ko toh humne bacha liya par Schools mein bombs ki chunauti ab bhi humare samne thi ... Uspar Anubhav ko kaha gaya ki unke paas sir 24 ghante hai uss pendrive ko lane keliye...
Karishma: aur iss liye aap vo pendrive pane keliye itna tadap rahe the
Anubhav: ji...baat keval maa ki hoti toh shayad hum apne Hriday par patthar rakh bhi lete parnatu yaha baat unn masum athva komal bacchon ki thi atha hume vo karna pada...Parantu... Uss se pehele he Haseena Mallik ko ye Gyaat ho gaya ki hum vo pendrive dushmano ke haath dena chahte the...
Nayab: Anubhav jante the ...chahe kuch bhi ho jaye app unhe pendrive nahi dengi aur vo khud bhi vo pendrive Lena nahi chahte the par vo majboor the... Isiliye unhone majburan khala ko kidnap kar liya ...
Anubhav: Kyu ki ve log hum par drishti rakhe huee the iss hetu hum ap sabko bhi kuch nai bata sakte the... Thatha humne vo natak jari rakha...
Nayab: hum adhe schools ke bomb difuse kara chuke the par adhi schools ab bhi khatre mein thi... isiliye vo pendrive destroy Hone ke baad bhi Anubhav ye natak karte rahe aur unhe sachme goli lag gaiee
Kareenav remembered that scene when he was shot by bullets...
Karishma: a..apko ye kab pata laga ki vo apka humshakal , apka humshakal nahi balki Apka judwa Bhai Abhinav bhaiya hai ?
Nayab: Jab Anubhav hospital mein the aur bohot critical the... Unhe hosh toh aa gaya tha par unhe under observation rakha gaya tha ...
Anubhav: ek din hume jab Chikitsak ke clinic se humare kaksh le jaya ja raha tha tab humne dekha ki Abhinav vaha apna ilaj karane aya hai ...uske kandho par bohot bada ghav tha...kyu ki usne tab shirt nahi pehen rakha tha humari drushti uske janma chinha par padi... Hum ashcharya chakit reh gaye kyu ki...jis prakar ka Chinha humare dahine kandhe par tha ...ussi prakar ka Chinha unke Bahine kandhe par bhi tha
Nayab : lekin phir bhi Anubhav confirm karna chahte the ki vo he Abhinav hai ya nahi isiliye... Hospital se humne request ki aur Abhinav ke chupke se blood samples liye gaye aur Anubhav ke blood ke saath match kiye gaye...aur tab hume pata chala ki vo he Abhinav hai...
Anubhav: jo department ko humpar sandeh tha ki hum Gaddar hai aur Department ki sari gupt Jankari shatruon ko de rahe hai...asal mein Vo Abhinav tha...jo ki humare bhesh mein department mein aa kar vo sare kary karta tha...
Haseena: A..aur hum aj tak ye sochte aaye ki ap vo gaddar hai?
Haseena's eyes developed tears
Haseena: Na ek baar apki majboori Jan ne ki koshish ki... Na kabhi apka case phirse samjhne ki koshish ki
Karishma: humne bhi ye maan liya ki aap ...ap ek deshdrohi hai...Sahi hai bhaiya...apka ghussa apki narazgi bilkul sahi hai ... hum isi ke layak hai.. isi ke layak hai hum
Anubhav looked at his Sister and his lady love who were standing with the pool of Guilt...
Par vo bhi kya kare yaar?
Anubhav: Ashru bahane ka samay nahi hai ... Lakshay par dhyaan kendrit kijiye
Karishma: Bhaiya...agar ye Jan ne ke baad ki Ap unke Bhai hai aur Hum unka parivar...agar Abhinav bhaiya sudhar na chahe toh?
Anubhav gulped and looked at Karishma
Anubhav: toh bhi kuch nahi kar payenge Karishma Singh...Sarkar ke liye humesha ek Apradhi ek Apradhi he hota hai aur uspar Abhinav ne toh Deshdroh kiya hai
All remembered Nayab's words
"unka Ghav jitna dikta hai na utna hai nahi...geheraiee itni hai ki jad khojte khojte ap khud Gum ho jayege "
Now all understood what Nayab ment... He was already suffering from the heartbreak for the trust issue between his loved one and him and the cherry on top was this mission against his own brother...
He will be a losser
Kyu ki agar Mission hare toh vo aur unka desh harega
Par Mission jeete toh vo humesha humesha keliye apne Bhai ko kho denge
Haar toh dono tarf se ANUBHAV ki he hai
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top