Suyog- The new angle

At evening,

Billu went to Chaman and in the Name of give and take of drugs he initiated the bugs and the tracker in Chaman's mobile phone tactfully.
Also he sent the some clips of Chaman with drugs to the team.

Santu: sir, Tracker aur bugs activate ho chuke hai aur Billu ji ki bheji huee pics bhi mil chuki hai.

Anubhav: Adbhut, maan na padega Haseena ji...Billu Champat ek chor hai parantu apke Jazbaaton ke Jadu ne unka bhi Hriday parivartan kar diya.

Anubhav lovingly looked at Haseena and Haseena blushed.

Pushpa ji signalled at Anuseena to Karishma.

Karishma: ka?

All looked at Karishpa.

Pushpa ji: kuch sikhiye apne bhaiee se, kitna pyaar karte hai vo Maddam sir.

Karishma: toh aap ka Kehena chahati hai Pushpa ji? Ka hum apke Lalla se pyaar nahi karte?

Pushpa ji: humne Aisa kab kaha?

Karishma: par matalab apka vahi tha na!

Pushpa ji: humara matalab toh ye tha ki kabhi ap bhi romantic ho jaiye, Humare Dadi ban ne ke armaan toh pure ho?

Anuseena cleared their throats.

Karishma: nahi matalab mudda koi bhi ho, ap kahina kahi ye ghuma phira ke isi baat pe aa jati hai.

Viyom: haa maa, itni jaldi kya hai?

Santu: nahi Viyom ji...apko aur Karishma madam ko jaldi nahi hai par Pushpa ji ko toh jaldi hai na!

Pushpa ji nodded.

Santu: Ab isme Pushpa ji bhi galat nahi hai. Ab unki Umar ho chali hai toh unhe bhi ghaiee hogi na apne Pota ya poti ko dekhne ki.

Pushpa ji looked at Santu with wide eyes and All suppresed their giggles behind their lip.

Cheeta: Uff...

All: ye Masumiyat!!

Then Pushpa ji glared at all and All immediately looked at the laptop screen, showing her that they are totally into the mission.

Pushpa ji : (murmuring) ek ek ko dekh lenge.

Abhinav cleared his throat.

Santu: Sir Billu ji waha se nikal chuke hai aur unke nikalte hai he tracker movement indicate kar raha hai.

Haseena: Kuch bata sakti hai ki ye Champak kis taraf jaa raha hai?

Santu: Maddam sir... Ye Champat Cotton Market ki taraf jaa raha hai.

Abhinav: ye jagaha toh Bakshi ke Ghar ke aas paas ki hai.

All : kya?

Abhinav: haa... matlab mai ek do baar vaha gaya hu drugs ki deal ke silsile mein.

Santu: sir tracker ruk gaya.

Nayab: Audio ki volume badhaiye.

Santu did as Nayab said.

(Chaman : mujhe...Milna hai tumhare boss se.

Person: ap yehi rukiye mai puch kar ata hu.)

Aadarsh : Prateet hota hai jaha Ye Chaman kisi aise vyakti ke yaha gaya hai jaha bohot sare suraksha karmi hai.

Anubhav: Sambhavta Bakshi ke niwas sthan pe?

Cheeta : par Sir uu Bakshi toh Lockup mein hai.

Karishma: par uu jisne Dhamki diya uu toh Ajad ghum raha hai na!

(Person: Ap Andar jaa sakte hai.

Chaman moved in.

"YAHA ANE KA REASON?" A voice echoed in the room and on the bugs.)

The voice that echoed made Nayab tremble and Anubhav Angery.

Abhinav held Nayab.

Abhinav: Nayab ji! Kya hua?

Nayab started breathing heavily.

Nayab: y..ye A..awaz!!

Haseena: kis ki hai ye awaz?

Anubhav: (in anger) Suyog ki.

All got shocked.

Abhinav tightly held Nayab's hand assuring her

( Chaman: Tumhare Fayde ki ek deal hai mere paas.

Suyog: Jab tak vo deal Mujhe meri Nayab tak na le jate, mai kaise maan lu ki vo deal Fayde ki hai?)

Nayab clenched Abhinav's T-shirt and Abhinav creased her back.

( Chaman : fayde ki he hai.

Suyog: Yaad hai na ki tere aur mere beech kya tay hua tha?

Chaman : haa yaad hai ki Mai tujhe Teri Nayab tak Pohochauga aur tu mere gair kanuni maal ko desh ke bahar pohochane mein meri Maddat karega.
Tera fayada jitna tujhe pyaara hai, mera fayada mujhe bhi utna he pyaara hai isiliye ye deal wali baat tujhe bata raha hu.

Suyog: deal kya hai?

Chaman : aaj ek aadmi aya tha Godam mein, usse Ganjhe ke 20 khoke America pohochne hai par vo chahta hai ki vo khoke America jane se pehele uske ghar jaye uski Tasalli keliye.

Suyog: toh isme Mera kya fayda?
Mai Nayab tak kaise Pohochauga?

Chaman: Uska ghar, Anubhav ke Ghar ki peeche wali Building mein hai yane uss gahr mein jis ghar mein Nayab hai. Maze ki baat ye ki jis din ye drugs ki Hera Pheri hogi uss Din Anubhav ka Sangeet hai.

Suyog: Intresting! Very Interesting!

Chaman : maine Anubhav ke Ghar ke Halwaiee ko khareed liya hai, vo sabhi baratiyon ke khane mein Nashe ki dava dalega jis se sab behosh ho jayege aur Tujhe Nayab ko le jane mein aasani hogi.

Suyog: Aur Singh Pariwar ko Marne mein bhi...khas kar uss ANUBHAV Singh ko.)

All Got Shocked and Nayab got hell scared to the extent that she was badly trembling with Abhinav constantly creasing her back.

(Chaman: Par Singh Pariwar ko Marke tujhe kya fayda? Mera matalab...teri Nayab toh tereko mil jayegi na! Phir uss Pariwar ko kyu maarna?

Suyog: Bakshi ke badle keliye.)

Before their conversation could end Nayab went unconscious.

Abhinav: Nayab ji!!

All: Nayab!!

Adarsh: Prateet hota hai ki isse Punha Jhatka laga hai. Putra, isse iske kaksh mein le jao.

Abhinav quickly took Nayab to her room.

Here Haseena lost her cool.

Haseena: Samjhta kya hai Ye Suyog Apne aap ko? Isne socha bhi kaise ye humari Behen ko Chu tak sakta hai.

Karishma: Ama ek baar ye Suyog humae haat lag jaye, Maiya kasam uska vo haal karenge na ki jab bhi mu kholega eko he baat bolega ki Daroga ji dekhe toh bohot magar tum sa nahi dekha.

Anubhav: iss baar ye Suyog humare haatho se nahi bachega.

Pushpa ji: par iss Suyog ka Bakshi se ka nata hai? Vo kyu Bakshi ka badla lena chahta hai.

Haseena: Vajha jo bhi ho Pushpa ji, itna toh teh hai ki hum Suyog ko nahi chhodenge.

Haseena left from their , hiding her tears and Anubhav went behind her.

Anubhav: Haseena ji!

Haseena: Hum Chhodenge nahi Anubhav uss Shaks ko, Humari Choti behen ka ye haal usski vajaha se hai, jaan le lenge hum uski.

Anubhav immediately hugged her.

Anubhav: Haseena Mallik ke mukh se kisi ke pran le lene ki Baaten?

Haseena: Jab Baat apno ki Aaye na Anubhav toh hum koi bhi haad par kar sakte hai...koi bhi.

Anubhav: samjhte hai Priye... Jitna krodh apko aa raha hai utna he krodh hume bhi aa raha hai, parantu gyat hai na humare madhya kya tay hua hai?

Haseena: haa...hum milkar sab theekh karenge.

Anubhav: aur iss baar kisi ko bhi humara aur humare pariwar ka kuch nahi bigadne denge.

Haseena: hum humare Pariwar ki dhaal banege Anu.

Anubhav seperated and Wiped her tears.

Anubhav: toh Yadi hume Dhaal ban na hai...toh kya hume Rona hai?

Haseena nodded her head Negatively and then immediately hugged Anubhav and Anubhav to rreciprocated.

__________________________________

Precap: Nayab Abhinav getting closer
__________________________________

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top