Roka Ceremony
With a busy day of preparation of the Roka Ceremony, the time Ceremony came.
All the guests started arriving with Pitashree visiting them with Abhinav.
While here In Haseena's room.
Haseena: Santu...itna makeup nahi, thoda kam kijiye.
Santu: Kya Maddam sir, Apka Roka hai itna toh makeup banta hai.
Nayab: Haa Appi, just chill. Aur vaise bhi jis tarah ap Kayamat Dha rahi hai na, I am sure. Anubhav apko dekh kar flat he ho jayege.
(Haseena's wedding look
PS: Sunflower bhi imagine kar lena)
Ammi took out the kajal from her eyes and applied behind her neck.
Ammi: Allha tujhe haar buri nazar se bachaye.
Haseena smiled.
Karishma: Kamal hai Bhabhi, matalab aap ek dam khidki Tod lag rahi hai. Ek Dam Bawal.
Haseena: Vaise Nayab, Ap toh sachmein Ye Baby pink colour ka phool lekar aa gaiee. Kaha Mila?
Nayab: vo bouquet pe lage rehte hai phool... Pehele toh unhe dhoop mein rakhar unka colour fade kiya aur phir colour fade ho jane par usse paint kar diya.
Ammi: kya dimag chalati hai Nayab tu...kasam se maan gaye.
Nayab: ab ap yaha baithiye hum Zara dulhe Raja ko dekh kar aye.
Nayab left
Nayab entered Anubhav's room and Found him in front of the mirror in his handsome attire.
(Anubhav's outfit
PS: Brooch imagine karlo yaar)
Nayab: Are Waah Dulhe Raja, Jach rahe hai.
Anubhav: Sacchi??
Nayab: mucchi.
Anubhav: aacha, Haseena ji kaisi lag rahi hai?
Nayab: Hoor ki Pari, kayamat Dha rahi hai, ap toh aaj kasam se ...ghayal hone wale hai.
Anubhav: hume unhe dekhna hai.
Nayab: zarur dekh lena par... Roke ki rasam ke waqt ok?
Anubhav: Nayab!!
Nayab: Anubhav!! Appi iss waqt khala, Karishma appi , Santu inn sab se ghiri huee hai... Ap waha Gaye toh bekar he apko Aaj ke din daat pad jayegi.
Anubhav: Toh aap kis liye hai, sambhal Lena na!!
Nayab: Nahi, Nahi...Hume Niche Jana hai.
Nayab was about to move but stopped looking at Anubhav's sad face.
Nayab: tch...ab ye mu latkane ki zarurat nahi hai, karte hai kuch.
Anubhav smiled immediately.
Anubhav: ye huee na Humari Ghanisht Sakhi wali baat.
Nayab: bas bas...zyada maska lagane ki zarurat nahi hai.
Nayab left and moved towards Haseena's room when found Abhinav.
Nayab: Abhinav.
Abhinav: ji
He looked at her from top to bottom.
Abhinav: Nayab ji ap kuch kahe iss se pehele hum kuch kahe?
Nayab: kahiye...Aap aj bohot pyaari lag rahi hai.
Nayab:(sternly) matalab roz pyaare nahi lagte? Ye kehena chahte hai ap?
Abhinav's face went worried.
Abhinav: n.. nahi Nayab ji...ap galat samjh Rahi hai...hum toh..
Nayab laughed.
Nayab: Apka chehera, Kya Abhinav ji? Mazak kar rahe the hum.
Abhinav smiled.
Abhinav:kya Nayab ji ap bhi
Nayab : vaise Shukriya.
Abhinav: iski zarurat nhi hai, ap hai he itni Khubsurat.
Abhinav's eyes went wide.
Nayab: ji?
Abhinav: m.. matalab ap Bohot Khubsurat lag rahi hai.
Nayab: Ap bhi kam Handsome nahi lag rahe hai.
Abhinav blushed
Abhinav: dhanyawad.
Nayab: accha ab kam ki baat par ayee?
Abhinav: ji kahiye?
Nayab: vo Anubhav...
Abhinav: ab kya mangana hai?
Nayab: Nahi..nahi kuch Mangana nahi hai, unhe appi se milna hai.
Abhinav: Abhi?
Nayab: haa...abhi!!
Abhinav: thoda intezar nahi kar sakta kya?
Nayab: unhe abhi milna hai aur Vaise bhi Abhinav... Engagement ke rasam tak toh dono ka milna totally shadi Tak band ho jayega toh Milne dete hai na!
Abhinav: accha...kya karna hoga hume?
Nayab: zyada kuch nahi ...appi ke room mein jitni bhi ladies hai unhe Neeche le Jana hoga aur iss baat ka dhyaan rakhna hoga ki koi upar na aaye.
Abhinav : theek hai
Anubhav went to Haseena's room and took Ammi Santosh Ji and Karishma Singh with him.
Nayab immediately went to anubhav's room and took him to Haseena.
Haseena: Anubhav!! Ap yaha kya kar rahe hai.
Nayab: milna tha inhe...Anu!! Jaldi apni mulakat khatam kijiye. Vaise bhi Rasam mein zyada waqt nahi raha hai.
Anubhav: haa...ap toh jaiye.
Nayab: Jaise Hume bada shauk hai apke pass rukne ka. Jaa rahe hai.
Anubhav: toh jaiye na!!
Nayab left showing her eyes to Anubhav.
Anubhav looked at Haseena and Haseena Looked at him.
Anubhav: Bohot he Sundar lag rahi hai.
Haseena : hmm...par ap kuch khas nahi lag rahe hai.
Saying that Haseena moved towards the mirror.
Anubhav: Accha?
Anubhav back hugged her.
Anubhav: kaisa dikhna chahiye tha hume.
Haseena: hum kyu Bataye?
Anubhav: batana toh padega. Aakhir...Var (dulha) hai apke.
Haseena looked at him.
Anubhav: bataiye na!! Kaisa dikhna chahiye hume.
Haseena: jitne aaj lag rahe hai utne he handsome.
Anubhav: parantu aap to keh rahi thi, ki ham kuchh khas nahin lag rahe !!
Haseena: ab hum ye except kaise karte? Ki ap humse bhi acche lag rahe hai?
Anubhav: galat bat priye?
Haseena: Ab issme kya galat baat?
Anubhav: Ap se accha koi ho he nahi sakta, hum bhi nahi.
Anubhav pecked her forehead
Haseena blushed.
Haseena: par humare liye toh ap he sabse acche hai...humse bhi acche.
Anubhav smiled
Their sweet moment came to a halt when Nayab knocked the door.
Nayab: Anubhav please ab bahar aa jaiye. Ap dono ko neeche bula rahe hai.
Anubhav: chaliye...humare ek hone ki vidhi ki oor pehela kadam badhate hai.
Haseena nodded and both left.
Abhinav and Nayab took Anuseena down for the Roka Ceremony.
And...
Finally the ceremony began.
Pandit Ji started with his Mantra uchharan and Maa placed the red chunni on Haseena's head.
Pandit ji: Apne vadhu ko ye chunni udha di hai ...iska aarth hai aaj se ye apke ghar ki laaj hai aur ab ye apke ghar se jud chuki hai. Ab var vadhu ke pariwar Wale shagun apas mein badal le uske pashchat Roke ki ye Rasam Samapt ho jayegi.
Mallik Family and Singh Family exchanged Gifts and Dry fruits and the Ritual got completed.
With Applause all around.
Then Nayab and Karishma did an amazing dance with all family members joining them at the end and like this, Happily, merrily, the Program ended.
__________________________________
Precap: Engagement Preps.
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top