Resuming the Mission

Next Day,

Brrommmm!! Made the sound of her bullet that entered the place with a man tied on it.
Who was being dragged entirely on the way. And now atlast she stopped the bullet.

Man : Maddam kya kar rahi hai ap? Kyu pakad rakha hai mujhe.

"Ama bhakk! Shukar karo tumhe sirf bike se bandha hai ...varna Humara bas chale toh tumhe sulhi pe Chadha de." Roared Karishma to the man.

He untied the person and held his collar and dragged him inside .

She threw him in the middle of the hall with everyone encircling him.

Karishma: Yehi hai vo Bhaiya...Jo kal raat apni gadi lekar aya tha. Sachdev yadav naam hai iss topa admi ka.

Sachdev: sir ye sab kya ho raha hai? Ye maddam kyu mujhe yaha khich kar laiee hai?

Pushpa ji: toh kya aarti karke lati tumhe? Tumhare karan , sirf aur sirf tumhare karan ghar mein shadi hote huee bhi hum kisi bhi function ki tayari ke taraf dhaayan nahi de paa rahe hai...bolo....Naspita kahi ka, stayanash ho tumhara, tumhe narg naseeb ho...keede pade tumhe...tum...

Anubhav: bas bas pushpa ji, pariyapt hai...kuch Dand Yamraj keliye bhi chhod dijiye...agar ap he sare dand nishchit kar lengi toh vo kya karenge?

Santu: haa...pushpee ... Mere papa kehete hai ki Jiska kam ussi ko saje aur Koi aur kare toh thega nache.

All looked at Santu.

Nayab: duja kare toh thenga baje aisa kehte hai.

All Now looked at Nayab.

Nayab looked at Sachdev.

Nayab: ye sab tumne kyu kiya bolo?

All again focused back on Sachdev..

Sachdev: humne kuch nahi kiya madam , humara Vishwas kijiye humara.

Haseena : agar apne kuch nahi kiya toh apki gaadi vaha kar kya Rahi thi?

Sachdev: mujhe kuch bhi nahi pata maddam...bas kal mere paas  kuch log aaye the Gaadi kiraye se mangne aur meri Bacchi ke admission ke liye mujhe paison ki sakt zarurat thi isiliye maine unhe gadi de di.

Karishma: ka aap bata sakte hai ki vo log kon the?

Sachdev: shakal toh mai nahi dekh paya kyu ki unhone muh par kapda bandh rakha tha par ha...un mein se ek ki aankhe kanchi thi aur uske haath par Jale ka nishan bhi bana tha.

All: kanchi ankhe?

Anuseena exchanged glance.
Abhinav remembered something.

Anubhav: theekh hai shreeman ap ja sakte hai... avashyakta padi toh phir bulayege aur haa apko Jo aasuvidha huee hai uss keliye hum kshama prarthi hai.

Sachdev: koi baat nahi sir.

Sachdev left.

Haseena looked at Anubhav and Anubhav at Haseena.

Anubhav: kuch smaran hua?

Haseena: haa...vo Hamlawar...jisne Santu pe humla kiya tha.

Nayab: uski bhi ankhe kanchi thi aur uske bhi haath pe jalne ka nishan tha.

Karishma: ho na ho...ye vahi hai bhaiya.

Abhinav: (murmuring) Kanchi akhe? Jalne ka nishan?

Aadarsh : kya baat hai putra? Kya vichar kar rahe ho?

Abhinav looked at his father.

Abhinav: pita ji... shayad aise kisi aadmi ko mai Jaan ta hu.

All looked at him.

Abhinav: mujhe yaad hai...jab humare godown mein drugs delivery hoti thi tab aksar ek admi aya karta tha uss delivery keliye...mujhe lagta hai ye vahi hai. Kyu ki uski aakhen bhi kanchi thi aur usske haathon par bhi jalne ka nishan tha. Chaman...ha... shayad chaman naam hai uska

Nayab: phir toh hume jald se jald uss admi tak pohochana hoga.

Cheeta: pair Kaise?

All started thinking when Anubhav's Eyes went on Haseena's smiling face.

Anubhav:  S.H.O Haseena Mallik! Kya yojna hai?

Haseena looked at Anubhav and Smiled wider.

Haseena: Plan ye hai Sir ki hum mein se koi ek Chaman ke paas bhes badal kar jayega ye keh te hue ki unhe drugs ka sauda karna hai, kyu ki hume drugs ki Talab hai.

Santu: lekin Maddam sir...Abhinav sir kyu nahi jaa sakte vaha pe? Unhe toh already iss chiz ki talab hai na?

Nayab : nahi Santosh Sharma Abhinav vaha nahi jaa sakte kyu ki Jis duniya se Abhinav aaye hai uss duniya ke logo ko ab ye Pakka yakeen ho chuka hai ki Abhinav Singh ab Ankit Babu ban kar nahi aa sakte aur agar vo Ankit babu ban kar gaye toh iske chances bohot zyada hai ki hum pakde jayege.

Karishma: toh Ab sawal ye hai ki Vaha bhes badal kar kon jayega?

All looked at Billu.

Billu: kya mai?

Karishma creased her gun.

Billu: h..haa mai!! Mai nahi toh aur kon jayega? Ma..mai he jauga.

Anubhav and Adarsh: Adbhut Shreeman!! Hume Garv hai ap par.

Billu gave a scary smile.

Haseena: Billu tumhe waha Jaa kar kisi bhi tarah uss Chaman ke phone par ye tracker aur ye bug fit karna hai...taki uski pal pal ki khabar hume milti rahe aur ho sake toh koi jankari saath Lana.

Karishma: badiya maddam sir... Agar ye tracker uske saath hoga toh hum uss par nazar bhi rakh payege aur hume uski agli chaal ki bhi bhanak rahegi.

Abhinav: Billu zara sambhal ke...usse zara bhi Shak nahi hona chahiye vo thoda sanki kism ka hai.

Billu: Are Abhinav sir...why fear when billu the spy is here.

Anubhav : Shabash Billu Champat ...ab ap apne prasthan ki tayari kijiye.

Billu nodded.

Maa: accha kam kam mein bhool mat jana Sangeet ki rasm hai kal.

Nayab: sab yaad hai aunty ap chinta mat kijiye sab ho jayega

Viyom: haa Chachi ji Relax.

All smiled.

Pushpa ji: umeed karte hai bas shadi se pehele ye sab nipat jaye.

Adarsh: Sab Theekh hoga samdhan ji ap nischit rahiye.

__________________________________

Precap: Suyog- The new angle
__________________________________

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top