Berukhi 🥺
All were seated in the living area with a tensed face.
Maa was doing Anubhav's dressing and Santu was back to consciousness
Cheeta: Santu ji...ap theekh toh hai na
Santosh noded her head positively and looked at Anubhav
Santu: agar aaj Anubhav sir beech mein na ate toh ye goli seedha mere mathe par lagti
All looked at him
Santu: sir ne mere naam ki goli apne naam par le li
Nayab smiled
Nayab: kya kare...adat se majboor jo hai
All looked at Nayab with a confusion while Anubhav gave a strict glare
Haseena: Matlab?
Anubhav: humare Ghanisht sakhi aur humare madhy ki baat hai...kripya koi aur beech mein na aaye
Haseena felt bad
Anubhav : Santosh Sharma ap yaha? Arthat ...
Santu: Yes sir Department ne mujhe he apke next mission ka cyber expert banaya hai
Nayab:. Santu...kam ki baat abhi nai...pehle tum aur Anubhav aram kar lo
Santu nodded and cheeta took Santu to her room
Anubhav looked at Nayab and gestured something
Nayab nodded in assurance and Kareena noticed it
Anubhav left from their and Nayab too was about to leave but Karishma interrupted
Karishma: Nayab...ye Santu aur bhaiya kis mission ke baremien baat kar rahe the?
Nayab : vo ek naya mission aya hai...ussi silsile mein
Haseena: konsa mission?
Nayab: vo confidential hai Appi...nahi bata sakte
Nayab turned to leave but again turned back
Nayab: aur ha Karishma appi...agar Anubhav ka vishwas wapas jeetna hai toh please koi bhi aisa kaam mat kijiye ka jis se unki narazgi aur badh Jaye...ap Samjh rahi h na? Anubhav ko ye bilkul nahi pasand ki unke mission mein koi dakhal de
Karishma noded
Nayab left
Karishma: par aakhir aisa konsa mission hai jis ke shuru hone pehle ki Hamla hogya?
Haseena: pata nahi Karishma Singh bas yaad rahe...hume Anubhav ko aur Naraz nahi karna hai... isiliye hum iss mission ke baremien Jan ne ki koshish nahi karenge
Karishma nodded looking at Haseena
__________________________________
At the basement of the house
Anubhav: Nayab... Abhi ke Abhi samast ghar ke jasusi yantron ki smritiya dekhiye ... dekhiye ki kahi bhi humlawar ka mukh dikhta hai ya nahi
Nayab nodded and played the recording of the Cameras of the entire house
Both of their eyes were fixed on the screen placed their , trying their best to catch the glimpse of the Attacker
Anubhav: Nayab ... rokiye...
Nayab paused ...
Anubhav: ye dekhiye ye raha vo admi parantu iska mukh Dhaka hua hai
Nayab zoomed on the person
Nayab: par aakhe dikh rahi hai jo ki Kanchi aakhe hai
Anubhav: zara inki hateli par yantra ekagrit kijiye
Nayab zoomed on the attackers palm ...
Nayab: ye toh dikhne mein kisi ghav jaisa lag raha hai
Anubhav: ji...jaise bohot purane jalne ka nishan ho...Nayab..
Nayab: samjh gaye...kal sare criminals jike haatho par nishan hai...unki list apke haath mein hogi
Anubhav smiled
Anubhav looked at the other corner of the screen and found nayab with the family on the terrace...
He switched on the microphone and then entire conversation entered his ears
Here Nayab Got Scared and Anubhav was glaring at her with anger
Anubhav: ye sab kya hai Nayab?
Nayab: Anubhav vo...
Anubhav: Humne mana kiya tha na kisi ko kuch bhi batane se?
Nayab: v..vo sab..sab p..puch rahe the a..aur ..zz.zid bhi kar rahe the
Anubhav: kya Jan na chahte hai ve sab? Aur ab sab samapt hone ke baad kyu Jan na chahte hai ?
Voice : Sab khatam apke taraf se Hua hoga Anubhav...humare taraf se nahi
Anubhav and Nayab turned and were shocked to find entire Team Mahila Police thana there
He became anger
Anubhav:(shouting) Sahas kaise hua apka yaha ane ka?
Nayab: Anubhav aram se
Anubhav: aram se arthat? Ye humara Ghar hai Nayab aur ye jagha humari sabse niji jagha mese ek hai jaha ane ki anumati humne apke alawa kisi ko nahi di
Haseena : Anubhav ...hum maafi chahte hai...hum nahi jante the ki aisi kuch baat hai
Anubhav: vahi toh baat hai... Ap kuch bhi bina vichar vimarsh kiye he kar deti hai...tabhi toh apne hum par itni asani se goli chala di
Haseena: apko kya lagta hai Anubhav? Asan tha humare liye ap par Goli chalana?
Anubhav: Parantu Purna Satya Jan na kathin bhi nahi tha Haseena Mallik...agar aap chahti toh aap ek baar jan ne ka prayatn toh karti
Karishma: bhaiya vo sab itni jaldi ho gya ki...
Anubhav: hum Goli lagne ke baad ki baat kar rahe hai Karishma Singh...tab toh ek baar...keval ek baar Ap prayatna karti...parantu hum bhi kis se baat kar rahe hai...are jab apna adha jeevan bitane ke baad bhi...jise hum behena bula te the usne ye maan liya ki hum desh drohi hai phir toh hum kisi aur se kya he umeed rakhe? Chale jaiye yaha se
Haseena: Chale jaye?
Anubhav: haa
Haseena: aur hum jayege toh apko koi farak nahi padega?
Anubhav: Vo Samay koi aur tha Haseena Mallik, Jab apke Hone se hume koi farak padta tha par ab aisa nahi hai .
Haseen held his hand and made him look into her eyes
Haseena: Aisa nahi hai toh kaisa hai Anubhav? Ap humara saath Yun beech mein chhod nahi sakte ...ap shayad bhul rahe hai zindagi bhar saath nibhane ka wada kiya tha apne...humse pyaar karte hai app...yehi kaha tha na apne?
Anubhav: Prem toh ap bhi humse karti thi na?
Haseena: Haa toh karte hai na!!
Anubhav: Kaisa prem hai ye? Jisme vishwas he nahi hai?
Haseena: kaise karte vishwas? Han? Kaise karte? Apne ammi ki jaan khatre mein Dali thi Anubhav
Anubhav:(shouting) haa Dali thi ...(in a taunt) hum toh hai he dusht...toh dal diye humne Ammi ke pran sankat mein...kyu aiee hai ap iss dusht ke nikat? Jaiye...humse bhi uttam log hai iss Vishwa mein...ap unmein se kisi ka chayan kar lijiye...
Haseena kept staring at Anubhav with teary eyes with the constant flow of fluid from her eyes
Anubhav: Mat bhahaiye ye Ashru...mat bahahaiye ...hum jaise Dhokebaaz keliye ap apne Amulya Ashru mat bahahaiye...Hum...hum iss yogya nahi hai Miss.Mallik
Haseena: Bas kijiye Anubhav... please Bas kijiye
Karishma: Bhaiya...
Anubhav stopped her with his hand
Anubhav: Bhaiya nahi Karishma Singh...Bhaiya nahi
Karishma looked at him with a shock
Anubhav: ap toh ...balpan se humare samaksh thi Karishma...Humare saath thi ,humse parichit thi... phir bhi apne ye kaise swikar kar liya ki hum Deshdrohi hai? Kaise?
Karishma: (crying) maaf kar dijiye bhaiya ...
Anubhav: nahi Karishma Singh... Ap hume kshama kijiye ...kyu ki chah kar bhi na hum apko apke bhaiya lauta sakte hai (looking towards Haseena) aur na apko apka Premi...kyu ki ye jo hriday haina...isake itne tukde ho chuke hai ....itne tukde ho chuke hai ki ap isme kisi bhavna keliye sthan he nahi...kash apne haar case ki tarha humara mammla bhi apne jazbaton ke drishtikon se dekha hota toh shayad aaj kahani he kuch aur hoti
Haseena and Karishma looked down while crying
Anubhav: Ha...ek baat keliye sadev garv hoga hume
Both looked at him
Anubhav: Hume Garv hai iss baat par ki ap dono ne hum se pehele desh ko Rakha
Kareena exchanged glance and smiled
Anubhav: Prantu...kya kare ...chah kar bhi bhula nahi pate ki ap dono ne hum par vishwas nahi kiya ... Isiliye humne apne haar samband ka parityag kiya hai
He joined his hands
Anubhav: Ap kripya kar ke jis kary hetu yaha aiee hai vo kary kare aur yaha se chale jaye
Anubhav turned to leave but he stopped by Haseena's words
Haseena : Hum nahi jayege ...
Anubhav looked at her
Haseena: Hum apne Anubhav ko apne saath le kar jayege
Anubhav: apke Anubhav ko? Par kshama kijiye vo toh ab iss Duniya mein he nahi raha
Kareena looked at Anubhav in shock , with flowing eyes and Anubhav left from there
__________________________________
(kahani jaldi upload karo demand puri karwane keliye jo message board par pucha Jaye uska jawab bhi Dena hota hai ...koi jawab he nahi deta 😑)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top