Main Hindu vansh se aata hun

Main shunya nahi main shakti hun
Main aag nahi main bhakti hun
Main mann main jwaala dahakata hun
Main Hindu vansh se aata hun

Main rashtra hit ka rakshak hun
Na raktbeej na bhakshak hun
Main sanskar naye samjhata hun
Main Hindu vansh se aata hun

Dushman meri hunkaar sune
Jab galat koi wo raah chune
Main rann main chandi ban jaata hun
Main Hindu vansh se aata hun

Jab daur naya main badla hun
Main pichla tha main agla hun
Main samay ko raah dikhaata hun
Main Hindu vansh se aata hun

~TallGuy

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top