Wajood Pighalne Laga
Humein Dekh Kar Jab Usne Muh Mod Liya
Ek Tasalli Ho Gayi Thi Kam Se Kam Pehchante To Hai
Ab Dard Uthta Hai To Ghazal Bhi Zaroori Hai
Pehle Bhi Hua Karta Tha Is Baar Bohot Hai
Mujhse 'Aye Aaine' Meri Bekarariyan Na Puch
Toot Jaayega Tu Bhi Meri Khamoshiyan Sun Ke
Zabt Kehta Hai Ke Khamoshi Se Basar Ho Jaaye
Dard Ki Zidd Hai Ke Duniya Ko Khabar Ho Jaaye
Wo Lafz Kaha Se Laau Jo Tujhe Mo'm Ka Karde
Mera To Wajood Pighalne Laga Hai Teri Berukhi Se
______________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top