Is Qadar Uljhe
Daaman-E-Mehboob Se Jo Hum Uljhe
Laga Jaise Hum Is Zamane Se Suljhe
Raah Mein Kaanton Se Jo Hum Uljhe
Laga Jaise Hum Kisi Phool Se Suljhe
Kamzarfi Se Hum Nihayti Is Qadar Uljhe
Par Teri Adakari Se Hum Be-Bak Suljhe
Hum Teri Aankhon Mein Be-Tahasha Uljhe
Jo Rukh Se Naqab Utha Tab Jaake Hum Suljhe
Is Uljhan Mein The Hum Ke Kabhi Sulaj Paayenge?
Badgumani Ke Samadar Mein Fir Ek Baar Jaa Uljhe
Tera Suljhana Hume Is Qadar Uljhayega Socha Na Tha
Hum Apne Sapne Mein Bhi Is Qadar Kabhi Na Uljhe
Haye Wo Teri Masoomiyat Aur Teri Zalim Ada
Hume Suljha Kar Tum Daman-E-Gair Kyun Jaa Uljhe
Aise Suljhane Se To Behtar Tha Hume Uljha Hua Rakhte
Aakhir Kyu Mujhe Suljhake Tum Kisi Gair Ki Baahon Mein Is Qadar Uljhe.?
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top