Hawayein
Mere Dam Mein Jab Ek Dam Mila
Mujhe Hawaon Ke Zariye Gul-E-Gulshan Mila
Khush'haal Zindagi Ka Ek Naya Falsafa Mila
Mujhe Hawaon Ke Zariye Jeene Ka Mansuba Mila
Soch Raha Tha Uljhi Hui Zindagi Ko Naya Mod Mila
Par Hawaon Ke Zariye Zindagi Ko Naya Khel Mila
Anjaan Ka Aitbaar Karne Ka Fir Ek Bahana Mila
Hawaon Ki Shokhiyon Se Tabhi Ek Tabahi Ka Aagaz Mila
Bharose Ki Dor Ko Hawaon Mein Bun'ne Laga Tha
Ek Toofan Sa Aayega Iska Andaaza Na Mila
Kabhi Na Karna Aitbaar Hawaon Ka Ke Ye Dhoke Baaz Hai
Gulshan Mehkati Hai Par Chingari Ko Shola Bhi Banati Hai
Hawayein Sailaab Bhi Uthati Hai Bhadakti Aag Bhi Bujati Hai
Apne Matlab Ke Khatir Insaan Ki Zindagiyan Ki Ujaad Jati Hai
Bachke Chalo In Hawaon Ke Rukh Se Ye Apne Siwa Kisiki Nahi
Kisike Jazbaat Se Khelna Koi Inse Sikhe Aaj Iske Rukh Mein To Kal Gair Ke Hujre Mein
Ke Kaha Tha Kisine Mujhse Hawaon Pe Kuch Irshaad Ki Jiye
Ye Kadwi Haqiqat Hai Hawaon Ki Ispe Kabhi Aitbaar Na Ki Jiye
Kaafiron Ki Adakari Hai Simti In Hawaon Mein
Be-imaan, Fareb-O-Kufr Se Leke Dagabaazi Hi Maujuda Hai Iski Shaksiyat Mein
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top