Dikhawe Ki Zindagi
Ab Alfaaz Nahi Milte Mujhe
Ab Shayri Nahi Hoti Mujhse
Ab Shayad Mera Ishq Guzar Chuka Hai
Ye Khamoshi Ye Tanhaiyon Ka Daur
Ab Shayad Meri Jaan Liye Jaa Raha Hai
Daastan Khatam Hone Wali Hai
Duniya Se Aur Ladne Ki Himmat Nahi Rahi
Apno Ko Dilase Dene Ki Ab Taqaat Nahi Rahi
Ab Shayad Mohabbat Karne Ki Wo Chahat Nahi Rahi
Manzile Khwab Mere Apne Mere Sapne Sabhi Mujhse Rooth Gaye
Ab Shayad Zindagi Jeene Ka Hausla Nahi Raha
Na Koi Shikwa Hai Aur Na Hi Koi Shikayat Kisise
Ab Apno Se Kaise Shikwe Gile
Wo Saath Chodne Wale Bhi Apne The Wo Dil Todne Wale Bhi Apne
Ab Shayad Zindagi Ko Sambhal Paana Mumkin Nahi
Magar Mumkin To Unhe Bhul Jaana Bhi Nahi
Kuch Umeed Aur Inteezar Mein Ab Bhi Jee Raha Hu
Haa Main Uske Do Pal Ke Pyaar Mein Ab Bhi Jee Raha Hu
Chehre Pe Muskurahat Liye Phir Raha Hu
Kuch Is Qadar Main Apni Ye Dikhawe Ki Zindagi Jee Raha Hu
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top