Lafz

Wo behosh nhi the, lkn wo hosh ma b nhi the. Kuch tha jo bht ajeeb tha. Aik dm bhr se chalane ki awaz i or wo uth bethi. Kamray ma andhera nhi tha lkn kch wazeha nhi tha. Ghutan shadeed the. Aik pal ko toh aisa lga jaise qabr ma ho. Phir 5 class ma prha hua sbq yad aya. Jis qadar wo gunahgar the us ko wo saza nhi mili the. Piyas ki shidat se us ki ankh khuli. Bhr janae k leay chappal pehn'ne lgi toh chkra k gir gyi. Usae yaad aya k wo prson se bhooki hai. Us ne juice or pani k elawa kuch nhi khaya. Han us din us ki maa mr gyi the. Jb wo university se i toh us ne dekha k us ki maa akhri sansein le rhi hai. Shaied wo sirhion se giri the. Qk màa k sir se khun beh rha tha. Wo bhagti hui drwazae tk gyi mgr sb be sood tha. Khne ko wo 3 bhaion ki aik hi bhn the. Mgr shadian ho chuki the. Ab maa jb tk sehatmnd the achi the, zra tabiyat khrab hui buri lgne lgi, Bhabion ne ghr k aik konae mai daal dia. Ghm ki mari maa srf dekh skti the ya dua kr skti the. Shohar kyi saal phle mr chuka tha. Wo apni beti k leay jeena chahti the. Jb udas hti toh beti ko smjhati, dunia ki oonch neech, burayian achaiyan, badlae... Jo khd seekha beti ko btati rhti. Mgr ab maa mr gyi the. Usae ehsaas hua k kash maa mje b apne sath le jati. Mgr kya kbe koi janae walo k sath gya b hai. Himmat kr k uthi or bhr i. Kitchen ma jhanka toh bri bhabhi nzr i. Salam kia or fridge k pass gyi. Bhabi ne haal toh tb na pucha jb wo aik din kamray se bhr na nikli. Ab toh phir samne the. Us ne frdge se kabab nikale. Oven ma bake kiae, bread or pani lia, or chaye rkh k kamray mai chali i. Kha pee k taqat i toh kamra saaf krne lgi. Dekha toh maa jin sandooko (big steel boxes)  ko lock lga k rkhti the. Khulae huae thae. Bhabhi se puchne gyi toh unho ne yh kh k chup krwa dia k tmhari shadi toh tmharae bhaion ne hi krni hai. Jo itna khrch hoga wo kahan se krain gae. Bhabi ne yh b jita dia k jo ab tk aish krti i hai ab iss sb ki umr nhi uski. Prhayi chorae or ghr bethae. Us ne socha k bhai zrur us ka sath denge mgr wo toh khd bivion k agae majboor thae. Yun toh wo janti the k majboor koi nhi hta mgr wo bojh the. Us ki maa k bad us ka jaise us ghr se rishta hi nhi rha tha koi. Usi lmhe usae maa ki baat yad i "Lafz zindagi ma bht ahmiat rkhte hain. Yh ghmgeen insaan ko khush kr dete hain or khush insaan ka dil maar b dete hain, Lafzon se bra qatil koi nhi".
Lkn wo na toh kisi pe bojh bn'na chahti the na hi kisi ki sakht batein brdasht kr skti the. Bhai wo thae jinhae us se koi ghrz nhi the. Kuch sochte huae uthi or apna samaan pack krne lgi..

Us ki manzil kahan the??
(To be Continued...)

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top