MAAFI
Asalamlikum everyone
Here is new part of ZEK
Hope you all will enjoy it and like it.😊
And Eid Mubarak In Advance.
جن میں جان بستی ہے
وہی جان لینے کے در پر ہے
یاروں اُن سے کہو اسے نہ کرے
وہ بس ایک بار مسکرا کر دیکھ لیں
ہم جان ہار جائیں گے
( شانزے یوسفزئی)
-----------------------------------------------------------
Khan baba: sub beth jao muja tum lgo sa baat karni ha burak beta ap be beth jao.
Sub he khan baba ka bolna ka wait kar raha thay sara dinning room ma srif 4 logo ka chehra par iteman tha baqi sub he uljaan ma thay.
Abhi sub ya soch he raha thay ka kon ha ya burak name ka larka ka khan baba bolna start ho gaya.
"Ya humara dost rahim khan ka potay ha last week car accident ma Inka parents ke death hi gaya ha"
Unke baat khatam nhi hwe thi lekin wo dekh saktha thay ka dinning room ma eik dam sa khamosihi se ho gaye thi and sub burak ka sath taziyat karna start ho gaya thay jab sub chup ho gays toh khan baba phir sa bolna start ho gaya
"Is lia ab hum na decide kia ha ya humara sath rahain ga yahe par kl last ya guest room ma soya thay but aj sa inka lia upar wala kamra jo adam and azaan ka sath wala ha wo saaf kar dain ap log kyun ka ab ya be is ghar ka hisa ha aur muja umeed ha ka ap sub muja shikiyat ka moqa nhi dain ga"
Unke baat sun kar agar chah kisi ko koi iteraz tha be toh kisi na kuch bola nhi aur sub na breakfast karna start jar dia kyun ka ab baat khatam ho gaye thi.
Nastha karna ka baad khan baba apna room ma chala gaya jab ka baqi sub mard office chala gaya srif adam azaan aur burak reh gaya thay aur larkiyo ma maheen aur palwasha thi jo ka eik dusara ko dekh rahe thi aur ankho ankho ma eik dosara ko eshara be kar rahe thi ka adam sa pocha ka wo kesa burak ko jantha ha.
Abhi wo dono ankho he ankho sa bathin kar rhe rahe thi ka adam ke un par nazar parh gaye aur wo samjh gaya tha ka unko kuch pochain ha
"Maheen koi sawal karna ha ap na uske awaz par eik dam sa maheen na usko dekha".
"Hn wo hum na pochain tha ka ap kesa burak bhai ko jantha ha"
"Hum dono university ma sath thay ya family friendship ke waja sa be kaye baar ana jana hwa tha inka ghar wahe par sub sa phehla hum mila thay phir university ka time be khan baba na bola tha ka eik he university chala jao tum dono toh" Wo batha maheen ko raha tha but dekh baqi sub ko raha tha
"Koi aur sawal jo pocha ho ap na" ab wo maheen aur dekh raha tha
"Nhi bus yahe pochna tha ab ma aur palawasha chaltha ha upar wala room be saaf karna ha chalo palwasha" iska sath he wo dono dinning room sa nikal gaya thay jab ka adam ke nazar na dhoor tak maheen ka pecha kia tha.
Upar jatha he palwasha na eik dam sa maheen ko roka tha
"Tum kab tak adam sa bhago ge" palwahsa naaheen sa pocha jo ka apni he dun ma chal rahe thi eik dam sa nazrain churana lag gaye
"Ma adam sa bhag toh nhi rahe bus kuch ha he nhi humara beach ka jis ka bara ma baat ho saka" maheen jawab toh da rahe thi but dekh zameen ko Rahe thi
"Kuch ha nhi tum dono ka beach ma maheen hosh ma ho husband ha wo tumhara kintha paak ristha ha tum dono aur tum bol rahe ho ka kuch ha nhi" uske baat sun ka palwasha ko gussa a gaya tha is lia uske awaz ve tez ho gaye thi
"Dekho palwasha ma manthi hon humara beach bohat pak ristha ha magar is sub ma kisi na mujh sa eik baar be pocha ka ma kya chahthi hon muja ya ristha manzor be ha ya nhi ya muja abhi shadi karni be ha ya nhi?" Intha sub bolna ka baad eik dam sa maheen saans lena ka ruki aur uske kab sa necha nazarain be upar hwe aur usko laga ka wo algli saans nhi la paya ge Kyu ka samna he adam kara tha usko chup dekh ka palwasha na be pecha dekha aur usko be waja samjh aye ka maheen kyn chup hwe eik dam aur wo waha sa chup kar ka room ke safai karna chali gaye.
Adam chaltha hwa bikul maheen ka samna kara ho gaya us na eik dam sa maheen ka hath pakar lia aur wo jo shock ma tho eik dam sa hosh ma a gaye aur apna aur adam ka hatg ko dekhna lag gaye
"Maheen agar aj ma tum sa pochon ka kya chahthi ho tum kya tum is shadi sa khush nhi ho toh bol do ma tumha chor don ga khud ko inthi aziyat mat do" wo adam ko dekhna lag gaye jis ka chehra par intha dard tha ka wo eik lamha sa zayad usko dekh he na saki aur jab baat uske samjh ma aye eik dam sa us na apna hath adam ka hath sa nikal lia
"Demagh theek ha tumhara ab ya sawal kar Raha ho tum mujh sa ka agar ma khush nhi hon phehla kaha thay jab ma na bola tha ka inkar kar do ab muja azad karo ga tum" ya baat boltha sath he wo gussa sa adam ko push karna lagi aur gussa sa waha sa chali gaye aur adam usko dekhtha reh gaya.
Uska jatha he adam ko apni ghalati ja ehsas hwa kyn ka jo be ho maheen usko kabhi chora ge nhi intha tih usko be pata ha but wo usko asa dekh be nhi Saktha wo dono apni apni jaga majbor ha.
**************************************
Maheen na jab sa Adam ke baat suna thi tab sa gussa sa bura haal tha us ka hotha ha na kabhi kabhi hum sach ko samajna ya qabool karna nai chahtha ha wasa he maheen ka sath be ho raha tha hum insan har waqt ya to boltha ha ka humay Allah par trust ha magar wo Zaat jab humay azmatha ha ya humara imtehan latha ha tab hum kamzor parh jatha ha yaqeen or beyaqeeni ma pas jatha ha magar wo Zaat phir be humay sedha rastha dikha datha ha baki larkiyo ka liya jo ristha bohat moqadas hotha ha or pak maheen us ristha ko ab tak apna he nai paye thi or is ma ka qasor be nai tha jab Ap ke zindagi ka intha important fasla Ap sa bina pocha liya jaya to dukh hotha ha dard be hotha ha bus maheen be us sub sa guzar rahe thi humara society ma mard sub kuch jaldi accept kar latha ha magar aurat ko waqt lagtha ha lekin na he aurat ko ya waqt us ke family dathi ha na he wo shak duniya wala bus chahtha ha ka aj he kese sa sub kuch la liya jaya eik min ma or next min wo sub kuch accept kar la ab asa to ho nai saktha na waqt to subhe ko darqar hotha ha. Udhar adam be alag he Jang lar raha tha apna sath dono aag ma jal raha ha magar mou sa kisi eik na be kuch nhi bolna.
***************************************
Adam POV:
Subha ma maheen ka smana ma usko chorna ka bol toh aya magar ya baat kartha hwa jo mujh par guzar rahe thi wo bus ma jantha hon ya mera Allah aur ma jantha hon ma na usko ya bol ka bohat hurt kia ha magar ma kya karon wo mera sath ho ka be khush nhi ha aur ma usko khush dekhna chahtha hon magar muja ya be nhi pata ka uske khushi kis baat ma ha.
Eik dam sa adam ko apna pecha kuch awaz aye jesa he us na pecha dekha terrace ka darwaza par burak kara tha
"Aoa na burak darwaza par kyn kara ho" meri baat sun kar wo mera sath he kara ho gaya
"Kya hwa yaha akala kyn kara ho kya soch raha ho" burak ke baat sun ka muja eik dam ehsas hwa ka ma kintha akala hn kya muja uska sub share karna chaheya jab ka wo khud intha sub sa guzar raha
"Aray yar intha soch kyn raha ho batao kya soch raha ho and tension mat lo ma chaha jis sub sa be guzar Raha hon wo toh ab sari umar mera sath chala ga tum batao kya problem ha" ya baat kartha hwa uske ankho ma ajeeb sa dard tha maa baap ko khona koi asan kam tori na ha
"Ummm wo ma na aj maheen ko bola ka ma usko chor don ga agar wo is sa khush hoti ha toh ab muja samjh nhi a rahe kya karo kyn ka wo naraz ho gaye ha mujh sa" muja yahe sahe laga ka burak sath apni problem share kar don kya pata wo koi solution dain
"Yr adam tum pagal ho koi apni biwi sa ya boltha ha ka wo usko chor daga" ya boltha hwa wo hass raha tha yaha meri needh uri hwe ha and ya hass raha ha
"Hasso mat ab batao Kya karon?" Burak eik dam sa soch ma parh gaya
"Asa karo ja ka baat karo us sa baat clear karo and ask her what she want" jinthi ya baat bolna ma asan lag rahe ha kash unthi asan ho be
"Ma ja ka us sa baat karon hosh ma ho wo qatal kar da ge mera" ya sochatha hwa be muja dar lag raha ha and is sa kinthi asani sa bol dia
"Baat nhi karo ga toh kesa pata laga ga ka wo kya chahthi ha" jaha burak ke baat ma logic toh ha but maheen sa baat kesa karon ma
"Ma kesa baat karon us sa?" Ya sawal kartha hwa be muja ajeeb lag raha ha matalb muja ya be nhi pata ka apni biwi sa baat kesa karon ma had ha matalb
" Mou sa baat karo ga yr biwi ha wo tumhari and kuch nhi kaha ge wo inthi achi toh ha wo" burak ke baat sun ka eik dam sa muja hassi aye isko maheen achi lagthi ha matalb had ha
"Chalo sahe ha tum jao so jao ma ja ka baat kartha hon maheen sa bus dua karo wapis zinda a jaon ma" ya suntha he burak hasstha hwa necha chala gaya aur ma be maheen ka room ke taraf jana lag gaya aur sath ma Allah ka name be la raha hon ma kyn ka ab Allah he bacha saktha ha muja.
***************************************
Maheen POV:
Ma kab sa Adam ke baat soch soch ka Pagal ho Rahe hn matalb wo ab Muja chora ga matalb apna aur chorna intha asan ha ka jab jiska Dil chaha ga apko APNA da ga aur jab chaha chor da ga ma insan hon koi janwar Tori na abhi ma ya sub soch he Rahe thi ka Mera room ka darwaza par Kisi na knock kia ab inthi Raat ko kon a gaya eik Baar tih Dil kia Mera ka darwaza he na open karon Jo be ha chaha jaya ga magar koi emergency be ho skathi ha jesa he ma darwaza khola samna Adam Kara tha.
"Kuch bolna reh gaya tha Jo wo bolna aya ho ab Tum" usko dekh kar Mera gussa aur high ho gaya matalb ab ya phir a gaya.
" Ma andar a Saktha ho Kuch baat karni ha" Meri ko bikul he ignore kar ka wo andar ana ka poch Raha ha matalb Meri baat ke koi ehmiyat he nhi ajeeb bakwas ha.
"AOA Kya baat karni ha ap na" usko andar ana ka rastha dia ma aur ab wo Mera kamra ma ha Adam na apn pecha darwaza band kar dia aur Mera bed par beth gaya matalb baat lambhi hona wali ha.
"Maheen Muja Tum sa maffi mangni ha Muja nhi bolna chaheya tha Jo sub ma na subha bola tumha ma chaha Kuch be karon ma tumha nhi chor Saktha" uske baat sun ka Muja ajeeb sa laga Kya matalb wo Muja nhi chor Saktha and ya Meri taraf q nhi dekh Raha asa Kya ha Zameen par Jo ya upar dekh kar baat nhi kar Raha.
"Kyn Muja nhi chor Saktha Tum wasa be zabardasti ka ristha ha ya eik din hum dono na tang a ka isko khatam kar...." Meri baat puri be nhi hwe thi ka Adam eik dam sa Mera smana Kara ho gaya aur us na APNA hath Mera hontho par rakha
"Tumhara Lia maybe ya ristha zabardasti ka Hoga Mera Lia nhi ha aur 10 din Baad ya 10 saal Baad be koi mujh sa pocha ka ma is ristha sa Khush hon ya nhi toh Mera jawab han Hoga kyn ka ma tumhara Bina Kuch nhi hon aur yahe waja ha ka ma tumhara nhi chor Saktha jaan basthi ha Meri Tum ma is sa zayad Muja nhi pata ma kesa kahon tumha ka Kya ho Tum Mera Lia " ya Allah ya Kya bol Raha ha ya bol ka Adam Mera room sa Nikal gaya magar Muja abhi tak APNA lips par uska hath ka lams ka ehsas ho Raha tha Adam phehli bar Mera intha qareeb aya tha uske saansa Muja APNA chehra par mehsos ho Rahe thi aur ya Kya bol kar gaya ha wo matalb wo is sub sa Khush ha aur mujh ma jaan kesa bas Sakthi ha iske ya Allah ya Kya ma Naya emtehan ma phass gaye hon.
************************************
Happy EId in advance and yeah I will try to be more active now as it's 02:18 here in Pakistan and for the first time in like a month weather is so good bahir Barish ho Rahe ha and Mubarak raatain chal Rahe ha toh ho Saka toh Muja be apni duain ma yaad rakain ap sub log and Dua Kara ka ma active ho ka zayad post kar sakon and story jaldi complete ho and what do you think about Adam confession and ab aga Kya Hoga.
************************************
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top