12) Forgiven?

Luthra House

Rakhi looked at Karan who was sipping glancing in his phone while sitting on sofa

Rakhi: Karan (Karan looked at her) jab tu jaldi aa hi gaya ghar.. toh Preeta ko lete aata naa.. Sameer ko ku bheja?

Karan: Mujhe nahi pata tha.. ki mai ghar jaldi aa jaunga.. aur jaruri thodi hai naa.. ki roj mai usee lene jau.. usee mere hone yaa naa hone se koi fark nahi padta

Preeta who entered the inside with Sameer.. stopped listening to him

Rakhi looked at Karan narrowing his eyes

Rakhi: Jhagda hua hai kya tum dono ka? Subha se dono weird behave kar rahe ho

Karan (looked away): No mom.. kuch nahi hua hai.. mai room mai jaa raha hu.. fresh hone

Rakhi sighs.. her gaze went towards Preeta who was looking at Karan

Rakhi: Preeta (Preeta looked at her) aa gayi tu beta

She went towards her and cupped her face

Rakhi: Thak gayi hogi.. jaa kar fresh ho jaa.. maine dinner bana liya hai.. tu fresh ho kar neeche aa.. phir hum dinner karenge

Preeta nodes slightly and left from there

Sameer went towards Rakhi and stands beside her

Sameer: Mom.. aapko nahi lag raha.. ki bhai aur bhabhi ke beech kuch theek nahi chal raha hai

Rakhi: Mujhe laga nahi raha.. mai sure hu.. ki dono k beech jarur kuch hua hai.. dono ka muh latka hua hai subha se

Sameer (tensely): Agar koi badi baat hui toh?

Rakhi: Aisa kuch nahi hoga.. koi choti si baat hogi.. pati patni k beech.. choti moti nok jhok chalti hi rehti hai.. mujhe pata hai.. yeh dono.. jaldi hi sab solve kar lenge

Sameer smiled and nodes

Preeta's Room

Preeta was sitting on bed sadly

usee mere hone yaa naa hone se koi fark nahi padta

She sighs sadly remembering Karan's words

Preeta: Mai kaise samjhau tumhe.. ki mujhe ketna fark padta hai.. kal se baat nahi kar rahe tum mujhse.. mujhe theek se dekh tak nahi rahe.. (tearfully) bilkul accha nahi lag raha hai yeh sab..

She stopped listening the door opening sound and looked at Karan who came outside from the washroom

She stood up and went towards him.. Karan looked at her and starts leaving from there

But before he could Preeta stopped him holding his hand.. she stood in front of him

Preeta: Jab aaj tum acedmy se jaldi aa gaye.. toh mujhe lene ku nahi aaye

Karan rolled his eyes

Karan: Is it important ki mai tumhe roj lene aau.. maine Sameer ko bhej diya tha naa.. (hurtfully) and waise bhi.. mere aane naa aane se.. tumhe kya farak padta hai

Preeta: Karan tum..

Karan showed his hand asking her to stop

Karan: Please Preeta.. mai bohot thaka hua hu.. neeche chalte hai.. sab humara wait kar rahe honge dinner k liye

Saying this he left from there.. Preeta looked at him tearfully

Preeta: Kya karu mai.. kaise manau tumhe.. tum toh mujhse baat tak karne k liye taiyaar nahi ho (looks down tearfully)

At dining table

All were having their dinner except Preeta

Rakhi: Yeh Preeta ku nahi aayi abb tak? (to Karan) Karan puttar Preeta kaha hai?

Karan: Woh toh room mai hi thi.. pata nahi abb tak neeche ku nahi aayi

Shruti: Preeta ne kaha uska mann nahi hai dinner karne ka

All looked at her

Karan: Kya? Aise kaise mann nahi hai?

Rakhi: Karan puttar usne subha ko nasta bhi nahi kiya tha.. aur hospital mai bhi pata nahi.. ki kuch khaya ki nahi usne

Karan (shocked): What? Aaj usne breakfast nahi kiya? (Rakhi nodes in no) yeh ladki pagal hai kya.. mai usee bula kar laata hu

Saying this he stood up and was about to go but Kareena stopped him

Kareena: Aree jab uska dinner karna ka mann nahi hai.. toh tu usee force ku kar raha hai.. accha hai.. mujhe uski shakal nahi dekhni padegi

Karan: Seriously bua.. koi etna beshram kaise ho sakta hai.. mai roj aapse kehta hu.. ki Preeta ke baare mai ekk shabd nahi.. phir bhi aap apni besharmi se baaj nahi aati

Kareena glared at him.. Karan glared at her back and left from there

Mahesh: Kareena.. mai tujhe roj roj warning nahi dunga.. maine kaha hai tujhe.. ki Preeta meri bahu nahi.. beti hai.. uske khilaf.. mai kuch nahi sununga.. samjhi

Kareena rolled her eyes

Preeran's Room

Karan looked at Preeta who was sitting on bed and reading a book while sitting on bed

Karan: Preeta

Preeta looked at him

Karan: Tumhe dinner nahi karna? Chalo neeche.. sab puch rahe hai tumhare baare mai

Preeta: Jab tak tum mujhe maaf nahi karoge.. mai kuch nahi khaungi

Karan: What? Dimag kharab hai tumhara? Agar mai kabhi tumhe maaf nahi karunga.. toh kya tum kabhi kuch nahi khaogi?

Preeta (looked away): Nahi

Karan: Shut up.. (Preeta flinched) chup chap chalo neeche dinner karne

Preeta: Nahi..

Karan (sternly): Preeta mai keh raha hu chalo neeche

Preeta (stubbornly): Nahi.. jab tak tum mujhe maaf nahi karoge.. mai kuch nahi khaungi

Karan (angrily): Fine.. matt khao.. mai bhi nahi kahunga abb kuch

Saying this he left from there angrily

Preeta: Agar tum ziddi hi.. toh mai double ziddi hu.. mai nahi khaungi kuch.. huhh.. (pouts) par mujhe bhook lagi hai.. (shook her head) nahi nahi.. mai kuch nahi khaungi)

----

Karan came downstairs and sat in place

All looked at him

Mahesh: Karan.. Preeta kaha hai?

Karan (sternly): Woh nahi aayegi.. usne kaha uska mann nahi hai

Shruti: Haa.. toh maine bhi toh yahi kaha tha.. ki uska mann nahi hai.. par tu sunta kaha hai

Karan glared her making her gulp

Karan: Not now Shruti.. please

Rakhi: Karan.. par Preeta..

Karan (irritated): Mujhe nahi pata.. uska mann nahi hai.. toh mai kya karu

Saying this he continued his dinner

Shruti (in mind): Bada aaya.. mai kya karu (mimics him) tu hi kuch karega.. I know.. ki tu usee bhooke nahi rehne dega

Karan (in mind): Badi ziddi ladki hai.. kuch khaaya nahi subha se.. naa usee maaf kar sakta hu.. aur naa usee bhuke rehne de sakta hu.. kuch toh karna padega

Rakhi and Mahesh looked at each other and then at Karan

Kareena (in mind): Pakka.. inn dono ke beech koi jhagda hua hai.. accha hai.. kaash aisa ho.. ki yeh jhagda.. inke divorce ka kaaran bann jaaye.. uss Preeta se.. peecha toh chutega

-----

Rakhi entered inside the room and looked at Preeta who was sleeping leaning to the headrest of the bed

Rakhi: Preeta puttar

Preeta opened her eyes and looked at her.. she was holding a plate of food

Rakhi went towards her and sat beside her

Rakhi: Tu toh neeche nahi aayi.. toh mai hi yaha aa gayi.. tere liye dinner le kar

Preeta: Par Rakhi maa.. mera bilkul bhi mann nahi hai

Rakhi: Mai kuch nahi sunungi.. tujhe khaana khaana padega.. mai khud khilaungi tujhe

Preeta: Par.. mera mann nahi kar raha khaane ka.. sacchi

Rakhi: Par mera mann kar raha hai.. tujhe khaana khilane ka.. aur agar tune nahi khaaya naa.. toh mai tujhse baat nahi karungi.. samjhi

Preeta: Rakhi maa..

Rakhi glared at her.. Preeta sighs and opened her mouth

Rakhi smiled and made her eat

Karan who was standing outside sighs in relief

Karan: Chalo.. finally khaa liya isne.. accha hua mai w mom ko bola.. warna meri baat toh yeh kabhi nahi maanti

Flashback

Karan followed Rakhi to kitchen

Karna: Mom.. (Rakhi looked at him) aap bolo naa Preeta ko ki woh khaana khaa le.. uski tabiyat kharab ho jayegi.. meri baat nahi maan rahi woh

Rakhi: Tum dono ka pakka koi jhagda hua hai.. hai naa?

Karan looked away.. Rakhi held his ear making him wince

Karan (winced): Ouch.. mom.. kya kar rahe ho?

Rakhi: Kya kiya hai tune meri bahu k saath.. haa.. ku pareshan karta hai usee (left his ears)

Karan: Mom.. woh.. mai.. woh..

Rakhi: Theek hai.. nahi batana hai.. nahi bata.. par haa.. meri bahu ko jyada pareshan kiya.. toh mujhse bura koi nahi hoga

Karan nodes smiling fakely

Flashback Ends

Next Day

Preeta woke up and sat straight on the bed rubbing her eyes

She looked towards the couch to find it empty

Preeta: Yeh Karan kaha chala gaya?

She stood up from the bed and went towards the washroom to find it open

Preeta: Washroom mai bhi nahi hai.. etni subha subha kaha chala gaya?

'Bhabhi'

Preeta turned and looked at Kritika and Sameer.. she smiled slightly

Preeta: Tum dono?.. tum dono ko pata hai.. Karan kaha hai?

Sameer and Kritka looked at each other and then at her

Kritka: Bhabhi.. woh.. bhai toh subha subha acedmy chale gaye

Preeta (shocked): Kya? Etni subha subha?

Sameer: Haa.. woh keh rahe the.. ki matches aa rahe hai.. toh unhe acche se practice karni hai.. unhone mujhe kaha hai.. ki mai aapko hospital chhod du

Preeta sighs unbelievably

Preeta (mutters): That's to much now (to him) Sameer tum rehne dena.. mai khud chali jaungi

Sameer: Par bhabhi..

Preeta: Sameer.. mai koi choti bacchi nahi hu.. mai jaa sakti hu.. tum mere kaaran parshan matt ho

Sameer: Bhabhi.. woh bhai..

Preeta: Woh kuch nahi bolega.. (mutters) agar etni hi fikar hai.. toh khud ku nahi le jaata (to him) tum dono neeche jao.. mai bhi fresh up ho kar neeche aa rahi hu

Sameer and Kritka nodes and left from there

Preeta: Jab tum meri baat tak nahi sunn rahe ho.. toh mai ku tumhari baat manu.. mai khud hospital jaa sakti hu.. koi bacchi nahi hu mai

She took her clothes and left to washroom

----

After having breakfast Preeta was about to go but Rakhi stopped her

Rakhi: Preeta puttar

Preeta looked at her

Rakhi: Tu akeli jaa rahi hai? Karan nahi nahi aa raha.. tujhe lene?

Preeta: Nahi.. woh usne naa.. Sameer ko kaha tha.. mujhe hospital leke jaane k liye.. par maine usee mana kar diya.. mai chali jaungi akele (smiles fakely)

Rakhi: Theek hai.. mai tujhe mana nahi karungi.. par haa.. tujhe apne saath driver le jaana hoga.. aur mai iske aage kuch nahi sunungi

Preeta sighs and nodes.. Rakhi smiled

----

Preeta was checking her patients reports when someone knocked the door

Preeta looked towards the door

Preeta: Come in

A boy came inside.. Preeta looked at him and wide her eyes.. she stood up and rushed towards him

Preeta (smiling widely): Ahaan.. tu (hugs him) I missed you (breaks the hug) kab aaya tu yaha?

Ahaan (smiled): Mai toh kal hi aaya.. aur yaha aate hi pata chala.. ki tune shaadi kar li hai.. bohot pata karne k baad.. tere hospital ka hi pata laga paaya mai.. (raised his eyebrows) mujhe shaadi mai ku nahi bulaya tune (glared her)

Preeta (smiled fakely): Woh.. woh shaadi.. naa.. thodi jaldi mai hui thi.. btw tu yeh bata.. ki tera kya haal hai.. (chuckles) koi ladki pasand aayi yaa nahi

Ahaan (nervously): Actually.. I.. I am engaged now (Preeta wide her eyes) look.. tune bhi mujhe nahi bataya.. maine bhi nahi bataya.. we are equal right?

Preeta (making faces): Okk.. okk.. waise ladki ka naam kya hai?

Ahaan: Uska naam.. (his phone rangs) one min (picked up the call) okk.. mai aa raha hu.. (to her) soory yaar.. mujhe abhi jaana hoga.. mai tujhse baad mai milta hu.. woh meri mangetar ka call tha.. maine kaha tha.. ki cafe mai mera intezar kare.. woh waha kabse mera wait kar rahi hai.. aur late kiya naa.. murder kar degi mera

Preeta (chuckles): Theek hai.. abhi tu jaa.. woh intezar kar rahi hoga mera

Ahaan nodes and left from there after giving her a hug.. Preeta smiled slightly

An idea popped in her mind suddenly and she smiled widely

Preeta: Kal Shruti k saare ideas flop ho gaye.. sayad yeh waala kaam kar jaaye.. mai jab Karan se upset thi.. woh mujhe date par lekar gaya tha.. mujhe bhi kuch aisa hi karna chahiye

----

Karan came back and looked around for Preeta.. he looked at Sameer who was sitting on couch

He glared at him

Karan: Sameer (Sameer) tujhe maine Preeta ko lekar aane ke liya kaha tha naa.. gaya ku nahi tu?

Sameer: Bhai woh.. bhabhi ne hi mana kiya tha.. unhone kaha.. ki woh khud chali bhi jayengi.. aur aa bhi jayegi

Karan: Woh..

Sameer: Bhai.. bhabhi wapas bhi aa gayi.. aur woh bacchi thode hi hai.. jo khud aa.. jaa nahi sakti

Karan (mutters): Bacchi se kam bhi nahi hai woh

Sameer: Kya kaha?

Karan (glared him): Kuch nahi

Saying this he left to his room

-----

Karan entered inside the room.. Preeta looked at him and went towards him

Preeta: Karan tum aa gaye.. tumhe pata hai.. maine naa.. aaj usii resturant mai seats book ki hai.. jaha tum mujhe le gaye the.. tum chaloge naa mere saath (looked at him hopefully)

Karan (sternly): No.. mai thaka hua hu.. I don't have time for these things

The smile which was in Preeta's face.. fades listening to him

Preeta: Karan please.. mai..

Karan (angrily): Tumhe samajh nahi aata.. kaha naa maine.. mere pass time nahi hai

He slightly pushed her aside and left from there

A tear drop rolled down Preeta's eyes.. she sat on bed bed and started crying

After sometime Karan came back from washroom and looked at Preeta who was sitting on bed and was crying looking down

He looked at her shockingly and rushed towards her.. he sat on knees in front of her and cupped her face

Karan: Preeta kya hua? Ku roh rahi ho.. chup ho jao.. (Preeta keeps crying) Preeta please yaar

Preeta looked at him and hugged him while crying

Karan hugs her back caressing her hairs while calming her.. he broke the hug and wiped her tears

Karan: Preeta.. please stop crying.. mujhe.. mujhe bilkul accha nahi lag raha tumhe aise dekh kar.. please chup ho jao naa babydoll

Preeta closed her eyes listening babydoll from his mouth after long

To be continued

Precap: Batane ka mann nahi

So how was the chapter?

Please vote and comment guys.. please 🙏

And next update of?

50+ comments for the next chapter

Will meet you all in the next chapter.. till then byee

Ayushisharma1234 booklover_xyz preeran_mines Shadesoflove__ preeran_preet preeranlove05 PreeranSlays_ preeranxdheeshrafan Dheerajtheeheartking Preeranxff khanXpreeran dazzle_inlove preeranxmine dilxpreeran magicxcreation Bibliophile_Shraddha

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top