Still waiting...

"waqt tha ya hawa jhokha kuch samjh he nahi aya...vo gaye zindagi chalti rahi...6 saal guzar gaye par...lagtaa hai in 6 salon mein mai vahi ki vahi reh gaiee ...
Abhi bhi vahi hu jaha vo chod kar gaye the unke Intazaar mein aur haa unke pyaar mein...

Vaise in 6 saalon mein bohot kuch hogya... Karishma aur Viyom ke baremien maa ko pata chal gaya...by God kya din tha vo...Maa baad mein Maan gaiee par Viyom aur Karishma ko bohot papad belne pade...Hum Haseena Mallik se S.H.O Haseena Mallik ban gaye aur Karishma S.I Karishma Singh aur Viyom Bhi S.I Viyom ho gaya hai...Humare Thane mein aur 3 log hai ... Constable Cheeta Chaturvedi... Constable Santosh Sharma aur kaidi billu...(smiling) apne ap ko Billu The Spy bolte hai... Zindagi bohot khushal hai par phir bhi ek Kami si hai aur vo kami sirf aur sirf vo puri kar sakte hai Mere Mr.Secret agent...Agent Anubhav Singh...Jane wo kaha hai? Aur jane unhe apne kamo mein ye toh yaad hoga n ki unki ek girlfriend bhi hai...agar kisi tarah insan ke dil ki baat dusre insan tak pohoch sakti toh phir hum toh unse yehi kahenge...Ki jaldi Laut aiye apki Haseena apka Intezar kar rahi hai..."

She smiled and kept her pen down and her diary at its original place...

She moved from her place taking her uniform hat and her stick into her hand and moved out of her room rolling the stick...

Haseena : Ammi..hum thana jaa rahe sham tak ate hai...

Ammi: are ruk ruk ruk...

Ammi came out of kitchen...

Ammi: sun vo Shabana behen hai n...

Haseena: kon Shabana behen?

Ammi: Are teri khala ki nanad ki Bhabhi...

Haseena: haa toh unka kya??

Ammi: unhone tere liye ek Behetareen ladke ka rishta bheja hai

Haseena rolled her eyes

Haseena: Ammi ap phir se shuru ho gaiee ...

Ammi: are tu pehel nahi karegi toh mujhe toh karni hogi n...Ab Karishma ko he dekh le usne apne liye kitna accha ladka dhundha hai...tune toh aj tak apna koi boyfriend nahi banaya...

Haseena looked at Ammi thinking of Anubhav and smiled...

She moved towards her

Haseena: Ammi ek din hum apke liye aisa damad dhundhenge jis se ap chah kar bhi mana nahi kar payegi..

Ammi: (with curiousity) teri naraz mein hai koi ladka?

Haseena : hai...par nazar ke dur...jab nazar ke kareeb aa jayenge vo tab ap se milayege..par tab tak keliye ap humare liye koi aur ladka nahi dhundhengi

Saying this she left...

Ammi : are haseena sun toh...Ya Allah kya karu mai iss Ladki ka...

__________________________________

Here at Mahila Police thana... Haseena entered the Police Thana rolling her stick she looked all around and found the usual scenario...

Haseena : (clearing her throat) Jai Hind...

All : Jai Hind Maddam Sir...

Haseena: constable Santosh Sharma any updates...

Santu: meri building ke pani ka nal aj bhi beh raha tha aur phir ajj room lock karte waqt darwaza kuch kuch awaze kar raha tha...lagta hai oiling karani padegi...

Cheetah: Uff...ye Masumiyat... Santu ji... Santu ji apki ye masumiyat dekh kar toh humare dil mein kuch kuch hone lag gaya...

Haseena: Hogya ap sab ka?? Santosh hum ye puch rahe hai ki kya koi naya case thane mein aya  hai ?

Santosh: no Maddam Sir...

Then entered Viyom...

Viyom: Jai Hind Maddam Sir...

Haseena: Jai Hind

Viyom: Karishma kaha hai

Haseena: vo toh chutti par hai..

Viyom: kya ?? Kyu? Aise achanak? Taybyat theekh hai uski ?

Haseena suppressed her smile while Looking at Viyom
Viyom noticed that...

Viyom: Haseena yaar...

Haseena : sorry sorry...hum mazak kar rahe the...bas ati he hogi

Then entered Karishma while Rolling her keys and wearing goggles...
She stopped exactly at the middle of thana and removed her goggles...

Karishma: Jai Hind Maddam Sir

Haseena: Jai Hind Karishma singh...accha aj sabko yaad toh hai n ki Lucknow ke IG sir ke saath aj meeting hai?

Karishma: par ye meeting achanak kyu?

Haseena : vo toh hum bhi nahi jante ...chaliye ye sab chhodiye aur kam par lag jaiye...

She Moved towards her cabin and sat on her chair... Thinking something...when heard a knock on the door...

Haseena: tu kabse knock karne lagi yaar?

Karishma: are karna padta hai tujhe pata nahi hai meri Maddam sir kitni khadoos hai...

Haseena glared at Karishma...

Karishma: accha ye chod aur ye bata kya soch rahi thi...

Haseena: yaar hum Ammi ka kya kare

Karishma: kyu ? Kya hua?

Haseena : yar ajj phir jane kaha se humare liye rishta le kar aa gaiee...

Karishma: (laughing) lagta hai Ammi iss saal tere haat peele kara kar manegi...

Haseena glared at Karishma...

Karishma: sorry...Accha sun ek kam kar Ammi Ko bhaiya ke baremein bata de...

Haseena: hum bhi batana chahte hai par tere bhaiya ke sath...

Karishma: phir toh bata diya tune...phichle 6 saal unki koi khabar nahi...aur unka ye mission solve hone mein aur kitne saal lag jaye kya pata...

Haseena: saal lage yaa puri zindagi lekin vo jab tak nahi ayege...mai mere Nikah ki baat ammi se nahi karungi ...

Karishma: mere bhaiya bohot lucky hai yaar...jo tu mili hai unhen..

Haseena: Naa...mai bohot lucky hu jo vo mile hai mujhe...

Karishma Smiled...

Karishma: accha Maddam Sir apka sign chahiye tha...vo kya hai n Headquarters sari zindgi documents ka intezar nahi karega...

Haseena Smiled and signed the papers and Karishma left...

Haseena: (pov) aur kitna time?? Kab aaoge ap?

__________________________________

Here at the other side...A man was standing with Another Man and discussing something...

Man 1 : sir ek ke baad ek Humare Team ke sabhi sadasya mrityu ke ghat utar rahe hai...

Man 2 : Anubhav iska reason ye hai ki humne ajj tak iss mission keliye unhi logo ko chuna hai jo IB ke agents hai aur humare Secret agents ki list unke haath lag gaiee hai... isiliye sab ek ke baad ek bohot buri maut mar rahe hai ...

Anubhav: Sir humare vichar mein kisi aisi team ko hume bulana chahiye jo ki IB se na ho...

IG : Kya baat hai Anubhav mai bhi yehi soch raha tha... isiliye he maine Lucknow department tak khabar pohocha di hai ...vo jald se jald kisi aisi team ko bhejenge jo ki IB se na ho...

Anubhav: jee sir...chalte hai...Jai Hind...

IG: Jai Hind...

Anubhav Moved out and went to his room he sat on the bed and took the file which he was studying before when a picture from the file fell down...
His eyes went on the photo...


Anubhav picked her pic and smiled looking at it...he remembered her words...

"Ap jab bhi jaate hai toh hume apka intezar karna accha lagta hai"

Anubhav: (pov) apka intazar bohot lamba hote jaa raha hai priye...jane aur kitna samay lagega hum dono ke milan mein...

He kept her photo near his heart and closed his eyes...

__________________________________

Precap: A Mission for MPT
__________________________________


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top