He is Coming back

In a Room a girl was crying watching TV...when entered another girl and rolled her eyes looking the senti girl...

Girl : Yaar Haseena...Band kar ye...ye movie tu 500 se upar baar dekh chuki hai

Haseena : yaar Karishma chup kar n...abhi simran ke papa bolenge ...ja simran ja...jee le apni zindagi...

(Samjh gaye hoge ki it's DDLJ)

Karishma bumped her hand on her forehead...

Karishma: koi tujhe dekh kar ye nahi bol sakta ki tu class ki topper hai...

Haseena : Ye kaha ka logic hai... Toppers ko bhi shauk ho sakta hai movies dekhne ka...tu bhi toh topper hai

Karishma: par mujhe movies dekhne ka shauk nahi hai...

Haseena : par tere bande ko hai...

Karishma: haa yaar...jo chiz mai nahi karti inn chizon ka sahuk usse definitely hota hai...

Haseena : I guess tumhare case mein vo opposites attract wala formula apply hua hai...

Karishma: shayad

Haseena : Pata nahi hume aisa pyaar kab hoga...

Karishma: tujhe kaisa ladka chahiye??

Haseena looked at her and smiled

Haseena: Thoda rough and tough hona chahiye, caring hona chahiye aur mujhse toh bilkul opposite hona chahiye aur...

Karishma: aur??

Haseena: vo ek desh bhakt hona chahiye...kyu ki ek desh bhakt se pyaara insan koi nahi

Karishma smiled looking at her... Because the qualities which she was talking about were the qualities of his own real brother whom she misses a lot but never can make mention of him because of some security purposes and that thought made her eyes dispair...

Haseena : tujhe kya hogya? Itni mayus kyu lag rahi hai??

Karishma: k..kuch nahi yaar Homework nahi hua n ab tak toh bas ussi ke baremien soch rahi hu...

Haseena : are vo toh abhi ho jayega.. itna tension nahi lete...chal saath mein karte hai...

And the got engrossed in their homework

__________________________________

Here at other side...

A person was standing in full disciplined manner in front of IG..

IG : Agent Anubhav Singh aj apne finally iss mission ko anjam de he diya... Department ko ap par garv hai..

Anubhav: Dhanyawad sir... Sir desh keliye Anubhav Singh kuch bhi kar sakta hai...toh phir to ye keval ek chota sa mission...

IG : haa par ek aisa mission tha jis se tumhari Jaan bhi jaa sakti thi aur tumne itni saralta aur suj buj ke saath ye mission solve Kiya hai... isiliye department ne tumhare kaam se khush ho kar tumhe 1 mahine ki chutti sanction ki hai...

Anubhav's smile became wide...

Anubhav: Dhanyawad sir...

And he left...

After leaving the IG's cabin he straight away moved towards the phone booth of the IB Cell and Dialed a number...the call got connected

Anubhav : hello Maa...

Pushpa ji: (happily) A..Anu!! Beta kaisa hai tu??

Anubhav: hum Kushal Mangal hai maa...humne apko ye bante keliye phone Kiya hai ki hum kal sham wapas aa rahe hai ...

Pushpa ji became delighted...

Pushpa ji: iss baar toh zyada dino keliye rukega n??

Anubhav: jee maa...iss baar hume pure 1 mahine ki chuttiyan mili hai...accha Behena kaha hai??

Pushpa ji: vo toh apni saheli ke yaha gaiee hai...

Anubhav: maa ye konsi saheli hai ?? Jab bhi hum durbhash karte hai behena ussi ke yaha hoti hai

Pushpa ji: bestfriend hai Karishma ki bohot pyaari hai...

Anubhav: hogi pyari maa parantu jab bhi hum durbhash karte hai vo kabhi bhi ghar par nahi hoti...jab dekho tab apni uss saheli ke paas hoti hai...

Pushpa ji: toh kya ab tu Karishma ki saheli se ja kar ladega??

Anubhav: zarurat padegi  toh vo bhi karenge maa...pata nahi aisa kya hai usme? Karishma jab dekho tab ussi ke pass hoti hai...

Pushpa ji: tu kyu itna bhadak raha hai ...dekhna jab tu wapas aa jayega n toh Karishma Sara din tere he pass rahegi...Bohot yaad karti hai tujhe...

Anubhav: hume bhi aap sabki bohot yaad ati hai Amma

Pushpa ji: theekh hai jaldi se aja..

Anubhav : ji rakhte hai...

The call ended

At evening he left for his home

__________________________________

Precap: Anuseena's First meeting

__________________________________

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top