Dard Ka Rishta

Who mujhe aaj Phir
Mila aapne unhi Sawalo
Me saath

Humesha ki tarah woh
Mujhe roshini mein bula
Raha tha

Aur  mein Phir se
Mere dard bhare andhere
Ko chun rahi thi

Tumhara Aur uske Jhagda
Kya h kisse ne mujhse pucha

Toh meine haas kar
Kaha pyaar or dosti ka

Ji Haan woh mujhse
Pyaar karta tha aur
Mein usse dosti

Baat kuch saal phehle
Ki h jab woh mujhse
Mila tha

Who bhi toota hoya tha
Aur mein bhi haal hi
Mein tooti thi

Woh andhero se
Ghira tha Aur mein
Bhi whi kahi thi

Usse Ek haath chahiye
Yah jo usko roshini mein
Le jaye Aur mujhe bhi

Phir kya tha
Humara ek rishta
Sa jood gaya pyaar
Ka nhi dard ka

Do toote dil andhero
We roshini tak ka safar
Taaye karne lage

Humne aapne andhero
Mein Ek chutti si duniya
Basali jisme woh tha
Mein thi aur humara
Dard

Haan hum kush toh nhi
The pr haan hamari
Duniya mein sukoo
Zaroor tha

Par usse sukoo nhi
Khushi ki chahat thi
Usse andhero ka nhi
Roshini ka aitbaar tha

Woh andhero mein bohot
Gahra ghira hoya tha aur
Mere safar ki toh baas
Abhi Suruwaat thi

Woh roshini tak ka safar
Taaye karna chahata tha
Aur mein andhero ki
Gharayi mein kho jana
Chahati thi

Bass Phir kya tha
Jung suro ho gayi
Pyaar se dosti ki
Roshini se andhere ki
Khushi se dard ki

Aur Phir hum aajnabee
Ho gaye na mein usse
Samjhme aayi na woh
Mujhe

Woh aaj bhi aapni
Roshini mein mera
Intezaar kar raha h

Aur mein aaj bhi
Aapne andhero mein
Sukoo se je rahi ho

Aaj bhi agar kuch
Hume joode huye h
Toh woh humara dard h

Uski roshini mein
Bhi dard h Aur
Mere andhero mein
Bhi


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top