Hum adhoore to nahi
Hum adhoore to nahi,Magar tumara saath na jaane kyu pura sa kar deta hai.
Hum madhosh to nahi,Magar tumhari baaton ka nasha sa chaddha rehta hai.
Tumhari tareef mei ye labbo ke lafz kam pad jatein hain,
Har saraab se badhkar, hamari tumhari mulakaatein hain.
Tumhari ek jhalak ke liye hazaro baar mudkar dekhna manzoor hai,
Ishq-e-gunaah karte hue bi, ye dil be shaq bekasoor hai.
Na qabil-e-qubool vo khwaab, jo tumhara nahi,
Ab tumse dur rehna iss dil ko gawara nahi❤️
~ Aprajita
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top