Pragyna Vihar main ek bar aur

Raghav ne kabhi nai socha tha ki Dr. Purohit se milna esa hoga. Mano Vigyan aur Darshan sastra ke chhatra hone ke karan unhone bohut bar Dr. Purohit ka nam suna jajur tha par man main kabhi unhe rachana karene ka prayas nai kiye the. Sreeja ne sahi kaha tha, Uske pita ek morden day sanyasi hain. Par na jane kyu unhe esa laga jese wo Dr. Purohit ko bohat ache se jante hain, isliye kuch samay tak wo kuch nai bol paye.

“Apse milna mera soubhagya hai Dr. Purohit. Philosophy and psychology ke field main apka jogdan kise nai pata. Agar hum sath kam karte hain toh mujhe apse bohot kuch sikhne ko milega.”

“avashya... Sree tum jao prastut ho jao. Hum humare atithiyon ka samay bante hain. Tumhe wese vi humse jaldi jana hai university." Dr. Purohit ne Sreeja se kaha.

"Ji baba!" Sreeja apne kamre ke aur chali gayi.

"Baba main vi kitchen main jati hun.. Maa ko sahaayata hogi." Bhumija vi chali gayi.

"Bhu.. " Aarav use rokna chahta tha. Kyu ki use pata tha thodi hi der main uske sath reh gaye do vidwan philosopher best friends ban jaenge aur wo in dono ke bich bore ho jaega.

"Aarav aap yadi chahe toh ghum sakte hain varamda main. Kuch hai jis se ye pratit hota hai ki apko hamari baton main jada ruchi hogi nai." Dr. Purohit ne kaha.

"No offence sir.. but.. ap sahi hain. Mujh main aap dono ki baaton ko samajhne ka dimag hai nai. Aur.. main agar yaha raha toh khamakha apko disturb karunga." Aarav ko Dr. Purohit bohat ache lagne lage the.

"Sath wala kamra Sree ki study hai. Waha books hain parantu uski avasyakta nai hogi. Ye hamare Ghar ki sabse khubsurat jagah hai. Jake avasya dekhen. Apko acha lagega." Dr. Purohit ne muskura ke kaha.

"Sure sir... Thank you.. ap log baat kijiye. Main ata hun." Aarav ne apne Bhai ke aur dekha aur unhone sir hilake use jaane ko kaha.

"Bohat Prem hai ap dono main. Bilkul Ram Lakshman ki tarah."

"Dad vi yehi kehte hain."

"Sahi kehte hain. Raghav ap University dekhne aye hain. Agar sab sahi raha toh ye project vi prarambh ho jayega. Project ke chalte swabhabik hai ki ap kuch parivartan vi kare.." Dr. Purohit ne ek kshn ka moun lia. Aur ye ek pal Raghav ke lie bohat tha, wo samajh gaye. "Pragyna Vihar mera swapn hai Raghav. Aur meri betiyon ka parishram."

"Ap mujhe nai jante. Apni University ke bade faisle mere hath main dene se pehle ap mujhe jaana chahte hain."

"Satya. Vyakti ka parichay tav tak nai hota jab tak uske man ka parichay na ho. Ap mujhe apne man se parichay karaenge?"

"Mujhe kya karna hoga?"

"Kuch nai. Keval mere kuch saral prashno ka saral uttar dene honge."

"Thik hai."

"Ap jante hain na ki ap mujhse jhooth nahi bol payenge?"

"Janta hun. World ke one of the best phycologist se jhoot bolne ke lie meri 4sal ki college ki degree kafi nai hai. Main bewajah jhooth bolta vi nai. Ap puchie kya puchna hai."

"Thik hai. Ap kya dhoond rahe hain?"

"Uddeshya."

"Hamare seher main kya dhoond ne aye hain?"

"Aasha."

"Meri Shree se mile hain. Kya Mila apko meri beti se?"

"Prerna."

"Aur Bhoomi se?"

"Shanti."

"Mujhse kya chahte ho?"

"Marg darshan." Dr. Purohit muskurae to Raghav ne pucha "Bas itna hi?"

"Bas itna hi. Aao.. baitho.. kuch aur batein ki jae."

              We dono apas main batein karne lage. Aarav akele varanda main ghum raha tha. Unka ghar conventionally bada tha par Aarav ke Ghar jesa bada nai tha. Wo apne Ghar ke sath Sree ke ghar ko compair kar raha tha. Uska ghar bohut bright hai. Strong colours hain. Par yaha sab bohat soft hai. Lights jada bright nai hai. Jese sunlight patto ke bich mainse aa rahi ho. Sree ka pura Ghar white aur brown shades main hai Jo ki ek shant vatavaran deta hai. Wo fir us kamre main gaye jo Dr. Purohit ne bataya tha ki Sree ki study hai. Wo ek specious kamra tha jis main badi badi khidkiya thi. Aur unse bahar ki pahadon tatha jheel ka ek Sundar drishya dekha ja sakta tha. Par Aarav ka dhyan us sundarta pe nai par kamre main lagi Sree ki ek painting pe thi. Aarav ko wo viswa ka sabse khubsurat painting lag rahi thi.

"Kya dekh rahe hain ap?" Sree ne kaha. Wo uske sath hi khadi thi.

"Ap bohat khubsurat hain." Aarav ne painting ki aur dekhte hue kaha.

"Jiji ne paint kia hai. Utni vi achi nai lag rahi thi usdin jitna usne bana dia hai." Sree ne haste hue kaha. Aarav uske aur muda. Usne neeli rang ki ek anarkali suit pehna tha. Uske baal vi khule the.

"Ab lag rahi ho.."

"Ap sabse ese hi baat karte hain?" Sree ne pucha.

"You mean flirt? No.. you are the first. Apse kese baat Karu samajh nai araha.. bas isliye apni insecurity ko chhupane ki koshish kar raha hun." Aarav pehli bar itne spasth rup main bol raha tha.

"Main apke liye kabhi nirnayak nai banungi. Ap bhi khud pe itne katho na ho." Sree ne painting ki aur dekhte hue kaha. Aarav use dekhta reh gaya. Sree uski aur muskurake mudi aur kaha "Maa ne bulaya hai. Sab apki pratiksha kar rahe hain."

         We dono niche ate hain, tab tak sab log khane ke lie baith chuke the.

"Aarav.. ayie.. baithiye." Dr. Purohit ne apne sath wali kursi ki aur dikhate hue kaha.

"I'm sorry I was distracted... Namaste Mrs. Purohit." Aarav ne baithte hue kaha.

"Aap bohot aupcharik hain Aarav.. iski avasyakta nai." Sunanda ne use khana paroste hue kaha.

"Thank you Auntie then... Ummm.... I love it... Hai kya ye.." Aarav ne khaate hue kaha. Raghav ne table pe sabki aur dekha..wo sab muskura rahe the.

"Aaru .." Raghav ne apne Bhai ko roka.

"Nai nai.. koi mere banaye bhojan ki prasansa karta hai to mujhe achha lagta hai. Aarav wo Bhey hai. Pahadon ki khas chiz. Use mithe patande ke sath khaiye." Sunanda ne kaha.

"It's Lotus stem curry..." Sreeja ne use kaha. "Patande ko Indian pancakes keh sakte hain. These are some traditional pahadi cuzin."

"Ap log pehli baar yaha aye hain. Socha kuch Naya khilaya jae apko. Kuch esa Jo apko kahi aur na mile." Sunanda ne kaha.

"Esa khana khilaengi na to main to yehi dera jama lunga." Aarav ne kaha. Sunanda aur Dr. Purohit dono has pade.

"Mujhe khusi hogi." Sunanda ne kaha. "Are Raghav ap to kuch le hi nai rahe. Jara ye kha ke dekhiye. Apko acha lagega."

"Breakfast main soup apko Naya lagega Raghav par.. yaha thand ki wajah se jada khaya nai jata. Isliye soups are common in all meals. Ye sarir ko garam rakhte hain aur bohot pousthik vi hote hain. ye Gahat ka Sorba hai. Yaha pahado main ek Gahat beez hote hain jinse banta hai ye." Dr. Purohit ne kaha. Dono Bhaiyon ne Sorba chakha.

"The taste how ever needs a getting used to." Sree ne kaha.

"Acha hai.. mere lie thoda spicy hai." Raghav ne kaha.

"Baba... Main nikal rahi hun Abhi. Ap log inhe le kar ajaie aram se." Shree ne jaldi jaldi khate hue kaha.

"Thik hai Sree. Hum log vi 1 2 ghante main pohunch jaenge." Dr. Purohit bole.

"Main apke sath chalta hun Shree.. wese vi mujhe ap sath hi rehna hai, office main. Bhai ko pura University ghoomna hai. Mujh main esa patience kaha." Aarav ne kaha.

"Are nai.. ap aram se nasta karke ayiye. Wese vi mujhe sab kuch apke lie hi sort karke rakhna hai." Shree boli.

"Mera hogaya.. Bhai ap ajana... Main shree ke sath ja raha hun." Aarav ne do tin chamch Bhey khate hue kaha.

"Thik hai. Paresan mat karna unhe." Raghav ne kaha.

"Come on bhai... dekh ke to bolo koun hain aspas." Aarav haste hue kaha.

"Sabko pata hai ap mujhe pareshan karte hain. Ab chaliye.. bilamb ho raha hai." Shree ne kaha. Wo dono nikal gaye.

"Shree ko pehli baar ese dekha hai.. khush. Bohot dino baad. Hai na." Sunanda ne Dr Purohit ko dhire se kaha.

"Han. Aarav uske lie ek nayi hawa banke aye hain." Dr. Purohit ne kaha.

         Shreeja aur Aarav kuch hi samay main Pragya Vihar pohunch gaye. Un dono ne raste var batein ki. Shreeja ne use apne seher aur Pragya Vihar ke ware main bataya. Aarav ne apne family aur ek aur Bhai Neerav ke ware main batein ki. Wo dono hi ache dost bante Jaa rahe the.

"Wow.... Pictures se jitna lagta hai, usse kahi jada Sundar hai apki University. Are those real... That's a natural pond.?" Aarav ne aacharya hoke pucha.

"Ji.. wo sarobar vi prakritik hai aur usmain lage Kamal ke pusp vi. Chalie.." Shreeja ne use mukhy dwar ke aur isara karke kaha.

"Neerav Bhaiya will be out of his boots when he sees this masterpiece..." Aarav ne charo tarf dekhte hue kaha.

"Wo hi project Architect honge?"

"Han.. wo abhi LA main hain. Ek project complete kar rahe hain. Nai to hamare sath ate."

"Aur aap business side head karenge? Aur Raghav, creative side?"

"Bilkul... Hum dono ka lamba safar hai Sree. Apko aur mujhe bohat kaam karne hain ek sath."

"And here the healthy conversation ends." Sree ne kaha aur wo ek aur chali gayi...

"Sree... Ruko... Agar main kho gaya yah to ap hi ko dhundna padega..." Aarav uske piche bhagta hai.

         

AN:
Please please please
Vote and comment

Tell me how it was...

        

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top