Dwand
Ab fir wohi hone ja raha tha jiska bhay tha Shreeja ko. Fir se wohi prashn. Aur uske baba vi uttar dene lage hain. Kitni bar samjhae wo unhe. Par unka yehi swabhav raha hai. Agar ek bar iss vishay mein suru ho gaye unhe bodh hi nai rehta kab rukna hai. Apne jiji ki aur dekha usne. Wo vi chintit lag rahi thi.
"Han. Hamare purvaj Janak bansh se sambandhit the. Aur hum vi usi vansh ke vansaj hain." Dr. Purohit ne kaha.
"Suna hai raj vanso main esi bohat si baten hain jo ramayan main ullekh nai hai." Ye ek media pratinidhi ka prashn tha. Ab Sheeja chup nai reh sakti thi. Aatha wo apne baba ke pas ja khadi hui aur kaha
"Ramayan ke ware main un Digjayi kirdaro ke ware main to anek kuch sunne ko milta hai. Schi kahanian vi to ek rup se kahanian hi hoti hain. Aur jo itne salon pehle ghatit hua ho uske ware main sahi se keh pana thoda jatil hai. Aur Dr. Purohit to gyan ke wo vandar hain jihne sun ne ke liye ajka pura din vi kam pade. Hum age badhte hain. Is sal hamare pradhyapakon ki suchi main kuch naye nam vi hain. Main chahungi Miss Bhumija Purohit ap unka parichay karaen."
Uske bad wo apne baba ke dahine hath par samanya si chap dete hue unhe waha se le gayi. Jiska arth tha ki avi we uska vorodh na karen. Kyu ki bad main isi bishay main hone wali mahabharat ka dono ko abhash tha. Behral sabha samapt hui. Uske bad ke sare oupchariktaen vi. Fir teeno ghar ke lie nikal aye. Raste var koi kuch na keh saka. Shreeja drive kar rahi thi to usse kuch ummid vi nai kia ja sakta tha. Bhumija ko ache se pata tha ki abhi kuch bolne ka koi bisesh labh nai hone wala tha. To wo vi chup hi rahi. Par ye ane wali toofan ka sannata use andar hi andar bichalit kie hue tha. We ghar pohunche to kafi rat ho ayi thi. Khane ka samay that to unki Maa, Sunanda devi abyasanusar kitchen main hi thi. Teeno unhe apne ane ki suchna de kar apne apne kamro main chale gaye. Khane ke mej par baithe Sunanda devi ne prashn kia
"Kesa raha kaaryakram? Sab ache se ho to gaya na?"
"Han. Bohat achche se. Apki beti jaha ho waha galati kesi ho salti hai." Dr. Purohit ne kaha. Spast that ki we bohat krodhit hain. Par unki saral patni iss kataksh ko na samjh pai. Aur unhone kaha
"Mai janti thi. Meri Shree jaha ho waha sab sahi hi hoga."
"Itna sahi ki ab mujhe lagta hai meri vi aavasyaktaa nai hai." Dr. Purohit ne uttar di.
"Ap jante hain esa nai hai baba." Shreeja ne shant swar main kaha.
"Shree agar har sal mujhe tumhari likhit bakya hi padhne hain to kya aavashyakta hai meri. Wo to koi vi padh sakta hai." Dr. Purohit ne kaha.
"Apko apki kasha main kuch vi kehne se maine kavi nai roka. There were media there baba, I don't know how you do not see it but wo apse kuch vivaadaaspad bat karwana chahte the. We are in a very tight spot right now. Abhi wo deal aane wali hai aur main nai chahti ki koi vi bat hame ya Pragyna Vihar ke pratistha pe koi prashna khadi kare." Shreeja avi vi shant thi.
"Tumhari har bat pe kutniti hona aavashyak kyu hai Shree? Kyu nahi tum kuch baton ko samvedansheelta se soch sakti?" Dr. Purohit ne kaha.
"Aur kya karu? Ban jau iski tarha? Ek presentation nai ho paya isse fundraisers ke samne? Apko kya lagta hai baba? Mujhe acha lagta hai ese rehna? Pura din university ke andar rehti hun, apne lie ek din nai nikal sakti kyu ki apki timetable disturb ho jaegi. Meri apni koi na hobby bachi na social life. Ap dono se nai smbhal paya isilie mujhe esa ban na pada. Nai to kab ka university pe tala lag gaya hota. Aur apse jo ek chiz kehti hin wo vi apne lie nai usi university ke lie. Par nai. Ek fantasy ko ap apni sacchai man chale ja rahe hain. Aur sacchai se koso dur nikal aye hain ye apko gyant vi nai." Shreeja achanak se baras padi. Ek kshan ke lie sab moun hogye aur wo uthke apne kamre main chali gayi.
"Baba wo paresan hai." Bhumija ne prayash kia.
"Uchit hi to keh rahi thi." Dr. Purohit ne kaha. Uske bad unhone thali ko pranam kia aur chale gaye.
"In pita putri ki bich hum dono pis rahe hain Bhumi." Sunanda devi ne kaha.
"Janti hun Maa. Par kya kar sakte hain hum. Dono ek jese hi to hain. Dono hi apne siddhanton ko chhodne ko tayar nai hain. App chinta na kare. Kal subha tak dono ka krodh shant ho jaega. Ap khana khake so jaie. Shree ke lie kuch fridge main rakh dungi main." Bhumi ne kaha.
Raat kafi ho chuki thi par Shreeja abhitak jag rahi thi. Uski apni kahi baten hi use khae ja rahi thi. Use apna sayyam nai khona chaiye tha. Dr. Purohit pita hain uske. Unse unchi swar main bat karna uchit nai hua.
"Kitni karwaten logi Shree? Ab so vi jao." Bhumi ne apne bistar se jhankte hue kaha.
"Tum nai soyi abtak." Shree baithte hue boli.
"Tumhari karwaton se jag gayi." Shree ne kuch uttar nai dia. "Kya hua Shree?" Bhumi ne bohat hi dhire se pucha. Phir vo ake apni chhoti behen ke pas baithi.
"Soch rahi hun Jiji.. Aur kya karne ke bad baba ko mujhse sikayaten hona band hogi. Aur kitni raten jagne ke bad main ye soch ke so paungi ki unki dristi main, main kuch galat nai kar rahi hun." Shree ne kaha.
"Tum pagal ho gayi ho kya? Baba ko tum se sikayaten hain? Tumse? Tumne unke sapno ko saheja hai Shree, Garv ho tum unka." Bhumi ne kaha.
"Main pagal ho gayi hun aur tum Andhi. Tumne dekha vi hai unka byabhar mere taraf. Har bat pe koi na koi sikayat hoti hai unhe. Main tum jesi nai hun jiji. Na hi kabhi ban paungi. Kab band karenge wo mujh main tumhe dhundna?"
"Main.. Tum mujh jesi nai Shree, main tum jesi nai hun. Aur sach kaha tumne main kavi tum jesi ban vi nai paungi. Nai hai mujhmein tum jesa sahas. Maine baba ki har bat mani, kyu ki mere lie uske alawa aur koi marg nai tha. Tumne apna nirnay khud lia. Tum unke piche nai unke samne khadi hui. Parivar ko sambhala. Pragyna Vihar ko sambhala. Kyuki tum main vo sahas hai, wo vichaar hai jo mujhmein nai tha. Aur ye bat wo vi jante hain. Mujhse bhale hi wo kitna pyar kare par tumhara wo samman vi karte hain Shree."
"To fir meri har nirnay pe prashn kyu Jiji?"
"Kyu ki wo apne atit se jude hue hain, wo atit jo unke lie unke astitv ka aadhar hai. Pragyna Vihar tumhare lie tumhaari parishram hai par unke lie unke atit ke lie unka Samman. Tum Pragyna Vihar ko pratishthit karne ke liye jo vi karti ho uske chalte tum unke atit pe vi prashn karti ho. Sayad ye wo nai sehen kar pate." Kuch der chup rehne ke bad wo boli "kuch der tehel aao. Taji hawa milegi to man shant hoga. Kuch kha vi lena. Jao."
Shreeja apni badi behen ke gyan se anjan nai thi. Wo bohat suljhi hui hai. Usse bat karke har bar uski chinta dur ho jati hai. Dono behne chahe do vipareet digon ki tarha ho par dono hi ek dusre ke shanti ka prateek hain.
An.
Please vote and comment.
Hindi isn't my first language. Pardon any mistakes.
Pragyna
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top