Shot 3

Naveen - " Tum jaanti ho na ki mere baba yaane Shri. Shekhar Ahluwaliya aur Raj ke dad Raghu uncle best friends he....

Aur Meri Mother India aur Yasho maa bachpan ke saheliya....

Aur hum Charo...
Main, Raj.." then looking at Alekh,

" yeh gadha...aur Meri chuhiya saath mein hi dusron ke Ghar ke windows todte the...
Tab hum Shimla mein the...

Aur aaj bhi jab hum duty see laut the he,
woh seeda mere Mother India ke yaha gusta he aur mein Yasho Maa ke yaha...
apne muh dikhai ke liye...." said remembering the lovely mome

Alekh - " kyunki isko waha koyi izzat nii milta... Shekhar uncle dande pakad lete he woh bhi branded....

Aur Raj toh Meera Maa aur Shekhar uncle ka favorite he bachpan se...." said showing her some pics of Shekhar's branded sticks ..

Naveen - "aur nii toh kyaa mujhe apne hi Ghar mein zaleel Kiya jaata he...
Sirf Meri Yasho maa mujhse pyaar karti he....

Haa...ab aage suno...

Jab Maine aur Raj ne army join karne ki Sochi...
kyunki humare Ghar ke saamne ek retired Army officer rehte the, woh hum sabko kahani suna suna kar ek dum sa mountain dew Wala energy bharke rakha tha..." He was blabbering and she was laughing visualing his words....

Ananya looking at Alekh,
" Tujhe unhone mountain dew nahi pilayi???
Tu kyu nii Gaya army???."

Alekh - " mujhe na bachpan se hi ek doubt tha ki is naalayak ke dimag mein kuch he yaa nahi..
Agar he bhi toh konsa kheeda he khurafat ka...
Ise find out karne ke liye mein soldier nii bana..."

Naveen - " haa...dimag ka doctor bana yeh bevakhoof...

Suno... Humne jab KMA join karne ki baath kari Ghar mein, tab..."

Alekh - " lala maama ne dande see maara tha dononko..." completed Naveen's dil ki baatein...

Naveen - " chup...
Commentary math dena...
Sabne itna daanta itna ki hum dono muh phulakar Bina khaye bager...
Haa... Naina ne chupke mujhe aur Raj ko parathe laa kar diye the...

Ise dekhar Ghar mein panchayat baita....baaba ke room mein....
.
.
.
.
.
Flashback story....

( Raghuveer Singh Shekhawat's study room in Shimla..)

Shekhar - " Meera, please ab toh Rona band Karo....hum tumhare nikamme bete ko kahi nii bhejnewale...." said in a frustrated tone thinking about Naveen's drama....

Meera - " Main Naveen nii, Raj ke baarein mein soch rahi hu....
Mere Munna waha ke sukhe roti kaise khayega...." cried loudly.....

Yasho - " Meera, Raj toh apne aap ko sambhalega....
Lekin Navu waha machcharonke beech so paayega???..." she also started sobbing..... holding Raghu's hand....

Shekhar - " woh nalayak narak jaakar bhi tel ke garam kadai mein aaram see soyega.....
Tum uske rag gaana chod do....
Yeh socho ki Raj ko kaise roke KMA jaane see.
Sirf 10 Bache he.. aur woh muh phulakar baita he...."

Raghu - " Matlab tum Naveen ko maut ke muh mein dhakelne ke liye ready ho....
Common Shekhar.... Wo...."

Meera - " uske kartoontonse mujhe usper nii army walonpe taras aata he ki woh ise kaise jhelenge...."

Lala - " koyi mujhe yeh batado ki Navee kiska beta he aur Raj kiska..." murmured.....

Raghu - " tum sab apne bete ke baarein mein socha rahi ho...
Meri beti ka kya??
Usne toh rat lagake ke baiti he ki use higher studies ke liye London jaana he...
Waha kaise bheje use akele???"

Shekhar - " Alekh he na uske saath???...
Uski chod aur Raj ke baarein mein soch....."

Raghu - " fir bhi agar kuch gadbad huyi toh????..."

" Agar kisi Gore munde se usne shadi Karli toh??....."

There came a voice, from behind the curtain...
Lala slowly slided it and found Naveen there, with naughty eyes...

Lala - " Maine tujhe bola tha na ki bahar khade hone ko..." faked his anger...

Shekhar - " tu yaha kyaa kar raha he..." he tried to beat him with the pillow kept on the couch...

Naveen swiftly moved towards Raghu...
" Uncle, aap batayiye, agar Naina ko waha ke angrez se pyaar hogaya toh,
aapke naatin toh ekdum gore honge.... drawing ke khali sheet jaise nikhlenge..." and then back hugging Meera,

" Kitna bhola he Raj....
Agar Raj ko kisi ladki ne waha apne pyaar ke jaal mein phasakar, Dil tod Diya toh...
Maa...Raj ka kyaa hoga??...."

Yasho - " yeh baath toh he...
Naina toh itni maasom he ki grape juice ko bhi wine samajhkar haath nii lagati..."

Meera - " aur mera Munna bhi..."

Lala - " aur Tera kyaa???..." asked pointing towards Naveen....

Shekhar - " ise do din mein gahr bej denge woh... nalayak..."

Raghu - " chup Shekhar ...
Dekhna mere bachcha bada Army officer banega...." proudly keeping his arm around his shoulder....

Shekhar - " Tere sapne mein..." taunted him.....

Meera - " aap ladna band kariye jii...."

Yasho - " Naveen beta tu batana ki kyaa karna he...
Naina ko yahi kisi college mein admission karle...
Yaa fir main aur Raghu London shift ho jaaye.. "

Meera - " aur main aur Shekhar ambala mein koyi flat le lete he...
Main Roz use Khana bhej dungi .."

Lala - " haa... Waha Raj ka sasur rehta he...." murmured.....

Raghu - " Naveen bachcha tu...."

Naveen - " Raj aur Naina ki shadi karadoo..." said in a calm tone...

Shekhar - " what???..."

Raghu - " Naina ke saath Raj ki.."

Lala - " shadi???...."

Hearing his words, sab ke bolti and aansu band hogayi aur dimag aur Dil ka kaam chaalu....

Shekhar - " dimag kharab toh nii hua tumahra???" tried to scold him.... out of habit....

Naveen - " socho... Dono hi purane zamane ki aatma he...
Kisi aur pe aankh autake bhi nii dekhenge..."

Lala - " Naveen... language..." remained him....

Naveen - " Mera Matlab tha ki..."

Yasho - " tune Meri Dil ki baatein cheen li.." and kissed Naveen's forehead ...
" Raghu, agar Naina ke shadi Raj se karadi toh...."

Raghu - " uske bidayi ke wakth Rona nii padega... Aur humare Raj ko bahot khush rakhegi..." Completed her words....

Meera - " aur Raj se achcha ladka Naina ke liye nii milega..."

Shekhar - " kitna samajhdaar he woh...is ghadhe ki tarah ni..." again he praised Naveen ...

Lala - " Naveen tu kuch math bol ab...warna humara plan kharab ho jaayega..." slowly whispered...

Naveen - " jii mamaji..."

Yasho - " parso Naina 18 ki ho jaayegi... Uske dusre hi din hum unke shadi karwadete he.."

Naveen - " wah!! Kyaa luck he us chuhiya ki... Birthday pe mere Veer ko hi wrap karke de denge yeh..." murmured.....

Meera - " haa... Main Raj ke liye apne khandani bracelet nikal deti hu..." said finding her locker's key from key bunch....

Raghu - " lekin unse baath Kon karega???..."

Lala - " aapko bade Jaldi yeh baath flash nii huyi...
Shadi ke din Tak wait karte..." said sarcastically....

Shekhar - " Lala, ab in bachconka kyaa Kare???..."

Naveen - " main kyu hu yaha...
Aaap shadi ki tayyari kijiye...
Main donoko mandap mein le aata hu..."
.
.
.
.
.
.
.
.

Ananya - " matlab bhaiyya aapka idea tha yeh sab???..." said excited to know his answer ...

Naveen - " mere aur lala mama ke..." said proudly.....

Alekh - " main bhi tha waha...bus kisine almari ka door nii khula..
Aur mere dialogues miss hogaye..." Murmured....

Ananya - " iske baad kyaa hua???...
Undonko aapne kaise manaya???"
.
.
.
.
.
.

In Naina's room...


Naina - " bhaiyya, aapka screw kidhar gira he...
Mere aur Raj ke shadi???
Aaap.... Chodo....
Main Yasho Maa se baath karti hu..." she tried to walk out....

Naveen - " Naina sochle..
Raj apna hi gang ka he.. ek dum Sriram types....
gussa use aata nii aur Tera jaata nii...
Agar tu muh phulakar baiti bhi toh tujhe har baar ki tarah shadi ke baad bhi ice cream lake thanda karega...
Aur shadi ke baad tujhe Ghar shft bhi nii karna padega, kyunki saare din tu uske Ghar pade rehtu he....
And woh Ghar jamayi banke yaha..." she stopped hearing this....

Then he continued....
"Woh is wakth KMA join kar raha he toh Tere saath life shuru karne ka sawal 5 - 6 saal tak nii utega...
Tab Tak tum, tere Dil ka joh course he woh bhi poora karlena... " Keenly observing her facial expression changing,

"Aur soch....
Use neatness bahot pasand he....so wahi Tera room bhi saaf karega...
Use Khana banana bhi aata he...toh wahi tujhe banakar bhi khilayega....
Use bachche ko sambhalna khoob aata he....Sherry ko sambhalte dekha he maine use...
So Tere future ke bachche ka diper bhi wahi badlega...

And the most important thing,
Woh chocolates ko haath Tak nii lagata...
So tera fridge mein rakha chocolates bhi safe...." the last sentence made her laugh and she agreed for the marriage....
.
.
.
.
.
.

Naveen - ". Asal mein woh Meri last line sunke maani thi shadi ke liye...
Ab dekh is hospital ke owner woh he..
Shekhawat Groups ke owner bhi woh he...
And most importantly mere Ghar ke owner bhi wahi he...
Mujhe toh sabne bahar phek diya he...." saying this he made a puppy face....

Alekh - " tu Ghar mein tha hi kab????"

Ananya - " hahahaha....
aur aapne Jeeju ko kaise manaya????..."

Naveen - " suno..."

.

.
.
.
.

( Backyard of Ahluwaliya Villa in Shimla...)

Naveen - " dekh Raj...
Main tujhe bachpan se jaanta hu... Tera bus chale na tu sabko apne behan goshith kardega...

Kitni baar kaha he ki mujhse kuch sikha kar...
Chod ab in baaton ka bhi kyaa faayda...

Maa ne condition yeh rakha he ki tujhe KMA jaana tab bhi allowed hoga jab tu shadi karega...
Kisi anjan ladki se shadi karne see achcha he ki Meri sherni se hi karle....

Jaanta hu ki woh bade gussewali he...
Immatu..."

Rajveer - " Naina ne kyaa kaha???..." asked with a serious face...

Naveen - " Tere jaise Pati ko Kon nii kahega.." said holding his arms....

Rajveer - " Matlab..."

Naveen - " usne haa kaha
Aur tu na uske gusse ki chinta mat..."

Rajveer - " haa he mere taraf se...
Shadi ke tayyari karne bol...." saying this he left with a light smile on face without hearing Naveen's further dialogues.....
.
.
.
.
.
Flashback story ended....

Ananya - " Matlab Jeeju aapke poore dialogue sune haa bol Gaye ...kahi woh phehle se hi Naina se...." asked using her jaasos mind.

Alekh - " tu apna dimag math Chala....
Aisa kuch nii tha undonke beech..." said cutting her words....

Naveen - " agar kuch hota toh itne saal yeh dono apne career ke naam leke door nii rehte...."

Ananya - " aapke Ghar waalon ne kuch nii bola, inke looongg distance relationship ko leke woh bhi 9 years ka..."

Alekh - " woh main batata hu..."

.
.
.
.
.
Flashback story...

Yasho - " Raghu, yese kitne din chalta rahega...."

Raghu - " kyaa???"

Meera - " Naina, toh videsh se waapas aane ka naam hi nii le rahi..."

Shekhar - "Raj bechara toh mission ke chakkar mein desh se is kone see us kone daudta rehta he..."

Raghu - " maine hi Naina ko waha rukhne ko kaha....
Padh rahi he woh waha mehnat see... Aapne bete ko bol do Shekhar ki army chod kar waapas aaye aur Naina ko sambhale..."

Shekhar - " yeh kyaa baath huyi???
Raj kyu army chodega.. Naina ko bol ki India aaye aur Raj ko aur apne Ghar parivaar ko sambhale..."

Meera - " woh kyaa sambhalegi, use toh ek stove on karne nii ata...mere munne ko halwayi banayegi woh..."

Yasho - " toh kyaa hua???
Raj kis kaam ka he... Banake khilayega apne biwi ko....
Main aaj hi usase baath karti hu..." and dialled Rajveer's number...

Snatching her phone,
" Koyi zaroorat nii he Naina India aake uske saath rahegi...." said Meera.

Raghu - " Nii Raj aayega..."

Shekhar - " Naina ko bula lenge hum..." trying Naina's number....

Lala - " firse, aap sab lad pade...
Aaap sabko do mahine ne ek baar yese na jagde toh business ke accounts tally nii hota Kya??.." asked from behind.....
.
.
.
.
.
.

Flashback story ended....

Alekh - " yese hi in chaaro mein see ke baath suru karta, aur sab lad padte....

Maa aur baba Raj ko support karte he ki Naina ko India ke hospital ki join karna chahiye aur Raghu uncle aur Yashoo Maa Naina support karte ki use apne career per concentrate karna chahiye...naa ki unke bete Rajveer pe.....yahi...."

Naveen - " horaha he 3 saal se..." completed his words...

Then continued,
"Aur pichle saal Yasho Maa ne dhamki dii Raj ko ki agar woh nii lautega toh woh Naina ke shadi kisi aur ladke se karadenge...
Woh bhi Maa baaba ko na Batakar....
Aur..."

Alekh - " kyaa???
Isiliye us bander ne resign ki???

aur idhar Maa baaba ne Naina ko pichle mahine dhamki di ki agar woh India naa aayi toh Raj ki doosri shadi karvadenge...aur woh daudkar aagayi..."

Naveen - " toh yeh baath he..." getting hold of the drama enfolding in front of them..

Ananya - " kyaa he yaar...yeh sab...
Tumahri family ke baarein mein sunkar mujhe jealous feel ho raha he...kitna pyaar he....

Naveen Bhai ke Maa baaba Raj ke taraf he...
Jeeju ke Mom Dad Bhai aur Naina ko apna poore jaaydath baite he...

Aur aap teeno, jeeja saale kum dushman jaise ek doosre ke izzath loot te ho...
Last mein humare Raina shadi ke itne saal baad bhi dono....
No comments...

Tum sab logonka,
Saare ke saare riste Ulte he....." And caught her head...

" Yeh Ulte Ishq ka Kamal he joh hum seede nii sirf Ulta Ishq ladate he..." said Alekh and Naveen in union....

*******************************
Precap....

In Raina's room....

Jaane do na.... Paas aa vo na...
Ho jaaane do na....Paas aa vo na...

Background music....
Kisne play kiya aur scene kyaa he yeh math poochooo....

*******************************

Hey my dear readers,

Kaisa tha yeh Raina ke shadi ki story, Naveen ke boli???
And unique Shekhawat and Ahluwaliya family...????

I hope ki ab koyi confusion nii hoga...
Agar hoga bhi na, toh koyi gal nii jii clear kardungiii mein....

Please do shower your love through vote and comments....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top