Chapter 4
Tanvi- a ap kb aaye?
Teerth- bss abhi kuch der phele hi aaya
Tanvi- a ap kbse v vha khade hoke m meri baatein sun rhe the
Teerth- h haa...nh nhiii toh
Tanvi- hmm
Teerth- wowwwww 'tanu'
Tanvi- ???
Teerth- tumhara nickname
Tanvi- i iska m mtlb a ap vha khade h hoke m meri b baatein sun rhe the
Teerth- vaise mujhe tumhara nickname nhi pta tha
Tanvi- o or kya suna apne?
Teerth- yeh hi ki mai tumse bhut pyaar krta hoon or tumhari bhut care krta hoon or hum kbhi kbar bahar bhi jate hai dinner pe etc etc
Tanvi- haaa v vo m mujhe bolna pdha...a ap samjh hi skte hai
Teerth- it's ok tanu
Tanvi- ?
Teerh- tanvi
Tanvi- yeh li jiye pani
Teerth- thank you...umm yeh mai tumhare liye scar pe lgane ke liye cream laya tha jo Dr. ne recommend ki thi
Tanvi- thank you
Teerth- Dr. ne kha tha isse roj lgani hai
Tanvi- achaa
In evening...
Teerth head is in geetanjali's lap nd she is caressing his hairs...
Geetanjali- laddu
Teerth- jii maa
Geetanjali- tujhe apne kaam or mere saath saath tanvi ko bhi time dena chaiya laddu...vo is ghar ke liye kya kuch nhi krti or badle mai usse kya milta hai sab se dant?
Teerth- (no response)
Geetanjali- kya uska man nhi krta hoga ki vo jldi se kaam krke tere saath kahi bahar jaye ya tere saath time spend kre
Teerth- hmm
Geetanjali- jab se tum dono ki shaadi hui hai kya ek baar bhi tu usse kahi bahar leke gya hai?....ya uske saath time spend kiya hai?...tu toh usse honeymoon pe bhi nahi kahi leke gya...usse tera saath toh mil rha hai lekin pyaar ka kya laddu?...usse tera pyaar bhi chaiye laddu sirf saath nhi
Teerth- ap janti hai maa maine yeh shaadi sirf apke krke ki thi or usne bhi yeh shaadi sirf apne papa krke ki thi...iska mtlb yeh nhi hai ki mai is shaadi ko jabardasti se nibha rha hoon...infact mai is shaadi ko pure dil se nibha rha hoon...I respect her nd care abt her a lot or rahi baat pyaar ki toh us cheez ko bhut time lgega maa...or mai samjh gya hoon ki ap kya khena chahte ho
Geetanjali- ab jaa or tanvi ke saath time spend kr or usse special feel karwa ki vo bhi kisi ke liye important hain specially tere liye
Teerth- apko pta hai maa mujhe aaj ehsaas hua ki hum kbhi akele bahar gye hi nhi or na maine usse in 6 mahino mai apna time diya hai or na hi maine kuch kiya usse samjhne ke liye
Geetanjali- ab tujhe ehsaas ho gya na laddu...ab jaa usse samjh...uske saath time spend kr
Teerth- hmm...i love youuu maa
Teerth kisses on her cheeks nd hugs her...
Geetanjali- i love youu too laddu
Teerth- byeee
Geetanjali- byee
Teerth leaves from there nd goes to the kitchen bcz he knows where she is...
Teerth- tanvi
Tanvi- jii??...apko kuch chaiye?
Teerth- h haa vo...i mean n nhi kuch nhi
Tanvi- hmm
Teerth(in mind)- ab mai kaise kahu ki mere saath bahar chalogi dinner pe?...come on teerth tu kuch bhi kr skta hai yeh toh fir bhi chota sa kaam hai or vaise bhi yeh teri biwi hai so puchne mai tu itna kyu hesitate kr rha hai
Teerth- tanvi
Tanvi- haa
Teerth- k kuch nhi
Tanvi- teerh firse?...a apko kuch khena hai?
Teerth- h haa vo kya hum aaj kahi bahar chale?
Tanvi- a agar hum aise gye bahar toh s sab kya sochenge
Teerth- tum sabka chodho yrr...bolo chalogi mana toh nhi krogi?
Tanvi- chalungi
Teerth- yeaahh...or tum apni packing krlo tum kuch din ke liye papa ke yaha chali jana tumhara man hai na jane ka
Tanvi- a apko kaise pta?
Teerth- v vo maine sun liya tha jab tum deepika dii se baat kr rhi rhi...mai tumhe drop kr dunga
Tanvi(in mind)- mai apke saath jana chahti thi papa ke yaha isliye shyd bhagwan ji ne meri sunli
Teerth- hey!...kha koh gyi tum?
Tanvi- k kahi nhi
Teerth- jao jldi se ready ho jao or fir packing bhi krlo
Tanvi- lekin hum k kbhi akele bahar ni gye fir aaj achanak kyu?
Teerth- mujhe lgta hai shyd hume ek dusre ke saath time spend krna chaiye or hume ek dusre ko or ache se jan na chaiye...sach kahu jab maine tumhari baatein suni toh mujhe ehsas hua ki hum kbhi akele bahar gye hi nhi or jab maa ne mujhe kha tab mujhe or ehsaas hua
Tanvi- k koi baat nhi teerth
After sometimes...
Teerth- umm...phele hum koi movie dekhne chalte hai fir uske baad kisi ache se restaurant mai dinner kr lenge...hmm?
Tanvi- hmm
Teerth- toh chalo fir
They go to the mall to watch movie nd they go to the ticket counter...
Teerth- tum yaha ruko mai tickets leke ata hoon
Tanvi- hmm
Teerth- aao chalo
They go to the theatre nd sit on their seat nd soon the movie starts...
After the movie ends...
Teerth- so movie kaisi lgi tumhe?
Tanvi- achi lagi...apko?
Teerth- mujhe bhi theek lagi
Tanvi- ap yaha rukiye v vo mai
Teerth- haa koi na
Tanvi goes to the washroom nd teerth is waiting for her...
Tanvi- chale?
Teerth- haa chalo
They leaves from there nd goes to the restaurant nd he pulls the chair for her nd she sits nd smiles slightly...
Teerth- btao kya khana psnd krogi?
Tanvi- j jo apko theek lage
Teerth- btao na...kya psnd hai tumhe?
Tanvi- kuch bhi
Teerth- yrrr tanvi
Tanvi- yeh order kr di jiye baaki ap dekhlo
Teerth- hmm...excuse me
Waiter- yess sir
Teerth order their fav items nd tanvi smile slightly nd he leave...
Teerth- kya hua?
Tanvi- v vo sab m mujhe hi dekhre hai...may be vo scar ke karan
Teerth- tum sab ko chodho...unhe dekhne do unka kaam hi dekhna hai...tum comfortably hoke bheta...hmm?...or tum in scar ke saath bhi utni hi sundar lgri jaise phele lgti thi
Tanvi- hmm...thank youuu...(shy)
Then there is an awkward silence between them nd they don't where to start nd what to say bcz they both feel nevervous nd shy...
Teerth- chu chup kyu ho?...kuch toh bolo
Tanvi- hmm k kya bolu?
Teerth- yeh mai kaise btau?...mujhe kudh ni kuch samjh aarha...kuch bhi btao jo tumne aaj tak nhi btaya mujhe...btaogi bhi kaise humne dhang se kitni hi baar baat ki honi in 6 mahino mai
Tanvi- a apko jo puchna hai puchiye mujhse
Teerth- mai kya puchu?...vaise tumhe khane vghera mai kya psnd hai?
Tanvi- mai s sab kuch kah leti hoon
Teerth- fir bhi koi ek aisi cheez jo tumhari sbse jyada fav ho
Tanvi- vo mujhe noodles bhut psnd hai o or apko?
Teerth- wowww noodles...acha hai...mujhe rajhma chawal or bhindi bhut psnd hai
Tanvi- achaa
Teerth- yeh vo tum itna stammer krke kyu bolti ho?...i mean mere saath hi aise bolti ho ya sabke saath?
Tanvi- p pta nhi
Teerth- tumhe nhi pta hoga toh fir kise pta hoga?
Tanvi- mtlb mera nature hi aisa hai m maine btaya tha na a apko
Teerth- ohh haa...tumhe mere samne stammer krne ki jarurat nhi...hmm?
Waiter- sir your order...serve krdu?
Teerth nodes smilingly nd waiter serves it nd tanvi says...
Tanvi- teerth a apko pta hai mujhe kyu psnd hai yeh noodles?
Teerth- nhii...lekin agar tum btana chaho toh bta skti ho
Tanvi- v vo bachpan mai mumma mere liye bnati thi j jab nai unse gussa ho jati thi or jab bhi yeh mai khati hoon toh mujhe unki yaad aajati hai
Alone tear rolls down on her cheeks nd teerth notices it nd slowly keeps his hand on her hand nd she looks at him nd he blinks his eyes nd he gives her his handkerchief nd they realises something nd takes their hand back nd she wipes her tear...
Teerth- theek oo?
Tanvi- ha...haa teerth m mai theek hoon
Teerth- tumhe gussa bhi aata hai?...i mean maine kbhi dekha nhi ya yun kahu hmari kbhi ladai nhi hui
Tanvi- phele aata tha bachpan mai todha bhut l lekin jab se mumma ki death hui hai tab se nhi aata gussa
Teerth- shyd tab se hi tumhara nature aisa hai...kyu???...i mean chup si ghum si rhene vali...kisi se faltu nhi bolne vali...sbko haa kr deti ho har kaam ke liye kisi ko mana nhi krti
Tanvi- a ap keh skte hai
Teerth- todha bhut toh bola kro...atleast mere saath hi
Tanvi- hmm
Teerth- mujhe toh kbhi apne papa ka pyaar hi nhi mila...unhe mai bachpan se hi nalayak lgta tha or na hi unhone kbhi theek se maa se baat ki fir bhi maa unki itni respect krti hai
Tanvi- k koi baat nhi teerth sab theek ho jayega...ap d dekhna ek din papa ji apko psnd krne lgenge
Teerth- mujhe aisa baap nhi chaiye tanvi jo meri maa or meri biwi ki izzat na kre...or ab shyd mujhe aadat ho gyi hai or maine is cheez ki umeed hi chodh di hai
Tanvi- ap shyd galat s samajh rhe ho teerth...papa ke pyaar krne ka tarika alag hota hai...vo apne bacho ka bhala hi chahte hai...unki dant unke gusse or unki nafrat mai kahi na kahi pyaar chupa hota hai
Teerth- vo kaise?...unhone kbhi mujhe pyaar nhi dikhaya
Tanvi- yeh pyaar words mai nhi hota teerth...papa ji ne apke liye jo sacrifices kiye jo struggle ki...vo sab pyaar ka hi izhaar hai...
Teerth- mai samjha nhi?...kher chodho unki baatein...mujhe apna mood nhi spoil krna
Tanvj- hmm
Teerth- vaise mai na kbhi kisi ldki se shaadi nhi krna chahta tha kyuki
Before teerth can say anything, tanvi understands something else nd says with a sad face...
Tanvi- ohhh...toh ap ladko mai interested hai
Tanvi gets shocked nd firstly, teerth gets shocked the he starts laughing...
Teerth- ohhh hello madam mai straight forward hoon
Tanvi- m mtlb?
Teerth- jisse apne opp. gender mai ho interest ho...samjhi ab tum?
Tanvi- ohh achaa...l lekin abhi apne kha ki ap kbhi kisi ldki se shaadi nhi krna chahte the?
Teerth- tumne mujhe pura bolne hi kha diya madam jo mai aaghe kuch bol pata...tumne phele hi apne hissab se kuch samjh liya or fir kudh hi bol pdhi
Tanvi- sorry...a acha ap boliye...ab nhi bolungi mai
Teerth- vo mujhe yeh pyaar vyar mai koi bharosa nhi...kyuki mai bachpan se hi Mr. chandrakanth or maa ke rishte ko dekhta aaya hoon so
Tanvi slowly keeps her hand on his hand nd they look at each other...
Tanvi- yaha ap na hi papa ji hai or na hi mai mummy ji...shyd hamara rishta sbse alag ho
_________________________________
_________________________________
Thank youuu for reading
Suggestions will always be welcomed
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top