PART 28

Next morning at 9'o clock in meeting room,

Naveen: to a gaye sab log.

Huda: ha sir itne pyar se order dia tha apne to kese nai ate.

Naveen: kya kaha apne cap Huda.

Huda: kuchh nahi sir ji me to bas ese hi. Ap bataie abhi hame kya karna he.

Alekh: notanki kahi ka marne vale kaam kar raha he.

Pooja: ha aj to Rajveer sir bhi serious dikh rahe he.

Naina: kal jo hua uske bad serious hi hoge na.

Udi: guys idhar dhyan do varna sb ki left right left ho jaegi morning me hi.

Rajveer: ok so kal jo bhi kuchh hua uske bad sab se pehle hame function ke lie security plan karni he.

Naveen: function ke time security ki zimmedari ham sab ki rahegi. Jise divide kar dia he. jese ki main gate se leke function ke under ki security Gunny, Alekh and Naina tum logo ki rahegi.

Function ke under or bahar sab guest ki security Abhimanyu, Rummy and Sameera ki rahegi. Sb guest ko hotel se function and function se hotel tak ache se pohchane ki zimmeari bhi tum sab ki.

Kal jo camera install kie he uske through pure taritery me nazar Rajveer and Udi ki zimmedari rahegi.

Or function ka baki ka saman or un sab ki checking ki zimmedari meri , Huda and Vidhya ki rahegi. Bahar se ane vala har saman ham log check karege. Or guest ke alava event management se jitne bhi log ayege un sab pe bhi hame hi najar rakhni he.

Rajveer: kyuki baki sab to family vale he is lie hame unsse khatra nahi he lekin event management me sab bahar ke workers and management team hongi jin pe khas najar rakhni he.

Shalini: Shivangi tum or me hamesha dadi, Naveen ke parents and Pooja ke parents ke sath rahege. Unki safety ki zimmedari hamari or unhe koi bhi help chahie function related to vo ham unhe karege. Taki ye sab apna apna kaam ache se sambhal sake.

So they divide in team according to their work.

Gunny: so sab se pehle ham tino ko gust ki list mangva ke use prepare kar leni he. jis guest ka naam nahi he unhe bina puchhe under nahi ane dena. Main gate ke bahar metal detector already he hi to vaha sab guards sambhalege. Hame bas najar rakhni he ke unse koi galti na ho. Ham me se koi na koi hamesha gate pe hi rahega. Or sab guest ke a jane ke bad under ki security sambhalege. Sabhi guards ko command ham tin hi karege. Understood.

Naiana/ Alekh: yes sir

Naveen: parso engagement he is lie kal hi sab saman a jaega decoration catering and all, so hame kal se hi kaam pe lagna he. yaha event management se kitne or kon kon log ane vale he uski list ham tak aj sham tak pohoch jaegi is lie us list me jitne log he use jyada log under nahi ane chahie.

Huda/Vidhya: yes sir.

Abhimanyu: sare guest ke list jese hi ham tak ati he un sab ko ache se hotel se yaha transport ham karege. Kuchh guards hamare sath hi honge jin ko command ham karege. Bhale hi sare guest family ke hi kyu na ho lekin fir bhi sab pe najar hame rakhni hogi. Lekin kisi ko bhi pata nahi chalna chahie ke ham un sab pe najar rakhe hue he. ye unki safety ke lie bhi achha hoga. hotel ke room ki bhi checking hame personaly karni he or kuchh hamare guards vaha bhi rahenge. Is lie hotel ka pura access hamare pas rahega. All clear.

Rummy/Sameera: yes sir

Rajveer: ok so jese Pooja ne sab ke mobile me camera ka access de hi dia he lekin Udi ye tumhari or meri zimmedari he ke function ke time us pe hamari najar rahe. Me nahi chahta ke jese kal sab boundary se under aye the vese fir se koi aye. So uspe najar hame har pal rakhni padegi. Kuchh guards mene boundary pe bhi laga die he is lie agar kuchh bhi hota he vo muje or tumhe contact karege is lie hamesha alert rehna.

Udi: yes sir.

Rajveer: ap sab ko apni api duty allot kar di gai he or ab bat ati he kal jo bhi hua maa baba ne jo kuchh bhhi bataya to mere according sab log abhi apne apne sources ko in sab ke bare me pata lagane ke lie bol dena chahie.

Naveen: abhi ham sab kisi bhi tarah ka koi kaam nahi kar sakte kyuki parso hi engagement he so abhi sab uspe dhyan dege, uske bad dekh lege sab kuchh.

Ali: lekin sir ye sab pata lagana bhi to jaruri he na.

Gunny: jaruri he lekin utna hi jaruri he tum dono ki shadi. Ye sab to vese bhi karna he or esa to he nai ke ye sab ek din me ho jaega is ie 3-4 din bad bhi kar sakte he.

Abhimanyu: vese bhi ham sab function ke time bhi ye sab karege to dono chis me ache se khayal nahi rakh paege. Is lie function khatam karte hi sab log in sab ke pichhe kaam pe lag jaege.

Vidhya: sir ye sab to thik he lekin itni sari security vo bhi ek shadi ke function me. Kuchh jyada ajib nahi lagega.

Naveen: nahi itna nahi lagega kyuki hamare guards jo ki sab vaha honge vo sab bhi shadi ke kapdo me hi honge is lie jyada kisi ko pata nahi chalega.

Gunny: thik he fir ab kisi ko bhi kisi bhi tarike ka koi doubt na ho to ye meeting yaha khatam hoti he or ab hame niche chalna chahie uncle aunty bhi a gaye honge or hame age ki story bhi sunni he.

Everyone going to living room. only dadi and Sherry was there.

Dadi: kaha reh gaye the ap sab kab se ap sab ka wait kar rahe he ham.

Naveen: dadi vo ham log meeting me busy the ap bataie ap hamra wait kyu kar rahe the.

Dadi: hame pata chala kal rat kisi ne attack kia tha. Ye sab kya hua koi hame samjaega or hamari itni security ke bavjud ye sab kese. Pehle to kabhi esa nahi hua he.

Rajveer: dadi ap tension mat lijie jo bhi tha ham sab ne sambhal lia he. or rahi bat security ki to hamne security badha ne ka socha he kyuki vese bhi yaha function he to hame security to badhani hi padegi.

Naveen: or rahi bat kisne kia or kyu ye to abhi pata nahi chala he lekin jald pata laga lenge.

Dadi: Naveen apke parents bhi a chuk he or hame apne bataya bhi nahi ke vo ane vale the.

Naveen: nahi dadi esa nahi he maa baab to aj sham ko hi ane vale the lekin vo hame surprise dena chahte the to jaldi a gaye or raste me un pe bhi attack hua tha. Abhi vo thik he lekin pata nahi abhi tak vo log aye kyu nahi.

NF: ham log a gaye.

First NF and NM took blessings from dadi. She shocked to see both of them.

(RF – Raj's father, RM – Raj's mother, NF – Naveen's father, NM – Naveen's mother)

NM: (with smile) kya hua maa ji hame pehchana nahi kya.

Dadi: (shocked and emotional) kese nahi pehchanege ham ap dono ko. Kitne sal ho gaye ap logo ko dekhe hue.

And she just hugged NM. Others were very confused and shocked also.

Rajveer: ek minute dadi ye sab kya ho raha he, I mean ap maa baba ko kese jante ho.

Naveen: ha maa baba ap Raj ki dadi ko kese jante ho.

Naina: ap log ek dusre ko kese jante ho.

Sherry: dadi apne kabhi bataya nahi ke ap Naveen bro ke parents ko jante ho.

Vidhya: or ap logo ne bhi to kabhi nahi bataya ke ap bhi dadi ko jante ho.

NF: tum bache hame bolne doge tab batayege na ke ye sab kya he. ham kese ek dusre ko jante he.

Dadi: thik he fir ham hi shuruat karte he. salo pehle hamari shadi ke bad ham or tumhare dada ji delhi a gaye the khud ka business shuru karne ke lie. Fir kuchh hi salo me tumhare dada ji ka dehant ho gaya Fir business or bachho ko hamne sambhala or jab bache bade ho gaye unhone ye business sambhalna shuru kia. Fir ek din tumhare papa and chhote papa ki shadi ho gayi or usi vakht Meera (NM) and Rajendra (NF) naye naye hamre side vale ghar me shift hue the. Kuchh hi vakht me hamara in dono ke sath bohot hi gehra rishta ban gaya. To ham tabhi se ek dusre ko jante the.

Naina: lekin baba ...

NF: pehle hamari puri bat sun lo fir apne sawal puchh lena sab log. To hamari bohot achhi dosti ho gayi thi. Virendra (RF), Avantika (RM) and Ragini (raj's chhoti maa) ye tin business sambhal rahe the or vikram (raj's chhote papa) vo army me chala gaya tha. Sab kuchh bohot achha chal raha the. Fir do tin sal bad Naveen peda ho gaya or uske 6 mahine bad Rajveer bhi or ham sab ki khushia duguni ho gai.

NM: hame aj bhi pata he kese dono ek sath khela karte the. Dono ko ek dusre ke bagair bilkul bhi nahi chalta tha. Tum dono ki ye dosti abhi se nahi balki bachpan se hi he. ye to kismet ka khel hi samjo jisne tum dono ko vapis mila dia academy me.

Everyone is shocked to listen this story. NavRaj is looked at each other with shocked.

Huda: vahh kya bat he sir ji matlab ap dono ka to janmo janmo ka sath lagta he.

Shalini: ha naina muje lagta he ke ham dono in dono ke bich a gaye or aj ye bat confirm ho gayi.

Naina: me kaha in dono ko dur rakhneka sochti thi or inka to bachpan se hi connection he.

Rajveer: ye kya bol rahe ho tum sab.

Naveen: ha to sahi to he tu to mera janmo janam ka yar he.

Rajveer: ye janmo janam ka yar kya hota he me bada straight hu samja tu.

Naveen: me bhi straight hi hu or dekha jae to tu mere pichhe pada he me nai.

Rajveer: achha matlab kuchh bhi ha. Me koi tere pichhe nai pada.

Naveen: ha to pehle me hi aya tu bad me mera pichha karte karte aya he.

Shivangi: had he yar tum dono kahi pe bhi suru ho jate ho yar. Ham log yaha kya bate kar rahe he or tum dono apne me hi lage ho. Uncle aunty ap bataie age inka to chalta hi rahega varna.

RF: thik he fir suno. Dekhte hi dekhte Rajveer and Naveen 2 sal ke ho gaye the or in salo me Virendra ka busness bhi bohot age badh chukka tha. Ek din Virendra, Avantika and Ragini office ke kuchh kaam se ja rahe the tab un pe attack hua tha. Kuchh time bad pata chala unke kisi business rival ne ye sab karvaya tha.

Dadi: vo pehli bar tha jab ye sab hua tha or Virendra bohot dar gaya tha is lie usne socha ke ham sab kahi or shift ho jaege or vo ghar chhod dege. Fir ham ne shift kar lia vaha se or uske bad kuchh karibi family and dost hi jante the ke ham kaha he.

RM: ham bhi jante the is lie kabhi kabhi ham unse milne chale jate the. Fir kuchh time ke bad mera transfer nainital ho gaya or ham vaha shift ho gaye. Kabhi kabhi hamri bate phone pe hua karti thi lekin safty ki vajah se Virendra ne hamse contact karna chhod dia taki ham pe koi khatra na ho. Ek din Virendra nad Avantika ki mot ki khabar hamne news me dekhi.

Naveen: maa baba fir apne Veeru ko pehchana kyu nahi.

NM: kese pehchante, kyuki kabhi ham mile nahi to hamne sirf Rajveer ki photos hi dekhi thi vo bhi bachpan ki to kese pahchante.

Dadi: hamra business itna upar a chukka tha ke business ke sath sath bohot sare dushman bhi ban gaye the or Vikram bhi army me tha to bachho par koi musibat na aye is lie hamne Veer and Rudi ko sab se chhupa ke hi rakh tha. Kabhi bacho ke bare me media me bhi nahi bataya tha.

Naina: lekin maa ap log bad me bhi to milne ja sakte the na.

NM: jese hi hame khabr mili ki Virndra and Avantika ka accident ho chukka he ham bhi maaji se or bachho se milna chahte the lekin in papers ki vajah se nahi mil pae.

Ab ye sab ke lie bohot bada jatka tha or use bhi jyada confusion.

Naina: maa baba in papers ka Rajveer ke family se kya lena dena.

RF: Virendra and Avantika ke accident se 2 din pehle dono nainital aye the hamre pas vo bhi itne salo bad. To hua yu tha ke...

Flashback,

NF living room me news paper padh rahe the and NM kitchen me busy the. Usi vakht door pe kisi ne knock kia or NF ne jake darvaja khola. Or darvaje pe RF and RM ko dekh ke thoda shocked hue.

NF: (while hugging RF) tum dono vo bhi yaha itne Salo bad, kese ho. Sab thik to he na.

RF: pehle hame under to ane do.

They entered in house and NM also came there.

NM: (hugging RM) kese ho tum dono. Kitne salo bad mil rahe he. bohot achha hua tum dono ko yaha dekh ke. Sab thik to he na.

RM: ha Meera sab thik he or jo thik nahi he vo bhi thik ho jaega. abhi ham dono ko ap logo ki help chahie.

NF: ha bolo kya help chahie, jo bhi help chahie ham jarur karege.

RF: hame pata he tum dono hamari help jarur karoge isi lie ham yaha aye he. ye papers tumhe apne pas sambhal ke rakhne he apni jan se bhi jyada sambhal ke. Kyuki isme bohot important information he.

NF: ha thi he me ye ache se smbhal ke rakh duga lekin tum batao ye sab ho kya raha he. kahi koi khatra to nahi he na.

RF: me abhi tumhe sari bate nahi bata sakta. bas yad rakhna ke ye papers kisi or ke hath me nahi ane chahie. Ham dono ke alava tum ye papers kisi or ko kabhi nahi doge.

Nf: lekin esa kya he isme jiski vajah se tum itne pareshan lag rahe ho.

Rf: ye Vikram ne muje dia he sambhal ke rakhne ke lie, lekin ye hamre pas bhi surakshit nahi he is lie me ye tumhe de raha hu. Kyuki ek ap log hi jiske bare me kisi ko nahi pata he ke tum hamari family se connected ho. Is lie kabhi kisi ko shak nahi hoga ke ye tumhare pas he.

RM: abhi kuchh vakht ke lie is papers ko apne pas sambhal ke rakho bad me jese hi sab thik ho jaega ham yaha khud ake collect kar lege. Bas tum logo ko ye yad rakhna he ke ye hamare alava kisi or ko nahi dena he or ise esi jgah sambhal ke rakho jaha ap logo ke alava or koi na pohoch pae.

RF: or ha kuchh bhi ho jae kesi bhi situation ho kabhi bhi hamse ya hamari family se contact karne ki koshish mat karna. Kyu ki agar kisi ko bhi ye pata chala ke ap log ham se connected he to ap logo ki jan ko bhi khatra ho sakta he or ye ham hargij nahi chahte. Or ese kisi ko shak bhi nahi hoga ke papers tum dono ke pas he.

Flashback end.

NF: fir unke vaha se jane ke 2 din bad hi unke accident me mot ki khabar ayi. Or jese ki un dono ne hame mana kia tha kisi bhi tarike ka contact karne se to hamne nahi kia. Or fir hame laga shayad koi or ake ise leke jaega lekin koi nahi aya to mene ye papers bank ke locker me rakh die. Fir ham un papers ke bare me bhul hi gaye fir Naveen ke sath jo hua uske bad to hame kuchh yad hi nahi raha.

NM: parso achanak se safai karte samay cupboard se us locker ki chabi mere hath lagi tab hame samaj aya ki shayad isi vajah se itne time se ham pe attack ho rahe he. fir ham un papers ko vaha se nikal ke le aye.

Alekh: lekin maa baba ap log hame bhi to bata sakte the na. ap log ese kese in papers ke sath akele a gaye. Agar ap logo ko kuchh ho jata to.

NF: lekin beta hame kaha pata tha ke ye sab ho jaega hamre sath or ham to ap sab ko surprise dena chahte the isi lie ham log a gaye.

Naina: maa ap logo ko Rajveer ke bare me kese pata chala.

NM: vo Naveen and Rajveer ke kamre ki safai karte vakht muje vaha se Rajveer ki family photo mili or usi vakht hame pata chala ke ye hamara hi Veer he. fir bhi confirm karne ke lie mene tuje phone kia tha Rajveer ke family ke bare me janne ke lie.

Itne sare raaz bahar ane ke bad Rajveer ko kuchh samaj nahi a raha tha. Uske dimag me bohot kuchh chal raha tha is lie vo bas chup chap ye sab sun raha tha. Use samaj nahi a raha tha ke in information ko vo kis tarike se le.

Naveen: lekin in papers me esi konsi information he jiski vajah se uncle aunty ko ye papers maa baba ke pas chhod ke jana pada. Kyu ki in papers me jo kuchh bhi likha he vo sab code me likha he or kuchh samaj bhi nahi a raha he.

Gunny: is code ko to ham kese bhi decode kar lenge lekin ye sab kab or kese hua ye to dadi ap hi bata sakte ho. Kyuki ap hi the us vakht jisne yaha sab kuchh dekha he.

Ye sunte hi dadi apne khayalo me kho gayi thi. Kyuki aj fir se unke purane jakhm taja ho gaye the. In sab bato ki vajah se aj fir se unko vo din yad karne pad rahe he. un dino ko yad kar ke unki ankho se ansu behne lage vo bohot hi jyada emotional ho chuki thi. Kese na ho vo ek maa he jisne apne hi samne apne bacho ko marte hue dekha tha. Jisne apne hi samne apne ghar ko tutte hue dekha tha.

Dadi: ( after some time) ek din hame call aya ki kisi mission ke doran Vikram ko 4 golia lagi thi or uski halat bohot jyada serious thi. Usme se ek goli uske dil ke bohot karib lagi thi is lie doctors ne bol dia tha ke Vikram ka bachna namumkin he.(now tears flow from her eyes) ye sun ke Ragini to jese mar hi chuki thi. Us doran Virendra and Avantika dono business ke silsile me bahar gaye the. Vikram ki khabar sunte hi dono vapis aye or ate hi dono Vikram ke pas gaye. Or fir vaha se vo ghar lote hi nahi 2 din tak or ab hame samaj a raha he ke ye dono nainital gaye the. Fir jese hi vo dono vaha se aye siddha hospital hi gaye or fir vaha se Virendra ka call aya ki Vikram ab hamre bich nahi raha. Fir uske 2 din bad Virendra and Avantika office ke kuchh kaam se nikle jo ki hame thoda ajib laga tha kyuki Vikram ko gaye sirf 2 din hue the or ye dono office ja rahe the. Lekin office se ate vakht unka accident ho gaya or vo dono bhi chal base. Bohot buri tarike se dono ki body jal chuki thi. Or sath me unke driver ki bhi mot ho chuki thi. Ragini ye sadma bardast nahi kar pai or kuchh time ke bad vo bhi hame chhod ke chali gayi.

Itne salo bad fir se vahi sab bate yad karte karte vo fir se ek bar tut chuki thi. Or dusri taraf Rajveer ki halat bhi kuchh esi hi thi. Vo ye sab bardast nahi kar pa raha tha is lie vo vaha se uth ke chala jata he or uske pichhe Naveen and Naina bhi jate he. or idhar Naveen ke parents and Sherry bhi dadi ko unke kamre me le jate he.

In Rajveer's room,

Rajveer held his family photo. He was getting emotional. He saw his parents and tears flow from his eyes. Naveen and Naina also came there and Rajveer just hugged Naveen and cried a lot. Naveen also let him cry for some time. He understood his condition.

Rajveer: (crying) ye sab kya ho gaya Naveen, kese ho gaya. Itna sab mere parents ke sath ho gaya or muje pata bhi nahi he. kitna selfish hu me. Mene kabhi dadi se janne ki koshish hi nahi ki ke unke sath kya hua tha.

Naina: nahi Rajveer ap ese apne ap ko dosh nahi de sakte. Us vakht ap bohot chhote the to ap kese in sab bato ko samajte. Or agar tab apko pata bhi hota tab bhi apko kuchh samaj nahi ata. In sab me apki koi galti nahi he.

Rajveer: nahi Naina in sab ke bare me tab nahi lekin bad me to puchh hi sakta tha na. me hamesha apne dard se bhagta aya hu. Bohot time lag gaya tha muje sambhalte or Rudi ko sambhalte sambhalte is lie fir kabhi in sab ke bare me janne ki himat hi nahi kar paya or hamesha in sab se me dur hi bhagta aya hu. or abhi jo bate hmane suni uska ye matlab bhi ho sakta he ke mere parents ka murder hua ho.

Naveen: ye tu kese itne yakin ke sath keh sakta he. ho sakta he ye sach me ek accident hi ho. Kya pata tu jo soch rah he vesa kuchh hua hi na ho.

Rajveer: lekin ye bhi to ho sakta he na ke unka murder kia gaya ho. Or agar ye sach he to muje in sab ke bare me pata lagana padega. Agar ye murder he to me un katilo ko nahi chhoduga jisne hamse hamre parents ko china he.

Naina: ham sab bhi apke sath he Rajveer. Ham sab mil ke pata laga lenge ki kya hua tha. Leki abhi ap apne ap ko sambhalie. Ap agar esa karoge to dadi ko kon sambhalega.

Or ese hi Naina and Naveen Rajveer ko sambhal rahe the. Vo dono bhi jante the ke Rajveer jo bol raha he vo sahi bhi ho sakta he lekin abhi unko Rajveer ko sambhalna tha isi lie vo dono chup the... 

,

,

,

,

,

,

,

,

,

,

Thanks for reading my story

Thanks for voting and comment and I hope you liked this update.

love from Barkha❤️

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top