Ch41 ~That's how much I love her!
K: Bhabhi wo hua hai ki...
Mo: Bhaiyaa bhabhi.. wo mujhe aapse plan... karan tum yahan iss waqt?
Monami came to parkha's room all of sudden and was shocked to see Karan. Parkha mentally cursed the timing.
K: han me yahan iss waqt.. kyun.. nahii aasakta?
Mo: Arre nahi nahi ofc aasakte ho..
K: exactly.. btw.. kya plan?
Mo: (fumbling) Ppp..plan.. kaisa plan. kau..kaunsa plan? kya bolrahe ho karan (nervous laughter)
K: Wahi me puchhraha monami.. kaisa plan .. kaunsa plan.. bhaiya bhabhi se hi kehrahi thi na aate waqt.. plan?
Mo: Wo. plan.. nahi.. tum.. tumne kuchh galat suna hoga.. kuchh plan nahi
K: Ohh madam. tumhein bachpan se jaanta hoon.. jhoot to bolna hi mat.. nahi to
Mo: (crossing her fingers which went unnoticed by karan) Shaadi ka plan..
K: KYA?
Mo: Haan.. wo.. meri shaadi ka plan.. uske arrangements.. hall booking.. catering.. dates.. dresses. etc.. wo sab ka plan
K: (annoyed) kuchh zyaada hi excited nahi horahi ho tum shaadi ke liye..
Mo: Han to meri shaadi hai.. excitement to hogi hi na..
K: Zindagi bhar ki barbaadi = shaadi
P: Sahi kaha mere bhai..
Barkha and Monami : ACHHAAAA (with a furious look)
Param and Karan gulped down their saliva in fear..
P: amm. wo.. mera mtlb tha ki.. wo.. monami.. plan ke baare me hum kal subhe baat karein.. abhi mujhe (by fake yawning) bohut neend aarahi hai.. iss gadhe ko bhi me thodi der me bhagane hi wala tha yahan se..
K: (in low tone) Abhi to bada pyaar aaraha tha bhabhi pe.. abhi achanak neend.. kya baat hai..
Mo: Kuchh kaha tumne?
K: Kuchh suna tumne?
Mo: Nahi.. par.. tumne kuchh
k: Ms. Monami Mahajan jaaiye aur soojaaiye.. aapke kaan bajrahe..
Mo: HUh.. khadoos shergil kahin ke.. bhaiya bhabhi me kal baat karungi aapse.. yeh gadha mujhe aaj baat karne dega nahi.. good night bhaiya.. good night bhabhi..
Parkha: Good night monami!
K: me bhi hoon.
Mo: To raho.. mene kab mana kiya..
K: Bad joke
Mo: Better than your face..
K: (leaning close to monami) (Huskily) iss shakal pe to laakhon ladkiyan marti hai..
Monami's breath became uneven due to the proximity.. her cheeks became red.. she took a deep breathe to control herself..
Mo: Ab aisi shakal dekhke log darke marenge nahi to kya puja karenge..
K: Excuse me?
Mo: Not excused.. good night
and she went away to her own room..
K: Huh. dekhlunga tumhein
He turned to Parkha and saw both of them sitting on the bed with a "are u done" wala annoyed face..
K: Kya.. aapdono aise kyun bethe ho..
P: tumdono ke tu tu me me ke khtm hone ka wait karrahe the... ab hogaya ho to tu batayega hume.. kab kahan kaise pyaar hua tujhe?
K: Ohh han.. me to bhul hi gaya tha... hehe... sorry..
Karan settled himself comfortably on the couch and narrated his feelings
K: Kab.. kahan.. kaise.. yeh to nahi pata bhaiyaa.. bas itna maalum hai.. ki ab khudko monami ke bina imagine bhi nahi kar paaraha hoon.. jabse uski shaadi ki baat suni hai.. dil tut sa gaya hai..bechaini si horahi hai.. usko khush dekhkar shayad zindagi me pehli baar khushi nahi milrahi... Usko shivam ke saath jitna khush dekhta hoon.. jitna uske paas dekhta hoon.. uutna hi gum khudko milta hai... khudse juda hone jaisa lagta hai..
Bachpan se uske bak bak sunke.. ab aadat bangayi hai wo meri.. uski bak bak naa sunu to din pura hi nahi hota mera.. hamesha usko kehta hoon.. chudail jaisi hasti hai.. par uski ek hasi se dil ko sukoon miljaata hai.. daayan jaisi dikhti hai.. yahi kaha kart hoon na usse me.. (slightly chuckling) par aajtak uske alawa kisi aur ko dekhke hosh nahi ude hain.. kabhi kabhi man karta hai.. usko dekhta hi rahoon.. duniya uske saamne dhundla padjaata hai.
Parkha were keenly listening to him. The love for monami was clearly evident in Karan's eyes..
K: Shivam bura nahi hai bhaiya.. bohut achha hai.. settled hai.. monami ko khush bhi rakhega.. par.. par problem itna hi wo shivam hai.. karan nahi.. me koi dudh ka dhula to nahi hoon bhaiya.. aur me nahi jaanta me monami ko deserve karta hoon ya nahi.. par uske bina zindagi bitana.. yeh ab nahi hopaayega... deserving nahi hoon to khudko deserving banaunga... par monami ko khudse dur nahi hone dunga.. pyaar batake to aata nahi hai na bhaiya bhabhi.. wo to bas hojaata hai.. to bas mujhe bhi hogaya.. aur monami se kyun hua.. yeh to me bhi nahi jaanta.. shayad isliye kyunki wahi meri kismat hai.. wahi meri manzil hai... ya shayad isliye kyunki karan ko monami ki zaroorat hai..
K: Mujhe zaroorat hai bhabhi.. Iss khadoos se Karan ko.. Uski caring wali Monami ki zaroorat hai.. gusse me aag banjaane wale karan ko unn lehron ki zaroorat hai.. jo sirf monami hai... apne baatein kisise share naa karpaane wale karan ko.. uski har khaamoshi padhlene wali monami ki zaroorat hai... agar me raat ka andhera.. to mujhe usme chand ki roshni ke tarah monami ki zaroorat hai..mujhe haar jeet.. khushi gum.. har pal uski zaroorat hai..
His words were enough for anyone to understand how much monami means to him.. how much he needs her in his life.. how much precious she is for him..
K: Mujhe nahi pata yeh pyaar kahan tak jaayega.. mujhe nahi pata yeh pyaar sahi hai ya galat.. all I know is, mujhe pyaar hai.. itna ki iss pyaar ke liye me khudko kurbaan kardoon.. itna ki agar monami kahe.. usse mujhse dur rehke khushi milegi.. to shayad uski khushi ke liye me khudko hamesha ke liye us se dur kardun.. Kab kahan kaise kyun.. kuchh nahi pata.. bas itnaa pata hai ki agar us se dur hua.. to kabhi wapas khudse nahi milpaaunga.. hamesha ke liye khudko bhi kahin khoo dunga..
Throughout the whole convo, he didn't realise that he was the only one speaking.. He was lost thinking about Monami.. Param had tears in his eyes.. Barkha went to Karan and kept her hand on his shoulders.. This broke Karann's trance.
B: (smiling) bohut pyaar karte ho na us se
K: Apni zindagi me agar mene apne desh ke baad kisise itne shiddat wala pyaar kiya ho.. to wo monami hi hai bhabhi...
B: To trust me.. wo tumse dur nahi jaayegi..
K: (happily) SACH!!
Barkha nodded in yes..
K: mtlb.. bhaiya bhabhi.. aap shivam se shaadi. cancel karwadoge na?
P: Wo me dekhlunga..
K: Bhaiyaaa.. dekhlunga kya.. (whining like a child) Yaar bhaiya.. karwado na cancel.. kasam se aage kabhi aapke aur bhabhi ke me time ka kabab me haddi nahi banaunga.. plz bhaiyaa..
Param laughed hearing this..
P: Achha theek hai.. karwadunga shaadi cancel.. Par..
K and B : PAR KYA???
P: PAr yeh ki.. Me shaadi to cancel karwadunga... par monami ki shaadi karan se nahi karwaaunga...
K: KYA? BHAIYAA??
P: Arre mera mtlb.. itni aasaani se nahi karwaaunga..shaadi cancel karwane ki zimmedari meri.. par tujhe monami ko propose karna hoga.. jab wo khud aake mujhse kahe ki usse tujhse shaadi karni hai.. me tab jaake shaadi karwaaunga.. usse bhi to mauka milna chahiye apna life partner choose karne ka.. agar tu monami ko impress karde.. to MORAN ki wedding pakki..
B: MORAN KAUN?
P: offo meri tubelight.. moran mtlb monami and karan.. (Karan blused) haan to bhai.. pata lega na monu ko?
K: Ab pyaar kiya hai to jaane to dunga nahi.. impress kar hi dungaa.. dekhna.. maadm khud aapko bolegi uski shaadi merese jald karwane ke liye..
He hugged Parkha and went to his room not before wishing them good night..
B: hmmmmmm.. to ab kya socha hai tumne??
P: Bas ab table turns... ab game karan ke taraf se khelna padega..
***********************
She fell first
He fell harder❤️
Did you like what karan said for monami😭❤️
Want and need are two similar words.. but the use of both makes a feeling more expressive..isn't it??
Karan doesn't WANT monami
He NEEDS her❤️❤️❤️
Are u excited to see how Karan would impress Monami henceforth??🌝
Karan: um.. waise readers.. thoda tips dedo.. kaise pataun monu ko👉👈
Cyaa in the next chapter
~Coffee☕️
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top