@Anonymous123

Heyy Guyss! I was inactive from last saturday. My college was going to start and I was ill too. Sorry for late update. 

--------------------------------------------------------------------------

@Anonymous123 (A1)– Hi! Dushyant here. 

Kavin went in a trance as he read that message. His phone beeped again. 

@Anonymous123 (A1)– Hi! Dushyant here. What's your name? 🙋‍♂️🤔

@Kavin_Khanna (KK)– Username padha nahi? 😑

@A1 – Bade mazakiya ho by god! 😂😂😂😂

@KK – Thanks. 😊. Aur Bye bye. Kyuki ab mai tumhe block kar raha hu..

@A1 – Are jaaneman ruko to zara...humse baatein kiye bina yu chal na do.

@KK – Are you crazy? 🤨

@A1 – Koi Shaq? 😂

@KK – Mai paagal nahi banna chahta. Bye bye.

@A1 – Are tum to mujhe kabhi bhi block kar sakte ho. Ek baar suno to.

@KK – Sunao

@A1 – Tum to mera text aate hi mujhe block kar sakte the. Phir bhi tumne mujhse itni baat ki. Matlab tumhe baat to karni hai..

@KK – Ye baat karni thi?

@A1 – Are nahi...okay mere baare me mai batata hu. Myself Dushyant. Pyaar se mere dost mujhe D bulate hai.

@KK – Tumhare Id page pe to 0 followers dikha rahe hai

@A1 – Are bhai baat to puri hone do.

            - Yaha par mere kisi bhi dost ko mere baare me nahi pata.

@KK – Aisa kyu?

@A1 – Are ye account maine anjaan logo se baat karke unhe jaanne ke liye banaya hai. Aksar hum anjaan logo se wo baatein kar lete hai, jo hum apno se bhi nahi kar sakte. Waise hi sab akele pad gaye hai. Emotionally isolate ho gaye hai. To hum youngsters ka ekhi dost hai social media. Uska accha use kar sakte hai na hum?

@KK - Baat to pate ki ki. Par mai kyu?

@A1 – Ohho...ab wo mujhe kya pata? Tumhara profile dikha to DM kiya. Waise tumne mujhe block kiya to koi problem nahi. Mai waise bhi ek insaan se kam se kam 1 mahine tak baat karta hu. Uske baad apna account delete karke, dusra account banata hu.

@KK – Tumhari baaton se tum ek number ke velle lagte ho.

@A1 – 😂😂Tumhe ye lagta hai to yahi sahi. Waise dekh lo. Mai koi galat intention se nahi aaya yaha. Tumhe bass ek dost nahi milega. Soch lo.

@KK – Kisine tumhe track karne ki koshish nahi ki?

@A1 – I am a certified hacker. Mai track hi nahi ho sakta.

@KK – Itne se time me tumne mujhe apne baare me itna kuch bata diya.

@A1 – Ha to? Na to tum mujhe jaante ho, na mai tumhe jaanta hu. Tum kisiko batake bhi kya kar loge?

@KK – Wo bhi hai. Waise tum mujhe follow nahi karoge?

@A1 – Nahi..apna ek rule hai. Jisse chat karne wala hai, na to uska photo dekhna na uski aawaj sunna.

@KK – Ohh...aisa kyu?

@A1 – Aaive hi. Kick milti hai. 😉

@KK – Par mai jyada social media active insaan nahi hu.

@A1 – No Prblm! Tum bas kab online aate ho wo bata dena. Hum haazir ho jayenge.

@KK – Okay...Mai subah 4 baje online aata hu. 

            - For 10 minutes.

@A1 – Abhi to raat ke 11 baje hai. Matlab tum jhooth bol rahe ho. ☹😑

@KK – Nahi bhai. Mai jyadatar subah ke 4 baje hi online aata hu. Chaho to check kar lo.

@A1 – Okay. To kal 4 baje baat karenge. Done?

@KK – Done

At 4am...

@A1 – Hello?

@KK – Tum sote nahi ho kya?

@A1 – Nahi. 😉

@KK – Anyways. Batao. Kya baat karni hai? Kyuki waise bhi mai 10 minute online rehta hu. Mujhe photos, videos dekhne hote hai. Aur type krte krte 2 minute hi baatein hogi.

@A1 – No problem baby! Mai Maggie champion hu. Apne baare me kuch nahi bataoge?

@KK – I am CID officer turned businessman Kavin Khanna.

@A1 – Lovely! Ghar me kaun kaun hai?

@KK – Koi nahi. Akela rehta hu. Abhi ek junior aaya hai rehne mere saath.

@A1 – Kyu?

@KK – Aise hi.

@A1 – Okay Okay. Jab man kare tab batana.

@KK – Yeah..bye. 2-minute pure hue. Um..Dushyant.

@A1 – Oye hoye! Naam bhi yaad rakh liya tumne mera.! Maja aa gaya. Phir kal subah milenge. 4 baje. Aur typing ki speed badhao yrr. 5-minute to typing me hi nikal gaye.

@KK – Ji huzoor.

Kavin gets up from his bed. Goes to do his daily yoga and exercises. Pankaj, while keeping eye on him, prepares coffee for both of them.

Pankaj – Sir..(yawns) waise aapke chakkar me mujhe bhi 4:15 baje uthna padta hai.

Kavin smiles.

Kavin pov: Ha. Shukar mana mai tujhe apne saath 03:30 baje nahi uthata.

Kavin – Waise uss ladki Purvi ka kuch pata chala?

Pankaj – Kaha sir? ACP sir ne us case ko kabhi shuru hi nahi hone diya.

Kavin – Ha..aur wo ladki bhi us din ke baad kabhi dikhi nahi. Aur...........Shruti ki invstigation kaha tak pohochi?

Pankaj gives out a deep sigh – Shuru hai...kahi pohochi aisa dikh nahi raha.

Kavin's face falls.

Pankaj – Sir...dekhiye aap please pareshaan mat hoiyye. Humari jaanch padtaal jaari hai.

Kavin nods. – Chalo..aaj via CID bureau chalte hai office.

Pankaj is happy – Okay sir.

Kavin meets everyone in the bureau. He and Shreya go to the canteen.

Kavin – Kya batau yrr..Purvi aur Dushyant naam do naye log mere life me aaye hai. Dimaag ka falooda ban gaya hai maa kasam!

Shreya – Ajeeb baat to hai. Par ye coincidence bhi to ho sakta hai? I mean tune us Dushyant ka chehra nahi dekha aur na hi wo Purvi tujhe baadme mili.

Kavin – Kya pata. Aur ye is @Anonymous123 ke paas itni energy hai ki kya batau. Subah subah 4 baje text kiya usne mujhe. Banda shaanti se social media bhi use na kare.

Shreya – Block kar na seedhe.

Kavin – Tujhe kya lagta hai? Mai nahi karne wala tha?

Shreya – To uska message mat dekh. Ya phir dekhke chod de reply kyu karta hai. Waise bhi tu strangers ke saath aisa hi bartaav karta haina? Seen-zone ya phir block karna?

Kavin – Ha lekin iske saath nahi kar paa raha hu. Distance rakhu to bhi saala dimaag se nikal hi nahi raha. Aur upar se Dushyant naam hai uska. Baat karne ka mann kar raha hai. Kitne dino baad kisise baat karke thoda sa theek lag raha hai.

Shreya thinks for a while. – Dushu ne ekbaar kaha tha yaad hai? Zindagi kai baar aise mod pe aa ke thamti hai jaha apne paraye lagte hai aur baahar wale apne...mujhe lagta hai tu iss @Anonymous123 ko ek mauka deke dekh. Kya bolta hai?

Kavin is lost in deep thought. – Thik hai. 😊

Shreya smiles too.

Kavin – Shrutiki investigation...

Shreya – Abhi tak kuch haath nahi laga hai.. Mujhe ye samajh nahi raha ki Shruti ki past ki aisi kaunsi kadi hai jo humne nahi jodi? Dushyant ki behen thi wo. Dushyant ke past ke baare me hume kaafi cheeze pata hai. 

Kavin sadly- Dushyant ki behen thi wo....Naa to use pyaar de saka na Dushyant ki aakhri khwaaish puri kar saka. 

Shreya keeps her hand on Kavin's shoulder. 

Something strikes Shreya. 

Shreya - Kahi Ishita ne..

Kavin – Nahi. Ishi kitni bhi gussa ho Dushu se, uski behen ke khilaaf aisa kadam nahi utha sakti.

Shreya – Mujhe pata hai Kv. Lekin Ishi akeli nahi hai haina? Uska bhai...

Kavin – Nahi yrr..mujhe pata nahi kyu reh reh ke ye lag raha hai ki Ishi is sab me involve nahi hai. Kartik Ishi se behad pyaar karta hai. Wo use dukhi nahi dekh payega.

Shreya nods.

Kavin – Ishi se milne chale? 

Shreya – Wo ab bhi wahi pe hai na?

Kavin just looks at Shreya. The glance gives her the answer she wanted to know. 

Shreya - Chal. 

.

.

..

.

.

.

.

.

.

.

.

.

..to be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top