VOLUME KAM KAR!! (7)
Taehyung pov
Do mahine.
Ji han do mahino tak mein isi bed pe pait (stomach) ke bal leta raha. Chitiyon ki badolat meri vo halat hi nahi thi ki mein peeth ke bal let jaun.
Lekin inn do mahino me bohot kuch badal gaya.
Suga bhaiya ka pyaar. Vaise mujhe pata tha ki vo mujhse pyaar karte hai but inn do mahino me unka pyaar zyada bahar aaya.
Jeongguk... mein to iss halat me tha nahi ki use tang kar saku, to use bhi shaanti mili. Pata chala ki vo ab padhai par dhyan de raha hai and is doing really well in tests. Everyone is impressed.
Aur…
*thak thak*
Suga bhaiya andar aae. “kya kar raha hai akele akele?”
“wahi jo pichle do mahino se kar raha hun!”
“kya?”
“sochna! Thinking! Analysing! Cheezo ko samajhna!!”
“wow tu ye sab bhi karne laga ab? Pehle to nahi karta tha!”
“pehle ki baat aur thi. Ab ye words meri dictionary me include ho chuke hai”
“kya baat hai chote...tune khud ki dictionary bhi likh li! Wah”
“yaar aapko humesha tedha tedha jawab kyun dena hota hai”
“kyunki tu jo hai vo tedhi khopdi ka hai, isile tujhse tedha hi baat karna padta hai. Acha ye bata tu soch kya raha tha?”
“mein ye soch raha tha, kitna kuch badal gaya inn do mahino me?”
“jaise?”
“Meri soch…inn do mahino me mujhe ye samajh aaya bhaiya ki mein kitna galat tha, jo bhi mein kar raha tha ab tak, jo bhi mene logo ke saath kiya, it was all wrong. I--”
“ek minute ek minute” Suga bhaiya ne apni chappal uthai aur mujhe sunghane lage??
“BHAIYA YE KYA KAR RAHE HO?”
“TUJHE DAURA PADA HAI, hosh me laa raha tha”
“mujhe koi daura nahi pada, betho mere paas” mene bhaiya ko mere paas bithaya aur sab kuch samjhaya. “i am not joking, mujhe wakai me realise ho gaya ki mein kitna galat tha. Aise ladke ke peeche pagal hona jise meri parwah hi nahi, and it was not even love just an attraction. Uske liye mene kitno ko pareshaan kiya! I was so so wrong”
“bhai, agar mujhe pata hota ki tujhe track pe laane ke liye do mahine paralyse karna tha, To mein kabka teri taange tod deta”
“accha hua nahi kiya, vo kehte hai na ‘jo hota hai ache ke liye hota hai’ agar aap pehle hi mujhe theek kar dete to phir jeongguk kya karta!”
“what do you actually mean?”
“matlab ki acha hua jo jeongguk meri life me aaya”
“ARE YOU BLUSHING?”
Act cool taehyung
“vo to aapko pata, mein thodi na apna chehra dekh sakta hun”
Bhaiya ne mera chehra apne haato mein liya aur strictly pucha “Do you actually mean what you just said?”
To mene bhi strictly bol diya “Yes, i mean it”
Phir to bhaiya jo khushi se uchle hai room me, itni khushi jab me ninth me fail hua tha tab bhi nahi thi unke andar.
“mujhe dawai lene jaani hai, mein aata hua. Tu aaram karna”
“par mera khana?”
Jaate jaate bhaiya ne chillaya “Jeongguk laa raha hai”
Mene bataya nahi, mere khane ki zimmedari suga bhaiya aur unke dost jin bhaiya ki thi. Kabhi kabhi jeongguk bhi le aata tha. Par usne kabhi theek se baat nahi ki. Aaj to mein usse baat karke hi rahunga.
==============
Jeongguk aaya, khana leke…
Wait wait, ye scene kuch vaise nahi jaisa nai naweli dulhan apne pati ke liye khana laati hai, ya vo dudh tha?
“ye lo khana!!” Jeongguk ne humesha ki tarah khana mere samne rakha aur jaane hi wala tha ki mene uska haat pakad ke use rok liya.
“khana to khilao”
“vo jo do bade bade haat dikh rahe hai na khud ke paas, vo bhagwan ne museum me lagane ke liye nahi diye, istemaal karne ke liye diye hai, so use them to eat”
“are vo to roz karta hun, bachpan se wahi to kar raha hun, aaj kuch naya karte hai” kheech ke use mere paas betha diya.
Haee, ye sirf aaj ho raha hai ya ye jeongguk hamesha se itna handsome tha.
“mujhe kuch naya nahi karna”
“are science wale hoke experiment se darr? Not good for health”
“acha theek hai, sirf aaj ke liye”
“han han ye offer sirf aaj ke liye, kal kuch naya dhund lunga”
“kya bola?”
Oops. Time to change topic taehyung.
“yahi ki WOW BHINDI? MERI FAVOURITE, meri bhindi mere pehle pyaar kahan thi tu? Meri to ankhen taras gayi thi tujhe dekhne ke liye. Inn doctoro ne bhale hi hume alag kar diya tha, par mein aaj bhi tujhse utna hi pyaar karta hun”
Meri bhindi se baate sunke jeongguk has pada. Haee kitna cute lagta hai.
“did you just call me cute?”
“zor se bol diya kya?”
“TUMNE MUJHE CUTE BOLA?”
“ARE TO CHILLA KYUN RAHA HAI SACH HI TO BOLA, cute ko cute na bolu to kya bandar bolu? Ajeeb aadmi hai!”
“ajeeb aadmi mein nahi tum ho. Aaj bohot ajeeb behave kar rahe ho” Jeongguk ke chehre pe frustation confusion saaf saaf dikh raha tha. Hawa me khud se baate kiye jaa raha tha. “kabhi khana khilane ko bolte ho, kabhi cute. Next pata nahi kya bologe?”
“i am sorry for everything”
“*cough* kya bola?”
“i am sorry for everything”
“aaj ka mangal shani sab bhaari hai re baba. Ajeeb ajeeb sunai de raha hai” isse pehle ki vo uthke jae, mene phir se use kheech liya. Lekin iss baar paas, bohot paas.
“Mr. Jeongguk, aaj tak mene aapke saath jis bhi tarah ka behaviour kiya, uske liye mein bohot sharminda hun, please mujhe maaf kar dijie!”
Uski ankhen chaudi ho gayi. Hae kitna cute lagta hai, lekin jab issi chehre pe gussa aur zid hoti hai to sab kuch badal jaata hai.
“m-maaf kiya, aur mein bhi sorry”
“hisaab barabar”
Hum dono apni jagah se nahi hate, bas dekhe jaa rahe the ek dusre ko.
“Kisi ne kabhi kuch kaha tha na? dailysoap ki heroine, ruthna manana, aur moment ka ho jaana?” mene pucha.
“huh?” confused bhi kitna pyaara lagta hai ye to.
Lekin logo se na khushi dekhi nahi jaati. Khaas kar aapke jigri dosto se. Vo beech me apni chonch ghusa kar rahenge. Unhe bolna jo hota hai ‘tumhari love story me mera bohot bada haat hai’. Aa gaya jimin ka bhi call. Galat time pe.
Phone ki ghanti sunke jeongguk bhi duur jaake beth gaya 😔😔. Maar dunga jimin ko.
“hello?”
“kya hai?”
“ek buri khabar, ek acchi khabar”
“achi khabar bata pehle”
“tujhe devar bolu ya saala?”
“dekh, paheliyan vaise bhi mere dimaag se bahar hoti hai, seedhe seedhe bol”
“suga bhaiya ne abhi abhi mujhe propose maara, mene han bol diya”
“acha hai--VO TO DAWAI LENE GAYE THE NA?”
Jeongguk darr gaya meri cheekh sunke. Bhaiya baat hi aisi hai cheekhna to banta hai. Bhaiya bhi gay hai? Mujhe aaj pata chala.
“buri khabar sunni hai?”
“hobi wapas aa jae isse zyada buri khabar nahi ho sakti. Phir bhi bol”
“vo vapas aa gaya. Hobi is back”
...to be continued
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top