Vrindavan Calling
At night, Haseena was standing on the window side looking at the stars, when Anubhav came and hugged her from behind.
Anubhav: kya soch rahi hai ap?
Haseena: Suna tha humne...ki Vrindavan sirf vahi jaa pata hai jise Radha Rani bulati hai.
Anubhav: haa toh?
Haseena: par vaha Radha Rani ko kyu itna mante hai? Kyu ki maine ye suna hai ki Krishn ne kaha hai ki vahi supreme god hai?
Anubhav smiled.
Anubhav: Haa vo supreme hai, par jo unse bhi supreme hai vo hai Radha Rani. Jaise Mahadev ko jo pura kare vo Devi Aadishakti yane he Devi Parvati hai vaise he Shri.Krishn ko jo pura kare vo hai Devi Radha.
Haseena: par Parvati ji toh Shiv ji ki Patni thi na aur Radha Rani sirf Premika, Krishn ki Shadi toh Rukmini ji se huee thi.
Anubhav: Sirf premika nahi thi Radhakrishn ki shaadi huee thi Bhandirvan mein, khud Bramha Dev Bane the unke shadi ke pandit aur haa Devi Rukmini aur Devi Radha alag nahi hai, Humari Mata ne ek kahani sunaiee thi uss Kahani ke Anusar Devi RADHA aur Devi RUKMINI ek he hai...Dono he Devi LAKSHMI he hai. Bramha Puraan keheta hai , ki Shree Krishn ki Vrindavan leela mein Rukmini he Radha hai aur Shri.Krishn ki dwarka leela mein Devi Radha he Rukmini.
Haseena: par isme logic kya hai? I mean, Lakshmi ji ko do roop Lene ki kya zaroorat padi?
Anubhav: Logic? Priye agar ap unhe logic se samjhne jayegi toh kabhi nahi samajh payegi, unhe sirf pyaar se samjha jaa sakta hai. Lakshmi Narayan, Radha Krishn, Rukmini Krishn sirf bhagwan nahi Sab ke Mata Pita bhi hai.
Haseena sat besides Anubhav , listening in an attentive manner.
Anubhav: Devi Radha ko Shrap tha ki vo 100 saalon tak Shri Krishn se dur rahegi par aisa kaise ho sakta hai ki Narayan ke avtaar mein Devi Lakshmi unke saath na rahe aur iss liye Devi Lakshmi ne 2 roop liye, ek Devi Radha ka aur ek Devi Rukmini ka.
Haseena smiled.
Haseena: Anubhav, ek baat puche?
Anubhav: Aji apke sawalon ka jawab dene he toh hum baithe hai yaha.
Haseena smiled wider.
Anubhav: puchiye.
Haseena: Jab Rukmini Radha ek hai toh Krishn ke saath Radha ko kyu pujte hai?
Anubhav huffed.
Anubhav: aisa nahi hai ki Rukmini devi ko Krishn ke saath nahi pujte. Ap jaanti hai ek baar Devi Rukmini Shri Krishn se kisi baat pe naraz ho gaiee thi aur ruth kar humare Maharashtra mein aa gaiee thi tab Shri Krishn ne Vitthal Bhagwan ka roop liya aur unhe uss Roop mein manaya aur tabse Rukmini Krishn ko VitthuMauli ke Roop mein jata hai. Vittu yane Rukmini aur Mauli yane Krishn aur jaise Radha Rani Vrindavan ki Rani hai Vaise he Devi Rukmini Dwarka ki Rani hai. Jaise Vrindavan mein Radha Rani ke bina ek patta nahi hilta vaise he Dwarka mein Devi Rukmini ke bina nahi hilta.
"Aur jo log bhi Rukmini aur Radha ke beech farak kare hai vo log Murakh se", they heard Chandramukhi's voice from behind.
Both turned and found everyone standing there.
Anubhav: ap sab?
Karishma: bhaiya ab vo ka hai na, Vrindavan jane keliye sab log itne utavle hai ki kisi ko neend he nahi aa rahi hai, isiliye sabne socha ki chalo sath baitha jaye, kuch gushup ho jaye.
Anubhav smiled.
Anubhav: bilkul ho jaye, aiye.
Karishma came and stat besides Anubhav and all others too sat.
Vishal: Haa toh Bhaiya, sirf bhabhi ko he Vrindavan ki kahaniya sunaoge? hume nahi?
Anubhav: humne kab kaha aisa? Vaise bhi Krishn ke baremein jitna suna Jaye utna kam hai.
Haseena: vaise hum ye Radha Rukmini wali baat toh samajh gaye par...ye nahi Samjhe ki Krishn se pehele Radha kyu? Aur koi bhi agar Rukmini Krishn ka naam le toh bhi Pehele Rukmini ka he naam ata hai.
Anubhav: Haseena ji hume ek baat bataiye, Pata Pita mein kon kathor hota hai aur Kon Nirmal?
Haseena: Maa.
Anubhav: bas... isiliye?
Santu: matalb?
Anubhav: matalb ye, yaha bhi yahi hota hai, agar Krishn ke paas jaoge toh vo thode strict hoke ye dekenge ki isne kya galat kiya hai, haa isiliye he taki vo apki galtiya sudhar sake par agar ap Radha Rani ya Rukmini Rani ke paas jaoge toh vo ye sab nahi dekhegi, nahi dekhegi ki apne konsi truti ki hai, nahi dekhegi ki ap kitne bure hai ya kitne acche bas itna bolegi ki , Tu Aagya na mere pass...bas itna he kaafi hai.
Karishma: Krishn Pita hai toh Radha Rani Mata aur jo Krishn ko pura kare vo hai Radha, isiliye Pehele Radha phir Krishn.
Maa: beta Vrindavan mein toh log ye bhi kehete hai ki agar Krishn kisi baat keliye na maane toh Radha Rani ke paas jao, kyu ki Radha Rani krishn ko mana he legi.
Haseena: wow! Matalab Radha Rani ne keh diya toh Kanha Maan jate hai.
Vishal: haa Maan jate hai. Isiliye toh log kehete hai Radhe Radhe kehete raho, krishn humesha aas paas rahenge aur ek baar krishn kisi ke zindagi mein aa jaye na toh kabhi chhod kar nahi jate.
Santu: par sir mujhe ek baat ka doubt hai sab kehete hai ki Vrindavan, Barsana, Mathura mein krishn ji ka Parmatma vala roop dikhta nahi hai kyu?
Anubhav smiled.
Anubhav: kyu ki Vrindavan, Barsana, Mathura, yaha ke logo keliye Krishn kabhi bhagwan the he nahi, krishn toh humesha unke liye unke chote se natkhat baal gopaal he rahenge.
Ab Ap bataiye Krishn bhagwan apke samne Pani mein khade naag par naachte toh ap kya karti?
Santu: kya karti? Haath jod kar Kanha ji ki leela enjoy karti.
Anubhav: haa shayad mai bhi yahi karta par... Vrindavan wale kanha ji keliye tension mein aa gaye the, aur jab vo naag ko sabak sikha ke neeche utre tab Vrindavan vasiyon ne unki Jai Jai kar nahi ki, balki data, ye keh ke ki lalla tu itna komal hai agar vo sap tujhe kuch kar leta toh?
Karishma: koi Krishn ke gile baal pochne laga ye keh ke ki mere Bacche ko thand lag jayegi.
Vishal: yashodha maiya ne Kanha ke kaan marod liye aur Radha Rani ghussa ho gaiee, ki aisa kon karta hai bhala?
Maa: beta ye barsana, Vrindavan, Mathura, special isiliye hai kyu ki yaha ke logone RadhaKrishn ko RadhaKrishn he rehene diya, apne bacchon jaisa rakha aur isiliye unka ek naam Laal ju yane Krishn hai aur Ladli ju yane he Radha Rani.
Cheeta: are yaha tak ki aj bhi jab bhi koi Vrindavan vasi Dwarka jata hai toh Krishn se aashirwad Mangta nahi hai balki deta hai ye keh ke ki Lalla bas aise he Raja Bane raho aur bas yahi bav Radha krishn ke dil ko chhu Jata hai.
Billu : sir vaise hum Barsane mein kaha kaha jayge.
Anubhav: vaise toh yatra bohot lambi hai, hum apko ek ek karke batate hai.
.
.
Are you guys getting bored?
I mean when it comes to Radhakrishn I get too much deeper, so are you all ok with it?
If not then please let me know.
🌼Radhe Radhe 🌼
.
.
.
__________________________________
Precap: Vrindavan Calling - 2
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top