The Truth

It was evening and All were present in Chandrang's Cabin, where Gulgule was standing in between of Chandramukhi and Karishma who had their respective guns in their hands and Gulgule was raising his hands upwards.

Gulgule: m..maddam...maddam kuch sochta hu n

Karishma: ye pandrava minute hai ap hai ki soch he rahe hai.

Chandramukhi: Gopi

Gopi: Ha ji ji Mummy ji!

Chandramukhi: Ginti shuru kar 10 tak.

Gopi : Ok!! One

Gulgule: so..s.soch raha hu n mai maddam Zara time toh dijiye.

Gopi: two

Gulgule: are yaar Gopi!

Gopi: Three!

Gulgule: M..maddam.

Gopi: eight.

All looked at him with Shock.

Gulgule: three ke baad eight ata hai?

Gopi made a crying face and started thinking.

Gopi: welll! (He whistled)

Chandramukhi: Chhodo isne yaar! Mai bolti ho Ten!

Gulgule: a..aa raha madam aa raha hai, Mere dimag mein apka tasty taltala, Dil dhaldhala idea aa raha hai!

Chandramukhi: Toh mai tanne tel mein tal ke dil dil dehelane wali harkat karugi tab dega idea?

Gulgule: are toh Zara table ke peeche toh aiye.

Chandramukhi immediately slapped him.

Gulgule: mera matlab hai suniye.

All puts their ears on Gulgule's plan.

Chandramukhi: Good Plan.

Haseena: Par... Commissioner sir yaha ayege?

Billu: are aa jayege vaise bhi jiju ghar pe macchar he maarte rehete hai.

All looked at him with Shock and Chandramukhi immediately slapped him.

Haseena: Commissioner sir apke jiju hai?

Billu: haa!

Bajrang: ab samjha kyu hum isse jhelte hai?

Cheeta: bahut acche se!

All looked at him.

__________________________________

After an hour, Commissioner sir entered the Thana and all wished him.

Anubhav too was awake and seated quietly in the jail.

All: Jai Hind.

Commissioner: Jai Hind

Commissioner: Miss.Mallik!

Haseena: Yes sir.

Commissioner took out a pendrive.

Commissioner: ye uss Mission Beherupiya wali Pendrive ki ek copy hai.

Anubhav went shocked.

Commissioner: isse apko kal subh Tak safely rakhna hai aur Kal Subha inspector Bakshi aa ke isse collect kar ke jayege.

Anubhav got more shocked.

Haseena: ok sir, ap befikr rahiye hum kal ye Pendrive Bakshi sir ko de denge.

Anubhav's face became tensed.

All again saluted him and Commissioner sir left.

Haseena: Karishma Singh, dhyaan se isse humare cabin ke cupboard mein lock kar ke rakhiye.

Karishma: Ji Maddam Sir.

Karishma took the pendrive and went to Haseena's cabin and kept the pendrive in it.

Karishma came and gave back the keys to Haseena.

Haseena: are nahi apne paas he rakhiye, ghar le gaye toh humse yaha vaha ho jayegi chhabi, ap ek kaam kijiye yahi rakhiye, kahi sambhal ke.

Karishma : ek kaam karte hai maddam sir, apne drawer mein rakh dete hai chabi idhar ka udhar nahi hogi.

Karishma kept the keys in the drawers.

Haseena: Karishma Singh hum chalte hai, Ammi ki Zara tabiyat naasaaz hai, koi kaam ho toh hume call kar dena.

Karishma: Ap chinta mat kijiye Maddam Sir, hum hai.

Haseena noded and left.

Anubhav:(pov) pendrive ka koi dusra pratiroop bhi tha? Aur agar tha toh ye pratiroop kisi bhi haalat mein Bakshi sir tak nahi pohochna chahiye. Parantu kya kare? Hum yaha karagaar mein band hai aur...Aur Behena bhi yaha hai, kaise prapt kare vo pendrive?

Anubhav went in a deep thought.

Anubhav:(pov) kuch na kuch toh karna he hoga.

Two hours passed like that it was around 10 now when suddenly the phone of the thana Rang.

Karishma picked it.

Karishma: Ka? Iski Maiya ka Sasu maiya! Hum abhi aate hai.

Karishma left the Thana.

Anubhav looked all around the Thana, which was empty.

Anubhav: ye accha avsar hai, Parantu jail se kaise bahar nikle?

He started thinking when eyes on the jacket of Billu Champat kept their.

He immediately aparted the chain from the jacket and tried to open the lock.

He struggled for sometime but finally the lock opened.

Anubhav immediately got out of the jail and quietly walked in Haseena's cabin, ofcourse taking the keys of the cupboard.

He quietly opened the cupboard and took out the pendrive.

Anubhav: Kisi bhi haalt mein ye pendrive Bakshi ke haath nahi lagni chahiye.

"Vajah bhi bata dijiye kyu" , Anubhav Jerked listening the voice of Haseena.

He immediately turned and found The entire team MPT and Imman chouki standing their.

Anubhav looked at them with tension.

Karishma: ap jail ke bahar ka kar rahe hai? Jab hum Gaye ap Andar the.

Anubhav: v..vo..

Chandramukhi: aur ye pendrive thare haath mein ke kar rahi hai.

Haseena held the pendrive in her hand but Anubhav didn't left it.

Haseena: Pendrive chhodiye, ye Bakshi sir ko Deni hai hume.

Anubhav: ap ye pendrive unhe nahi de sakti.

Haseena: ye pendrive hum unhe he denge, ye unhi ke pass honi chahiye.

Anubhav: nahi ye unke nahi jaa sakti. Ap...

Anubhav tried to snach it from her hand

Haseena: Anubhav, ap par ilzaam laga hai aur ab toh aap tala tod kar bhi aa gaye, ab hum ap ko ye pendrive cheen ke ek aur galti nahi karne denge.

Anubhav:(louder) Ye pendrive Bakshi sir ke paas jayegi toh bohot badi galti hogi

Haseena:(louder) ye pendrive Bakshi sir ke paas he sahi hogi, unhi ke pass honi chahiye.

Anubhav:(louder) Bakshi sir ke pass ye pendrive de kar ap galti karegi Haseena ji.

Haseena: (louder) galti toh tab hogi jab ye apke pass hogi, kyu ki ap ek gaddar hai.

Anubhav: (very loudly) Gaddar Hum nahi, Gaddar Bakshi hai!

Everything went silent for and Anubhav got shocked by himself when he revealed the truth.

Haseena: kya kaha apne?

Anubhav gulped.

Haseena: Gaddar Bakshi sir hai?

Anubhav closed his eyes.

Haseena : Anubhav?

Anubhav opened his eyes and looked at her.

Anubhav: ap...ap ye pendrive unhe nahi de sakti.

Haseena: kyu nahi de sakte?

Anubhav: k..kyu ki...

Haseena: boliye Anubhav kyu nahi de sakte?

Anubhav: kyu ki asal Deshdrohi ve hai, hum nahi.

Haseena left the pendrive Anubhav looked up and saw her smiling.

He became confused, he looked at other and they were smiling too.

Karishma: kaha tha na bhaiya 24 ghanta mein apke mu se sach nikalwa kar rahenge.

Anubhav: a..arthat ye...ye vo...vo wala pendrive nahi hai?

Bajrang: na...ye vo pendrive na hai. Ye toh Humare Miss.Chautala ke idea tha jo ki Gulgule ke dimaag mein aya tha.

Anubhav huffed and then suddenly threw the pendrive in anger.

Haseena kept her hand on his shoulder.

Haseena: Anubhav...it's ok...ap sach bata sakte hai, ap ek secret agent hai iska matlab ye nahi ki har baar sabkuch secretly kare.

Chandramukhi: haa bhai, iss baar baat thare reputation pe aa gaiee se.

Anubhav: hume parwha nahi hai Chandramukhi, bas...ye desh surakshit rahe.

Haseena : Anubhav, ap...ap pehele yaha baithiye.

Anubhav quietly sat on the chair.

Haseena: ab bataiye.

Anubhav: Satya toh ye hai ki Bakshi bohot pehele he Dushmano ke haathon bik chuka hai.

He looked at Haseena.

Anubhav: humari Sagaiee ki ratri, hume ek mission par bulaya gaya tha, parantu Satya mein aisa koi mission tha he nahi, Satya toh ye hai ki...ki Bakshi uss Mission ke Bahane hume dushmano ke haathon saupna chahata tha. Parantu hum vaha se bhaag Gaye, taki hum intelligence ko khabar de sake.

All got shocked.

All: kya?

Anubhav: haa. Apko kya lagata hai, ki yun he akasmat koi apki Jaan ka dushman ban gaya? Nahi Haseena ji...ye sab Bakshi ka kiya karaya tha, Sarkar ne uss pendrive ke sirf 2 pratiroop banaye the, ek toh Sarkar ke paas tha aur dusra Humare uss Mitra ke pass jiski Mrityu uss pendrive ko bachate bachate huee thi.
Isiliye jab apko vo pendrive mili tab humne apko durbhash kiya aur apse turant kisi surakshit sthaan par jane keliye kaha taaki Bakshi ap tak na pohoch sake.
Parantu usne Meera ko hack kar liya aur...aur apka aghat hua.

Haseena: par phir Bakshi ne hume bachaya kyu?

Anubhav: uske do kaaran the, pehela vo pendrive usse apke paas nahi mila, dusra usse apko humare virrudh istemaal karna tha.

Karishma: bhaiya, vo ap pe Bakshi ne ilzaam lagaya uska kya?

Anubhav: Bakshi ne Intelligence aur Haseena ji dono se jhoot kaha tha, kyu ki vo nahi chahata tha ki Haseena ji kisi bhi mulya par hume vo pendrive de.
Bakshi ye acchi tarah se jaanta tha ki Haseena ji humse kitna Prem...

Anubhav stopped and both Anuseena stared at eachother.

Chandramukhi: vo sab jaante hai ki Dono ek dusre se kitna Prem karte ho...eb aage ka?

Anubhav: Bakshi ye baat bhali bhati jaanta tha aur ussi kaaran, usne Haseena Mallik se ye asatya kaha taaki jab bhi Haseena Mallik hume vo Pendrive dene ka vichar kare tab Humare upar laga vo aarop unhe rok le.
Uss aarop ne kabhi Haseena Mallik ko roka toh nahi par humare...

Haseena looked into his eyes.

Anubhav: Humare Prem ne Urmila Mahadev Mhatre ka Satya humare samaksh laa Diya.

Haseena: Anubhav hume apne tab sach kyu nahi bataya?

Anubhav: nahi bata sakte the Haseena ji, kyu ki tab apko ye pata chal jata ki apka hamlaawar kon hai aur Ap iss Urmila ke naakat se fir sehemati nahi deti, parantu ye sirf Bakshi par ek lanchan hota, parantu kanun toh pramaan bhi maangta hai, aur ishwar na kare agar Bakshi ko ap pe shak ho jata toh punha apke jaan par ban aati.

Pushpa ji: Sir apne Maddam Sir pe vo goli kyu Chalaiee aur vo Gaddari ka naatak kyu kiya?

Anubhav: vo humari vivashta thi Pushpa ji, Bakshi Haseena ji ko humare virrudh humari kamzori ke taur par prayog kar raha tha.
Uske liye hum tab bhi uske shtru the, isiliye humne vichar Kiya ki agar hum swayam ko he Deshdrohi saabit kar de toh Bakshi apna kaalik mukh humare samaksh swayam he laa lega.

Kareena exchanged glance.

Cheeta: aur jo apne goli lagne par Maddam Sir pe Goli chahalaiee thi vo?

Anubhav: uss samay Bakshi vahi tha.

Kareena: kya?

Anubhav: isiliye hume vo naatak karna pada, Ammi ko peeda Deni padi, ap dono ke saath vo due vyavhaar karna pada aur Aakhri mein bhi vo Goli hum ap pe nahi chalana chahte the, vo toh Bakshi pe chalane wale the par kyu ki hum murchit hone ki kagar par the isiliye humara nishaana chuk gaya aur apko vo Goli lag gaiee.

Everything went silent, all went to a literal shocked zone and what would happen the next about the relationships, no one knew.

__________________________________

Precap: The Mistakes we did
__________________________________


Wish you all a very Happy Anuseena Day ❣️
Happy Three years of our dear Anubhav Singh 🥺❣️

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top