The Impossible 'Second Chance'
"Mission Beherupiya ka hua parda phash!
Asli Beherupiya aya saamne
DSP Anubhav Singh Par lage huee ilzaam huee khaarij
Abhi Abhi Sutron se pata chala hai ki Mission Beherupiya
Ka aasli Mujrim pakda gaya.
Ji haa...Ab tak jise hum sab Mujrim samajh rahe the , vo Mujrim nahi balki iss Mission ka aasli hero tha.
DSP Anubhav Singh ne aasli Mujrim ko saamne laane keliye khud ke wajood ko tak Khatre mein daal diya, Aise sacche desh Bhakt to India Saalam karta hai.
Camera Man Vidyut ke saath main Bhallal Aaj Tak!"
All smiled as soon as the news ended in the Telivision of Singh House.
Bajrang: Le Bhaiya Anu...aakhir ho gaya Mission Beherupiya solve.
Ab hume bhi aagya do.
Anubhav: tum log kaha Jaa rahe ho?
Chandramukhi: Hum eb chalte hai, jis mission keliye aaye the, vo pura hogaya se toh ab hume chalna he chahiye.
Gopi: Well...Wakt aa gaya hai Dene ka Good Byee ki Jhappi is the,
Rawan pur mein mera intezar kar rahi hogi meri padosan Lappi Is the.
Chandramukhi glared at him and all others too.
Maa:(from Kitchen) are Trith ki umar mein tharki ho raha hai ye Buddha...sudhar Jaa varana upar Jaa ke kya mu dikhayenga?
Anubhav and Bajrang giggled.
Chandramukhi: Suni? Ke keh rahi hai Maa? Sudhar Jaa budhau.
Gopi made a crying face and then whistled and the smiled.
Gopi: Carry On!
Anubhav: dekho yaar ap log kahi nahi jaa sakte. Bajrang tum he ho na jo sadev kehete rehete ho ki hum tumhe Samay nahi dete, ab de rahe hai toh tumhe Jana hai?
Maa:(from kitchen) Anu Sahi keh raha hai, Ghar se bahar agar kisine kadam rakha toh mujhse bura koi nahi hoga.
Trio: Maa?
Maa : Matalab rukne ko keh rahi hu inhe...teeno ke teeno badaakal ho.
Gulgule giggled.
Chandramukhi slapped him.
Chandramukhi: jyada na yaha daat na chamka, varna manne insaan chamkana Ave hai.
Anubhav: Toh tum nahi jaa rahe ho.
Bajrang: haa bhai...tumhare aur maa ke aage humari kabhi chali hai jo ab chalegi? Aakhir Anubhav Singh se kon Jeet paya hai?
Anubhav smiled.
Chandramukhi: Are...har Bala ka tod Hove hai, Apne Anubhav ka bhi se na...apni Haseena Mallik.
Anubhav's smile vanished.
Bajrang: Haa Bhai Anubhav, kya kar rahe ho be tum? Kahani jaha aatak gaiee hai vaha se phir se aage badhao, hume apni shaadi ki khush khabri sunao, hume bhi apne bhatije aur Bhateejiyon ke darshan karao.
Anubhav: Kuch atyadhik aage ka vichar nahi kar rahe ho tum?
Maa: are galat kya kaha isne Baap ban ne ki umar toh Teri.
Anubhav: Maa yaha vivah nahi hua hai hum pita kaise ban sakte hai?
Chandramukhi: toh Kar na shaadi.
Kon rok Raha hai tanne?
Gulgule: Adosan ya Padosan?
All glared at Gulgule and Chandramukhi slapped him.
Chandramukhi: Na...Chichora pan bilkul nahi.
Gulgule: Sorry.
Anubhav: Humare sidhanton ki diwaar... jise laang kar hum chale toh gaye, iss aasha mein ki, Prem humare liye bhi bana hai parantu ye bhool gaye ki hum sirf Prem ki kalpna matra he kar sakte hai.
Chandramukhi: Anubhav aisa na hai...
Anubhav: Aisa he hai Chandramukhi, ye jaante huee ki Haseena ji ko hum koi sukh nahi de payege, humne unhe vivah keliye manaya, swarthi hai hum.
"Aur aapka kaam jante huee bhi apko Naa samjhne ki jo bhul ki hai humne, khudka tuta dil dekha, apka humare liye pyaar nahi, kya hum swarthi nahi hai?", he heard Haseena's emotional words from behind.
All turned and found entire MPT Standing their with Ammi.
Haseena: sirf ek apka swarthi hona vajha nahi hai Anubhav, humara ap pe bharosa nahi karna, apko bohot takleef de raha hai, ye bhi ek baat hai na Anubhav?
Anubhav: jaane dijiye na Haseena Mallik, ab iss vivaad ka koi matalab nahi, hum baar baar iss rishte ko umeed dete rahenge, baar baar ap swapn sajati rahegi aur baar baar kisi mission ke bahane...hum apka hriday todte rahenge aur baar baar apka humre Prem par se vishwas uthte jayega.
Haseena: Anubhav, iss baar situation badal bhi toh sakti hai na? Hum sab kuch shurvaat se shuru karte hai na.
Anubhav: Taaki phir kuch ho aur uss aarambh ka aant ho jaye?
Haseena: Taaki phir kuch ho toh hum situation thoda aur pyaar se handel kar sake.
Anubhav noded his head negatively.
Anubhav: Ek aur avsar is rishte ko dena murkhta hogi, Ye aasambhav hai Haseena Mallik.
Anubhav started leaving.
Karishma: Bhaiya...
Anubhav stopped.
Karishma: ama ap naaraj hai toh ghussa kijiye na Maddam sir pe par ye rishta todne ki baat kahe kar rahe hai?
Anubhav: hum kisi pe krodhit nahi hai Behena.
Karishma: khaiye Chachi ji ki kasam.
Anubhav: hum inn sab mein nahi maante.
Billu: dekha madam, dekha, dekha, dekha, dekha...
Chandramukhi slapped him.
Billu: Shabbash!
Chandramukhi: aage phut le kuch...
Billu: dekha maddam, sir ne kaise baat taal di, matalab vo sirf naaraz hai varna shaadi ka laddu toh inke maan bhi foot raha hai.
Anubhav glared at Billu.
Haseena: Anubhav...
Anubhav left from their.
Haseena's eyes got filled with tears.
Chandramukhi kept her hand on her shoulder.
Chandramukhi: Fikar na kar, rutha hai Thara Anubhav thare se, maan jayeega.
Karishma: manana hoga Bhaiya ko, apko bhi aur Hume bhi.
Kahe ki...ap ko toh phir bhi sagai ke time bhaiya ke mission ke baremein kuch nahi pata tha, par hum toh thoda bohot jaante the n.
Haseena: Jaante toh hum bhi the Karishma Singh ki Anubhav ek deshdrohi nahi ho sakte, phir bhi humne ye baat maanli.
Ammi: aur usse bura issi baat ka laga hai, beta paani mein rehene wali machli se agar tu kahegi ki tu Pani se pyaar he nahi karti toh usse toh bura lagega he na? Uski toh Puri zindagi he uss paani ke vajah se hai, Vaise he Anubhav ki zindagi uska Desh hai , vo apne desh se bohot pyaar karta hai aur tum dono ne itni aasani se ye maan liya ki Anubhav ko apne desh se pyaar nahi hai toh usse toh bura lagega he na?
Usse tum dono se umeed thi ki, kam se kam tum dono toh usse samjho ge. Aur khaaskar Karishma se, Kyu ki uske saath toh usne apni aadhi zindagi bitaiee hai.
Kareena looked at her.
Ammi: beta mai ilzaam nahi laga rahi, par samjha Rahi hu, usne phir se pyaar karne ki umeed chood di hai, ab usse lagta hai ki Second Chance impossible hai uske liye, aur tumhe usse yakeen dilana hai ki ye second chance possible hai.
Kareena noded with a smile of determination.
Karishma: Ab bhaiya ko hum manayege Ammi.
Haseena: aur unhe maan na he hoga.
Chandramukhi: ab ye huee na koi baat.
Gopi: Carry On!
All smiled at eachother.
__________________________________
Precap: Back as DSP💖
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top