Soch aur Sach

Kuch soch ke
Ek soch ke liye
Soch ke
Aage main badhi

Kuch chal ke
Jo ruki main fir
Toh khayal aaya ki
Wo soch toh
Kahin piche hi rah gayi

Main tham gayi
Ruk ke vicharne lagi
Socha kafi
Kuch yaad na aaya par
Tha kya jo bhooli main

Tha kya wo jo
Soch ke aage badhi thi
Kis aadhar pe meine
Kadam ye badhaye the apne
Jo fir aab ruk hi gaye hain

Jab kuch waqt
Yun hi baithi rahi
Toh khayal aaya
Jo socha tha
Wo tha hi ek hawa ka gubbara
Jiska na rakha meine khayal
Na kiya hi dhang se istemal
Jo reh gaya yunhi vicharon mei
Waise hi jaise
Wo sapna mera
Kiya na jiske liye kuch meine!!!

Waise toh
Kaafi soch rakha tha
Karungi ye karungi wo
Par ho na paaya
Pura kuch bhi
Jo socha tha
Uska ek bhi

Shayad ye purn rup se
Galti meri hi thi
Ya shayad hai unki bhi
Jisne diya na saath kabhi
Mera
Mere sapno ka

Jaane kyun
Kabhi kabhi
Ye lagta hai aab mujhe
Jo agar
Utha leti thos kadam mei kabhi
Apne sapno ke liye toh
Jo sambhala hota
Unko
Jo saheja hota unhe
Toh shayad
Shayad
Aaj hum bhi hote
Kahin aur
Hote aur bhi sapne aur

Par raha na aab wo sapna hi
Na hi umeed
Aur sapne ki!!!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top