Ram's Emotional breakdown

All reached Kapoor Mansion of Dubai and entered the house...Priya's hand was still in Ram's hand...
He asked the childrens to go and play upstairs in the room...

He dragged Priya in the middle of the hall and left her hand...

Ram glared at Priya for 2 minutes...all were tensed about the situation,all were looking at Priya with questioning eyes but Ram's eyes were filled more with anger and he finally spoke...

Ram : Miss.Priya Sharma THE RAM KAPOOR ke zindagi mein Mrs.Priya Ram Kapoor ban kar entry leti hai...dono ki takrar hoti hai , phir dosti hoti hai,dhere dhere ek vishwas ka rishta ban ne lagta hai aur phir dono ko pyaar ho jata hai...(laughing) Dono saath jeene marne ki kasme khate hai aur phir ek Din (with pain) Mrs.Priya Ram Kapoor...Ram Kapoor ko chod kar chali jati hai...Ram Kapoor tadapta reheta hai apni Priya keliye par vo wapas nahi ati hai aur dur kisi duniya ke kone mein vo Ram Kapoor ki beti ke saath apni ek choti si duniya bana leti hai...Ram kapoor yaha til til Marta reheta hai ye sochkar ki uski zindagi ab iss duniya mein nahi rahi jab ki vo Iss duniya mein thi humesha se...Toh ab sawal ye uthta hai Ki ...Mrs.Priya Ram Kapoor ne jo kiya (with pain) kyu kiya?? Kya kami reh gaiee thi Ram ke pyaar mein Priya kya kami reh gaiee thi??...

Priya was weeping silently and her silence was making Ram more angry...

Ram : (shouting) Speak Up Mrs.Priya Ram Kapoor...say something!!

Priya : l..land s..slid ke baad jab mujhe hosh aya toh mein ek hospital mein thi... hospital se pata chala ki mai 10 din se behosh thi...mai wapas aiee thi Ram...mai wapas aiee thi

All became shocked

Ram : kya??

Priya: haa...

Sudhir: agar tu wapas aiee thi toh samne kyu nahi aiee ??

Priya : Kyu ki...kyu ki jab mai wapas aiee...tab...tab sab ye man chuke the ki mai iss duniya mein nahi hu...maine socha ki agar mein samne aiee toh fir mujhe jail ho jayegi aur Mr.Kapoor  mere intezaar mein apne zindagi ke 14 saal guzar lenge...Mai nahi chahati thi ki mere vajha se vo apni zindagi rok de... isiliye mai waha se chali aaiee...Maine ye sab isiliye kiya...kyu ki...kyu I..I wanted you to move on Mr.Kapoor

Ram : kya??...kya kaha abhi tumne?? (Laughingly to Vikram) she...she wanted me to move on...Mr.Sudhir Your daughter wanted me to move on...(looking at Priya) ok fine...I moved on ...

Priya looked at him in shock...

Ram: kya hua? Ab kyu chowk rahi ho?? You wanted me to move on and I moved on...Tumne mere tablets Chudva diye the aur maine unn tablets ko phir se khana shuru kar diya iss umeed mein ki kisi din tum aaogi fir se mujhe tablets khane se rokne keliye...see I..I moved on, tumne mujhe Oily khana khane se roka aur tumhare jane ke baad maine phir se oily food kahana shuru kar diya iss umeed mein ki kisi din tum wapas aa kar kahogi ki Mr.Kapoor ye sab apki sehat keliye accha nahi hai mat khaiye isse...see...I moved on...(with tears) tumhari sudhari huee har aadat maine phir se bigaad iss umeed mein ki tum aake phirse meri aadaten sudharogi...but you are right Priya...I moved on...

Priya was standing their with low eyes and silent weeps...

Natasha : Priya atleast say something...

Ram : (glaring at Priya) Ye kya bolegi Choti...ye toh itni mahan hai ki jane se pehele isne Maa aur papa ke baremien bhi nahi socha ...sirf mere liye isne unki nazron mein bhi khud ko mara hua sabit kar liya...

Sudhir closed his eyes...

Priya : M..Mr.Kapoor I am..S..sorry...

Ram : (shouting) are nahi chahiye tumhara sorry...kya karu mai iss sorry ka? Kya tumhara ye sorry hume vo paach saal lauta sakte hai?? Vo pach saal jis mein tumhare saath aur pihu ke saath jeena Mera hak tha kya tum mujhe vo pach saal lauta sakti ho? Vo 9 mahine jab pihu tumhare pet mein thi aur tumhara dhyan rakhana Mera hak tha kya vo 9 mahine mujhe phir se lauta sakti ho tum?? Mai peheli baar apni beti ko janam lete hue nahi dekh paya, uski vo peheli hassi, uska vo first cry, uss ki vo choti si hateli meri ungliya ,vo haar pal jo ek pita ko apne bacche keliye jeene ka hak hai kya vo saare pal tum lauta sakti ho??

He paused for a while and then again continued...

Ram : tumhe pata hai Priya...pihu meri beti hai par meri beti ki haar baat se mai anjaan hu...meri beti se judi vo haar baat jo Jan na Mera hak hai uss se mai anjan hu...aur ye sab sirf isiliye (shouting)  because you wanted me to move on...how could you Priya?? how could you think ki mai tumhare bina apni zindagi jee Sakta hu?? (Holding her shoulder) Ek baat ache se samjh lo Priya...Ram Kapoor ko agar zindagi jeene ka matalab pata hai toh vo sirf Priya ke wajah se aur agar Priya uski zindagi mein nahi toh ram ki zindagi ka koi matalab nahi...is se better hai ki Mai mar....

Before he could complete his sentence Priya place her hand upon his mouth uttering "Ram!!"

Both looked in each other's eyes both the pair of eyes had equal pain and equal love for eachother...Priya was hell guilty for what she did to her love and Ram was Hell angry on what his love did with him...

Ram: (holding her hand) Meri sirf maut ki baat ne tumhe itna Dara Diya Priya...Zara soho n jab tumhare maut ki khabar mere kano par padi hogi tab meri kya halat huee hogi??...andaza hai ki kis kauf se mai guzra hoga??

Priya looked down and Ram left her hand and moved back...

Ram : tumne ye theekh nahi kiya Priya...jab zindagi saath jeene ka faisala hum dono ka tha toh kaise tumhi sare faisle le sakti ho?? Kaise??

He glared at her for a while and then left to his room...

Priya sat on the ground and cried ... She was guilty on her stupid decision ...she shouldn't have done this to him...she messed up everything...And every other member could not help looking at her...they wanted to console her but they themself had a disagreement on her decision thus all were helpless...

__________________________________

Precap: Priya's attempts to win back ram

__________________________________


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top