Prolouge
Garmiyon ka mausam tha, Suraj sar chuka tha.. Pura sahar jaag chuka tha.. Bache school ja chuke the, jinki job hai wo apne office gaye aurtein ghar ka aadha kaam nipta chuki thi..
Aur yahan dusri taraf, Delhi ke Chandni chow ke makan number 10 mei shor macha hua tha. Koi yahan se chilla raha hai toh koi wahan se..
Iss bich mei sabko rasoi mei khana pakate pakate jawab de rahi hai Sharda Devi.. Lekin aab sabke chillane se ye itna frustrate ho gayi hai ki agar abhi samne koi aa jaaye toh wo toh swarg hi sidhar jaaye.. Aur ye gustakhi kar di gayi hai, koi unke rasoi mei ghus gaya hai chillate chillate, ye koi aur nahi balki unke patidev Shri Kaushik Sharma Ji hai.. Ji haan, pure ghar mei yahi mahashaye chilla rahe the.
Sharma ji na sirf rasoi mei chillate ghuse hai balki wo apni chappal bhi saath le gaye hai aur ye Sharda Devi ne dekh liya..
"Sharma jiiiiiiii" Sharda Devi chillai, unki awaj pure mohalle mei gunj uthi.. Mohalle ke chhote bachche jo aab tak ro rahe the Sharda Devi ki awaj sunke unke muh pe bhi tala laag gaya.. Aur Sharma jii???
Unke toh kidney mei heart attack aate aate bacha.. Upar se niche tak saham uthe wo aur chappal ko itni furti se apne pairon se nikal faika ki Bullet train unse training le le..
Lekin aab iska koi faida nahi.. Sharma jii se galti toh ho chuki thi jo wo thik nahi kar sakte aur Sharda Devi maaf nahi kar sakti..
Sharda Devi, Sharma jii ki aur badhne lagi, haathon mei belan aur aankho mei gussa bhare.. Sharma ji ki halat bhigi billi si ho gayi apni patni ko iss rup mei dekh ke..
"aapki himmat kaise hui mere rasoi mei chappal pehen ke ghusne ki" Sharda Devi ne haathon mei belan masalte hue Sharma jii se pucha..
"Mere jutte nahi mil rahe the.. Main kabse tumse puch raha hoon lekin tum sun hi nahi rahi ho.. Jaldi jaldi mei galti se main aa gaya andar.. Maaf kar do.. Mujhe office bhi jana hai please" Sharma jii ne sahemte hue ek masoom sa chehra bana ke yun bola ki Sharda Devi aage kuch bol hi nahi pai..
Sharma ji halka sa muskaye "mere jutte kahan hai" unhone pucha..
"Kal polish karwane ke liye Bunnu (Vineet) ko diye the.. Uske room mei hi honge.. Jaiye ussi se puch lijiye aur utha bhi dijiyega taki wo aapko chod de" Sharda Devi ye bolti hui apne belan leke wapas chali gayi..
Sharma ji sar hilate hue rasoi se nikal aaye aur sidhiyon ki aur badh chale, haath mei pani se bhara ek jug liye kyunki unhe pata hai aab unhe dusri jung ladni hai.. Sidhiyan chadhte hue wo ek kamre ke aage thahar gaye.. Darwaja band tha aur andar se koi halchal ki awaz nahi aa rahi thi.. Iska matlab saaf tha jo vyakti andar hai wo aab tak so raha hai..
Sharma ji ne ek lambi sans bhari and Darwaja khol ke andar ghus gaye..
Aur dekha toh kya, unke nawabjaade abhi tak tang faila ke so rahe hai.. Kitabein maij pe padi hui hai, jaane kabse nahi chua gaya hai unhe.. Bechare aab toh unpe dhool bhi jam chuki hai.. Sharma ji ne ek nazar pure ghar mei fera.. Deewaron pe Bollywood aur Hollywood ke heroine ke photos chipke hue the unke kapde kuch vichatra the.. Nahi nahi kuch nahi bahut vichatra the.. Par sharma ji kare bhi toh kya unke nawabjaade ko yahi pasand hai..
Unhone fir ek lambi sans bhari.. Kitne sapne dekhe the unhone ki unka beta unse bhi bada kaam karega.. Pure Delhi mei unka naam roshan karega aur yahan beta hai ki club mei aur ladkiyon ke bich apna naam roshan kar raha hai..
Sharma ji apne inhi khayalon mei khoye hue the ki tabhi unhe Sharda Devi ke chillane ki awaj aayi aur unhe yaad aaya ki wo yahan kyun aaye the.. Wo apne bete, Vineet ki aur badhe jo befikra so raha tha.. Mithi mithi nind le raha tha aur apne sapno ki rani ke khayalon mei khoya hua tha..
Sharma jii ne usse awaj lagai, hilaya lekin koi asar nahi hua.. Sharma ji ne uspe pani bhi dal diya lekin uska bhi koi asar na hua..
"utha jaa gaddhe!! Kab tak soyega tuu… kuch ghanto mei dubara sone ka time hone wala hai.. Utthhhhhhh" Sharma ji chillaye lekin Vineet tas se mas na hua.. Wo aaram se so raha hai..
"Sapno ke saudagar uthhh.. Badh mei sapne dekh lena.. Jutte de mere" Sharma jiii fir chillaye, Vineet ko jor jor se hillate hue par majal hai jo ye Vineet ko utha paaye.. Naa, wo sota raha balki aab toh nind mei bolna bhi suru kar diya uss ne.. Jab jab Sharma jii usse uthate wo muskurate hue bolta
"kya kar rahi ho sweeti.. Sone do na.. Raat ko bhi sone nahi diya tumne.. Abhi toh sone do.."
Vineet muskurate hue baar baar yahi sabd dohraye jaa raha tha..
Sharma jii ko office jana tha, wo pehle hi late ho chuke the aab ye sahabjaade aur late karwa rahe hai.. Aaj toh unko jaldi jaana tha office, inspection jo hone wali thi, bhai aab sarkari naukri hai sarkar inspection toh karegi hi ki kaun kaam kar raha hai aur kaun aaram.. Waise toh sharma jii kaam ke pakke hai bas apne nalayak bete ke chakkar mei late ho jaate hai kabhi kabhi aur aaj bhi yahi toh ho raha hai..
Sharma jii thak chuke the aur Aab tak unhe gussa aa chuka tha.. Unhone Vineet ko jor se dhakka diya aur dharam se niche gira diya.. Vineet ki aankhe fak se khul gayi, wo karata hua uth ke baitha.. Usse ehsas hua ki wo aab tak sapna dekh raha tha aur jabse uske pita usse utha rahe the.. Usse ye bhi ehsas hua ki wo pura gila hua pada hai aur uske pitaji gusse se usse ghur rahe hai..
Vineet aankh malta hua, ek haath apni kamar pe rakh ke utha aur tabhi usse ek dusra jhatka laga, uski aankhe phati ki phati reh gayi..
….
Iske aage janne ke liye bane rahiye hamare saath..
Milte hai agle adhyay mei…
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top