Epilogue
Agli subah apni saath nayi kiran, umeed aur Sharma aur Mishra parivaar ke mukhiyaon ke dil mei josh aur kuch kar guzarne ka hoshla le ke aaya.
Pichla din kuch jyada hi bhari raha. Dukh ke kaale badalon ne unke bachon gher liya tha, shayad iska effect kuch waqt tak rahe par wo apne bachon ko har nahi manne de sakte,unhe tootne nahi de sakte aur na hi kuch hone denge.
Mohalle walon ka kya hai, wo toh baatein banayenge hi akhir unka kaam hi ye hai. Har koi apne hisab se ek kahani bana leta hai aur usmei mirch masala mila ke paish karta hai. Par kya iss darr se wo apne bachon ko ghar mei kaid kar de? Bilkul nahi!
....
Sharma ji ne yahi josh aur himmat liye Vineet ko jagaya jo raat ko unki god mei hi so gaya tha. Kareeb athara varso badh aisa hua tha ki unka beta unki god mei soya ho, unse lipat ke.
Unke sparsh se Vineet chauk ke uth baitha air yahan wahan dekhne laga, shayad koi bura sapna dekh raha tha wo aur ussi waqt Sharma ji ke sparsh se ghabra gaya. Par jab samne apne pita ko khada paya toh gehri saans bhar shant ho gaya.
''Kya hua papa?" Kuch asanka se Vineet ne apne pita se pucha.
Sharma ji ne usse tez nigahon se dekha,'' 9 bajne ko aaye aur tu aab tak so raha hai, iss se bura aur kya hoga? Jaane kabse apne kitabon ke upar ki dhool ko nahi jhada hai tune. Sudhar jaa, jaa naha le aur college jaa, padhai kar!!!" Vineet ko bistar se khiche hue Sharma ji bole toh kuch waqt ke liye wo samajh nahi paya ki akhir uske pita kehna kya chahte hai. Kya unhe yaad nahi kal kya hua tha?
''Par papa!!!" Dheemi swar mei kuch hi change hue Vineet ne apne pita ki aur dekha.
''Par kya?? Arey college jaane bol raha hoon himalaya nahi, jo tu mujhe aise dekh raha hai. Jaa na!! Vineet main tujhe kitna samjhau padh le, nahi toh mujhe bhi tujhe Kishorilal ji ki tarah ek dukan khol ke deni padegi fir sote rehna wahan tu!" Apne bete ko ghurte hue, puri tarah aghat se malum padte hue Sharma ji usse dantne lage.
Vineet apne pita ko dekhta raha, kuch samajh nahi paa raha tha unhe achanak kya hua. Itni badi baat wo Aise kaise bhool gaye? Agar koi aur din hota toh shayad wo kuch baatein sun ke college chala bhi jata par kal jo hua uske badh toh kissi keemat pe wo ghar se nahi niklega.
Apne bete ko chakit dekh Sharma ji samajh gaye uske demag mei kya chal raha hai. Aisa kuch hoga, iska abhas toh unhe tha hi, jo hua wo koi chhoti baat toh nahi thi jisse ek din mei bhula diya jaaye par usse yaad rakh ke bhi kahan kuch hone wala hai toh behtar yahi hai ki usse bhul hi jaya jaaye.
''Ghar mei baith ke kya tu sabko sahi sabit karna chahta hai? Jitna chup ke baithoge utna hi log iska faida uthayenge, baatein banayenge, jo galti tumne nahi ki uska ilzaam tum pe hi lagayenge issliye sar uthao aur bahar jao. Koi jo kahe mujhe fark nahi padta aur tujhe bhi nahi padna chahiye, jab tune koi galti nahi ki fir darr kis baat ka? Ek baat yaad rakh, darte aur chupte wahi hai jisne kuch galat kiya ho!!" Sharma ji ne apne bete ko aage badhne ke liye protsahan kiya.
Par ye itna aasan toh nahi, Vineet ko apne pita ki baat sahi lagi par itni himmat wo kahan se laaye? Aaj tak wo kissi se nahi dara par aaj logon ki baaton se darr raha hai. Sach hi kaha hai kissi ne, samaj kissi ko utha bhi sakta hai aur gira bhi, kissi ko sahas deta hai toh kissi ko darata hai.
Sharma ji ne uska haath thama aur pure dridhta ke saath bole,''main tere saath hoon par haan ye wada bhi chahta hoon ki aabse tu koi galat kaam nahi karega toh har kadam pe tu mujhe apne saath paayega!!!" Sharma ji ne ashwasan hi, usse yakeen dilaya ki satya ki marg pe wo hamesha uska saath khade rahenge uski takat aur dhal banke, kissi bhi aandhi mei usse girne nahi denge, kissi bhi toofan mei usse tham lenge.
Fir kya tha, Vineet mei bhi kuch himmat aai, pita ka saath kaafi hai aage badh ke ladne ko. Usne apne pita ko vachan diya ki aab wo wahi karega jo wo kahenge aur saare galat kaam chir dega. Sharma ji gadgadaye, bete ko nahane bheja aur khud bhi taiyaar hone chale gaye, akhir aaj unki zindagi ka bahut bada din jo thehra, unka beta aaj sudhar gaya!!
....
Idhar Mishra parivaar mei bhi mahol kuch alag toh nahi tha. Ruhana ko bhale hi samaj ka darr nahi tha kyunki uski koi galti nahi par hadse ne usse dara diya tha, kahin akele jaane ke naam se hi wo ghabra rahi thi, saath hi raat ko kai dafa darr se uth baithi thi toh aab Shakuntala bhi sakucha rahi hai beti ko akele bahar bhejne se. Par Mishra ji ka manna tha agar aaj beti ko darr ke karan ghar mei bitha liya toh fir aage wo usse kabhi darr se mukt nahi kara paayenge kyunki ye darr uske andar ghar kar legi jo wo nahi chahte.
''Mujhe nahi lagta ye sahi hai. Bachi pehle se hi dari hui hai, uspe agar aap usse college bhejenge toh shayad wo aur darr jaaye. Nahi, main apni bachi ke saath Koi risk nahi le sakti, wo kahin nahi jaayegi kuch din, jab tak uski tabiyat thik nahi ho jaati aur wo khud kahin jaane ko razi naji hoti.'' Shakuntala ne saaf saaf Mishra ji ki baat ko inkaar karte hue kaha.
Mishra ji ne ek gehri saans bhari,''Hum usse aise ghar mei bhi toh nahi rakh sakte na. Aur risk toh har chij ke liye lena hi padta hai, life ka dusra naam hi risk hai. Kya tum chahti ho humari beti darr ke chup jaaye wo bhi biba kissi galti ke?? Sakku, darna Toh uss lagane Aashish ko chahiye jisne ye apradh kiya na ki humari Ruhana ko. Main janta hoon tumhe uski chinta hai, par apni chinta ko apni beti ke pairon ki zanjeer maat banne do, humare unn rishtedaaro ki baaton ko sach maat hone doh ki humari beti kissi se kam hai. Nahi, bilkul nahi, wo mera gurur hai, abhiman hai. Tumhara pata nahi par main janta hoon koi beta mujhe itni khushi, samman, aadar aur pyar nahi deta jitni meri beti ne mujhe diya hai. Issliye wo aage badhegi, sar utha ke kyunki wo doshi nahi hai aur na daregi!!!" Mishra ji ne apna paksh rakha, unke irrade buland aur swar mei stirtha aur kuch kar guzarne ki takat aur irade saaf jhalak rahe the.
Shakuntala bhale dari hui ho oar Mishra ji ki baaton ko jhutla nahi sakti. Unki beti unka jitna adar, samman aur prem karti hai utna toh unke rishtedaaron ka koi bacha nahi karta, chahe wo ladka ho ya ladki, fir unki baaton ko sunna hi kyun hai jo khud ka ghar nahi sambhal paaye wo unhe kya nasihat denge. Nahi, Shakuntala apni beti ko apne darr aur chand logon ki baaton ki wajah se ghar mei kaid nahi karegi, wo apni beri ki kamyabi ki rukawat nahi banegi.
Ek gehri saans chodte hue unhone Mishra ji ki aur dekha aur sakaratmak purvak sir hilaya, Mishra ji muskaye aur dono Ruhana ke kamre ki aur badhne lage toh paya ki wo khud taiyar ho ke niche unke pass aa rahi hai. Dono ne ek tuk ek dusre ko dekha aur fir Ruhana ko jo halke se muskai.
Ruhana unke pass aai aur apne mata pita ka haath thamte hue unhe aaswasan diya ki wo har chunauti se ladne ko taiyar hai, har darr ka samna karne ko taiyaar hai jab tak wo dono unke saath khade hai unka hausla bann ke, usse kissi baat ki chinta nahi hai.
''Papa maa, jo hua wo sahi nahi tha aur na hi humare bas mei. Humne toh kuch galat bhi nahi kiya fir bhi sab humein taane de rahe hai, galat bop rahe hai par hum darenge nahi unki baaton se, hai na papa!? Aap dono ne hi sikhaya hai na, har darr ka samna kar ke aage badhne ke liye, har chunauti se ladna hai humei, hai na!?"
Ruhana ki baatein sun dono gadbad hue, apna haath uske sar pe rakha aur fir Mishra ji ne scooty ki chabhi Ruhana ko thama di, taki wo apni manzil taye kar sake aur aage badh sake - nibhaye!!
....
Vineet jaane kitni hi jatnojihan se college pahuncha. Aaj usse college ka rashta kuch jyada hi lamba mehsus hua, usse toh aaj apna mohalla bhi kuch bada prateek hua. Jab wo ghar se nikla toh jaane kitne khidki aur darwaje usse dekhne ke liye khul gaye, phusphusahat fir suru ho gayi, pehle wo ghabra ya, kadam aage badhne ko taiyaar na hue par jab Sharma ji ne uska haath thama toh wo bina dare aage badha. Kai baar uski nazre in jhuki jisse usne himmat se fir uthaya kyunki uski baatein jhukne ka arth tha uske pita ke nazron ka jhukna jo wo nahi chahta.
Aab jab wo college aa gaya hai toh bhi usse aisa prateet ho raha hai maano sabhi log usse hi dekh rahe ho aur uski baatein kar rahe ho, halanki aisa tha nahi. Shayad kuch logon ko jankari thi par unhe aur bhi toh kaam hai aur saath hi Vineet nirdosh sabit hua hai toh baaton ka tuk hi nahi raha unke liye.
Bina kuch kahe, bina kissi se kuch bole, Vineet parking mei hi baitha raha ye soch ke ki aab wo sidhe class lagne pe class mei jaayega na ki kahin aur, saath hi usse Ruhana ka bhi intezaar tha. Halanki usse ye bhi laag raha tha ki wo shayad hi aayegi oar agar aai toh wo apni saari galtiyon ke liye maafi mangege.
Kuch waqt beet chala, class ke liye ghanti baji. Ruhana toh aai nahi toh Vineet class mei chala gaya jisse dekh uske saath ke saath shikshak khud hairan the. Jaane kabse hi unhone Vineet ko kitab ke saath dekha hi nahi tha, sabki nazrein uspe padi toh Vineet bhi ghabraya aur bhag ke piche ki seat pe jaa baitha aur kitab khol li. Sab kuch waqt shant rahe fir class suru ki gayi ki ussi bich Ruhana class mei ghushi, jisse dekh bhi sab chuke kyunki kissi ko nahi laga tha kal ke hadse ke badh wo college aayegi par wo aai hai aur humesha ki tarah, apni seat pe jaa baithi.
Class suru hui, ek fir dusre teesri aur karte karte sham ho gayi. Bhale hi dono class mei baithe ho par na toh Ruhana ka na hi Vineet ka dhyan shikshak ki baaton mei laga.
Ruhana jo aaj tak sabse pehle jawab deti thi, aaj chup thi maano sabd hi na bache ho uske pass. Hote bhi kaise, jaane kitni kathinaiyon ko paar kar wo college pahuchi hai. Rashte mei na jaane kitne hi logon ne uska rashta roka aur kitni baatein sunai, unke padosi aur mohalle wale jo unhe dekh muskate the aaj unhe dekh muh pher gaye, muh banane lage maano kya dekh liya ho. Yahan tak ki kuch dost jo the college ke wo bhi Ruhana ko dekh ke muh pher ke chale gaye. Jaane kyun sab unke saath aisa bartav kar rahe hai jabki unki toh koi galti tak nahi. Par aab wo kis kis ko samjhati phire aur Kyun? Jab kuch kiya nahi toh samjhana kaisa? Agar kissi ko fir bhi dikkat hai toh rahe, unka wo kuch nahi kar sakti.
Gehri saans bhadti hui Ruhana class se nikli aur seedhe parking mei pahuchi, wo wahan ek pal nahi rukna chahti bas aone ghar jana chahti hai. Par jaise hi scooty pe baithi toh Vineet wahan aa pahuncha aur usse rok liya.
''Mujhe tumse kuch baat karni hai.'' Vineet ne apni baat rakhi toh Ruhana ne saaf inkaar kar diya.
Akhir kyun sune wo uski baat? Jo hua usmei kahin na kahin uski bhi galti hai, agar wo yun usse pareshan na karta toh uske pita kabhi usse Aashish ke saath nahi bhejte aur ye sab nahi hota. Bhale hi thane se usse chudwa diya ho kyunki jiske liye usse pakda gaya wo gunah usne nahi kiya par maaf bhi nahi kiya hai usne Vineet ko aur na kabhi karegi.
''Please please please, ek baar meri baat sun lo fir chali jana, main nahi rokunga tumhe, please.'' Vineet girgiraya .
''Mujhe rokne ka adhikaar bhi nahi hai tumhe. Aur aab kya reh gaya hai tumhare pass kehne ko? Aab tak itna pareshan kiya wo kaafi nahi tha jo fir aa gaye. Mujhe samajh nahi aata tum kyun mere piche pade ho, chahiye kya tumhe? Tumhare chakkar mei itna kuch ho gaya, bhale hi tumne nahi kiya oar iska ek karan tum bhi ho. Bas tumhare wajah se mere papa ka sar jhuk gaya, log kaisi kaisi baatein bana rahe hai aur tumhare khud ke parivaar pe kichar uchala gaya phir bhi tum besharmo ki tarah yahan mere pass aaye ho. Chale jao yahan se, iss se pehle main tumhe police ke hawale kar doon chale jao!!!" Ruhana uspe chillai, mann toh kiya do - char thappad maar de par usne aisa nahi kiya.
Vineet ne haath jod liye,''main janta hoon meri galti hai aur issiliye main tumse maafi mangna chahta hoon. I am really very sorry, janta hoon mere sorry keh dene se sab thik nahi ho jaayega, na hi tumhare aur tumhare parivaar ke saath na hi mere parivaar ke saath par main iss se jyada kuch kar bhi nahi sakta kyunki aur kuch mere bas mei nahi hai. Please mujhe maaf kar do, please. Phir main kabhi tumhe apni sakal nahi dikhaunga.'' Vineet ne vinti ki, maafi mangi jiska Koi asar Ruhana pe nahi hua kyunki wo jaanti hai itni aasani se Vineet nahi sudharne wala, bhale hi aab wo usse pareshan na kare par baakiyon ka kya? Wo ache se jaanti hai Vineet dusron ke saath waise hi rehne wala hai jaisa wo hai fir kya faida maafi dene ka.
''Tumhe lagta hai ye sab itna aasan hai? Ek maafi sab kuch thuk kar sakti hai? Nahi, ye bahut badi galatfehmi hai tumhari. Aur tum maafi mang hi kyun rahe ho? Kyunki main ache se jaanti hoon tum kabhi nahi sudhar sakte, fir maat karo ye natak.'' Ghrinta se Ruhana boli.
''Main natak nahi kar raha, sach bol raha hoon. Mujhe sach mei apne kiye ka pachtawa hai!!" Vineet ne Bihar lagai.
''Toh saabit karo!! Tumhe pachtawa hai ye sabit karo aur jis din tumne ye saabit kar diya na ki tum sab sahi karna chahte ho, uss din main tumhe maaf kar dungi uss se pehle nahi!!!" Itna kehti hui Ruhana wahan se chal di. Mann mei bahut kuch tha jo wo kehna chahti thi, par bol nahi pai kyunki har jazbat bayan nahi kiye jaa sakte, kuch ko dil mei hi daabaye rakhna padta hai.
Par Ruhana ki baaton ne Vineet ko ek maksad de diya tha, khade khade usne taaye kar liya ki aab toh chahte jameen ek karni pade ya aasman, wo apni maafi kama ke rahega. Ruhana se aur baaki sab se ye saabit kar ke rahega ki aab wo sab sahi karna chahta hai, sab ka bhala chahta hai. Vineet ne isse apna lakshya bana liya, jisse pura karna kathin hai wo jaanta hai oar wo kar ke rahega chahe jo ho!!!
....
Iss adhyay ke saath iss kahaani ka ek ang yahin purna hota hai. Aab hum aapse agle bhag mei milenge jahan hum Vineet ko poori nishta se apni maafi kamate hue dekhenge aur saath hi masaledaar chatakedaar naaye dhamal aur twist bhi.
Toh bane rahiye humare saath agle bhag ke liye jo able saal april mei publish ki jaayeg, 1 - 04 - 24!!!
Tab tak ke liye Raadhe Raadhe !!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top