Charitra Chitran
Mukhya charitra
Ye hai Sharma Parivar
Ghar ke aur parivar ke mukhiya hai, Shri Kaushik Sharma ji.
Railway department mei ek uch sthan hai inka, sarkari naukari ka puran lupt hai inhe. Waise toh Sharma ji jara kanjus hai par dil ke bade saaf hai. 30 saal ki naukri mei aaj tak kabhi rishwat nahi li hai inhone, kissi ki madad ke liye hamesha taiyar rehte hai. Apne mohalle ke saath saath aas pass ke mohalle mei bhi inki waah waahi chalti hai, inke naam ke log mishal diya karte hai ki imandar ho toh Sharma ji jaisa ho. Office mei bhi inki kuch kam izzat nahi hai, sabki nazar mei uthe hue hai Sharma ji.
Apne jaisa hi sapna inhone apne eklaute bete ke liye bhi socha tha. Ek bada affsar banana chahte the usse lekin unke saare arman gutter mei beh gaye. Unki saari aasayen pani mei beh gayi aur bachi toh sirf nirasha. Par Sharma ji ke dil mei ek choti si umeed fir bhi hai ki kabhi toh unka beta unki kahi bhi karega. Issi aas mei jiye jaa rahe hai Sharma ji.
Aab inse milliye,
Ye hai Sharda Devi, Sharma jii ki dharam Patni. Shadi se pehle inka khud ka Beauty Parlour tha, parantu shadi ke badh inhone parlour apni choti behen ko saup diya, aab ye ek grihinee hai. Waise toh inke kai sapne the ki ek Sarkari Naukri karne wale se shadi karke ye raniyon si rahegi, par Sharma ji ki imandari ki wajah se ye jahan the wahin hai. Sharma ji apni Tankhwa ke siwa duji ek pai tak ko haath jo nahi lagate. Parantu aisa nahi hai ki Sharda Devi khush nahi hai, wo aab bhi khush hai aur unhe iss baat ka garv hai ki unke pati ek imandar affsar hai.
Sharda Devi ko apne bete se bahut pyar hai, shayad iska ek kaaran yah hai ki unko ek aulad bhi kafi muskilon se hui hai aur wo usse khona nahi chahti. Unka beta unki aankhon ka tara hai jispe wo apna saara pyar lutati hai.
Aab inse milliye,
Ye hai Vineet Sharma, apni maa ke aankho ke taare aur apne pitaji ke nalayak bete. Waise toh ye college mei padhte hai lekin jaane kabse college ke darshan nahi kiye hai inhone. Aisa nahi hai ye college nahi jaate, jaate ye roj hai college ke gate pe khade hone taki aati jaati ladkiyon ko nihar sake.
Inka dil itna bada hai ki har ek ladki inke dil mei sma jaati hai, pate ki baat ye hai ki ladkiyan bhi inpe marti hai ye jaante hue ki do - char din mei wo purana kapde ki tarah badal di jaayengi.
Vineet ki maa uspe jaan lutati hai aur pitaji apni pyari pyari vaniyan, jinka Vineet pe na koi asar pada tha aur na padta hai.
...
Ye toh hui Sharma Parivar ki baat aab milte hai Mishra Parivar se.
Inse milliye, ghar ke mukhiya,
Shri Anand Mishra Ji. Ye ek doctor hai, jaise ki log kehte hai doctor bhagwan ka rup hote hai Mishra Ji is kathan ke jeete jaagte udharan hai. Inke aspatal mei aaya ek bhi marij nirash nahi gaya, yah apne aspatal mei kafi nayi takhnique ka upyog karte hai aur saath hi garibon ka ilaj muft mei karte hai. Yahi nahi muft mei ilaz ke saath ye unke liye ghar aur rozgar ka bhi prabandh karte hai, inki issi vyawahar ke liye pure mohalle mei inki mishal di jaati hai.
Mishra ji ko apni eklauti beti pe bahut garv hai jo ki padhne mei kafi hoshiyar aur tej hai. Mishraji ko pura vishwas hai ki unki beti unka naam jaroor roshan karegi pure seher mei.
Aab inse milliye,
Ye hai Shakuntala Devi, Mishra ji ki jeevan saathi. Dil ki ekdam saaf hai bas bolti thoda jyada hai. Puja path mei inki kaafi ruchi hai aur yahi ruchi inki beti ko bhi hai. Goon ki baat kahe toh Shakuntala Devi mei adhiktar saare goon hai, chappan bhog banane se leke silai, bunai, kadhai aur saath hi gareeb bachcho ko tuition bhi padhti hai muft mei.
Inke dil mei bas ek khalal hai ki kash inka koi beta bhi hota, aisa nahi hai ki inko apni beti se pyar nahi hai, bilkul nahi. Inki beti mei inki jaan basti hai agar puri duniya mei ye sabse jyada pyar karti hai toh wo inki beti hi hai bas inhe is baat dukh hai ki jab inki beti ki shadi ho jaayegi toh ye akeli ho jayengi, bas yahi ek baat inki chinta ka kaaran hai.
Aab jara inse milliye,
Ye hai
Ruhana Mishra, apne maa Pitaji ka Gaurav aur samman. Inke maa baap ko inse kaafi ummedein hai, wo inhe ek kamyab vyakti banta dekhna chahte aur chahte hai ki inki Shadi ek aise vyakti se ho jo inhe rajkumari ki tarah rakh sake.
Ruhana college mei padhti hai, school se leke aa tak ye hamesha first aati hai class mei ye ek kaaran hai ki pure mohalle ki ladkiyan inse jalti hai aur saathi inke aage piche bhi karti hain taki ye unki madad kare.
Ye apni maa ki tarah, puja path mei kafi ruchi rakhti hai aur apne Pitaji ki tarah logon ki madad karne ke liye hamesha taiyar rehti hai.
Agar baat sharam haya ki kahe toh kabhi kabhi lagta hai sarafat ki ganga inke hi ghar se behti ho. Ladke inke aage piche karte hai lekin ye kissi ko aankh utha ke dekhti tak nahi.
...
@RuVineet hope you like it Di 😘 😘
Aab kya hoga jab Sharma Parivar aur Mishra Parivar milenge?
Janne ke liye bane rahiye.
Milte hai aagle adhyay mei.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top