Chapter - 72

Apmaan ka ghut peete, sharmsaar se hue, jis mohalle mei aaj tak sar utha ke chale aaj ussi mohalle mei sar jhukaye chal rahe hai Sharma ji apne parivaar ke saath. Logon ki tivra nazar aur kaanaphushi se bachna namumkin hai, kyunki jis mohalle mei rehte hai wahan se bach ke akhir jaayenge bhi toh kahan?

Bas nazar jhukaye, sar niche kiye chale jaa raha hai Sharma parivaar, mohalle mei apne ghar ke bahar khade logon ko nazarandaaz karte hue.

Ghar ki aur badhe toh Shukla ji aur Kishori ji bhi apne parivaar ke saath Sharma parivaar sang unke ghar ki aur nikal pade, akhir pakke dost hai aise hi badnaami ke darr se toh saath nahi chodenge Sharma ji ka.

Saara parivaar ghar pahuncha, Phulmati  sabka intezaar karti aangan mei baithi thi. Jaise hi sab ghar mei ghuse, Phulmati ki aanke chamak uthi Vineet ko dekh ke, mann prafulit ho utha. Bhag ke jaa usse gale se laga liya par uski aur se koi harkat nahi hui, Vineet sthir sa khada raha, sar jhukaye!!!

Phulmati ne aab apne nati ka matha chum liya aur khushi jahir ki apni, Vineet chup raha toh Sharma ji ne usse apne kamre mei jaane ko kaha jismei usne bilkul samay na liya, maano issi ka intezaar kar raha ho, jhat se apne kamre ki aur lambe kadmo se bhag ke chala gaya aur uske piche gaye Karan aur Birju, akhir yahi toh mauka hota hai dosti sabit karne ka.

Vineet apne kamre mei jaa band ho gaya, ek baar bhi mud ke piche na toh apne dosto ko dekha na hi unke kissi baat ka koi jawab diya. Karan aur Birju chintit the kyunki unhone bachon se aaj tak kabhi Vineet ko itna shant nahi dekha tha par aaj wo samundar se bhi jyada shant hai aur ye toh sab jante hai samundra jitna shant hota hai utna hi gehra aur khatarnak, aur yahi darr Birju aur Karan ke hriday pe chaya hua hai, issiliye dono Vineet ke kamre ke bahar baith gaye aur tay kar liya ki jab tak Vineet unn se baat nahi karta, apni pareshani unn dono se nahi bant-ta dono wahan se hilenge bhi nahi, chahe kuch ho!!!

Yahan niche aangan mei gehri saans chodte hue Sharma ji, kishori ji aur Shukla ji bagal mei badi khatiya pe baith gaye, Phulmati duji khatiya pe baith gayi aur Sharda, wo bas ek kone mei apni saheliyon sang khadi hai - sudh budh khoye!

''Wo kaun thi jisne humre lalle ke khilaf shikayat darj karwai?'' Phulmati ne Sharma ji se pucha.

''Galatfehmi thi Amma ji. Uss ladki ke pita ne shikayat ki thi, jab abhi usse hosh aaya toh usne aa ke saari sachai batai toh daroga ji ne chhoda isse!!" Sharma ji ne sab baat batai toh Amma ji gusse se gangana uthi.

''Aise kaise galatfehmi ho gayi unko?? Bina soche samjhe kissi pe bhi ilzaam laga dete hai, unke bache se mere bache ki jindagi barbad ho jaati toh?? Kuch karne se pehle ache se janch toh leta wo mua!!" Mishra ji ko koshte hue Phulmati boli.

''Unki bhi kya galti hai Amma ji, unki bhi beti pe baat aai thi jo sahi laga wo toh karenge hi na wo.'' Mishra ji ka paksh lete hue Sharma ji bole toh Amma ji bhadak uthi, Sharma ji ko dant ne lagi.

''Sharma ji sahi keh rahe hai Amma ji, unn logon ki koi galti nahi hai. Apna hi sikka khota hai toh baki ko kyun dosh de rahe hai hum? Jo ye teeno dhang ke hote toh kissi ki himmat bhi na hoti aur na hi jehen mei aata aisa kuch sochne ka par ye toh khud apne aap ko aur humko badnaam karne ka saman le ke ghoomte hai, kaise na koi shaq kare unke!" Sharma ji ka saath dete hue Shukla ji bole toh Phulmati uspe bhi baras padi.

''Haan haan, wahi teeno toh sabse bure hai, Raavan ke vanshaj toh thehre teeno sab kukarm unmei hi bhadi hui hai na!!! Bade aaye, khote sikke hai!!! Arey aab iss umar mei khel kud na karenge toh ka tumhri umar mei karenge?? Mante hai thode jyada natkhat hai iska ye matbal nahi wo aisi harkat karenge, unn logon ko thoda toh sochna chahiye tha aisa ilzaam lagane se pehle. Maana unki beti ke saath galat hua par iska ye matlab nahi wo baki pe aise ilzaam lagane lage. Unka kya hai unhone toh keh diya, pure mohalle mei thu thu toh hamari hui, naak toh hamari kati, ladka humara badnaam hua!!" Phulmati aag si bhadakti hui boli.

''Badnaam unki beti bhi hui hai Amma ji!!" Iss baar Sharda apni maa ki aur dekhti hui boli, kyunki ye toh jagjaahir hai badnaami ladke se jyada ladki ki hi hoti hai hamesha.

''Haan toh uske liye dujo ko badnaam karenge wo log?" Apni beti se aasehmat hote hue Phulmati boli.

Sharma ji aab chidh gaye the apni saas ki baaton se, akhir koi aise kaise apni galti pe iss kadar parda daal sakta hai? Wo, Shukla ji aur Kishori ji aur Sharda tak unhe samjhane ki koshish kar rahe hai par wo hai ki Vineet ka hi paksh le ke daud rahi hai aur jiske saath sach mei bura hua hai unpe hi bhadak rahi hai.

''Bas kijiye Amma ji, aap jitni koshish kare ladkon ki galtiyon ko dhak nahi payengi. Jo ye teeno usse pareshan na karte, Vineet itna uske piche na pada hota toh wo uspe shaq bhi nahi karte kyunki unke pass koi wajah hi nahi hoti. Haan jo ilzaam uspe laga wo galat tha, ye ghinauna kaam usne naa kiya aur issiliye uss ladki ne apni pehli shikayat bhi wapas le li nahi toh aise nahi toh waise isse Daroga ji pakadte hi. Amma ji, dusro pe ki har uchalne se apne daman ka kidhar saaf nahi ho sakta, issliye aab chup ho jaiye aur iss baat ko yahin bhool jaiye aab!" Kuch bhadke hue, chidhe hue Sharma ji unche swar mei bole.

Naagin si phuphkar khich ke Phulmati reh gayi. Sharda bina kuch kahe rasoi mei chali gayi aur uske saath Karan aur Birju ki maa bhi, shayad dono jaan rahi thi Sharda rasoi mei kyun jaa rahi hai.

.....

Idhar dusri taraf Mishra Parivaar bhi samaj ke taano se bach nahi paaye the. Bhale hi galat Ruhana ke saath hua tha par teeraskar toh usse aur uske parivaar ko bhi sehna pada, bina kissi galti ke unhe bhi katghare mei khada kiya gaya.

Poora mohalla teen warg mei bant gaya aur iss charcha mei jut gaya ki akhir galti hai kiski?

Ek warg mei wo log the honge hamesha se Mishra parivaar se kissi na kissi wajah se dikkat thi. Iss warga ka ye manna tha ki sab Mishra ji aur unki dharam patni Shakuntala ki galti hai jo unhone apni beti ko itni azadi de rakhi hai ki ladki hawa mei udne lagi hai aur saath hi usne akal ki kami reh gayi ki wo kuch samajh nahi paati hai aur kissi ke bhi sang chal deti hai, iss warga ke liye puri galti Mishra ji aur Shakuntala ki hai.

Wahin dusre warg ko lagta hai ki puri galti Ruhana ki hai, wahi apne mata pita ke diye azadi ka faida utha rahi hai. Aur kahin na kahin uska hi charitra bigda hua hai, unhe lagta hai Ruhana ka kissi sang chakkar chal raha hai aur ye sab ussi ka natija hai. Inke liye saari galti Ruhana ki hai.

Par teesre warg wale kuch samajhdaar hai. Unka manna hai ye ek apradh hai jo uss ladke ne ek ladki ke saath kiya aur uske lite uss ladke ko saza mille. Saath hi unhe Ruhana ek victim lagti hai kyunki uss bechari ne akhir kiya hi kya hai? Inke liye galti uss ladke ki hai jisne jabardasti karne ki koshish ki.

Inn teeno warg ki baatein hathode ki tarah Mishra parivaar ke ghar aur kaan mei gunj rahe the par Mishra ji ko koi fark nahi pada, akhir pade bhi kyun? Wo kissi ko jawab dene ke liye badhya nahi hai aur na denge, unke liye itna kaafi hai ki unki beti sahi salamat unhe mil gayi.

Mohalle walon ke muh pe darwaza band kar Mishra ji sofa pe baith gaye, Aashish aisa kar sakta hai iska yakeen unhe aab bhi nahi ho raha par unki beti sach keh rahi hai ye baat bhi wo jaante hai aur issiliye nirash ho sar jhukaye baithe hai.

Ruhana unke pass jaa ke baith gayi, dheere se unka haath tham unke kandhe pe sar rakh diya, wo janti hai unke pita ka vishwas toota hai par ye toh hona hi tha, bhale iss roop mei nahi par kabhi toh Aashish ka sach bahar aana hi tha aab hi sahi, aur aaj wo apne pita se Aashish ka saara sach bata degi taki koi gunjaish hi na bache ki uske pita uss ghatiya insaan ke baare mei bhi kuch soche.

''Papa main jaanti hoon Aashish ki wajah se aap bahut pareshan hai par wo aisa hi hai, aaj se nahi hamesha se hi!! Bas aapke samne acha banta hai wo warna uss jaisa ghatiya insaan toh koi ho bhi nahi sakta!!" Kuch krodh bhari swar mei Ruhana ne bayan kiya toh Mishra ji chakit ho uthe.

''Ye tum kya keh rahi ho beta?'' Ascharya se Mishra ji ne Ruhana se pucha.

''Main sach keh rahi hoon papa! Uss Aashish ne sirf aapki achai ka faida uthaya hai. Aapko shayad yakeen na ho par character wise wo bharosha ke layak nahi, jaane kitni hi ladkiyon sang uska affair raha hai aur aapse bhi kaam ka bahana bana wo ladkiyon se milne hi jaya karta tha. Mujhe jab ye sach pata chala toh wo mere samne girgirane laga aur bola ki aab kabhi wo aisa kaam nahi karega toh meine bhi aapka soch ke ki aapko takleef na ho kyunki aap uss pe bahut vishwas karte hai issliye chup reh gayi. Par shayad wahi meri galti thi, tab hi uska sach aapse bata deti toh aaj ye din nahi dekhna padta humei!! Main janti hoon ye aapke liye muskil hai par sach yahi hai papa, wo aapke pyar aur bharosha ke layak nahi hai!!" Aapni baat saaf saaf kehte hue Ruhana ne Aashish ke daman pe jo jhooth ki safed chadar bichi thi usse khich diya.

Par ismei Mishra ji kaafi nirash ho gaye the, yakeen nahi ho raha tha Aashish itna gira hua niklega par eo nikal toh gaya aur aab usse uski karni ki saza toh jarur milegi.

......

To be continued....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top