Chapter - 67

Dilli ki police ne apna rang dikhana suru kiya, sidhe Sharma ji ke ghar pe jaa ke ruke. Sharma ji ghar pe the nahi aur Sharda aur Amma se baat sambhli nahi. Aurtein itna ghabra gayi ki kuch bola hi na gaya unn se.

Kishori ji jo apne dukaan pe the police ko Sharma ji ke ghar ghuste dekh ascharya chakit se reh gaye aur jhat se Sharma ji aur Shukla ji ko phone kar bula liya aur khud Sharma ji ke ghar bhage aur unke saath bhaga Birju bhi. Kyunki kahin na kahin shaq usse ho gaya tha ki police ho na ho aai Vineet ke liye hi hogi aur yahi hua bhi.

''Humei iss ladke ki talash hai, bataiye mata ji kahan hai ye ladka?" Daroga ne Amma se sawal pucha jo aab tak yahi soch rahi thi ki kyun police wale unke nati ko dhundh rahe hai.

''Aap..aap kyun dhundh rahe hai Vinu ko?? Kya hua hai??" Sharda ne pucha, police ko apne ghar pe apne bete ke baare mei puchta dekh Sharda ka dil joro se dhadak raha tha.

''Hua toh bahut kuch hai bhabhi ji!! Aapko shayad nahi pata lekin aapka beta Dilli mei choriyan patata ghoom raha hai aur ek ladki ke toh piche haath dho ke pada hai beta aapka. Uske ghar mei ghus ke maa baap ko daraya apne dosto sang aur itne pe bhi jee na bhara apke chore ka toh ladki sang jabardasti pe utar aaya.  Ladki behosh padi hai aab tak, uske pita ne complaint ki hai aur guzarish ki hai thos saza dilane ko. Aab aap jara jaldi se usse bulaye nahi toh usse chupane ke zurm mei sab andar jaoge!!" Daroga ne shakti se dhamkaya, Sharda aur Amma sahem gayi aur dharphara ke niche gir gayi. Birju aur Kishori ne ne unhe sambhala aur khatiya pe bitha diya.

Itne mei Sharma ji bhi aa pahuche, unhe bhi baat jaan ke dhakka laga. Haan wo ye jarur jante hai ki Vineet ladkiyon ke piche bhagya hai par wo kissi ke saath jabardasti bhi kar sakta hai ye nahi jante the aur na hi unhe iss baat pe Vishwas hua.

''Nahi daroga ji aisa nahi ho sakta, mera beta aisa nahi kar sakta!!" Sharma ji ne Vineet ka paksh lete hue kaha par police kahan unki baat manne wali thi, aab jahir hai na log toh apne bache ka hi saath denge.

''Haan har log yahi kehte hai ki unka bacha bekasur hai lekin Sharma ji aapka beta bilkul bhi sareef nahi hai aur agar aap logon ko aisa lagta hai na toh bilkul galat sochte hai aap. Aapki jitni hi izzat karte hai log aur jitni shan hai, aapka beta utna hi gira hua hai. Humei bhi jab pata chala wo aapka beta hai bahut dhakka laga par wo kehte hai na diye tale andhera hota hi hai aur yahi aapke ghar mei ho raha hai!!" Daroga ji ne apni baat rakhi toh Sharma ji sharmsaar ho gaye kyunki wo jante hai daroga ki baat mei kitni sachai hai, wo chup reh gaye, sar niche jhuka liya.

Daroga na fir Vineet ke baare mei pucha toh pata chala wo ghar pe hai hi nahi, subha se nikla hua hai.

Idhar Birju khud puri tarah hil gaya hai Daroga ki baat sun ke. Uske haath paon kanp rahe hai aur usse kuch samajh nahi aa raha. Wo dheere se nikal ek kone mei chala gaya aur Vineet ko phone milaya. Birju ache se janta hai aadhi baat jhooth hai kyunki Vineet toh Sikha ke saath hai for Ruhana ke saath jabardasti ka toh sawal hi nahi uthta aur agar jo wo na bhi hota Sikha sang fir bhi aisi nich harkat wo nahi karega kabhi bhi.

Phone ki ghanti bajne lagi, Birju prarthana karne laga ki Vineet jaldi phone uthaye ki tabhi daroga ne uss se phone chin liya aur paya wo Vineet ko phone kar raha hai. Wahin do dande padd gaye Birju ko aur saath hi dhamki bhi mili ki unke aane ki baat Vineet se na kahe balki uss se uska pata puche wo. Waise kissi aur ne ye kaha hota toh Birju kabhi na manta par police ki baat usko manni padi.

Daroga ne phone speaker pe rakha, kuch waqt badh 'Vineet ne phone uthaya.

''Bhai kahan ho aap?" Birju ne sab se pehle yahi sawal kiya.

''Arey, kya ho gaya? Chacha peet rahe hsi kya tujhe toh aise puch raha hai?'' Vineet ne kuch haste hue Birju se hi sawal puch liya.

''Nahi bhai aisa nahi hai wo main aur Karan ghoomne jaane ka soch rahe the toh issiliye puch raha hoon.'' Baat ko ghoomate hue Birju bola.

''Acha!! Thik hai!! Main abhi Sikha ke saath hoon, uske ghar pe!! Yahin aa jao tum dono saath mei chalte hai fir, waise bhi mujhe acha nahi laag raha kuch. Aao, fir kuch batana bhi hai tumhe!!" Vineet ki ye baat sun kahin na kahin sabko ye yakeen ho gaya ki usne kuch galat kiya hai, kyunki jis tarah se wo bol raha tha uski awaz saaf darsha rahi thi wo pachtawe mei hai.

Sharma ji aur kya kehte, khud ki nazron mei gir gaya. Sharda aur Amma ke aansuon ka sailab bechta chala gaya aur Daroga ji Birju ko le wahan se chale gaye Sikha ke ghar ki aur.

...

Vineet, Sikha ke ghar ke angana mei pade sofa pe pada hua soch mei dooba hua tha. Sikha ne kaafi koshish ki usse rijhane ki par baat na bani, Vineet ne usse dekha tak nahi bas sochta chala jaa raha tha. Badh mei haar maan ke wo kitchen mei maggie banane chali gayi, aab romance na hua toh kam se kam kha hi le kuch.

Kuch der badh Sikha aai aur Vineet ko maggie di par usne wo bhi nahi li, aab Sikha samajh gayi thi kuch toh gadbad jarur hai. Wo Vineet ke pass baith gayi toh usne apna sar uske godd mei rakh diya. Mann kiya ki Sikha se puche kya wo uske saath darr se rehti hai ki wo kabhi kahin galat na kare uske saath? Par chup reh gaya, khud hi Vineet ko ajeeb laag gaya sawal puchne mei.

Utne mei hi darwaje ki ghanti baji toh ek naukarani ne jaa ke darwaja khola aur darwaja khulte hi police sidhe andar aa ghushi. Vineet ko godd mei leta dekh daroga ka para chadha, collar pakad usse uthaya aur do thappad mare. Vineet aur Sikha dang reh gaye, unhe kuch waqt tak samajh hi na aaya kya ho raha tha par jab Vineet ko police khich ke le jaane lagi toh Sikha ne unke bahar jaate hi jhat se apna ghar band kar liya aur jab bahar se ek hawaldaar ne pucha ki kya wo usse janti hai toh Sikha ne saaf inkar kar diya. Shayad wo uska darr tha par Vineet pe ye bhadi par gaya. Uska case kamzor ho gaya!!

....

To be continued....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top