Chapter - 62
Naya din,
Teeno ladke kuch baki ko peet ke kuch khud maar kha ke aab Birju ke dukaan mei pade hue hai. Raat ko jhagde ke badh ghar jaa paaye itni himmat na rahi unn mei. Ghar jaate toh kisne maara, kyun maara ye jawab bhi dena padta jo unke pass tha nahi kyunki teeno jaante hi nahi wo kaun log the jinhone unhe mara hai toh batayenge kya?
Teeno Dukan ke teen kone mei padde hue the. Vineet aloo ki bori pe soya pada tha, Karan biscuit ke rack ke andar aur Birju galle ke pass. Itni maar ke badh bhi usne dukan ka galla bacha liya aur ussi ke pass so gaya aab kare bhi kya, kishori ji bahar gaye hai aur dukan ki jimmedari uske nazuk se kandhe pe chor gaye bacha kar bhi kya sakta hai.
Teeno betahasha pade hue hai. Tabhi achanak Karan cheekha, usse aisa mehsus hua jaise kissi ne uske pairon ko kaata. Wo chillata hua uth baitha ki rack seedhe uske sar pe lagi aur wo fir zameen pe gir gaya chikhta hua.
Karan ki chikh sun baki do ki aankh khul gayi, dono ko laga ki laundey wapas aa gaye ladne ko. Birju ne bina soche samjhe biscuits ke packets phekna suru kiye jo seedhe Karan ko jaa lage aur wo aur bhi cheekhne laga.
Kyunki dukan mei andhera tha kuch dikh nahi raha kissi ko toh Vineet aur Birju ne ye soch liya ki Karan ko peeta jaa raha hai. Vineet apni jagah se uth ke bhaga, Birju bhi bhaga aur dono takra gaye, takra ke darr gaye ki shayad unn ladko sey takraye hai. Vineet se jhat se ghusha de mara, Birju bhi piche na raha usne bhi mara. Dono ki ladai hone lagi ki tabhi Karan ne lights jala di, dono chauk gaye ye dekh ke ki aab tak wo dono ek dusre ko maar rahe the na ki kissi aur ko.
''Paagal ho gaye ho dono, khudko peete jaa rahe ho. Kam se kam light jala ke toh dekh lete samne kaun hai." Karan barsha apne dosto pe.
''Toh ye tumhari galti hai, kaahe bewajah cheekhe jo humko laga koi aa gaya andar. Tumhari wajah se kal itni ladai hui, hamara aadha dukaan tut gaya aur aab gyan jhad rahe ho.'' Birju Karan pe chillaya.
''Iski wajah se?" Kuch chakit ho Vineet ne pucha kyunki aab tak usse pata nahi ki akhir ladai ho kyun rahi thi kal.
''Aur nahi toh kya!! Bada hero banne gaya tha, tumko gyan booti pilai aur khud dusri ladki ke piche piche gaya, ussi ka bhai gang leke aaya. Iska toh khair kuch nahi gaya, hamari aadhi dukaan loot gayi.'' Birju gurraya, usse Karan pe bahut gussa aa raha tha saath hi Dukan ki haalat dekh darr laga raha tha kyunki agar Kishori ji ne dekh liya toh khair nahi uski. Par inn sab mei ek baat ka sukoon tha usse ki Vineet bina bulaye unki madad ke liye aaya.
Lekin Birju ki baat sunn Vineet ka deemag hilla. Karan ne usse toh itni badi badi baat kahi aur khud yahan wahan muh maar raha hai. Usne jhat se Karan ke gale se pakda aur chawal ki bori mei muh ghuser diya uska.
''Mujhe gyan de raha tha aur khud muh marta fir raha tha, aise hi main itna soche jaa raha tha kal tum logon ki baaton ko aur yahan tum hi aise kar rahe ho.'' Vineet ne uska muh chawal pe patakte hue gusse se bola.
Karan ne usse dhakka de maara,''arey mujhe kya pata tha wo ladki aisa kuch karegi. Main toh samjha wo bhi mujh se pyar karti hai par kamini ne apna bhai bhej diya yahan. Chorunga nahi uss saali ko.'' Lambi gehri saans bharta hua Karan gurraya.
''Yahan kyun bheja tumhare ghar bhejti na. Hamara pura dukan tod diya unhone, babuji aayenge toh mujhe bhi issi tarah tod denge. Dekho hum keh dete hai, humko hamara harzana chahiye kaise bhi ho.'' Birju ne spasth rup se baat rakh di kyunki wo apne pita se maar nahi khana chahta wo bhi kissi aur ki wajah se.
''Arey main kahan se dun paise, meine thodi kiya kuch unn logon ne kiya unse mang na.'' Apna palra jhadne ki koshish karte hue Karan bola.
Vineet dono ki baaton mei kud pada.
''Wo aaye toh teri hi wajah se the na khud toh nahi aaye. Aab tu kidney bech ke de ya apne baap ka ghar par paise toh tujhe dene padenge.'' Vineet ne order dete hue kaha.
''Paise uske hai na fir tum kyun kud rahe ho bich mei.'' Karan bigda, Vineet achanak Birju ka saath de raha tha jo uske liye bilkul bhi sahi na tha.
Birju ne thappad maar Karan ko apni aur ghumaya, ''toh hum hi keh rahe hai, lao do hamare paise warna tumhare baap se shikayat karenge kyunki hum apne baap se maar nahi kha sakte wo bhi bina galti ke. Waise hi uss ladki ke chakkar meri (Ruhana) saare purje idhar udhar ho gaye hai, aab aur na saha jaayega humse. Hamare ashan ka haal aam ki peti mei saab se niche daab ke phute hue aam ki tarah ho gayi hai. Na kahin baitha jata hai na chala jata hai, uspe kal itni maar peet ho gayi. Kamino ne kai laat de maare hai udhar, Sukra karo uska kharcha nahi maang rahe bas jo nuksaan hua hamara wahi mang rahe hai.'' Apni udarta dikhate hue aur peeda bayan karte hue Birju bola.
''Main ek bhuti kauri nahi dunga tujhe kyunki meri koi galti nahi, agar tera baap tujhe marta hai toh ye teri problem hai, meri nahi!" Karan ne saaf haath khade kar diye.
Aur aise waqt mei aab Birju ke pass ek hi chara bacha tha, wo badh mei maar khaye uss se pehle wo Karan ko peet ke rahega.
Birju ne Vineet ko ek tak dekha, isharon mei hi kuch baat hui aur fir dono ne Karan ko dabocha, aloo ki bori ki tarah patka fir utha ke chatton se swagat. Bechara Karan kuch waqt samajh hi na paya ho kya raha hai uske sath. Jab tak hosh aaya tab tak usse maar peet ke dukan ke bahar phek diya. Tabhi kahin se Kishori ji aa pahuche, Vineet bhag khara hua par Sharma ji se jaa takraya jo usse dhundhne hi nikle the, aab ladka raat bhar gayab rahega toh baap dhundhne toh aayega hi. Sharma ji ne baal se dabocha Vineet ko aur ghasit ke ghar le gaye, Vineet ne khud ko chudane ki koshish na ki kyunki usse apne pita ke haath se maar khana jyada munasif laag raha tha.
Wahin Karan aab tak pada tha par Kishori ji ne danda maar bhaga diye usse aur apne dukan mei pravesh kiya jiski halat dekh unka dil toh jaise muh mei aa gaya. Unko dekh Birju ka haal bhi kuch aisa hi tha, darr ke kone mei ho gaya par kahan bachne wala tha,dukan band kar usse andar hi seedha kiya gaya.
...
To be continued. .
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top