Chapter - 61
Sab chod Vineet ne pehle apne rothe hue doston ko manane ki thani. Aab dost ho toh baki har kaam wo kar sakta hai par jab abhi wahi sath nahi toh usse akelapan mehsus ho raha tha aur wo usse khalne laga tha.
Apne kamre se nikal Vineet seedha bahar ki aur chal diya. Angan mei uski Nani Sharma ji ki class le rahi thi kyunki aaj Sharma ji ne unka phone nahi uthaya. Jaane kitni hi martafa unko phone kiya par mazaal hai ki Sharma ji ne phone uthaya ho. Class lagna toh tai hi tha.
Lekin Vineet ko ghar se jaata dekh Phoolmati Devi ne awaz lagai usse.
''Kahan jaa raha hai iss wakat??'' Unhone pucha, par Vineet ne na dhyan diya na jawab aur nikal gaya ghar se.
Nani ko baizaati mehsus hui aur ye dekh ke Sharma ji ki hanshi chut gayi. Unki sasu maa ne unhe ghoora.
''Badi hanshi chut rahi hai tumhari, khud toh koi kaam dhang se na hota aur aab dant dikha rahe ho!!" Sasu maa gurrai.
''Kya Amma ji, aab kaam ke bich hum aapka phone uthate rahenge toh log kya kahenge? Hamari shikayat kar denge upar ke babu log se fir jo badi mehnat se itne saalon mei kuch izzat jo kamai hai wo bhi chali jaayegi. Aadhi toh waisi hi Dilli ki galiyon mei loot-ti fir rahi hai, kuch toh hum bacha le na!!" Sharma ji ne sarthak purwak kaha.
Sasu maa ne jhat se ek chadi maari,''khabar daar jo mere naati ke baare mei kuch kaha toh. Bechara din se hi jaane kyun udash hai uspe tum usko badnaam karte ho. Aab bacha iss umar mei masti mazaak nahi karega toh kya buddhe hone je badh karega? Huhh, mere bache ko aise hi sab nazaar lagate rehte hai aur tum uske baap hoke ussi ki burai karte ho.'' Gusse mei muh banati hui Sasu maa ne Sharma ji ko jhara.
Sharma ji chup hi reh gaye, bol ke faida bhi toh na tha. Sasu maa Vineet ka hi gungaan karengi aur uske khilaf bolne ke liye Sharma ji ko dant hi padegi toh kyun bole wo kuch. Chup hi rahe aur apni saas ki baatein sunte rahe.
...
Idhar dusri taraf Vineet, Birju ki dukaan pe pahucha. Kaafi bheed jama ho rakhi thi wahan pe, pehle toh Vineet ko laga ki shayad log samaan kharidne aaye hai par jab jaa ke dekha toh paya ki wahan toh kuch log Karan aur Birju ko peet rahe hai aur log unka tamasha dekh rahe hai, muskura rahe hai, video utar rahe hai aur uske dono dost kutte ki tarah maar kha rahe hai.
Bas fir kya tha, Vineet kahan bardasth karta iss baat ko. Kudd pada sabse ladne, apne doston ko bachane kyunki bhale hi unki alas mei behes hui ho par koi aur unke khilaf kuch bole ya kare wo teeno mei se kissi ko bardasth na tha.
Vineet ko apne saath paa, baki dono mei bhi josh aaya. Aab wo bhi ladne lage, eent ka jawab pathar se dene lage.
...
Yahan Mishra niwas mei kuch udashi sa mahol hai. Sabne milke uss ladke ke khilaf shikayat toh kar di hai par aab ye chinta hai ki kahin police usse bahut maare na, ya usse lambi saza na ho jaaye. Haan, saza toh ho hi sakti hai kyunki banda hai hi aisa ki har dusra vyakti uske khilaf hi bolega.
Mishra ji ne gehri saans bhari. Wo kabse khudko aur apni parivaar ko ye tassali de rahe hai ki unhone kuch jaan bujh ke na kiya. Uss ladke ne hi unhe uksaya hai ye sab karne ke liye toh unhe bura lagane ki jarurat nahi par unka dil fir bhi kachott raha hai, kya kare kabhi kissi ka bura jo na chaha hai unhone isiliye kissi ka bura hote nahi dekh paate bhale hi khud uski wajah se pareshan ho rahe ho.
Aisa hi charitra unki patni aur beti ka hai. Khair, uss ladke ko saza toh milni hi hai. Agar aaj wo na bolenge toh koi aur awaz uthayega par aisa hoga toh sahi hi.
''Hum jitna sochenge unke baare mei utna hi takleef hogi humein. Kuch galat toh hum logon ne kiya nahi, wo deserve karta hai ye chij.'' Mishra ji ne fir khudko aur baki ke mann ko halka karne ke bhao se kaha.
''Haan aapki baat sahi hai. Usne apne doston ke sang milke jeena haram kar diya hamara. Pehle aapko aur betiya ko takkar maar di, fir ghar mei ghush aaye aur humko itna daraya, betiya ka janamdin bhi bigad diya. Itna toh koi apne dushman ko bhi pareshan nahi karta jitna wo humei kar raha hai bewajah. Na samajhta hai, na chen se jeene deta hai, bas piche pada hua hai.'' Shakuntala lambi sans choti hui boli, baki do na haan mei sar hilaya.
''Chalo chodo, khana khate hain. Kyun unke baare mei uthna soch rahe hai hum, wo uske layak bhi nahi, Naalayak kahin ka!!" Kuch gusse se Shakuntala boli aur kitchen ki aur chali gayi.
Ruhana ne ek tak apne pita ko dekha aur unse lipat gayi. Mishra ji ne usse pyar se gala lagaya aur unke peeth ko thapthapaya.
Dono pita beti ne kuch pal sukoon ke issi tarah guzaare. Koi sabd ki jarurat na thi unhe na kuch jatane ki, bina kuch kahe bhi Mishra ji bhali bhangi apni beti ki dil ki baat samajh rahe the, unka pyar kissi sabd ka mohtaaj na tha.
Mishra ji kai baar ye sochte hai ki agar unki beri ko koi aisa jeevan saathi na mila jo unhe unki tarah samajhte ho toh kya hoga? Wo apni beti ko kissi aire taire ke palle nahi bandh sakte na hi aankh band kissi pe bharosha kar sakte hai.
Yun toh unhe Ashish pasand hai kyunki ladka acha bhi hai aur sacha bhi par unhe ye bharosha nahi ki Ruhana ko wo pasand hai ki nahi.
Shakuntala ne tabhi awaz lagai, Mishra ji apne khwabon se bahar aaye aur Ruhana sand khana khane chale gaye.
Har roj ki tarah unki patni ne sab ke pasand ke pakwan banaye the jo dekh Ruhana khush ho gayi. Shakuntala ne sabko khana parosha aur saari baaton ko bhool Mishra Parivaar ne khushi khushi khana khaya.
...
To be continued..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top