Chapter - 60

Police thane ke bahar Ruhana Shakuntala ka besabri se intezaar kar rahi thi, aab toh unhe kissi keemat pe shikayat karni hi hai uss ladke ke khilaf. Bahut seh chuki wo aur bahut mauke de chuki hai wo usse aab aur nahi, aab usse uske kiye ki saza milegi.

Ruhana ko aab apni pehli soch pe bhi kuch shikayat hui. Jab pehle baar uss ladke ki baate sun unhone uske pita ko galat samjha aur uski madad karni chahi.  Asal mei toh wo hai hi nahi iss layak ki koi madad kare, ek number ka sadakchap hai.

Ruhana ne ek gehri saans chodi, aur fir Shakuntala ko phone kiya aur unke baare mei pucha jis pe Shakuntala ne unhe bataya ki wo bas dusri gali mei hai aur pahuch hi rahi hai. Ruhana ne unhe jaldi aane ko kaha aur phone rakh diya. Kuch waqt badh Ruhana ne Shakuntala ko aate dekha aur saath hi Mishra ji ko bhi. Ruhana ne gehri saans chodi, unki maa koi baat Mishra ji ko bina bataye kyun na kar sakti?

Aisa nahi hai ki Ruhana apne pita se kuch chupana chahti hai par wo filhal unhe pareshan nahi karna chahti thi kyunki wo aise bhi kaafi vyast rehte hai apne kaam mei uspe baki kaam ke liye bhi itna bhagenge toh tabiyat bigad sakti hai unki jo wo na chahti.

''Beta fir usne pareshan kiya tumhe?" Mishra ji ne chintapurwak pucha, apni beti ke maathe pe sikan dekh wo saaf samajh gaye ki aaj fir usse bahut pareshan kiya gaya hai, wo bhi itna ki usne shikayat karne ki thaan li hai.

Ruhana kuch der unhe dekhti rahi, aab yahan khade reh wo apne pita ko jhooth bhi kaise bole. Unhone saaf saaf Mishra ji se sab bata diya, Mishra ji gussa kha gaye.

''Kaha tha na meine wo lucha nahi sudhar sakta.'' Gusse se Mishra ji bole, Shakuntala ne unhe shant kiya kyunki wo na chahti thi ki thane mei kuch gadbad ho jaaye.

Mishra parivar josh mei bahut hosh se thane mei pravesh karte hai aur sidhe thanedaar ke pass pahuchte hai.

''Haan jii kya baat hai, itni josh mei ghushe aa rahe ho aap log.'' Same baithe thanedaar, jinka naam Saurav Prasad hai, unhone Mishra ji se pucha, Mishra ji ko dekh unhe laag toh gaya tha ki wo gusse mei hai bas aab karan janna hai unhe.

''Inspector saab humei ek ladke ke khilaf shikayat darz karwani hai.'' Mishra ji ne tez awaz mei jawan diya.

Inspector apni kursi pe tann ke baithe.

''Kya kiya hai usne?" Inspector ne pucha.

Mishra ji kuch hichke, batane mei jara ajeeb lagne laga unhe par kenna toh hai hi aaj ya kal nahi toh wo ladke kabhi unka picha na chodenge.

''Wo mujhe pareshan karta hai. Jab bhi kahin jaati hoon piche piche aata hai, badtameezi karta hai. Bahut roka usse par wo manta nahi. Hamare ghar mei ghus ke Mummy ko bhi daraya, bina bulaye birthday party mei ghush aaye aur sab kharab kar diya. Humne unhe bahut samjhaya par wo nahi mange.'' Ruhana ne apni baat rakhi.

Inspector apna sar hilaane lage, kuch soch mei pads gaye. Bagal mei baitha hawaldaar sab chin likhe jaa raha tha.

''Kya naam hai uska? Aur rehta kahan hai?" Inspector ne sawal kiya.

Ruhana aur unka parivar soch mei padd gaya, naam toh wo jaante hi nai kissi ka, pata toh dur ki baat hai. Bina naam aur pata ke inspector dhundhnege bhi kaise usse.

Teeno ko soch mei dooba dekh inspector samajh gaye ki unki ladke ka naam pata nahi malum hai tabhi itna vichar rahe hai warna jis tezi mei aaye the nam batane mei waqt hi na lagta unhe.

''Kuch toh pata hoga uske baare mei!?'' Inspector ne fir pucha.

''Wo achanak se kahin se bhi aa jata hai. Haan, uski motorcycle ka number dekha hai meine - DH 00 0080. Ye uski bike ka number hai aur wo meri college mei hi padhta hai, wahan log uska naam jante hai.'' Ruhana ne soch ke jawab diya.

Inspector ne sar hillate hue Kuch vichara fir bole,''thik hai, uski motorcycle ke number se hum uska pata laga lenge aur college mei bhi dekh lenge. Aap bas itna khayal rakhe ki agli baar jab wo aapke samne aaye toh aap humei phone kar de.'' Inspector ne itna kehte hue ek card unke same rakh diya.

Mishra ji ne card utha ke apne pant ki jeb mei daal liya fir Inspector ko dhanyawad de wahan se chale gaye.

Aab Ruhana ko kuch achaa laga. Wo aisa karna toh kabhi na chahti thi par aab kare bhi kya agar koi aapko itna pareshan kar de ki saans lena bhi muskil ho jaaye toh kuch kadam uthane hi hote hai.

Ruhana ne ek gehri saans chodi, Mishra ji ne unke sar ko pyar se sehlaya. Wo jante hai unki beti kabhi kissi ka bura nahi soch sakti na kabhi kissi ke khilaf aisa kadam uthayegi jis se kissi ka nuksan ho. Parantu uss ladke ne itna tang kiya hai usse ki uske pass koi chara na bacha.

''Kabhi kabhi humei apni achai ko chod kuch thosh faishle lenge hi padte hai.'' Mishra ji apni beti se bole, shayad unhe ye abhas hua ki Ruhana ko bura laag raha ki kissi ke khilaf aisa karna bhale hi usne iss se bhi bura bartav kiya hai uske saath.

Ruhana ne halki si muskan di, apne pita ko ye yakeen dilaya ki wo bilkul thik hai. Fir pura parivar apne ghar ko chal diye.

...

Din dhal gaya raat chadh aai par Vineet aaj apne kamre se bahar na aaya. Waise toh kabhi wo ghar pe tikta nahi oar aaj jab se aaya hai apne kamre mei hi baitha hai. Kahin na kahin iss soch mei dooba hai ki kya wo sach mei aisa kuch galat kar raha hai jo aab uske apne dost bhi uske khilaf ho gaye.

Aab tak toh dino ne uski har galti mei uska saath diya hai, har land sabne mil ke kiya hai. Bachpan se aaj tak aisa kabhi nahi hua ki unhone uska saath na diya ho par uske wahi dost aaj usse samjha rahe hai ki jo wo kar raha hai wo galat hai.

Naa, Vineet ko iss baat ka pachtava ya abhash aab bhi nahi ki wo jo kar raha hai galat hai bas dukh hai toh ye ki dost saath nahi de rahe. Aur wo ladki jiska naam wo bhool chuka hai wo bhi usse bhao na deti balki uski wajah se toh aaj usse sabne itna maara hai, ghor baizaati hui hai uski. Apni baizaati ka badla toh wo lega hi uss se, na uske ghar kutte chor diye toh wo samjhe.

Vineet ne ek lambi saans li, pehle wo apne dost ko manaye fir kuch karega. Ye sochte hue wo bahar nikla, angaan mei Nani baithi hui thi jo Sharma ji ki class laga rahi thi tabhi unki nazaar Vineet pe padi par jab unhone usse roka toh bina jawab diye Vineet bhag gaya jo dekh Sharma ji ki hansi chit gayi fir paseene!!

..

To be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top