Chapter - 59
Jaise hi Vineet ko ye pata chala ki Ruhana police ko nahi bula rahi kyunki wo ek student hai, Vineet ke mann mei laddoo phute. Aab toh ladki khud chinta kar rahi hai uski aab kya tha, wo chipakne ki koshish karne laga. Ruhana ne kaafi koshish ki dono ke bich doori rakhne ki par banda maane tab na. Bas fir kya tha, Ruhana ka gussa phut pada, bag uthai aur de mara sar pe. Vineet ko jhatka laga, wo deewar se takra gaya. Jab tak aage kuch sochta Ruhana ne chappal nikal li apni aur Vineet ko gusse se ghoorne lagi.
Ruhana ka ye roop dekh Vineet ghabraya, wo piche ki aur chalne laga aur fir bhagne laga Ruhana uske piche piche bhagi aur jahan bhi mauka milla chappal se hi peeta usse. Pure college ne mazze liye, jin ladkiyon ko aaj tak Vineet ne pareshani kiya tha sab ne behti ganga mei haath dhoye.
Vineet samajh gaya, agar wo college mei hi raha toh ladkiyan usse chodengi nahi. Jaise taise apni motorcycle li aur bhagta chala, maar toh itni paddi usse ki shirt tak phat gayi sukra hai pant bach gayi warna chandani chawk ki galiyon mei aaj uska angpradarshan hota waise hi jaise usne Kishori laal ji ka karwa diya tha ek baar, bich chawrahe pe unki dhoti khol ke.
Vineet toh bhag gaya par Ruhana ka gussa shant na hua, bande ne unhe itna pareshan kar diya hai ki unka mann kar raha hai uske ghar jaa ke usko peete halanki wo aisa bilkul nahi karengi kyunki iss se unpe hi asar padega wo besharm ko kya hi fark padd jaayega.
Gehri si saas Chodti hui Ruhana library ki aur chal di, class se toh nikal diya gaya kam se kam aab kuch padh hi le kyunki ek kitaabein hi hai jo unhe sukoon deti hai. Apne mata pita ke siwa agar unhe aur koi chahita hai toh wo hai inki kitaabein. Issliye toh apne ghar mei bhi ek library bana rakhi hai unhone jahan hazaron kitaabein hai. Jab bhi wo udash hoti hai apni library mei jaa ke baith jati hai, kitaabon ko dekh mann halka ho jata hai unka.
Library mei jaa Ruhana ne ek kitaab uthai jo unhone pichli baar li par puri na padh paai thi par aaj unke pass samay hai aur uss kitaab ko aaj wo pura padh lengi.
Ruhana ek khali seat dekh baith gayi. Kitab kholi par mann na laga, achanak unke mann mei ye vichar aaya ki akhir ye banda achanak kaise unke piche padd gaya. Pehle toh kabhi unhone usse dekha hi nahi hai college mei. Kahin wo kissi aur college ka toh nahi? Ya unka senior? Ya aisa toh nahi ye banda itni baar fail hua hai ki aab abhi tak yahi pada hua hai?
Wajah jo bhi ho par aab toh Ruhana ko kuch karna hi padega uska, paani sar se upar jaa chuka hai wo aise hi iss baat ko na jaane de sakti. Shayad Mishra ji sahi keh rahe the, unhe aab police complaint hi karni hogi uske khilaf tabhi uss se chutkara milega unhe karna ye banda jeene na dega chen se.
Ruhana ne lambi gehri saans bhari, aaj toh kitaabein bhi kaam na aa rahi. Itni pareshan ho gayi hai ki kahin mann na laag raha unka. Wo library se nikal gayi aur apni maa ko phone kar unhe police station aane ko kaha, Shakuntala bechain ho uthi par raazi ho gayi aane ko. Ruhana ne apni scooty li aur chal di police station. Bahut bardasth kar chuki aab wo uss ladke ko aur na karegi, agar wo na sudhar sakta toh police hi usse sudharegi aab toh!
....
Idhar Vineet ne Chandani Chawk ki galiyon mei pravesh kiya. Badi chalaki se usne apna phata hua shirt rashte mei hi utar ke phek diya aur vest mei hi chal duya ghar ki aur. Itni maar padne ke badh bhi wo sudhar toh sakta nahi, rashte mei chahti ladkiyon pe line marta chala, kuch uski body dekh pighal gayi kuch ne gaaliyan hi di.
Karan aur Birju, Birju ke dukkan pe baith baatein kar rahe the ki tabhi unki nazaar Vineet pe padi, dono ko laga tha Vineet reh na paayega unke bagair par nahi usse toh fark hi nahi padd raha wo toh aaram se pehle ke jaise hi ghoom raha hai.
Vineet ne Birju ki dukaan pe apni motorcycle roki aur Birju ke same ek das ka note rakh diya, Birju samajh gaya ki wo cigarette mang raha hai. Bina kuch bole, Birju ne bhi cigarette de di.
Vineet ne cigarette jala bari ghamand se dhue ko apne dino doston ke muh pe maar diya, dono chup chap seh gaye aab ladna thodi tha uss se, haan pata toh chal hi gaya tha unhe ki banda maar kha ke aaya hai aur unke samne hero bann raha hai.
''Aab bhi keh rahe hai uss ladki ka picha chor do, jindagi waise hi jhand hai apni, jaisi padhai kar rahe hai waise mei naukri bhool hi jaaye toh acha uspe ladki ne police ko khich liya nich mei toh lene ke dene padd jaayenge. Hum dost hai issliye samjha rahe hai kyunki hai toh akhir hum sab ek jaise hi ek dusre ko pista bhi na dekh paayenge air aisi chij mei aur saath bhi na de paayenge. Aab toh ye decisions tumhra hi hai ki karna kya hai, uss ladki se maar khani hai ya aab zindagi mei aage bhi badhe.'' Birju ne badi shanti se apni baat rakhi kyunki so na chahta ki unka jhagda ho jiss se baat aur bigde wo bhi uss ladki ke liye jo unke dost ko dekhna tak na chahti.
Aur dusri baat toh ye ki teeno ladkon ne aaj tak apne maa baap ke paise barbad hi kiye hai. Birju ne nich mei padhai chori kyunki bande ka mann biology ki theory se jyada practical ko machal gaya aur uss lapete mei aaye uske dost. Iss chakkar mei pita se maar padi hi padhai bhi chooti. Aab baki do ladke bhi 3 saal se ek hi class mei latak rahe hai, aage badhte hi nahi.
Bahut der se hi par Birju ko ye samajh aa chuka hai ki inn sab harkaton se bas wo badnaam hi ho rahe hai aur apne parivaar ki nazaar mei gir rahe hai. Halanki iss samajh ki asli wajah bhi ek ladki ki hai - Birju ki premika.
Vineet ne Birju ko ghoora, itni badi badi baatein uske dost ke mann mei saat janam mei bhi na aa santi ye wo bhali bhati janta hai. Ek sada sa muh bana chal diya wahan se kyunki usse unki gyan booti bilkul na sunni thi, hanan kuch baatein toh usse bhi sahi lagi jarur. Aur wo unhe apne zehen se nikal hi na paaya bas vicharta raha.
....
To be continued...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top